~I LIKE THESE SONGS~

by bhambra on July 25, 2005, 08:26:25 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 34
Print
Author  (Read 28420 times)
bhambra
Guest
ki: hmmmmm..., hmmm..., hmmmmmm...
Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat
kaun ho tum batlaao
der se kitni door khaDi ho
aur qarib aa jaao
(subah pe jis tarah, shaam kaa ho gumaaN) -2
zulfon mein ek chehraa, kuchh zaahir kuchh nihaar

*fast*
Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat
kaun ho tum batlaao
der se kitni door khaDi ho
aur qarib aa jaao
chorus: Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat
kaun ho tum batlaao
der se kitni door khaDi ho
aur qarib aa jaao

ki: (dhaDkanon ne suni, ik sadaa paaon ki) -2
(aur dil pe lahraai, aaNchal ki chhaaon si) -2
Khvaab ho tum yaa...
All: Khvaab ho tum yaa...

ki: (mil hi jaati ho tum, mujhko har moD pe) -2
(chal deti ho kitne, afsaane chhoD ke) -2
Khvaab ho tum yaa...
chorus: Khvaab ho tum yaa...
ki: (phir pukaaro mujhe, phir meraa naam lo) -2
(girtaa hooN phir apni, baahon mein thaam lo) -2
Khvaab ho tum yaa...
sab: (Khvaab ho tum yaa...) -2
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
Songs that I Like...... by natural in Songs & Lyrics « 1 2 ... 23 24 »
Songs of Love by P K Padhy in English
bhambra
Guest
«Reply #1 on: July 25, 2005, 08:27:20 AM »
Yeh laal rang kab mujhe chhodega - 2
Mera gham kab talak mera dil todega
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Kisi ka bhi liya naam to aayi yaad tu hi tu - 2
Yeh to pyaala sharaab ka ban gaya yeh lahoo
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Peene ki kasam daal di, peeoonga kis tarah - 2
Yeh na socha tune yaar main jeeoonga kis tarah
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Chala jaaoon kahin chhodke main tera yeh shaher, haan
Chala jaaoon kahin chhodke main tera yeh shaher
Na to yahan amrit mile peene ko na zaher
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Mera gham kab talak, ho mera dil todega
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Logged
bhambra
Guest
«Reply #2 on: July 25, 2005, 08:28:07 AM »
Chalte Chalte Mere Ye Geet Yaad Rakhna
Kabhi Alwida Na Kehna
Rote Hanste Bas Yoon Hi Tum Gungunate Rehna
Kabhi Alwida Na Kehna

Pyar Karte Karte Hum Tum Kahin Kho Jaayenge
In Hi Baharon Ke Aanchal Mein Thak Ke So Jaayenge
Sapnon Ko Phir Bhi Tum Yoon Hi Sajaate Rehna
Kabhi Alwida Na Kehna...

Beech Raah Mein Dilbar Bichhad Jayen Kahin Hum Agar
Aur Sooni Si Lage Tumhe Jeevan Ki Yeh Dagar
Hum Laut Aayenge Tum Yoon Hi Bulate Rehna
Kabhi Alwida Na Kehna...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #3 on: July 25, 2005, 08:28:41 AM »
ye jo mohabbat hai, ye unakaa hain kaam
mehaboob kaa jo bas lete huye naam
mar jaaye, mit jaaye, ho jaaye badanaam
rahane do, chhodo bhee jaane do yaar
hum naa karenge pyaar

toote agar saagar, nayaa saagar koee le le
mere khudaa dil se koee kisee ke n khele
dil toot jaaye to kyaa ho anjaam

aankhe kisee se naa ulaz jaaye main darataa hoo
yaaro haseenon kee galee se main gujarataa hoo
bas door hee se kar ke salaam
Logged
bhambra
Guest
«Reply #4 on: July 25, 2005, 08:29:44 AM »
ek ajanabii, hasiinaa se, yuun mulaakaat, ho gaii
phir kyaa huaa, ye naa puuchho, kuchh aisii baat, ho gaii
ek ajanabii ...

vo achaanak aa gaii, yuun nazar ke saamane
jaise nikal aayaa ghataa se chaand
chehare pe zulfen, bikharii huii thiin
din mein raat ho gaii
ek ajanabii ...

jaan\-e\-man jaan\-e\-jigar, hotaa main shaayar agar
kahataa gazal terii adaaon par
main ne ye kahaa to, mujhase kafaa vo
jaan\-e\-hayaat ho gaii
ek ajanabii ...

khuubasuurat baat ye, chaar pal kaa saath ye
saarii umar mujhako rahegaa yaad
main akelaa thaa magar, ban gaii vo hamasafar
vo mere saath ho gaii
ek ajanabii ...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #5 on: July 25, 2005, 08:30:17 AM »
Chithhi na koyi sandesh…
Ho… chithhi na koi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...

Ek aah bhari hogi hamne na suni hogi
Jaate jaate tumne awaaz to di hogi
Har waqt yehi hai gham, us waqt kaha the hum
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...

Har cheez pe ashkon se likha hai tumhaara naam
Ye raste ghar galiyaan tumhe kar na sake salaam
Hai dil mein reh gayi baat, jaldi se chhuda kar haath
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...

Ab yaadon ke kaante is dil mein chubhte hain
Na dard thhaherta hai na aanson rukte hain
Tumhe dhhundhh raha hai pyaar, hum kaise karein iqraar
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...
Ho kahan tum chale gaye -3
Logged
bhambra
Guest
«Reply #6 on: July 25, 2005, 08:30:48 AM »
zookeen zookeen see najar bekaraar hain ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hain ke naheen

too apane dil kee jawaan dhadakanon ko gin ke bataa
meree tarah teraa dil bekaraar hain naheen

wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hotee hain
us ik pal kaa tuze intajaar hain ke naheen

teree ummeed pe thhukaraa rahaa hoo duniyaan ko
tuze bhee apane pe ye ayetabaar hain ke naheen
Logged
bhambra
Guest
«Reply #7 on: July 25, 2005, 08:31:33 AM »
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya Gham Hai Jisko Chhupa Rahe Ho

Aankhon Mein Nami, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai Kya Dikha Rahe Ho

Ban Jayenge Zehar Peete Peete
Yeh Ashq Jo Piye Ja Rahe Ho

Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai
Tum Kyon Unhe Chhedhe Ja Rahe Ho

Rekhaon Ka Khel Hai Muqaddar
Rekhaon Se Maat Kha Rahe Ho

Tum Itna Jo...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #8 on: July 25, 2005, 08:32:14 AM »
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai

Na Baadlon Ke Chhaon Mein Na Chandni Ke Gaaon Mein
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Vaaste
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
Ye Eent-Pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Jo Chaandni Nahin To Kya Ye Roshni Hai Pyaar Ki
Dilon Ke Phool Khil Gaye To Fikr Kya Bahaar Ki
Hamaare Ghar Na Aayegi Kabhi Khushi Udhaar Ki
Hamaari Raahaton Ka Ghar Hamaari Chaahaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Yahan Mahak Wafaaon Ki Mohabbaton Ka Rang Hai
Ye Ghar Tumhara Khwaab Hai Ye Ghar Meri Umang Hai
Na Aarzoo Pe Qaid Hai Na Hausle Pe Jung Hai
Hamaare Hauslon Ka Ghar Hamaari Himmaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #9 on: July 25, 2005, 08:32:46 AM »
Tumko dekhaa to ye kayaal aayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa
tumako...

aaj phir dilane ek tamannaa kii - (2)
aaj phir dilako hamane samajhaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

tum chale jaaoge to soche nge - (2)
hamane kyaa khoyaa- hamane kyaa paayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

ham jise gunagunaa nahii n sakate - (2)
vaqt ne aisaa giit kyuu n gaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #10 on: July 25, 2005, 08:33:19 AM »
Hm mm mm mm, hm hm hm hm hm hm hm
(Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do) - 2
Ban jaao meet mere
Meri preet amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
(Na umr ki seema ho
Na janm ka ho bandhan) - 2
Jab pyaar kare koi
To dekhe keval mann
(Nayi reet chalaakar tum
Yeh reet amar kar do) - 2
(Aakaash ka soonapan
Mere tanha mann mein) - 2
Paayal chhankaati tum
Aa jaao jeevan mein
Saansein dekar apni
Sangeet amar kar do
Sangeet amar kar do
Mera geet amar kar do
(Jag ne chheena mujhse
Mujhe jo bhi laga pyaara) - 2
Sab jeeta kiye mujhse
Main har dam hi haara
(Tum haarke dil apna
Meri jeet amar kar do) - 2
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #11 on: July 25, 2005, 08:34:42 AM »
hmmmmmmmm

veryyyyy nice collection................Bhambra................ ........
Logged
bhambra
Guest
«Reply #12 on: July 25, 2005, 08:37:43 AM »
Thanx Khushi..........................Dekhte raho, aur bhi acche acche songs milenge. :wink:
Logged
bhambra
Guest
«Reply #13 on: July 25, 2005, 09:24:59 AM »
Mera dil jis dil pe phida hai - 2
ek dilruba hai 2
ha dilruba hai
ek dilruba hai
meri ulfat meri wafa hai -2
woh dilruba hai - 2
ha dilruba hai
woh dilruba hai
mera dil jis dil pe phida hai 2
ek dilruba hai  2
ha dilruba hai
ek dilruba hai..

ji karta hai teri julfo se khelu
ji karta hai tujhe bahon mein le lu
ji karta hai teri julfo se khelu
ji karta hai tujhe bahon mein le
ji karta hai teri ankhon ko chumu
ji karta hai tere ishq main jhumu

dil karta hai tera sapna sajalu
dil karta hai tujhe apna banalu
dil karta hai tujhe dil main chupalu
dil karta hai tujhe tujhse churalu
sabse dilkash jiski ada hai -2
ek dilruba hai -2
ha dilruba hai
ek dilruba hai

mera dil jis dil pe phida hai -2
ek dilruba hai -2
ha dilruba hai
ek dilruba hai
hai.....

maine sanam tujhe pyaar kiya hai
sirf tera intezaar kiya hai
maine sanam tujhe pyaar kiya hai
sirf tera intezaar kiya hai
mujhse nigahein kahin pher na lena
maine to tera aaitbaar kiya hai

hai tere khayaalo main khoya rahoonga
tere liye har dard sahoonga
mere liye tujhe bheja hai rab ne
saare jamaane se main yeh kahoonga
ho... jiska jaadoo mujhpe chala hai -2
woh dilruba hai - 2
ha dilruba hai
woh dilruba hai

mera dil jis dil pe phida hai - 2
ek dilruba hai 2
ha dilruba hai
ek dilruba hai
meri ulfat meri wafa hai -2
woh dilruba hai - 2
ha dilruba hai
woh dilruba hai


beautiful beatiful
you are so beautiful
ja..anam
Logged
bhambra
Guest
«Reply #14 on: July 25, 2005, 09:27:18 AM »
Kasto mazza hai lelaima
Ramailo o kaali odhali

Yeh hawayein gungunaein poochhe tu hai kahan
Tu hai phoolon mein kaliyon mein
Ya mere khwabon ki galiyon mein
Tu hai phoolon mein kaliyon mein
Ya mere khwabon ki galiyon mein
Yeh hawayein gungunaein poochhe tu hai kahan
Tu hai phoolon mein kaliyon mein
Ya mere khwabon ki galiyon mein

Dharti sajji ambar sajja jaise koi sapna
Isme ho ghar o humsafar tera mera apna
Dharti sajji ambar sajja jaise koi sapna
Isme ho ghar o humsafar tera mera apna
Suna tere bina khwabon ka yeh makaam
Aa bhi jao, aao na

Kasto mazza hai lelaima
Ramailo o kaali odhali
Yeh hawayein gungunaein poochhe tu hai kahan
Tu hai phoolon mein kaliyon mein
Ya mere khwabon ki galiyon mein

O re piya sun bole jiya dil mein yunhi rehna
Khushi mere gham saare tumse sanam tuhi dil ka gehna
Khwabon ki raahon par khushiyon ka karwan
Aa bhi jao, aao na

Kasto mazza hai lelaima
Ramailo o kaali odhali
Kasto mazza hai lelaima
Ramailo o kaali odhali
Yeh hawayein gungunaein poochhe tu hai kahan
Tu hai phoolon mein kaliyon mein
Ya mere khwabon ki galiyon mein
Yeh hawayein gungunaein poochhe tu hai kahan
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 34
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:17:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer