~**Fanaa**~

by Sonu on October 09, 2006, 03:49:06 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 970 times)
Sonu
Guest


Hindi Song Title: Mere Haath Mein Tera Haath Ho
Hindi Movie/Album Name: FANAA
Singer(s): SONU NIGAM, SUNIDHI CHAUHAN, AAMIR KHAN, KAJOL  


Hindi Lyrics:

mere haath mein tera haath ho
saari jannatein mere saath ho - 2
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan
tere pyar mein ho jaaun fanaa  
mere haath mein tera haath ho
saari jannatein mere saath ho  
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan
tere pyar mein ho jaaun fanaa  
mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho    
 
"tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye  
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye "
 
jitne paas hain khushbu saans ke  
jitne paas hothon ke sargam  
jaise saath hain karvat yaad ke  
jaise saath baahon ke sangam
jitne paas paas khwaabon ke nazar
utni paas tu rehna hamsafar  
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan  
tere pyar mein ho jaaun fanaa  
mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho    
 
"rone de aaj hamko do aankhen sujaane de  
baahon mein lene de aur khud ko bheeg jaane de  
hain jo seene mein qaid dariya woh choot jaayega  
hain itna dard ke tera daaman bheeg jaayega  "
 
jitne paas paas dhadkan ke hain raaz
jitne paas bundon ke baadal
jaise sath - sath chanda ke hain raat
jitne paas nainon ke kaajal
jitne paas paas saagar ke lehar  
utne paas tu rehna hamsafar  
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan  tere pyar mein ho jaaun fanaa  
mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho    
 
"adhoori saans thi dhadkan adhoori thi
adhooren ham  magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Fanaa Kar Ya ilaahi.. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Hogaye Hum fanaa by tamanna1 in Shayri for Khumar -e- Ishq
fanaa ho kar by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
fanaa bhi na hone diya... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aa neeche aur fanaa kar de deewano ko...Raaj by Sunil Malhotra in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:59:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer