~**Humari Passend**~

by Sonu on October 09, 2006, 05:02:39 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
Print
Author  (Read 6547 times)
Sonu
Guest
«Reply #15 on: October 11, 2006, 06:02:54 AM »
mai.n naa bhuuluu.Ngaa, mai.n naa bhuuluu.Ngii
in rasmo.n ko in qasamo.n ko in rishte naato.n ko
mai.n naa...

chalo jag ko bhuule.n, khayaalo.n me.n jhuule.n
bahaaro.n me.n Dole.n, sitaaro.n ko chhuule.n
aa terii mai.n maa.Ng sa.nvaaruu.N tuu dulhan ban jaaye
maa.Ng se jo dulhan kaa rishtaa mai.n naa bhuuluu.Ngii. ..

samay kii dhaaraa me.n, umar bah jaanii hai
jo gha.Dii jii le.nge, vahii rah jaanii hai
mai.n ban jaauu.N saa.Ns aakhirii tuu jiivan ban jaaye
jiivan se saa.Nso.n kaa rishtaa mai.n naa bhuuluu.Ngii. ..

barasataa saavan ho, mahakataa aa.Ngan ho
kabhii dil dUlhaa ho, kabhii dil dulhan ho
gagan banakar jhuume.n, pavan banakar jhuume.n
chalo ham raah mo.De.n, kabhii naa sa.ng chho.De.n
taras chakh jaanaa hai, nazar chakh jaanaa hai

kahii.n pe bas jaae.nge, ye din kaT jaae.nge
are kyaa baat chalii, vo dekho raat Dhalii
ye baate.n chalatii rahe.n, ye raate.n Dhalatii rahe.n
mai.n man ko ma.ndir kar Daaluu.N tuu puujan ban jaaye
ma.ndir se puujaa kaa rishtaa mai.n naa...
************ ********* ********* ********* ********* ********* ********* ********* *****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HUMARI DUA by waheed_rose2004 in SMS , mobile & JOKES
**Ghazals apni passend ki** by Sonu in Ghazals « 1 2 ... 7 8 »
***Humari Kismat*** by AVTAR RAYAT in Shairi - E - Zindagi
humari khamoshi by fakhar sheikh in Shayri-E-Dard
Humari Bhi Thi Ek Kahani...Rishi by Rishi Agarwal in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Sonu
Guest
«Reply #16 on: October 11, 2006, 06:04:44 AM »
mai.n shaayar badanaam, ho mai.n chalaa, mai.n chalaa
mahafil se naakaam, ho mai.n chalaa, mai.n chalaa
mai.n shaayar badanaam

mere ghar se tumako, kuchh saamaan milegaa
diivaane shaayar kaa, ek diivaan milegaa
aur ik chiiz milegii, TUTaa khaalii jaam
ho mai.n chalaa, mai.n chalaa
mai.n shaayar badanaam

sholo.n pe chalanaa thaa, kaa.NTo.n pe sonaa thaa
aur abhii jii bharake, kismat pe ronaa thaa
jaane aise kitane, bAkii chho.Dake kaam
ho mai.n chalaa, mai.n chalaa
mai.n shaayar badanaam

rastaa rok rahii hai, tho.Dii jaan hai baakii
jaane TUTe dil me.n, kyaa aramaan hai baakii
jaane bhii de ai dil, sabako merA salaam
ho mai.n chalaa, mai.n chalaa
mai.n shaayar badanaam
************ ********* ********* ********* ********* ********* ********* ********* *****
Logged
Sonu
Guest
«Reply #17 on: October 11, 2006, 06:09:49 AM »
lamha lamha lamha zindagi hain -2
lamha lamha kal tha aaj bhi hain
ek lamha hai tumhara ek lamha hai hamara - 2
aaon lamhon ko mila de zindagi phir bana de
lamha lamha lamha zindagi hai
lamha lamha kal tha aaj bhi hain
ek lamha hai tumhara ek lamha hai hamara
aaon lamhon ko mila de zindagi phir bana de
lamha lamha lamha zindagi hai
lamha lamha kal tha aaj bhi hain

yun toh aankhen laakhon sapanen ghadi ghadi bunti hain - 2
do kadam chalne se raahi manzilen banti hain
tanhaai hain - 2 tera saath bhi hain
tanhaai hain tera saath bhi hain
lamha lamha lamha zindagi hai
lamha lamha kal tha aaj bhi hain

rishton ki apani duniya hai daastaan hain - 2
yeh samjhana mushkil hain kya darmiyaan hain
khaamoshi hai lab pe baat bhi hain - 2
lamha lamha lamha zindagi hai
lamha lamha kal tha aaj bhi hain
ek lamha hai tumhara ek lamha hai hamara - 1
aaon lamhon ko mila de zindagi phir bana de
lamha lamha lamha zindagi hai
lamha lamha kal tha aaj bhi hain
lamha ho lamha haa lamha
Logged
Sonu
Guest
«Reply #18 on: October 11, 2006, 06:11:55 AM »
mann mein umeedon ka silsila hain
apane mann ka kisko kya mila hain - 2
jeet hain kabhi toh maat bhi hain - 2
lamha lamha lamha zindagi hain
lamha kal tha aaj bhi hain
Logged
Sonu
Guest
«Reply #19 on: October 11, 2006, 09:01:04 PM »
thanks sur tuhada hot fav. song vadiya hai...

Quote from: "skumar"
shukriya yar..
tuhade gaane vi bot sohne ne..lo ji mera hot fav...
main eh gana khud vi ganda haan


Tere Bin...(Bas ek pal)

tere bin, main yun kaise jiya, kaise jiya tere bin
tere bin, main yun kaise jiya, kaise jiya tere bin

lekar yaadein teri, raatein meri kati
lekar yaadein teri, raatein meri kati
mujhse baatein teri, karti hain chandni

tanha hai, tujh bin raatein meri
din mere, din ke jaise nahi

tanha badan, tanha hai ruh
nam meri aankhen rahe
aaja mere ab rubaroo
jeena nahi bin tere

tere bin, main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
tere bin, main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin

kab se aankhen meri, raah main tere bichhi
kab se aankhen meri, raah main tere bichhi
bhule se hi kabhi, tu mil jayen kahin

bhule na, mujhse baatein teri
bheegi hai, har pal aankhen meri

kyun saans loon, kyun main jiyun, jeena bura sa lage
kyun ho gaya tu bewafa, mujhko bata de wajah
tere bin, main yun kaise jiya, kaise jiya tere bin
Logged
Sonu
Guest
«Reply #20 on: October 11, 2006, 09:03:44 PM »
kyon tarasta hain tu bande
jaldi hi badlega manzar
kyon tarasta hain tu bande
jaldi hi badlega manzar
jhaank le tu ek dafa bas
dil se apane dil ke andar
kyon tarasta hain tu bande
jaldi hi badlega manzar
jhaank le tu ek dafa bas
dil se apane dil ke andar
tujhmein bhi woh baat hain
teri bhi aukaat hain
tujhmein bhi woh baat hain
teri bhi aukaat hain
tu bhi ban sakta hain sikandar - 2
ho sikandar sikandar o sikandar - 2
jhaank le - 3 dil ke andar
ho sikandar sikandar o sikandar
jhaank le - 3 dil ke andar
ho sikandar sikandar o sikandar - 2

aankh bhala teri gham se kyon nam hoti hain - 2
pal mein hawaayen purab se paschhim hoti hain
aankh bhala teri gham se kyon nam hoti hain
pal mein hawaayen purab se paschhim hoti hain
saawan mein phir rutt badlegi - 2
hogi hari dharti banjar - 2
ho sikandar sikandar o sikandar
jhaank le - 3 dil ke andar
ho sikandar sikandar o sikandar
jhaank le - 3 dil ke andar


koshish karne se mushkil aasaan hoti hain - 2
milne se kya bol tamanna kam hoti hain
koshish karne se mushkil aasaan hoti hain
milne se kya bol tamanna kam hoti hain
ho jo bhi mila woh bhi hain mukaddar
jo na mila woh bhi hain mukadda - 2
o sikandar - 3
jhaank le - 3 dil ke andar
jhaank le - 3 dil ke andar
kyon tarasta hain tu bande
jaldi hi badlega manzar
jhaank le tu ek dafa bas
dil se apane dil ke andar
tujhmein bhi woh baat hain
teri bhi aukaat hain
tujhmein bhi woh baat hain
teri bhi aukaat hain
tu bhi ban sakta hain sikandar - 2
o sikandar - 3
jhaank le - 3 dil ke andar
jhaank le - 3 dil ke andar
o sikandar - 3 ...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #21 on: October 11, 2006, 09:05:47 PM »
Na jee sakein yahan, na mar sakein yahan
Hasne ki baat chhoro, na ro sakein yahan
To jaaye hum kahan, to jaaye hum kahan
To jaaye hum kahan

Yeh dard ki aahein juda huwi raahein
Bhula denge tumko sanam dheere dheere
Mohabbat ke saare sitam dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere
Mohabbat ke saare sitam dheere dheere
Abhi naaz hai toote dil ko wafa pe
Abhi naaz hai toote dil ko wafa pe
Ke tootenge saare bharam dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere

Dil mera chaahe ke seene se dil main nikal ke phaink doon
Bedard is berehem ko hawa mein uchhaal ke phaink doon
Dhoka diya mujhko dhoka diya dil ne mere haaye yeh kya kiya
Dil mera chaahe ke seene se dil main nikal ke phaink doon
Lamhon se haare bujhe nazarein
Ab to saheinge yeh gham dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere

Tanha akele mein yaadon ke mele mein tum gaye chhod ke
Waado ki rasmon ko chaahat ki kasmon ko tum gaye tod ke
Ghariyan sitamgar katti nahi, ulfat ke manzer se hatti nahi
Tanha akele mein yaadon ke mele mein tum gaye chhod ke
Jahan bhi jaoon tumhe hi paoon
Rukeinge humaare kadam dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere
Abhi naaz hai toote dil ko wafa pe
Abhi naaz hai toote dil ko wafa pe
Ke tootenge saare bharam dheere dheere
Ke tootenge saare bharam dheere dheere
Bhula denge tumko sanam dheere dheere
Mohabbat ke saare sitam dheere dheere
Logged
Sonu
Guest
«Reply #22 on: October 11, 2006, 09:08:43 PM »
tum saanson mein
tum dhadkan mein
tum nazar mein
tum jigar mein
utar gaye
humko deewana - 3 deewana kar gaye
tum saanson mein
tum dhadkan mein
tum nazar mein
tum jigar mein
utar gaye
humko deewana - 3 deewana kar gaye
tumko deewana - 3 deewana kar gaye

dil ashana tere dard se
tere khwaab se teri pyaas se
shaam-o-sehar bheege mere har pal tere ehsaas se
aaisi lagan lag gayi hain yaar - 2
lagan lag gayi hain yaar - 2
tum jism mein
tum jaan mein
tum nazar mein
tum jigar mein
utar gaye
humko deewana deewana kar gaye
humko deewana - 3 deewana kar gaye

************************************************************************************
Zindagi thi kya kya, imtehaan leti hai
Dil ko na tha pata
Do juda saanson ko kyon mila deti hai
Dil ko na tha pata
Milke bhi hum mil na sakein
Zakhm dil ke sil na sakein
Na takraate to achha tha
Bhool jo paate to achha tha
Tu phir se milke jaana hmm…

************************************************************************************


Zindagi thi kya kya, imtehaan leti hai
Dil ko na tha pata
Do juda saanson ko kyon mila deti hai
Dil ko na tha pata
Milke bhi hum mil na sakein
Zakhm dil ke sil na sakein
Na takraate to achha tha
Bhool jo paate to achha tha
Tu phir se milke jaana hmm…

************************************************************************************


Ishq mein laakhon gham ishq na karna tum
Ishq hai ek saza
Ishq ki galiyon mein aah na bharna tum
Ishq hai ek saza
Keh rahi hai dil ki lagi, bin tumhaare kya zindagi
Gham na uthaate to achha tha
Khud ko sataate to achha tha
Tu ab na kehke jaana humko begaana kar gaye
Tu ab na kehke jaana humko begaana kar gaye
Logged
Sonu
Guest
«Reply #23 on: October 11, 2006, 09:10:23 PM »
chal rahi hai saanse beh rahaa hai lahoon - 2
phir bhi kyun nahi lagataa
ke main zindaa hoon - 4
kya main zinda hoon

seene mein hai kyun ye jalan rooh tadapti hai kyun - 2
dhadaktaa dil puchhataa hai
kya main zindaa hoon - 6

baaton ki khaamoshi se dost ki tanahaai se
bheed mein akelaa hoon kya main zindaa hoon - 2
kya main zinda hoon - 6

ye suni andheri bekaraari jana pehchaanaa dhundhati hai kyun
mitaa huaa naamonishaan puchhataa hai
kya main jinda hoon - 8
Logged
Sonu
Guest
«Reply #24 on: October 11, 2006, 09:12:44 PM »
(siyaahi mein ghul gayaa andheron mein dhul gayaa
chhod gayi roshani ve rabba tu naa chhodanaa
maulaa muuh naa modanna tu mujhase muuh naa modanaa - 2) - 2

pal pal raag meraa naam teraa ek chiraag hai
teri paak nazaron mein meri chaadar bedaag hai
toote khilaune ko ab kyaa aur todanaa
maulaa muuh naa modanna tu mujhase muuh naa modanaa - 2

khud ko karke tere hi hawaale chal rahaa hoon main
bujhate bujhate teri rehmaton se jal rahaa hoo main
sikhaa andheronse maine haath jodanaa
maulaa muuh naa modanna tu mujhase muuh naa modanaa - 2

siyaahi mein ghul gayaa andheron mein dhul gayaa
chhod gayi roshani ve rabba tu naa chhodanaa
maulaa muuh naa modanna tu mujhase muuh naa modanaa - 2
Logged
Sonu
Guest
«Reply #25 on: October 11, 2006, 09:13:36 PM »
maut sharminda jism jaan - 2
sab zinda hain
hawa kafan hain saansein dafan hain - 2
mitti mitti hain sab
zinda hu main kiske liye - 3

chot yeh chuninda zakhma ka - 2
shaukh zinda hain
nabj zehar hain bahe dard hain - 2
mitti mitti hain sab
zinda hu main kiske liye - 3

beasar hai sab kutch yeh khuda - 2
sharminda hain
hawa kafan hain saansein dafan hain - 2
mitti mitti hain sab
zinda hu main kiske liye - 3
kiske liye
Logged
Sonu
Guest
«Reply #26 on: October 11, 2006, 09:15:06 PM »
hum ne jafaa na seekhi, unko wafaa na aayi
patthar se dil lagaayaa, aur dil ne chot khaai
hum ne jafaa na seekhi

apane hi dil ke haathon, barabaad ho gaye hum
kisase karein shikaayat, ab kisko dein duhaayi
patthar se dil lagaayaa, aur dil ne chot khaai
hum ne jafaa na seekhi

duniyaa banaane vaale, main tujhse puuchhataa hoon
kyaa pyaar kaa jahaan mein, badalaa hai bevafaai
patthar se dil lagaayaa, aur dil ne chot khaai
hum ne jafaa na seekhi
Logged
Sonu
Guest
«Reply #27 on: October 11, 2006, 09:19:06 PM »
tere naal zindanu bitaawa
mere yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
sadke main vari vari jaawa
mere yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
ankhiya te pal pal dasa tenu ek gal
sachha hakdaar tu mera
i love the tiger - 3
mere yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
i love the tiger
yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
sachha haqdaar tu mera

ankhiya teriya ve phool kamal de
mithhi mitthi galla da chhed ghazal de

mere yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
mere yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
i love the tiger
mere yaar yaar dildaar yaar
mere yaar yaar
tere naal zindanu bitaawa
mere yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
sadke main vari vari jaawa
mere yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
ankhiya te pal pal dasa tenu ek gal
sachha hakdaar tu mera
i love the tiger - 3
mere yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
i love the tiger
yaar yaar dildaar yaar - 3
mere yaar yaar
Logged
Sonu
Guest
«Reply #28 on: October 11, 2006, 09:20:25 PM »
tauba-tauba kya hoga hona hai jo woh hoga hona hai jo ho jaane do
aane wala aayega jaane wala jaayega tum na maano to jaane do  -2

jaane kiski baat karu main jaane kiska naam lu
thodi der ruko main dhak-dhak karte dil ko thaam lu
( dhak-dhak ) -3
mera dil hai deewana deewanon ka deewana deewane ko samjhane do
aane wala aayega ...

aa aa ha ha o ho ho

main bebas hu tere bas mein mujhko ye ikraar hain
par ye bulbul kab ud jaaye koi aitbaar hain
ik hava ka main jhonka de jaaungi main dhokha
aaisa mauqa to aane do
aane wala aayega ...

tumne socha hoga main aurat hu main kamzor hu
main ghar mein kuch aur hu bahar main kuch aur hu
main haseena tum daaku main sheesha tum patthar
sheesha patthar takrane do
aane wala aayega ...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #29 on: October 11, 2006, 09:22:22 PM »
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai
juda hoke bhi

waise zinda hu zindagi bin tere main
dard hi dard baaki raha hai seene mein
saans lena bhar hi yaha jeena nahi hain
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

saath mere hain tu har pal shab ke andhere mein
paas mere hain tu ujale savere savere mein
dil se dhadkan bhula dena aasan nahi hai
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
yeh jo yaadein hai - 2
sabhi kaatein hai - 2
katado inhe - 2
ab toh aadat si hai mujhko
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:10:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer