~**Humari Passend**~

by Sonu on October 09, 2006, 05:02:39 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
Print
Author  (Read 6582 times)
Sonu
Guest
«Reply #30 on: October 11, 2006, 09:23:42 PM »
Na jaane kab se umeedein kuch baaki hain
Mujhe phir bhi teri yaad kyon aati hai
Na jaane kab se

Door jitna bhi tum mujhse, paas tere main
Ab to aadat si hai mujhko aise jeene mein
Zindagi se koyi shikwa hi nahi hai
Ab to zinda hoon main is neele aasmaan mein

Chaahat aisi hai yeh teri badti jaaye
Aahat aisi hai yeh teri mujhko sataaye
Yaadein gehri hain itni, dil doob jaaye
Aur aankhon mein yeh gham nam ban jaaye

Ab to aadat si hai mujhko aise jeene mein

Sabhi raatein hain, sabhi baatein hain
Bhoola do unhe, mita do unhe

Ab to aadat si hai mujhko
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HUMARI DUA by waheed_rose2004 in SMS , mobile & JOKES
**Ghazals apni passend ki** by Sonu in Ghazals « 1 2 ... 7 8 »
***Humari Kismat*** by AVTAR RAYAT in Shairi - E - Zindagi
humari khamoshi by fakhar sheikh in Shayri-E-Dard
Humari Bhi Thi Ek Kahani...Rishi by Rishi Agarwal in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Sonu
Guest
«Reply #31 on: October 11, 2006, 09:24:50 PM »
tujhe dekh dekh sona - 2
tujhe dekh kar hain jagna
maine yeh zindagani
sang tere bitaani
tujhmein basi hain meri jaan haai
(jiya dhadak dhadak - 3
jaayen) - 2
tujhe dekh dekh sona
tujhe dekh kar hain jagna
maine yeh zindagani
sang tere bitaani
tujhmein basi hain meri jaan haai
jiya dhadak dhadak - 3
jaayen

kabse hai dil mein mere armaan kai ankahe - 2
inko tu sunle aaja chaahat ke rang chadha jaa - 2
kehna kabhi to mera maan haai
(jiya dhadak dhadak - 3
jaayen) - 2

lagta hain yeh kyu mujhe sadiyon se chaahu tujhe - 2
mere sapno mein aake apna mujhko banake - 2
mujhpe tu kar ehsaan haai
(jiya dhadak dhadak - 3
jaayen) - 2

tujhe dekh dekh sona
tujhe dekh kar hain jagna
maine yeh zindagani
sang tere hain bitani haai
(jiya dhadak dhadak - 3
jaayen) - 2

dhadak jaaye jiya
dhadak jaaye jaaye
jiya dhadak dhadak
jiya dhadak dhadak
dhadak dhadak dhadak jaaye
(jiya dhadak dhadak - 3
jaaye) - 4
Logged
Sonu
Guest
«Reply #32 on: October 11, 2006, 09:27:26 PM »
yeh pal ke tu hai zindagi
yeh pal kho na jaaye kahi
yeh pal ka tu kar le yakeen
yeh aaj hai toh kal nahi
yeh pal aawara sahi
yeh pal mehbaad koi
yeh pal hai wafa ki talab
yeh pal ko salaam mera
yeh meri bandagi
(jeena marna hai is pal mein
sab kutch chupa hai is pal mein) - 2
yeh pal ke tu hai zindagi
yeh pal kho na jaaye kahi
yeh pal ka tu kar le yakeen
yeh aaj hai toh kal nahi
yeh pal aawara sahi
yeh pal mehbaad koi
yeh pal hai wafa ki talab
yeh pal ko salaam mera
yeh meri bandagi

(humko nahi sabar kal ki kyu ho fikar
tay karlo yeh safarbas yu hi ) - 2
yeh shak jaaye gujar ho jaane do sahar
tab jaake kal ka hoga yakeen
(jeena marna hai is pal mein
sab kutch chupa hai is pal mein) - 2
yeh pal ke tu hai zindagi
yeh pal kho na jaaye kahi
yeh pal ka tu kar le yakeen
yeh aaj hai toh kal nahi
yeh pal aawara sahi
yeh pal mehbaad koi
yeh pal hai wafa ki talab
yeh pal ko salaam mera
yeh meri bandagi

(anjaane chehren hai
masti ki lehren hai
armaan gehren hai dil mein) - 2
na koi bandish hai
na koi pehren hai
sara jahaan hai is pal mein
(jeena marna hai is pal mein
sab kutch chupa hai is pal mein) - 2
yeh pal ke tu hai zindagi
yeh pal kho na jaaye kahi
yeh pal ka tu kar le yakeen
yeh aaj hai toh kal nahi
yeh pal aawara sahi
yeh pal mehbaad koi
yeh pal hai wafa ki talab
yeh pal ko salaam mera
yeh meri bandagi
Logged
Sonu
Guest
«Reply #33 on: October 11, 2006, 09:37:42 PM »
kyaa huaa  teraa vaadaa, vo qasam  vo iraadaa (2)
bhuuleygaa dil, jis din tumhe.n
vo din jindagii kaa aakhirii din hogaa

 (kyaa huaa ...)
 
 yaad hai mujhako tuune kahaa thaa
 tumse nahii.n rooThe.nge kabhii
 dil ki tarah se aaja   mile hai.n
 kaise bhalaa chhuuTe.nge kabhii
 terii baaho.n me.n biite har shaam
 bevafaa ye bhi kya yaad  nahii.n
 
 (kyaa huaa ...)
 
 
 o kahane vaale mujhako farebii
 kaun farebii hai ye bataa
 ho jisane gam liyaa pyaar kii khaatir
 yaa jisane pyaar ko bech diyaa
 nashaa daulat kaa aisaa bhii kyaa
 ke tujhe kuchh bhii yaad nahii.n
 
 (kyaa huaa ...)
Logged
Sonu
Guest
«Reply #34 on: October 11, 2006, 09:39:47 PM »
jaane kahaa.n gae vo din,   kahate      the terI raah me.n
 nazaro.n ko ham bichhaae.nge
 chaahe kahI.n bhI tum raho,  chaahe.nge        tumako umr bhar
 tumako naa bhuul paae.nge

 (jaane kahaa.n gae ...)
 
 
 mere kadam jahaa.n pa.De, sajade  kiye  the     yaar     ne - 2
 mujhako   rulaa rulaa diyaa,   jaatI   huI        bahaar ne
 
 (jaane kahaa.n gae ...)
 
 
 apanI nazar me.n aaj kal, din bhI a.ndherI raat hai - 2
 saayaa hI apane saath thaa, saayaa hI apane saath hai
 
 (jaane kahaa.n gae ...)
Logged
Sonu
Guest
«Reply #35 on: October 11, 2006, 09:46:42 PM »
Mujhe rang de, rang de, mujhe rang de, rang de, mujhe rang de
 Mujhe rang de, mujhe rang de, mujhe rang de, rang de, mujhe rang de
 Mujhe rang de, rang de, mujhe rang de, rang de, mujhe rang de
 Haa.n rang de, haa.n rang de, haa.n apnee preet vech
 Main banake   savera     jaag  uthee, main      jaag  uthee,
 Main banake savera        jaag  uthee, main     jaag  uthee, jee     jaag  uthee
 Main banake morni          naach uthee, main    nach uthee, channa nach    uthee
 Tere naina, tere naina, mere  naino.n mei.n rang de
 
 Haa.n rang de, Haa.n rang de, mainu apnee preet vich rang de

 
 (rang de)
 
 
 Mere sapno.n ke aa.ngan mai.n chham chham chaloo
 mai.n chaloo.n, mai.n chaloo.n, tere sa.n sa.ng chaloo.n
 aaja, aaja, ve aaja, tu banke hawaa,
 tere sadke  jawaa.n, tere vaari  jawaa.n

 
 (rang de)
 
 
 Mai.n bhee tanha hoo.n, tu bhee hai tanha kahi.n
 Mai.n adhoori yaha.n, tu adhoora kahi.n
 ek    aahat si hoti  hai mujhko  yaha.n
 tu kaha.n hai, kaha.n hai, kaha.n hai, kaha.n
 mujhe le chal, tu le chal, tu le chal waha.n
  jaha.n tak aasma.n, aasma.n, aasma.n
 Ho mohabbat ki duniya nasheman jaha.n
 mujhe le chal, tu le chal, tu le chal waha.n
 Ho mohabbat ki duniya nasheman jaha.n
 mujhe le chal, tu le chal, tu le chal wah
 tu  le chal waha.n, tu le chal waha.n, tu le chal waha.n
 
 
 
 (rang de)
Logged
Sonu
Guest
«Reply #36 on: October 12, 2006, 03:51:16 AM »
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
yeh maana ki mehfil jawaan hain haseen hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
yeh maana ki mehfil jawaan hain haseen hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain

samajh mein na aaye yeh kya maajara hain
tujhe paake dil mein yeh khaalisa kya hain
samajh mein na aaye yeh kya maajara hain
tujhe paake dil mein yeh khaalisa kya hain
yeh khaalisa kya hain
kyun har waqt dil mein Huh? kali hain
kyun har waqt seene mein rehti kami hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
yeh maana ki mehfil jawaan hain haseen hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain

jidhar bhi yeh dekhen jahaan bhi yeh jaayen
tujhe dhundhati hai yeh paagal nigaahen
jidhar bhi yeh dekhen jahaan bhi yeh jaayen
tujhe dhundhati hai yeh paagal nigaahen
yeh paagal nigaahen
main zinda hoon leking kahaan zindagi hain
meri zindagi toh kahaan kho gayi hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
yeh maana ki mehfil jawaan hain haseen hain
tu jo nahi hain toh kuchh bhi nahi hain
Logged
Sonu
Guest
«Reply #37 on: October 12, 2006, 03:53:22 AM »
so jaaoon main
tum agar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
kho jaaoon main
magar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon
jaagi nazar mein soyi nazar mein
har pal sanam tum jhilmilaaon
so jaaoon main
tum magar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
kho jaaoon main
magar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon

meri khushi mein shaamil raho tum
iss zindagi mein shaamil raho tum
yun toh hai laakhon armaan dil mein
mehfil mein jaan-e-mehfil raho tum
hothon pe mere shaam savere
yun hi sanam tum muskuraaon
so jaaoon main
tum agar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
kho jaaoon main
tum meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon

banke sitara aankhon mein chamko
in aati jaati saanson mein mehko
bas jaaon aake tum meri jaan mein
dil banke mere seene mein dhadko
tum mujhko chaho baas mujhko chaho
saare jahaan ko bhul jaaon
so jaaoon main
tum agar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
kho jaaoon main
tum agar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon
jaagi nazar mein soyi nazar mein
har pal sanam tum jhilmilaaon
so jaaoon main
tum agar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
kho jaaoon main
tum agar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon
************************************************************************************

so jaaoon main
magar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
so jaaoon main
magar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon
jaagi nazar mein soyi nazar mein
har pal sanam tum jhilmilaaon
so jaaoon main
magar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
so jaaoon main
magar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon

meri khushi mein shaamil raho tum
iss zindagi mein shaamil raho tumn
yun toh hai laakhon armaan dil mein
mehfil mein jaan-e-mehfil raho tum
hothon pe mere shaam savere
yun sanam tum muskuraaon
so jaaoon main
magar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
so jaaoon main
magar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon

banke sitara aankhon mein chamko
in aati jaati saanson mein mehko
bas jaaon aake tum meri jaan mein
dil banke mere seene mein dhadko
tum mujhko chaho baas mujhko chaho
saare jahaan ko bhul jaaon
so jaaoon main
magar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
so jaaoon main
magar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon
jaagi nazar mein soyi nazar mein
har pal sanam tum jhilmilaaon
so jaaoon main
magar mere khwaabon mein aaon
mere khwaabon mein aaon
so jaaoon main
magar meri yaadon mein aaon
meri yaadon mein aaon
Logged
Sonu
Guest
«Reply #38 on: October 12, 2006, 03:55:01 AM »
ashq bhi muskuraaye tum jo mile mil gayi hai zindagi
jard the pedon ke saaye bejaan thi bin tere zindagi
ashq bhi muskuraaye tum jo mile mil gayi hai zindagi
jard the pedon ke saaye bejaan thi bin tere zindagi
ab sada  ?? teri haan yeh mera woh khwaab hai
phir bhi dil kyon na jaane bechain hain betaab hain
bechain hain betaab hain

maine yeh socha na tha jo bhi huaan rang laaye ??
aaisa kabhi bhi ho paayega tu rubru lehraayegi
Huh? le aankhon mein mere deewangi aabaad hai
phir bhi dil kyon tumhara bechain hai betaab hai
bechain hai betaab hai

phoolon pe shabnam thami yeh kiske intezaar mein
keh rahi hamein yunhi jeete rahe khumaar mein
ab sadaa jo dekh teri haan yeh mera woh khwaab hai
phir bhi dil kyon na jaane bechain hain betaab hain
bechain hain betaab hain
ashq bhi muskuraaye tum jo mile mil gayi hai zindagi
Logged
Sonu
Guest
«Reply #39 on: October 12, 2006, 03:56:02 AM »
Bas ek pal mein- 3

Tu ek baar jo pyaar se mujhsko chuley tho har zakhm bhar jayegaa,
Zara ithzaa suun ke dewaane dilki mujhe aapne dilse lagaa...

Tere pyaar mein aise jiyain hum,
Jala hain yeh dil....yeh ankhen hue Nam - 2

Bas Ek Pal....... - 3

Hamare Khayalo mein Khwabaon mein yadhaon mein Bathaon mein rehthe ho tum,
Badaake mein yeh haath chuna jo chahuin tho pal bar mein hothe ho Gum.

Tere pyaar mein aise jiyain hum,
Jala hain yeh dil....yeh ankhen hue Nam - 2

Bas ek pal mein- 3

Sunaah hain Mohabbath ki Thakdeer mein, Likhein hain andherein Ghanee,
Thabi aaj Shayad Sitare Sabi zara saahi roshan hue...

Mere haath ki in Lakeeron mein likhe abhi aur kithne... sitam,
Khafaa Ho gayein hain kushi waqt sey ho rahein hain meherbaan Gam,

Tere pyaar mein aise jiyain hum,
Jala hain yeh dil....yeh ankhen hue Nam - 2

Bas Ek Pal....... - 6

Bas Ek Pal
Logged
Sonu
Guest
«Reply #40 on: October 16, 2006, 03:11:12 AM »
Agar Tum Mil Jao ! ! !

Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum (3)

Tumhe paa kar zamane bhar se rishta tod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum (2)

Bina tere koyi dilkash nazara hum na dekheinge
Bina tere koyi dilkash nazara hum na dekheinge
Tumhe na ho pasand usko dobara hum na dekheinge

Teri soorat na ho jis mein
Teri soorat na ho jis mein
Woh sheesha tod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum

Tere dil mein raheinge tujhko apna ghar bana lenge
Tere dil mein raheinge tujhko apna ghar bana lenge
Tere khwaabon ko beheno ki tarah khud par saja lenge

Kasam teri kasam
Kasam teri kasam
Taqdeer ka roog mod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum

Tumhe hum apne jism-o-jaan mein kuch aise basa lenge
Tumhe hum apne jism-o-jaan mein kuch aise basa lenge
Teri khushboo apne jism ki khushboo bana lenge

Khuda se bhi na jo toote
Khuda se bhi na jo toote
Woh rishta jod lenge hum

Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum
Tumhe paa kar zamane bhar se rishta tod denge hum
Agar tum mil jao
Zamana chod denge hum (2)
Logged
Sonu
Guest
«Reply #41 on: October 16, 2006, 03:18:03 AM »
safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo
     sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo

     kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai
     tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo

     yahan kisi ko koi raasta nahin deta
     muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo

     yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN
     inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo
Logged
Sonu
Guest
«Reply #42 on: October 16, 2006, 03:19:14 AM »
tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
     saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi

     ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi
     naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi

     bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
     hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi

     raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
     dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
Logged
Sonu
Guest
«Reply #43 on: October 16, 2006, 03:22:04 AM »
har ek baat pe kehte ho tum ke  'too kya hai' ?
        tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai  ?

      ragoN meiN  dauDte firne  ke ham naheeN qaayal
        jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

      chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
        hamaaree  jeb ko ab  haajat-e-rafoo  kya hai ?

      jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
        kuredate  ho jo ab  raakh,  justjoo kya  hai ?

      rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
        to kis ummeed pe  kahiye ke aarzoo  kya hai ?
Logged
Sonu
Guest
«Reply #44 on: October 16, 2006, 03:23:35 AM »
aah  ko chaahiye  ik 'umr  asar hone  tak
        kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

      aashiqee  sabr  talab   aur  tamanna   betaab
        dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

      ham ne  maana  ke taGHaful na karoge, lekin
        KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

      GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
        shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 04:45:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer