gulzaar namaa gul -e - gulzaar

by djpaddystudio7 on March 02, 2006, 05:14:14 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1305 times)
djpaddystudio7
Guest
din raat

Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palken Khulti Hain to Youn Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Huee Ho
Teri Ankhen, Teri Thahri Huee Gamgeen See Ankhen
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Sachchi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Ye Hayat



*************************************************

HUMDUM

Mod pe dekha hai wo boodha-sa ek ped kabhi ?
Mera waqif hai, bahut salon se mein use jaanata hoon

Jab mein chhota tha to ik aam udaane ke liye
Parli deewar se kandhon pe chadha tha uske
Jaane dukhti huee kis shaakh se jaa paanv lagaa
Dhaad se phenk diya tha muje neeche usne
Meine khunnas main bahut phenke the pathar us par

Meri shaadi pe mujhe yaad hai shaakhein dekar
Meri vedi ka hawan garm kiya tha usne
Aur jab haamla thi 'Biba' to dopahar main har din
Meri biwi ki taraf kairiyan phenki thi isi ne
Waqt ke saath sabhi phool, sabhi patti gaye

Tab bhi jal jaata tha jab Munne se kehti 'Biba'
'Haan,usi ped se aaya hai tu, Ped ka phal hai'
Ab bhi jal jaata hoon. jab mod se gujarte mein kabhi
Khaanskar kehta hai, 'Kyo, Sar ke sabhi baal gaye?'

'Subah se kaat rahe hain woh Kameti wale
Mod tak jaane ki himmat nahin hoti mujhko'
Logged
djpaddystudio7
Guest
«Reply #1 on: March 02, 2006, 05:15:30 PM »
jab bhii ye dil udaas hotaa hai
jaane kaun aas paas hotaa hai
jab bhii ye...

ho.nTh chup chaap bolate ho jab
saa.Ns kuchh tez tez chalatii ho
aa.Nkhe.n jab de rahii ho.n aavaaze.n
Tha.nDii aaho.n me.n saa.Ns jalatii ho
jab bhii ye...

aa.Nkho.n me.n tairatii hai tasviire.n
teraa cheharaa teraa khayaal liye
aainaa dekhataa hai jab mujhako
ek maasuum saa savaal liye
jab bhii ye...

koii vaadaa nahii.n kiyaa lekin
kyuu.N teraa i.ntazaar rahataa hai
bevajah jab karaar mil jaye
dil ba.Daa bekaraar rahataa hai
jab bhii ye...
Logged
djpaddystudio7
Guest
«Reply #2 on: March 02, 2006, 05:16:41 PM »
meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai - 2
o o o ! saavan ke kuchh bhiige bhiige din rakhe hai.n
aur mere ek khat me.n lipaTii raat pa.Dii hai
vo raat bhulaa do, meraa vo saamaan lauTaa do - 2
meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai - 2

patajha.D hai kuchh ... hai naa ?
o ! patajha.D me.n kuchh patto.n ke girane kii aahaT
kaano.n me.n ek baar pahan ke lauT aaI thii
patajha.D kii vo shaakh abhii tak kaa.np rahii hai
vo shaakh giraa do, meraa vo saamaan lauTaa do - 2

ek akelii chhatarii me.n jab aadhe aadhe bhiig rahe the - 2
aadhe suukhe aadhe giile, sukhaa to mai.n le aayii thii
giilaa man shaayad bistar ke paas pa.Daa ho !
vo bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do

ek sau solaa chaa.nd ki raate.n ek tumhaare kaa.ndhe kaa til - 2
giilii me.nhadii ki khushabuu, jhuTh-muuTh ke shikave kuchh
jhuuTh-muuTh ke vaade sab yaad karaa duu.N
sab bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do - 2

ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaauu.Ngii
mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii
mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii
Logged
djpaddystudio7
Guest
«Reply #3 on: March 07, 2006, 06:39:42 PM »
marasim

 haath chhuuTe bhii to rishte nahii.n chho.Daa karate
Gulzar

haath chhuuTe bhii to rishte nahii.n chho.Daa karate
vaqt kii shaaKh se lamhe.n nahii.n to.Daa karate

jis kii aavaaz me.n silvat ho nigaaho.n me.n shikan
aisii tasviir ke tuka.De nahii.n jo.Daa karate

shahad jiine kaa milaa karataa hai tho.Daa tho.Daa
jaane vaalo.n ke liye dil nahii.n tho.Daa karate

lag ke saahil se jo bahataa hai use bahane do
aisii dariyaa kaa kabhii ruKh nahii.n mo.Daa karate
Logged
djpaddystudio7
Guest
«Reply #4 on: March 07, 2006, 06:41:30 PM »
sung by jajit singh album marasim

 ek puraanaa mausam lauTaa yaad bharii puravaa_ii bhii
Gulzar

ek puraanaa mausam lauTaa yaad bharii puravaa_ii bhii
aisaa to kam hii hotaa hai vo bhii ho tanahaa_ii bhii

yaado.n kii bauchhaaro.n se jab palake.n bhiigane lagatii hai.n
kitanii sau.Ndhii lagatii hai tab maa.Njhii kii rusavaa_ii bhii

do do shaqle.n dikhatii hai.n is bahake se aa_iine me.n
mere saath chalaa aayaa hai aap kaa il saudaa_ii bhii

Khaamoshii kaa haasil bhii ik lambii sii Khaamoshii hai
un kii baat sunii bhii hamane apanii baat sunaa_ii bhii
Logged
phoenix
Guest
«Reply #5 on: March 10, 2006, 05:54:44 PM »
gud collection dj
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:00:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer