DARD BHARE GEET.....

by Friend_4uall on February 02, 2005, 08:38:54 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Author  (Read 17985 times)
dhadkan
Guest
«Reply #45 on: February 07, 2005, 09:45:34 AM »
Hum the jinke sahare,
Wo hue na hamare,
Doobi jab dil ki naiya,
Samne the kinare....

U to duniya basegi,
Tanhai phir bhi dhasegi,
Jo zindagi me kami thi,
Wo kami to rahegi....................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard bare geet by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
dard bhare SHER by khilona in Shayri-E-Dard
maut--------(dard bhare nagme) by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
^^%Hum Dard Bhare Nigaha Se^^% by honeyrose in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Thamja Zindgi Kuch Nahi Hai Is Dard Bhare Safar Me by Shayaries_King in Share: Poetry of Pain
Friend_4uall
Guest
«Reply #46 on: February 07, 2005, 09:54:07 AM »
Dekh sakta hoon main kuch bhi hote hue
nahi main nahi dekhsakta tujhe rote hue

dekh sakta hoon main kuch bhi hote hue
ek din bigdi kismat sanwar jaayegi
Logged
pandit
Guest
«Reply #47 on: February 07, 2005, 03:20:54 PM »
dil k armaa aansuo me reh gaye,
hum wafa kar k bhi tanha reh gaye.
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #48 on: February 08, 2005, 02:29:29 PM »
Hazaar raahen mudhke dekhi
kahin se koi sada naa aayee
badi wafa se nibhaayee tumne
humaari thodi si bewafaai

kahin kisi roz yun bhi hota
humaari haalat tumhaari hoti
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #49 on: February 09, 2005, 06:12:04 AM »
lolzzzzzz dhadkan,......pandit......friend.....
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #50 on: February 09, 2005, 06:48:05 AM »
Ek akelaa ek shahar mein
raat ko dopahar mein
aabo daaana dhoondtaa hai
aashiyaana dhoondta hai

ek akelaa ek shahar mein

din khaali khaali bartan hai aur raat hai jaise
andhaa kooaan
in sooni andheri aankhon mein aaansoo ki jagah
aata hai dhooaan
is ajnabi se shahar mein jaaana pehchaana dhoondta hai dhoondta hai

is umr se lambi sadkon ko manzil pe pahunchte dekha nahin
bas yun hi chalti rahti hai humne to thaharte dekha nahin

jeene wajah to koi nahin .... ka bahaana dhoondta hai dhoondta hai..
Logged
dolly
Guest
«Reply #51 on: February 09, 2005, 05:49:49 PM »
aapke pehlu mein aakar ro diye..daastane gham suna kar ro diye..
aapke pehlu mein aakar ro diye..

zindagi ne kar diya jab bhi udaas, zindagi ne kar diya jab bhi udaas,
aa gaye ghabra ke hum manzil ke paas,sar jhukaaya sar jhuka kar ro diye..
aapke pehlu...

shaam jab aasoon bahati aa gayee,shaam jab aasoon bahati aa gayee,
har taraf gham ki udaasi cha gayee,deep yaadon ke jala kar ro diye..
aapke pehlu...

gham judaai ka saha jaata nahi,gham judaai ka saha jaata nahi,
aapke bin ab raha jaata nahi,pyaar mein kya kya gawa kar ro diye..

aapke pehlu mein aakar ro diye..daastane gham suna kar ro diye..
aapke pehlu mein aakar ro diye..
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #52 on: February 10, 2005, 07:02:29 AM »
koi hota jisko apna hum apna keh lete yaron
pass nahi to door he hota lekin koi mera apna
Logged
dolly
Guest
«Reply #53 on: February 10, 2005, 12:50:01 PM »
yahan main ajnabee hoon,yahan main ajnabee hoon,
main jo hoon bas yahi hoon ,main jo bas yahi hoon...
Logged
pandit
Guest
«Reply #54 on: February 11, 2005, 01:30:04 PM »
koi saathi na raha ,koi sahara na raha ,hum kisi k na rahe ,
koi hamara na raha.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #55 on: February 12, 2005, 03:42:47 AM »
yeh chaht ka pehla asr ho rha hai
edher ho chuka hai udher ho rha hai
Logged
pandit
Guest
«Reply #56 on: February 12, 2005, 04:39:19 AM »
mera dil dewana bekraar ho na jaye,
rab kare tujhko bhi pyaar ho jaye.....
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #57 on: February 12, 2005, 11:52:27 AM »
Chand Roz Aur Meri Jaan, Chand Roz
Chand Roz Aur Meri Jaan, Chand Roz
Tere Gum Ke Din, Mere Gum Ke Din
Tere Gum Ke Din, Mere Gum Ke Din
Chale Jaayenge Kahan Maan Chand Roz
Chand Roz Aur Meri Jaan, Chand Roz

Aansoo Abhi Zara Aur Hai Peena
Kuch Din Isi Tarah Aur Hai Jeena
Aansoo Abhi Zara Aur Hai Peena
Kuch Din Isi Tarah Aur Hai Jeena
Zyaada Nahin, Mere Haseen
Rehna Hoga Pareshaan Chand Roz
Chand Roz Aur Meri Jaan, Chand Roz

Phir Zindagi Hogi Pyar Ki Khaatir
Marna Jeena Hoga Yaar Ki Khaatir
Phir Zindagi Hogi Pyar Ki Khaatir
Marna Jeena Hoga Yaar Ki Khaatir
Hoga Jaaneman, Apna Milan
Dil Mein Abhi Yeh Armaan Chand Roz
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #58 on: February 12, 2005, 11:53:30 AM »
Hum Kitne Naadan They Yaaron
Aaj Yeh Samjhe Aaj Yeh Jaana
Sach Hai Agar To Ek Mohabbat
Jhooth Hai Baaki Sara Fasana

Par Gaye Jaise Inn Aankhon Mein
Zulm Ke Nafrat Ke Parde
Zindagi Tera Mujrim Hoon Main
Ho Sakey To Maaf Karde
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #59 on: February 12, 2005, 12:02:58 PM »
Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Teri Aashiqui Bhi Kya Rang Layi
Wafa Maine Ki Tune Ki Bewafai
Meri Bhool Thi Main Ye Kya Chahta Tha
Kisi Bewafa Se Wafa Chahta Tha
Tu Jaane Kya Bekaraari
Bedard Bemuravvat
Ja Sangdil Haseena
Dekhi Teri Mohabbat
Ab Maine Jaana Tujhko Beraham
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:25:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer