~I LIKE THESE SONGS~

by bhambra on July 25, 2005, 08:26:25 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 34
Print
Author  (Read 28288 times)
bhambra
Guest
«Reply #150 on: September 23, 2005, 06:10:26 AM »
Aye ho meri zindagi me tum bahar banke
Mere dil me yuhi rahena tum pyar pyar banke
Ankho me tum base ho sapne hazar banke
Mere dil me yuhi rahena tum pyar pyar banke

Mere sathi mere sajaan mere saath yuhi chalna
Badle ga raang zamana par tum nahi badalna
Meri maang yuhi bharna taare hazar ban ke
Aye ho meri zindagi me tum bahar banke
Mere dil me yuhi rahena tum pyar pyar banke

Agar me jo rooth jao to tum mujhe manana
Thama hai haath mera phir umar bhar nibhana
Mujhe chod ke na jana waade hazar karke
Aye ho meri zindagi me tum bahar banke
Mere dil me yuhi rahena tum pyar pyar banke
Ankho me tum base ho sapne hazar banke
Mere dil me yuhi rahena tum pyar pyar banke

Film : Raja Hindustani
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
Songs that I Like...... by natural in Songs & Lyrics « 1 2 ... 23 24 »
Songs of Love by P K Padhy in English
bhambra
Guest
«Reply #151 on: September 23, 2005, 06:13:35 AM »
Tere liye, ho tere liye - 5
Tera raaz hoon, hoon khaamoshi teri
Tere dil mein chhipta nishaan madhoshi teri
Ru ru ru ru ru, ru ru ru ru - 6
Tanha ho kabhi mujhko dhoondna
Duniya se nahin dil se poochhna
Saanson mein teri main jee raha, jee raha, jee raha
Lamha hoon nasheeli yaadon mein teri
Ru ru ru ru ru, ru ru ru ru - 6
Tere liye, ho tere liye - 6

Film : Tere Liye
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #152 on: September 26, 2005, 09:33:50 AM »
hye souvnik nice collection yaar ...... one added from me.... don't mind...

Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Keh rahi hai dil ki bekhudi
Bas tumhara intezaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Dhoonte hain hum tumko dar badar
Jaane kab kahan miloge humse humsafar
Dhoonte hain hum tumko dar badar
Jaane kab kahan miloge humse humsafar

Kaisi dooriyaan kaisa faasla
Hum yahaan pe aaye sun ke pyaar ki sada
Ab na tumse door honge hum
Tumpe dil kya jaan nisaar hai
Tumpe dil kya jaan nisaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Jaagte rahe hum to raat bhar
Ek lamha ek pal bhi soyi na nazar
Jaagte rahe hum to raat bhar
Ek lamha ek pal bhi soyi na nazar
Tum nigahon mein, tum khayal mein
Haal hai bura humara aise haal mein
Youn to humpe na karo sitam

Humko tumpe aitbaar hai
Humko tumpe aitbaar hai
Keh rahi hai dil ki bekhudi
Bas tumhara intezaar hai

Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Keh rahi hai dil ki bekhudi
Bas tumhara intezaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Film :- Barsaat
Logged
bhambra
Guest
«Reply #153 on: October 06, 2005, 09:15:36 AM »
Bichhde abhi to ham bas kal parson
Jioongi main kaise, is haal mein barson
Maut na aayi teri yaad kyon aayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Honthon pe aaye meri jaan duhai
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai

Ek to sajan mere paas nahin re
Duje milan di koi aas nahin re -2
Uspe yeh sawan aaya -2
Aag lagaayi, hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai

Toote zamaane tere haath nigode, haath nigode
Dil se dilon ke tune sheeshe tode, sheeshe tode
Hijr ki oonchi, hijr ki oonchi deevaar banaayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai

Baag ujad gaye, baag ujad gaye khilne se pehle
Panchhi bichhad gaye milne se pehle -2
Koyal ki kook, koyal ki kook ne hook uthaayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Honthon pe aaye meri jaan, duhai
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai


Film : Hero

And Milind, thanx for ur contribution, why should i mind yar? :wink:

BTW Barsaat movie k sab gaane accha hai....
Logged
bhambra
Guest
«Reply #154 on: October 06, 2005, 09:21:29 AM »
Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Teri Aashiqui Bhi Kya Rang Layi
Wafa Maine Ki Tune Ki Bewafai
Meri Bhool Thi Main Ye Kya Chahta Tha
Kisi Bewafa Se Wafa Chahta Tha
Tu Jaane Kya Bekaraari
Bedard Bemuravvat
Ja Sangdil Haseena
Dekhi Teri Mohabbat
Ab Maine Jaana Tujhko Beraham

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Sanam Tod Deta Mohabbat Ke Vaade
Agar Jaan Jaata Main Tere Iraade
Kise Maine Chaaha
Kahan Dil Lagaya
Main Naadaan Tha Kuchh Samajh Hi Nahin Paaya
Mere Aansuon Ke Moti
Aankhon Se Behta Paani
Mere Toote Dil Ke Tukde
Tere Pyaar Ki Nishaani
Kaisa Main Bhoolonga Tere Sitamb

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ik Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ik Dil Toot Gaya
Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Peelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum..

I just love this song....from Aashiqi.
Logged
bhambra
Guest
«Reply #155 on: October 06, 2005, 09:22:57 AM »
hum the jinake sahaare, wo huye naa humaare
doobee jab dil kee naiyyaa, saamane the kinaare

kyaa mohabbat ke waade, kyaa wafaa ke iraade
ret kee hain diwaare, jo bhee chaahe giraa de

hai sabhee kuchh jahaan me, dostee hain wafaa hain
apanee ye kamanaseebee, hum ko naa kuchh bhee milaa hain

yoo to duniyaan basegee, tanahaee fir bhee dasegee
jo jindagee mein kamee thee, wo kamee to rahegee


Film:Safar
Logged
bhambra
Guest
«Reply #156 on: October 06, 2005, 09:23:29 AM »
Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila

Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath
Kisko Phursat Hai Jo Thaame Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila
Humne To Jab...

Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge
Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila
Humne To Jab...

Film : Pyasa
Logged
bhambra
Guest
«Reply #157 on: October 06, 2005, 09:24:34 AM »
pyaar muz se jo kiyaa to kyaa paaogee
mere haalaat kee aandhee me, bikhar jaaogee

ranj aaur dard kee bastee kaa, main baashindaa hoo
ye to bas main hoo, ke is haal mein bhee jindaa hoo
khwaab kyoo dekhoo, kal jis pe main sharamindaa hoo
mai jo sharamindaa huaa, tum bhee to sharamaaogee

kyoo mere saath koee aaur pareshaan rahe
meree duniyaan hain jo wiraan to weeraan rahe
jindagee kaa ye safar tum pe to aasaan rahe
humasafar muz ko banaaogee to pachhataaogee

yek main kyaa abhee aayenge diwaane kitane
abhee gunjenge mohabbat ke taraane kitane
jindagee tum ko sunaayegee fasaane kitane
kyo samazatee ho muze bhool naheen paaogee


Film : Saath Saath
Logged
bhambra
Guest
«Reply #158 on: October 06, 2005, 09:26:34 AM »
teri galiyon mein na rakhein gay qadam aaaj kay baaad
tere milney ko na aayein gay sanam aaaaj kay baad
teri galiyon mein

tu mera milna .........
tu mera milna samjh lena ik sapna tha
tujh ko ab mil hi gaya jo tera apna tha
hum ko duniya mein samjhna na sanam aaaaj kay baad
teri galiyon mein


ghir kay aayen gi
ghir kay aayen gi ghatain barse sawan ki
tum to banhon mein rahogi apney sajan ki
galey hum gham ko lagain gay sanam aaaj kay baad

teri galiyon mein na rakhein gay qadam aaaj kay baad
tere milney ko na aayein gey sanam aaaaj kay baad
teri galiyon mein


This song......really touchy.... sad5 :cry: Bahot kuch yaad aa jata hai.... Usual Smile

Film : Hawas
Logged
Pooja
Guest
«Reply #159 on: October 06, 2005, 04:19:35 PM »
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi, shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi, zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi
         
Kaash aisa ho tere qadmo se, chun ke manzil chale aur kahi door kahi - 2
Tum gar saath ho, manzilo ki kami to nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi
         
Jee mein aata hai, tere daaman mein, sar jhuka ke ham rote rahe, rote rahe - 2
Teri bhi aankho mein, aansuo ki nami to nahi

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
         
Tum jo keh do to aaj ki raat, chaand doobega nahi, raat ko rok lo -2
Raat ki baat hai, aur zindagi baaki to nahi

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
Logged
bhambra
Guest
«Reply #160 on: October 07, 2005, 05:59:39 AM »
Nice song Pooja.....thanx for ur contribution.... Usual Smile

koee hotaa jis ko apanaa, hum apanaa kah lete yaaro
paas naheen to door hee hotaa, lekeen koee meraa apanaa

aakho mein neend naa hotee, aansoo hee tairate rahate
khwaabaane mein jaagate hum raat bhar
koee to gam apanaataa, koee to saathee hotaa

bhoolaa huaa koee waadaa, beetee huyee kuchh yaade
tanahaee doharaatee hain raatabhar
koee dilaasaa hotaa, koee to apanaa hotaa


Film : Mere Apne
Logged
bhambra
Guest
«Reply #161 on: October 07, 2005, 06:01:15 AM »
Hm hm hm hm
Hm hm hm, hm hm hm

Tum pukar lo, tumhara intezaar hai, tum pukar lo
Khwaab chun rahi hai raat beqarar hai
Tumhara intezaar hai, tum pukar lo

(Honth pe liye hue dil ki baat ham
Jaagte rahenge aur kitni raat ham) -2
Muqtasar si baat hai tum se pyaar hai
Tumhara intezaar hai, tum pukar lo

(Dil bahal to jaayega is khayal se
Haal mil gaya tumhara apne haal se) -2
Raat ye qaraar ki beqarar hai
Tumhara intezaar hai

Film : Khamoshi
Logged
bhambra
Guest
«Reply #162 on: October 07, 2005, 06:03:19 AM »
Nafrat Ki Duniya Ko Chhodke
Pyar Ki Duniya Mein Khush Rehna Mere Yaar
Is Jhoot Ki Nagri Se Tod Ke Naata Ja Mere Pyaar
Amar Rahe Tera Pyaar
Khush Rehna Mere Yaar

Jab Jaanwar Koi Insaan Ko Mare
Kehte Hain Duniya Mein Wehshi Use Sare
Ek Jaanwar Ki Jaan Aaj Insaano Ne Li Hai
Chup Kyon Hai Sansaar
Khush Rehna Mere Yaar

Bas Aakhiri Sun Le Yeh Mel Hai Apna
Bas Khatm Ab Saathi Yeh Khel Hai Apna
Ab Yaad Mein Teri Beet Jaayenge Ro Ro Ke
Jeevan Ke Din Chaar
Khush Rehna Mere Yaar

Film : Haati Mera Saathi
Logged
bhambra
Guest
«Reply #163 on: October 07, 2005, 06:04:32 AM »
Pani pani re khaare paani re
Pani pani re khaare paani re
Nainon mein bhar jaaye
Neendein khaali kar jaaye

Pani pani re khaare paani re
Pani pani re khaare paani re
Nainon mein bhar jaaye
Neendein khaali kar jaaye

Pani pani in pahaadon ke gharaanon se
Utar jaana
Dhuaan dhuaan kuchh vaadiyaan bhi aayengi
Guzar jaana
Ik gaaon re ga mera ghar aayega
Jaan re ghar jaaye
Neendein khaali kar jaaye

Ye rudaali jaisi raatein gum raaton mein
Bita dena
Meri aankhon mein jo bolni ke paakhi ko
Uda dena
Barfon mein lage mausam pighle
Mausam hare kar jaaye
Neendein khaali kar jaaye

Pani pani re khaare paani re
Pani pani re khaare paani re
Nainon mein bhar jaaye
Neendein khaali kar jaaye

Film : Maachis (Very touchy song sad5 )
Logged
bhambra
Guest
«Reply #164 on: October 08, 2005, 06:34:34 AM »
Ae chaand teri
Ae chaand teri chandni ki kasam
Mere paas bhi ek chaand hai
Tujhme to phir bhi daag hai -2
Mera chaand to bedaag hai
Teri dooriyon ki kasam,
mera chaand mere paas hai
Ae chaand teri
Ae chaand teri chandni ki kasam

Kiranon se bhari subaha ho,
taaro se bhari shaam - 2
Maujo mein tera chehraa,
phoolon mein tera naam - 2
Mere mehboob sanam, tu mera ehsaas hai
Ae chaand teri chandni ki kasam

--FEMALE--
Aa ha aa ha....mm hmmm...
Tareef karo na itni tum,
saansen hai ruki jaati - 2
Aati hai sharam si mujhko,
aankhen hai jhuki jaati - 2
Meri dhadkanon mein sanam,
har ghadhi teri pyaas hai

--MALE--
Ae chaand teri
Ae chaand teri chandni ki kasam
Mere paas bhi ek chaand hai
Tujhme to phir bhi daag hai - 2
Mera chaand to bedaag hai
Teri dooriyon ki kasam,
mera chaand mere paas hai
Ae...ohhh...ohh...

Film : Tera jadoo chal gaya.
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 34
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:25:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer