Sonu
Guest
|
«Reply #45 on: October 16, 2006, 03:24:22 AM » |
|
hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle
nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle
mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle
KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle
kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #46 on: October 16, 2006, 03:25:09 AM » |
|
dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ? royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?
dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?
haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?
'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ? roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #47 on: October 16, 2006, 03:25:56 AM » |
|
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #48 on: October 16, 2006, 03:26:47 AM » |
|
kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ? na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?
wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ?
yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte haiN ? `adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?
qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #49 on: October 16, 2006, 03:27:38 AM » |
|
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #50 on: October 16, 2006, 03:28:16 AM » |
|
koee din gar zindagaanee aur hai apne jee meiN hamne THaanee aur hai
baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai
deke KHat muNh dekhta hai naamabar kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai
ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam ek marg-e-naagahaanee aur ha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #51 on: October 16, 2006, 03:28:51 AM » |
|
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ? aaKHir is dard kee dawa kya hai
hamko unse wafa ki hai ummeed jo naheeN jaante wafa kya hai
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ? aaKHir is dard kee dawa kya hai
ham haiN mushtaaq aur woh bezaar ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
jab ki tujh bin naheeN koee maujood fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
jaan tum par nisaar karta hooN maiN naheeN jaanata duaa kya hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #52 on: October 16, 2006, 03:29:36 AM » |
|
unke dekhe se jo aa jaathi hai moonH par raunaq wo samajhteN haiN ke beemaar ka haal achcha hai
dekhiye paate haiN pushaaq butoN se kya faiZ ik barhaman ne kaha hai ke ye saal achcha hai
humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ko khusH rakHne ko 'GHalib' ye khayaal achcha hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #53 on: October 16, 2006, 03:31:02 AM » |
|
pathaR ke kHuda, pathar ke sanam pathaR ke hi insaaN paayeN haiN tum sehre-e-mohabbat kehte Ho Hum jaaN bachcha-kar aayeN haiN
but-khaaNa samajhte Ho jisko puchcho na wahan kyaa haalat hai Hum loG wahin se lauTe haiN bas shukr karO lauT aaye haiN
Hum sonch raHeN haiN muddat se ab umR guzaareN bhi to kaHaN sehra meiN khusHi ke Phool nahiN shehroN meiN gamon ke Saaye haiN
hoThoN pe tabassuM halqa sa aankhoN meiN nami si a'e Faaqir Hum aehle-e-mohabbat par aksar aise bhi zamaaNe aaye haiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #54 on: October 16, 2006, 03:32:07 AM » |
|
jaB bHi tanhaaYee se ghabraaKe simaT jaate haiN Hum teri yaaD ke daaman se lipaT jaate haiN
unpe thoofaN ko bhi afSoS hua karta hai wo safine jo kinaroN pe ulaT jaate haiN Hum to aaye the' raheN saaKh meiN phooloN ki tarah tum agar haar samajhte ho to haT jaate haiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #55 on: October 16, 2006, 03:33:21 AM » |
|
Ye kya JaaNe mein Jaana hai, jaate ho khafaa hoKaR Main jab jaanooN, mere dil se chale-jaao juda hoKaR
qayaamat taak uDegi dil se uThkar khaaq aankhoN taq isee raste gaya hai hasratoN ka kaafila hoKaR tumHi ab dard-e-dil ke naaM se ghaBraaYe jaate ho tumHi to dil meiN shaayad Aaye the' dard-e-aashiYaN hoKaR yooNhi hamdam ghaDi bhar ko mila karte tho behtaR tha ke dono waqt jaise roz milte haiN juda hoKaR
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #56 on: October 16, 2006, 03:43:49 AM » |
|
hai ikhtiyaar mein tere to mauJ sa kar de wo shakhs mera nahiN hai usse mera kar de
mere kHizaN kahiN kahtM hi nahiN hota zara see door ro rasta hara bhara kar de maiN uske shor ko dekhooN wo mera sab .... muJhe charag bana de usse haWa kar de
aKeli shaam bahut hi udaaS karti hai kisiko bHeJ, koi mera hum-nawa kar de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #57 on: October 16, 2006, 03:45:05 AM » |
|
agar hum kaheN aur wo mushkura deiN Hum unke liye zindgaaNi luTa deiN har ik mod par Hum gamoN ko sazaa deiN chalO zindaGi ko mohabbat bana deiN
aGar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole ke chaahat meiN unkee khuda ko bhula deiN
kabHi gam kee aandhee jinHeN choo na paaye wafa ke Hum wo nashe-Man bana deiN
qayaamat ke deewaane kehte haiN humse chalO unke chehRe se parda haTa deiN saza de silaa de, bana de miTaa de maGar wo koi fiaslaa to sunaa de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
skumar
Guest
|
|
«Reply #58 on: October 16, 2006, 09:38:06 AM » |
|
Wah yar....kya baat hai sonu???bahut khoob aa yar...gaane bot vadiya likhe ne..... buraaaaaaaahhhhh
Tera chehra kitna suhana lagta hai Tere aage chaand purana lagta hai(2)
Tirshe tirshe teer najar ke lagte hain seedha seedha dil pe nishana hota hai....
tere aage chaand purana lagta hai...
Aag ka kya hai pal do pal me lagti hai Bujhte bujhte ek zamana lagta hai...
tere aage chaand purana lagta hai...
Sach to ye hai phool ka dil bhi chalni hai Hasta chehra ek bahana lagta hai....
tere aage chaand purana lagta hai...
Tera chehra kitna suhana lagta hai... tere aage chaand purana lagta hai...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #59 on: October 17, 2006, 04:03:30 AM » |
|
thanks sur bus evi hi apni passend dey ganey likhtey ney.... tusi vi bahut sohna likhiya hia... cigi tey jo likhiya hia ohvi bahut hi vadiya hai... wonder sur... Wah yar....kya baat hai sonu???bahut khoob aa yar...gaane bot vadiya likhe ne..... buraaaaaaaahhhhh
Tera chehra kitna suhana lagta hai Tere aage chaand purana lagta hai(2)
Tirshe tirshe teer najar ke lagte hain seedha seedha dil pe nishana hota hai....
tere aage chaand purana lagta hai...
Aag ka kya hai pal do pal me lagti hai Bujhte bujhte ek zamana lagta hai...
tere aage chaand purana lagta hai...
Sach to ye hai phool ka dil bhi chalni hai Hasta chehra ek bahana lagta hai....
tere aage chaand purana lagta hai...
Tera chehra kitna suhana lagta hai... tere aage chaand purana lagta hai...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|