DARD BHARE GEET.....

by Friend_4uall on February 02, 2005, 08:38:54 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Author  (Read 18078 times)
dolly
Guest
«Reply #90 on: March 14, 2005, 08:39:48 AM »
yahan main ajnabee hoon..yahan main ajnabee hoon..
main jo hoon bas yahi hoon main jo hoon bas yahi hoon..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard bare geet by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
dard bhare SHER by khilona in Shayri-E-Dard
maut--------(dard bhare nagme) by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
^^%Hum Dard Bhare Nigaha Se^^% by honeyrose in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Thamja Zindgi Kuch Nahi Hai Is Dard Bhare Safar Me by Shayaries_King in Share: Poetry of Pain
dolly
Guest
«Reply #91 on: March 14, 2005, 08:43:11 AM »
aakhiri geet mohabbat ka sunaa loon to chaloon..
main chala jaaonga ..main chala jaaonga..
do ashk baha loon to chaloon..
Logged
dolly
Guest
«Reply #92 on: March 14, 2005, 08:46:38 AM »
oh duniya ke rakhwaale sun dard bhare mere naale sun dard bhare naale..

..........shaam ko dhoonde sawera main bi dhoondo uss preetam ko..
ho naaa saka jo mera...bhagwaan bhala ho tera..
mandirt girja phir ban jaate...dil ko kaun sambhaale.....
Logged
dolly
Guest
«Reply #93 on: March 14, 2005, 08:49:06 AM »
tu bhi reh gayaa adhoora main bi reh gayee adhoori..
teri hor majboori...meri hor majboori..
reh gayee channe vich choori takdeer ban ke..
ki khatya main teri heer banke...
ki khatya mai teri heer banke...
Logged
dolly
Guest
«Reply #94 on: March 14, 2005, 08:58:11 AM »
haan judaai se darta hai dil..
haan judaai se darta hai dil..

maut se to main darti nahi..
aur darti to sunle sanam..sun le sanam

pyaar tujhse main karti nahi..
pyaar tujhse main karti nahi...

ek armaan iss par hai..ek armaan uss paar hai..
humne khud hi banaayi thi jo raaste main woh deewar hai..

ik khushi dil ne kya maaang lee..
har khushi ko nazar lag gayee.

zindagi jab kareeb aayi to..
zindagi ko nazar lag gayee.

ab tamanna ho dil mein koi...
ab tamanna ho dil mein koi...

yeh tamanna main karti nahi..
aur karti to sun le sanam ...sun le sanam
pyaar tujhse main karti nahi...

man se man ka hai bandhan agar...tan mile naaa mile kuch nahi..

man ka chandan mehkta rahe..
mann hi sab kuch hai tan kuch nahi..
aasmaano mein so jaayega..daastaano mein kho jaayega..

tan kisi roz ban ke dhuaan inn hawaaon ka ho jaayega..

pyaar rehta hai zinda sada...aatmaan hai yeh marti nahi..
aur darti to sunle sanam ...sun le sanam..
pyaar tujhse main karti nahi....
Logged
dolly
Guest
«Reply #95 on: March 14, 2005, 08:58:43 AM »
rang aur noor ki saugat kise pesh karoon..
yeh muraadon ki hansin raat kise pesh karoon..kise pesh karoon..
Logged
dolly
Guest
«Reply #96 on: March 14, 2005, 10:05:04 AM »
bhool jaa jo hua usse bhool jaa hai kasam tujhe muskura khud ko yun naa de tu sazaa
unn yaadon ko tu bhool jaa..

woh jo nahi tha teri wafaaon ke kaabil..
jaane kya soch ke de diya apna dil..
iss baari dil ka sauda karna na yun bewajah..

bhool jaa jo hua usse bhool jaa hai kasam tujhe
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #97 on: March 14, 2005, 12:07:32 PM »
very nice dolly...
Logged
dolly
Guest
«Reply #98 on: March 14, 2005, 01:13:28 PM »
thank u frend...

aankh hai bhari bhari aur tum
muskuraane baat karte ho
zindagi khafa khafa aur tum..
dillagaane ki baat karte ho...
Logged
dolly
Guest
«Reply #99 on: March 14, 2005, 01:24:04 PM »
jaane kahan gaye woh din kehte the teri raah mein
nazron ko hum bichaayenge
chaahe kahin bhi tum raho
chaanhenge tumko umr bhar..
tumko naa bhool paayenge...

mere kadam jahan pade
sajde kiye the yaar ne
mere kadam jahan pade
sajde kiye the yaar ne

mujhko rula rula diya jaati hui bahar ne...
Logged
dolly
Guest
«Reply #100 on: March 14, 2005, 01:40:33 PM »
intezaar intezar intezaar intezaar...

meri subho ko teri shamo ka
meri shaamo ko tere waadon ko

mere raaton ko tere khwaabon ka
meri neendon ko teri bahon ka..

mere jasbon ko teri chaahon ka...
behki behki si kuch hawaon ka...

khoobsoorat se kuch gunaahon ka..
intezaar intezar intezaar intezaar...

apne dilbar ka..apne humdum ka apne jaanam ka intezaar

surkh phoolon se mehka rasta hai
dil to mera magar sard patta hai..

paas aankhonke sab samandar hai
dil ka mausam to phir bi banjar hai

mehki mehki si kuch hawaaon ka..
bheegi bheegi si kuch hawaaon ka..

intezaar...

apne baadal ka apni baarish ka apne saawan ka intezaar..
apni dhadkan ka appni saanson ka apne jeene ka intezar...

koi badli kabhi iss tarah ayegi
pyaas sadiyon ki pal mein bhuj jaayegi

tujhko lauta ke meri aagosh  mein
dekhna waqt ki nabz tham jaayegi

aisa ho lekin kuch duaaon ka...
umr bhar jo mile unn panahon ka..

intezaar...

tere aane ka tujhko paane ka..
phir naa jane ka intezar...

tere aane ka tujhko paane ka..
phir naa jane ka intezar...

intezaar intezar intezaar intezaar...

So 100 posts are completed....nice collection...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #101 on: March 14, 2005, 02:55:03 PM »
Manzilon Pe Aake Lut-Te Hain Dilon Ke Caravan
Kashtiyaan Saahil Pe Aksar Doobti Hain Pyaar Ki

Manzilen Apni Jagah Hain Raaste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Na De To Musafir Kya Kare
Yoon To Hai Hamdard Bhi Aur Hamsafar Bhi Hai Mera
Badh Ke Koi Haath Na De Dil Bhala Phir Kya Kare

Doobne Wale Ko Tinke Ka Sahar Hi Bahut
Dil Behal Jaaye Fakat Itna Ishaara Hi Bahut
Itne Par Bhi Aasmaan Wala Gira De Bijliyan
Koi Batlade Bhala Yeh Doobta Phir Kya Kare

Pyaar Karna Jurm Hai To Jurm Hamse Ho Gaya
Kaabile Maafi Hua Karte Nahin Aise Gunha
Sangdil Hai Yeh Jahan Aur Sangdil Mera Sanam
Kya Karen Josh-E-Junoon Phir Hausal Phir Kya Karen
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #102 on: March 14, 2005, 02:57:02 PM »
Manzilo Pe Aa Ke Lootate Hai Dilon Ke Caaravaan
Kashtiya Saahil Pe Aksar Doobati Hai Pyaar Ki

Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah (2)
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa (2)
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah

Doobne Waale Ko Tinke Kaa Sahaaraa Hi Bahot
Dil Bahal Jaaye Fakat Itnaa Ishaaraa Hi Bahot
Itne Par Bhi Aasmaan Waalaa Giraa De Bijaliyaan
Koi Batlaa De Zaraa Yeh Doobtaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah

Pyaar Karnaa Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gayaa
Kaabil-E-Maafi Huaa Karte Nahin Aise Gunaah
Sangdil Hai Yeh Jahaan Aur Sangdil Meraa Sanam
Kyaa Kare Josh-E-Junoon Aur Hauslaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #103 on: March 15, 2005, 04:31:25 AM »
DOLLY AND FRIEND


YOU BOTH ARE BEST
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #104 on: March 16, 2005, 02:07:40 PM »
Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Ajab Hai Ishq Yaara
Pal Do Pal Ki Khushiyaan
Gam Ke Khazaane Milte Hain
Milti Hai Tanhaiyaan
Kabhi Aansoon Kabhi Aahein
Kabhi Shikve Kabhi Naalein
Tera Chehra Nazar Aaye
Tera Chehra Nazar Aaye Mujhe Din Ke Ujaalon Mein
Teri Yaadein Tadpayein
Teri Yaadein Tadpayein Raaton Ke Andheron Mein
Tera Chehra Nazar Aaye
Machal Machalke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Agar Mile Khuda To
Poochhoonga Khudaya
Jism Mujhe Deke Mitti Ka
Sheeshay Sa Dil Kyon Banaya
Aur Us Pe Diya Fitrat
Ke Woh Karta Hai Mohabbat
Wah Re Wah Teri Kudrat
Wah Re Wah Teri Kudrat Us Pe De Diya Kismat
Kabhi Hai Milan Kabhi Furqat
Kabhi Hai Milan Kabhi Furqat Hai Yehi Kya Vo Mohabbat
Wah Re Wah Teri Kudrat
Sisak Sisakke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 05:21:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer