~**Humari Passend**~

by Sonu on October 09, 2006, 05:02:39 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
Print
Author  (Read 6728 times)
Sonu
Guest
«Reply #90 on: November 03, 2006, 04:50:19 AM »
--MALE--
Teri umeed tera intezaar karte hain - 2

Teri umeed tera intezaar karte hain - 2
Ae sanam hum to sirf tumse pyaar karte hain - 2

--FEMALE--
Jaaneman hum bhi tumpe jaan nisaar karte hain - 2
Ae sanam hum to sirf tumse pyaar karte hain - 2

Khwaab aankhon mein ab nahin aate
Ab to palkon mein tum samaaye ho

--MALE--
Har ghadi saath saath rehte ho
Dil ki duniya mein ghar basaaye ho - 2

--FEMALE--
Teri har baat pe hum aitbaar karte hain - 2
Ae sanam hum to sirf tumse pyaar karte hain - 2

Humko jis ki thi voh talaash ho tum
Khushboo saanson ki, dil ki pyaas ho tum

--MALE--
Tere aashiq, tere deewane hain
Saari duniya se hum begaane hain - 2
Jaan hum pyaar tumhe beshumaar karte hain - 2

--FEMALE--
Ae sanam hum to sirf tumse pyaar karte hain - 2

--MALE--
Teri umeed tera intezaar karte hain

--FEMALE--
Jaaneman hum bhi tumpe jaan nisaar karte hain

--MALE--
Ae sanam hum to sirf tumse pyaar karte hain

--FEMALE--
Ae sanam hum to sirf tumse pyaar karte hain

--MALE--
Ae sanam hum to sirf tumse pyaar karte hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HUMARI DUA by waheed_rose2004 in SMS , mobile & JOKES
**Ghazals apni passend ki** by Sonu in Ghazals « 1 2 ... 7 8 »
***Humari Kismat*** by AVTAR RAYAT in Shairi - E - Zindagi
humari khamoshi by fakhar sheikh in Shayri-E-Dard
Humari Bhi Thi Ek Kahani...Rishi by Rishi Agarwal in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Sonu
Guest
«Reply #91 on: November 03, 2006, 04:51:28 AM »
Sochenge Tumhe Pyaar Karein Ke Nahin
Ye Dil Beqaraar Karein Ke Nahin
Yaadon Mein Basaaya Tumko, Khwaabon Mein Chhupaaya Tumko
Miloge Hamein Tum Jaanam, Kahin Na Kahin
Sochenge Tumhe Pyaar Karein Ke Nahin

Tum Ho Khilta Mehka Sa Kamal
Hum Jo Gaayen Tum Ho Voh Ghazal
Kamsin Bhola Sa Mukhda, Lagti Ho Chaand Ka Ik Tukda
Kitni Bhi Taareef Karein, Dekhke Tumko Aahen Bharein
Tumsa Nahin Hai Koi, Pyara Sanam, Pyara Sanam
Sochenge Tumhe Pyaar Karein Ke Nahin...

Jis Din Tum Ko Dekhegi Nazar
Jaane Dil Pe Hoga Kya Asar
Rakhenge Tumko Nigaahon Meikn, Bhar Lenge Tumhe Baahon Mein
Zulfon Ko Ham Suljhayenge, Ishq Mein Duniya Bhula Denge
Ye Beqaraari Ab To, Hogi Na Kum, Hogi Na Kum
Sochenge Tumhe Pyaar Karein Ke Nahin...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #92 on: November 03, 2006, 04:53:14 AM »
Kamli kamli kamli kamli, kamli kamli kamli kamli - 2
--FEMALE--
(Kamli kamli)
--MALE--
Ho, kyoon bante log deewane, hey
Jo ishq kare voh jaane
Kyoon bante log deewane
Jo ishq kare voh jaane - 2
Saari duniya ishq vich kamli kamli
Saari duniya ishq vich kamli
--BOTH--
Saari duniya ishq vich kamli kamli
Saari duniya ishq vich kamli
--MALE--
Kyoon bante log deewane, deewane
Jo ishq kare voh jaane, voh jaane
--FEMALE--
(Deewane, deewane, deewane, deewane)
(Voh jaane, voh jaane, voh jaane)
--MALE--
Kamli kamli kamli kamli, kamli kamli kamli kamli - 2
Ho, baat karte hai, magar band zubaan hoti hai
Yeh kahaani to nigaahon se bayaa hoti hai
--FEMALE--
Nazron ka milna, phoolon ka khilna
Laheron ka darpan, khaamosh duaayein
Premi ki sadaayen, seene ki dhadkan
--MALE--
Yeh deewanapan
--FEMALE--
Yeh deewanapan
--MALE--
(Yeh deewanapan, deewanapan, deewanapan, deewanapan)
Yeh deewanapan ishq ishq - 2
Yeh deewanapan ishq
--BOTH--
(Saari duniya ishq vich kamli kamli
Saari duniya ishq vich kamli) - 2
--MALE--
Koi chupke se dil ki galiyon mein aa jaata hai
--FEMALE--
(Koi chupke se dil ki galiyon mein aa jaata hai)
--MALE--
Phir voh rafta rafta saanson pe jaa jaata hai
Shabnam se halka, rangon se gadha
Amrit ka pyaala, ek zaher niraala
Tulsi ki vaani, ganga ka paani
Hai sabse paawan
--FEMALE--
(Hai sabse paawan)
--MALE--
Yeh deewanapan, deewanapan, deewanapan, deewanapan
--FEMALE--
(Yeh deewanapan)
Ishq
--MALE--
Yeh deewanapan ishq ishq - 2
Yeh deewanapan ishq
--BOTH--
(Saari duniya ishq vich kamli kamli
Saari duniya ishq vich kamli) - 2
--MALE--
Toofaan ishq waala roke se nahin rukta
--FEMALE--
Toofaan ishq waala roke se nahin rukta
--MALE--
Jhuk jaaye saari duniya par ishq nahin jhukta
--FEMALE--
Jhuk jaaye saari duniya par yeh ishq nahin jhukta
--MALE--
Shola bhadkaaye, paagal kar jaaye
Sehra mahekaaye, rab se takraaye
Jab zid pe aaye, kuch bhi kar jaaye
Zaalim ki uljhan
--FEMALE--
Yeh deewana
Yeh deewanapan, yeh deewana, yeh deewanapan
--MALE--
(Yeh deewanapan)
Yeh deewanapan
Yeh deewanapan ishq ishq - 3
Saari duniya ishq vich kamli
Kamli kamli kamli kamli, kamli kamli kamli kamli
Kyoon bante log deewane
--FEMALE--
Jo ishq kare voh jaane, voh jaane, voh jaane
--MALE--
Kyoon bante log deewane
Jo ishq kare voh jaane - 2
--BOTH--
(Saari duniya ishq vich kamli kamli
Saari duniya ishq vich kamli) - 4
Logged
Sonu
Guest
«Reply #93 on: November 03, 2006, 04:54:26 AM »
dil ki dhadkan ho mera jeevan ho
mere khwaabon ki zameen par pehla saawan ho
tum sanam - 3
dil ki dhadkan ho mera jeevan ho
mere khwaabon ki zameen par pehla saawan ho
tum sanam - 3

tanha tanha jab bhi kabhi kho jaata hoon main khayaalon mein
pyar mujhe uljhata hain kaise kaise sawaalon mein
tumse pehle bebasi thi khaamoshi thi andhera tha
laaye ho tum zindagi ko inn sunehre ujaalon mein
ruhh ka haasil ishq ki manzil
main bhatakta ik safina aur mera saahil
tum sanam - 3

socha na tha dil ki haalat deewanon si ho jaayegi
jab chalegi thandi hawa mujhko teri yaad aayegi
bhola bhala chehra tera
noor aaisa dekha nahi
itni shokhi achhi nahi tumko nazar lag jaayegi
phool ki khushbu chaandani harsu
jo uda de hosh sabke ho wahi jaadu
tum sanam - 3
dil ki dhadkan ho mera jeevan ho
mere khwaabon ki zameen par pehla saawan ho
tum sanam - 3
Logged
Sonu
Guest
«Reply #94 on: November 03, 2006, 05:04:50 AM »
ere bina main nahi mere bina tu nahi
khushbu bina phool nahi phuul bina khushbu nahi

tu to jaane na maine ki teri bandagi
tu sanam hai tu khuda hai maahiya
meri aankhon mein tera jalwaa hai pyaar tujhse kiya dil diyaa

dhadkanon ki jubaan sirf suntaa sadaa hai tu
lamhaa lamhaa yahaan mujhko hai teri justajuu sun le maahiyaa
meri saanson mein teri khushbuu hai kah rahaa hai yahi ye jiyaa
tu to jaane na ...

ye zameen aasmaan hain ye teri nishaaniyaan
sabke hothon pe hain o sirf teri kahaaniyaan sun le maahiyaa
har jagah har su hai tera jaadu paa ke tujhko jahaan paa liyaa
tu to jaane naa ...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #95 on: November 03, 2006, 05:10:27 AM »
(ek pal ki zindagi hain
ek pal ki yeh khushi hain
ek pal ki yeh hasi
yeh raahein aaisi hain ) - 2

ek pal....

(ek pal ki zindagi hain
ek pal ki yeh khushi hain
ek pal ki yeh hasi
yeh raahein aaisi hain ) - 2

ruh se aata hain dhua
jala hain kahi haath se kisika makan
tune kiya kya gunah
raha hain kabhi ret pe kisi ka nisha
sabhi ajnabi hain sabhi saath bhi hain
sabhi matlabi hain kya hain bewajah
(ek pal ki zindagi hain
ek pal ki yeh khushi hain
ek pal ki yeh hasi
yeh raahein aaisi hain ) - 3
Logged
Sonu
Guest
«Reply #96 on: November 03, 2006, 05:17:46 AM »
zinda hain
zindagi
(zinda hain
zindagi
kutch to de
jeene ke liye) - 2

(karvat badalti hain tu yahan wahan, yahan wahan
chal padte hain le chal tu jahan jahan, jahan jahan) - 2
aankhein hain, sukhi sukhi
dil kyon hain, rone ke liye
zinda hain
zindagi
kutch to de
jeene ke liye

(safed ke andar hain kaala kaala
muh nahi khola aankhonse bola bola) - 2
sona hain chandi hain
neendey nahi, sone ke liye
zinda hain
zindagi
kutch to de
jeene ke liye

(kyon kab jaane yeh kaise hua hua,hua hua
aage peetche hain sab dhua dhuan, dhuan dhuan) - 2
bhatakte they, bhatakte hain
andhero main, roshni ke liye
zinda hain
zindagi
kutch to de
jeene ke liye
Logged
Sonu
Guest
«Reply #97 on: November 03, 2006, 05:22:19 AM »
Mere Dil Mein Aaj Kya Hai Tu Kahe To Maein Bataa Doon
Teri Zulf Phir Sawaaroon Teri Maang Phir Sajaa Doon

Mujhe Devtaa Banaakar Teri Chaahaton Ne Puja
Mera Pyar Keh Raha Hai, Maein Tujhe Khuda Bana Doon
Teri Zulf Phir...

Koi Dhoondne Bhi Aaye To Hamein Na Dhoondh Paaye
Tu Mujhe Kahin Chhupa De, Maein Tujhe Kahin Chhupa Doon
Teri Zulf Phir...

Mere Baazuon Mein Aakar Tera Dard Chain Paaye
Tere Gesuon Mein Chhipkar, Maein Jahaan Ke Gham Bhula Doon
Teri Zulf Phir...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #98 on: November 03, 2006, 05:24:50 AM »
Dil ke tukade tukade kar ke
Muskurake chal diye
Jaate jaate ye to bataa jaa
Hum jiyenge kis ke liye

Chaand bhee hogaa
Taare bhee honge
Ful chaman mein pyaare bhee honge

Lekin humaraa dil naa lagega
Bheegegee jab jab raat suhaani
Aag lagayegi rut masataani

Toohee bataa koee kaise jiyegaa
Dil ke maaron ko dil ke maalik
Thhokar lagaakar chal diye

Ruthhe rahenge aap jo hum se
Mar jaayenge hum bhee kasam se
Soon le haath chhoodaane se pahale
Jaan humaaree
naam pe tere jaayegee yek din dilabar mere

Soch samaz le jaane se pahale
Yoo agar tum dil ke
Tamannaa ko mitaakar chal diye
Logged
Sonu
Guest
«Reply #99 on: November 03, 2006, 05:25:59 AM »
aaina mujse meri paheli si  surat mange-3
mere apne meri hone ki nishani maange
aaina mujse mari paheli si  surat mange

mein bhatakata hi raha dard ke viraane mein
wakt likhta raha chere pe har pal ka hishab
meri shorat meri diwangi ki nazar hui
pi gayi may ki bolte meri geeto ki kitab
aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
yeh sahar bhoola muje  mein bhi ishe bhool gaya
mere apne meri hone ki nishani mange
aaina mujse meri paheli surat mange

mera fan phir muje bazaar mein le aaya hai
yeh vo jagah ke jahan mero vafa bikate hain
baap bikate hain aur lakhte jigar bikate hain
kookh bikati hain dil bikate hain sar bikate hain
is badalti hui duniya ka khuda koi nahin
saste daamo pe  yahan roz khuda bikate hain

har kharidaar ko bazaar mein bikataa paya
hum kya paayenge kisi ne yahaan kya paayaa
mere aheshas mere phool kahin aur chale
bol pujaa meri bachi kahin (aur chale )-2.... aur chale
Logged
Sonu
Guest
«Reply #100 on: November 03, 2006, 05:27:08 AM »
jo dil pe guzarati hai dikha bhi nahi sakate
aur chaahe sunaana to suna bhi nahi sakate
jo dil pe guzarati hai (dikha bhi nahi sakate)  -2
aur chaahe sunaana to (suna bhi nahi sakate)  -2

honthon pe haansi aaye to (ro deteen hain aankhen)  -2
gam itane sahe hain ke (bhula bhi nahi sakate)  -2
jo dil pe guzarati hai ...

jalata hai jigar aur (maza leten hain shole)  -2
ye aag hai ulfat ki (bujha bhi nahi sakate)  -2
jo dil pe guzarati hai ...

aankhon mein chupaayen hain (muhabbat ke do aansoon)  -2
dar ye hai na kho jaayen (baha bhi nahi sakate)  -2
jo dil pe guzarati hai ...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #101 on: November 03, 2006, 05:28:16 AM »
saawan barase, tarase dil  kyon naa nikale ghar se dil
barakhaa mein bhee dil pyaasaa hai, ye pyaar naheen to kyaa hai
dekho kaise bekaraar hain bhare baajaar me
yaar yek yaar ke intajaar me

yek mohabbat kaa diwaanaa, dhoondhataa saa fire
koee chaahat kaa najaraanaa, dilarubaa ke liye
chhamachham chale paagal pawan  aaye majaa bheege balam
bheege balam  fisale kadam  barakhaa bahar me

yek haseenaa idhar dekho kaisee bechain hai
raastepar lage kaise, us ke do nain hai
sach poochheeye to mere yaar, donon ke dil beikhtiyaar
beikhtiyaar, hain pahalee baar, pahalee bahaar me
Logged
Sonu
Guest
«Reply #102 on: November 03, 2006, 05:30:00 AM »
(Afsana likh rahin hoon -2
Dil-e-beqaraar ka aankhon mein rang bharke tere intezaar ka) -2
Afsana likh rahin hoon

Jab tu nahin to kuch bhi nahin hai bahar mein, nahin hai bahar mein -2
Jee chahata hai moonh bhi, jee chahata hai moonh bhi na
Dekhoon bahar ka aankhon mein rang bharke tere intezaar ka
Afsana likh rahin hoon

Haasil hai yoon to mujhko zamaane ki daulate, zamaane ki daulate -2
Lekin naseeb layi, lekin naseeb layi hoon
Ek sogawaar ka aankhon mein rang bharke tere intezaar ka
Afsana likh rahin hoon

Aaja ke ab to aankh mein aansoon bhi aa gaye, aansoon bhi aa gaye 2
Sagar chalak utha, sagar chalak utha
Mere sabar-o-qaraar ka aankhon mein rang bharke tere intezaar ka
Afsana likh rahin hoon -2
Dil-e-beqaraar ka aankhon mein rang bharke tere intezaar ka
Logged
Sonu
Guest
«Reply #103 on: November 03, 2006, 05:36:06 AM »
huye  ham jhinke liye barbaad
woh hamko chaahe karen na yaad
jeevan bhar... jeevan bhar unki yaad mein
ham gaaye jaayenge, ham gaaye jaayenge

ek zamaana tha woh pal bhar ham se rahe naa door
ham se rahe naa door
ek zamaana hai ke huye hai milane se majboor
milane se majboor
rahe woh dil ka nagar aabaad
basi hai jis me kisi ki yaad
ham dil ko... ham dil ko, un ki yaad se
bahelaaye jaayenge, gaaye jaayenge

mein hun aisa deepak jis mein, naa baati naa tel, naa baati naa tel
bachapan beeta, bani muhobbat chaar dinon kaa khel
chaar dinon kaa khel
woh gham se laakh rahe aazaad
sune na dard bhari fariyaad
afsaana... afsaana unke pyaar kaa
ham gaaye jaayenge, gaaye jaayenge

huye ham jhin ke liye barbaad....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #104 on: November 03, 2006, 05:38:08 AM »
bharee duniyaan mein aakhir dil ko samazaane kahaa jaaye
mohabbat ho gayee jinako, wo diwaane kahaa jaaye

lage hain shammaa par pahare, jamaane kee nigaahon ke
jinhe jalane kee hasarat ho, wo diwaane kahaa jaaye

sunaanaa bhee jinhe mushkil  chhupaanaa bhee jinhe mushkil
jaraa toohee bataa aye dil  wo afasaane kahaa jaaye

najar mein ulazane dil mein hain aalam bekaraaree kaa
samaz mein kuchh naheen aataa, wo tufaane kahaa jaaye ?
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:11:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer