DARD BHARE GEET.....

by Friend_4uall on February 02, 2005, 08:38:54 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Author  (Read 17993 times)
Friend_4uall
Guest
«Reply #60 on: February 12, 2005, 12:03:49 PM »
kisee najar ko teraa, intajaar aaj bhee hain
kahaa ho tum ke ye  dil bekaraar aaj bhee hain

wo waadiyaa, wo fijaayen ke hum mile the jahaan
meree wafaa kaa wahee par majaar aaj bhee hain

n jaane dekh ke kyoo un ko ye huaa yehasaas
ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhee hain

wo pyaar jis ke liye humane chhod dee duniyaan
wafaa kee raah mein ghaayal wo pyaar aaj bhee hain

yakeen naheen hain magar aaj bhee ye lagataa hain
meree talaash mein shaayad bahaar aaj bhee hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard bare geet by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
dard bhare SHER by khilona in Shayri-E-Dard
maut--------(dard bhare nagme) by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
^^%Hum Dard Bhare Nigaha Se^^% by honeyrose in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Thamja Zindgi Kuch Nahi Hai Is Dard Bhare Safar Me by Shayaries_King in Share: Poetry of Pain
Friend_4uall
Guest
«Reply #61 on: February 13, 2005, 08:50:37 AM »
Aa leke chaloon
tujhe se gagan ke tale
jahan gham bhi na ho
aansoon bhi na ho
bas pyar hi pyar pale
ek aise gagan ke tale
Logged
pandit
Guest
«Reply #62 on: February 13, 2005, 10:05:48 AM »
maana ho tum behad hasee,
aise bure hum bhi mahi,
dekho kabhi to jaanam ,pyaar se darte ho q iqraar se.
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #63 on: February 13, 2005, 01:00:40 PM »
Ek Din Bik Jayega, Maati Ke Mol
Jag Mein Reh Jayenge Pyare Tere Bol
Dooje Ke Hothon Ko Dekar Apne Geet
Koi Nishani Chhod, Phir Duniya Se Dol
Ek Din...

Anhoni Path Mein Kaante Lakh Bichaaye
Honi To Phir Bhi Bichhda Yaar Milaye
Yeh Birha, Yeh Doori
Do Pal Ki Majboori
Phir Koi Dilwala Kahe Ko Ghabraye
Taram Pam...
Dhara Jo Behti Hai Milke Rehti Hai
Behti Chara Ban Ja Phir Duniya Se Dol
Ek Din...

Parde Ke Peechhe Baithi Saanval Gori
Thaam Ke Tere Mere Man Ki Dori
Yeh Dori Na Chhoote, Yeh Bandhan Na Toote
Bhor Hone Wali Hai Ab Raina Hai Thodi
Taram Pam...
Sar Ko Jhukaye Tu Baitha Kya Hai Yaar
Gori Se Naina Jod Phir Duniya Se Dol
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #64 on: February 22, 2005, 10:07:53 AM »
Tum Bin Kya Hai Jeena
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Phir Shaam-E-Tanhaai Jaagi
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Jaan Nikalne Lagi Hai
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Is Dil Mein Yaadon Ke Mele Hain
Tum Bin Bahut Hum Akele Hain
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Kya Kya Na Socha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaaye
Kya Kya Na Chaaha Tha Dil Ne
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Is Dil Se Toofaan Guzarte Hai
Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
Logged
desikurri
Guest
«Reply #65 on: February 22, 2005, 02:09:16 PM »
(Fariyaad Kya Karain Hum
Kise Dastan Sunayein)-2
Hum Dil Se Jise Chahein  
Use Kaise Bhool Jaayein
Charo Taraf Andhera
Khushiya Na raas Aayein  
Hum Dil Se Jise Chahein
Use Kaise Bhool Jaayein
 
Do Dil Mein Doori Ho gayi
Khushiya Adhoori Ho gayi
Kaisi Majboori Ho gayi
Sun Le Mere Saathiya -2

Dhaga Ho To Main Todoon
Dariya Ho To Main Modun
Chahat Na Todi Jaaye
Sun Le Mere Saathiya -2
Waqt Tham Se Gaaye
Door Hum Ho Gaye
Kya Khata Ho Gayi
Khamosh Lab Hai Aankhon Se
Par Kaashk Chalak Jaaye
Hum Dil Se Jise Chahein
Use Kaise Bhool Jaayein  
ho...

Kismat Mein Likhi Judaai
Milo Milo Tanhaai
Chahat Bhi Raas Na Aayi
Sun Le Mere Saathiya -2
Aashko Ki Daara Jhoole
Dardo Hoon Paas Bhoole
Darr Hai Ki Maut Na Chhoole
Sun Le Mere Saathiya -2
Tukde Tukde Huye
Khwaab Dil Ke Mere
Manzilein Kho Gayi
Chahat Badi Ajeeb Hai
Haste Huye Rulaye
Hum Dil Se Jise Chahein
Use Kaise Bhool Jaayein
Logged
pandit
Guest
«Reply #66 on: February 22, 2005, 02:25:11 PM »
aye kaash kahi aisa hota ki do dil hote seene me,
ek toot bhi jaata isq me to, takleef na hoti jeene me.
Logged
dolly
Guest
«Reply #67 on: February 28, 2005, 05:47:31 PM »
chitthi na koi sandes..hoo..chitthi na koi sandes..
jaane woh kaunsa desh jahan tum chale gaye

ek aah bhari hogi humne naa suni hogi
jaate jaate tumne aawaaz to di hogi..
har waqt yehi hai ghum,uss waqt kahan the hum
kahan tum chale gaye...

chitthi na koi sandes..jaane woh kaunsa desh jahan tum chale gaye


har cheez pe ashqon se likha hai tumhaara naam
yeh raste ghar galiyaan tumhe kar na sake salaam
haaye dil mein reh gayee baat,jaldi se chuda kar haath
kahaan tum chale gaye

chitthi na koi sandes..jaane woh kaunsa desh jahan tum chale gaye

ab yaadon ke kaante iss dil mein chubhte hain,
naa dard thaherta hai naa aasoon rukte hain,
tumhe dhoond hai pyaar,hum kaise kare iqraar
ke haan tum chale gaye..

chitthi na koi sandes..jaane woh kaunsa desh jahan tum chale gaye
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #68 on: March 03, 2005, 06:05:44 AM »
hum tum se juda ho ke mar jaayenge ro ro ke
hum tum se juda ho ke mar jaayenge ro ro ke
mar jaayenge ro ro ke.....

duniya badi zaalim hai dil tod ke hasti hai
duniya badi zaalim hai dil tod ke hasti hai

ek mauj kinare se milne ko tarasti hai
keh do na koi roke keh do na koi roke
hum tum se juda ho ke mar jaayenge ro ro ke
mar jaayenge ro ro ke.....

socha tha kabhi do dil milkar na juda honge
socha tha kabhi do dil milkar na juda honge
malum na tha hum yun na kaam-e wafa honge
kismat ne diye dhoke kismat ne diye dhoke

hum tum se juda ho ke mar jaayenge ro ro ke
mar jaayenge ro ro ke.....

waade nahi bhulenge kasam-e nahi todenge
waade nahi bhulenge kasam-e nahi todenge
yeh tey hai ke hum dono milna nahi chodenge
jo rok sake roke jo rok sake roke

hum tum se juda ho ke mar jaayenge ro ro ke
hum tum se juda ho ke mar jaayenge ro ro ke
mar jaayenge ro ro ke.....
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #69 on: March 03, 2005, 07:19:14 AM »
bahut pyar karte hain tumko sanam
kasam chahe le lo khuda ki kasam
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #70 on: March 03, 2005, 02:20:05 PM »
wow  yahan  to  sabhi  dard  bhare  nagmein  hain..........  very  nice..................  :sad:

yeh  sabhi  song  bahot  touching  hai......  :oops:
Logged
jindagi
Guest
«Reply #71 on: March 04, 2005, 12:55:40 AM »
chingari koi bhadke, to sawan use bhujaaye
sawaan jo agan lagaaye , use kaun bhujaaye

patjhad jo baag ujaade, woh baag bahaar khilaaye
jo baag bahaar ujaade, use kaun khilaaye...o..

humse mat poocho kaise, mandir toota sapno ka
logon ki baat nahi hai, ye kissa hai apno ka
koi dushman thess lagaaye, to meet jiya bahalaaye
man meet jo ghaaw lagaaye, use kaun mitaaye

na jaane kya ho jata, jaane hum kya kar jaate
peete hain to zinda hain, na peete to mar jaate
duniya jo pyasa rakhe, to madira pyaaas bhujaaye
madira ko pyaas lagaaye, use kaun bhujaaye

mana toofaan ke aage, nahi chalta zor kisika
maujon ka dosh nahi hai, ye dosh hai aur kisi ka
majdhaar main naiyaa dole, to maajhi paar lagaaye
maajhi jo naav duboye, use kaun bachaaye
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #72 on: March 04, 2005, 01:02:25 AM »
WAH WAH BUHAT ACHEY YAAR


SAWAN KI AAG PEHLE TU JALTI HI NAHIN
JAB JALTI HAI TU KISI S BUJHTI HI NAHIN
Logged
makrand_sawant
Guest
«Reply #73 on: March 04, 2005, 04:17:52 AM »
:D
ek sher kahi suna tha yaad aagaya,
                    main kaise kahoo ke vo bevafa hai
                    muze uski majburiyo ka pata hai
                    najar mai he jalte makano ke manjar
                    chamkte hai jucnu to dil kaapata hai!! ~~~[/b]
Logged
jindagi
Guest
«Reply #74 on: March 04, 2005, 04:26:55 AM »
wah mak
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 11:06:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer