~I LIKE THESE SONGS~

by bhambra on July 25, 2005, 08:26:25 AM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 34
Print
Author  (Read 28615 times)
bhambra
Guest
«Reply #225 on: January 12, 2006, 10:11:19 AM »
Yash:
Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke
Ek parbat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain
Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi
Aankhein malte huwe dekhti hai, laher dar laher
Mauj dar mauj, behti huwi zindagi
Jaise har ek pal nayi hai, aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi
Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai, door jaana bhi hai, aur ye ehsaas hai
Waqt jharne sa behta huwa, jaa raha hai, ye kehta huwa
Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain  

Lata:
Aa… haa ho ho… aa haa ho ho… hmm… hmm…  

Sonu:
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai  

Sonu:
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Kyun fiza, rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chaandni, din mein kyun, chhaa rahi hai
Zindagi, kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai ye silsila
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai  
 
Lata:
Ha ha ha ha aa…aa…, hmm.., aa ha ha ha…  

Sonu:
Jahaan tak bhi jaayein nigaahein, baraste hain jaise ujaale -2
Saji aaj kyun hain ye raahein, khile phool kyun hain niraale
Khushbuwein, kaisi ye beh rahi hain
Dhadkanein jaane kya keh rahi hai
Mere dil bata ye kahaani hai kya
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai  

Lata:
Aa... aa...  

Sonu:
Ye kiska hai chehra jisse main, har ek phool mein dekhta hoon -2
Ye kiski hai awaaz jisko, na sun ke bhi main sun raha hoon
Kaisi ye aahatein aa rahi hain, kaise ye khwaab dikhla rahi hain
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai  

Lata:
Aa… aa… aa… aa aa.... aa...

Film : Veer-Jaara
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
Songs that I Like...... by natural in Songs & Lyrics « 1 2 ... 23 24 »
Songs of Love by P K Padhy in English
bhambra
Guest
«Reply #226 on: January 12, 2006, 10:12:55 AM »
zindagi zindagi kya tera roop hai - 2
tu kabhi chaanv hain aur kabhi dhoop hain
zindagi zindagi kya tera roop hai - 2
tu kabhi chaanv hain aur kabhi dhoop hain
zindagi zindagi

(kabhi lagti hain tu meri saheli
kabhi lagti hain tu mujhko paheli) - 2
kabhi lagti hain bheed mein gungunati
kabhi lagti hain gum sum akeli
zindagi zindagi kya tera roop hai - 2
tu kabhi chaanv hain aur kabhi dhoop hain
zindagi zindagi

(tu hi meri dhadkan tu hi saansein
tu hi mere din hain tu hi meri raatein) - 2
tujhe dekhne ko tarasti hain aankein
tujhe dekhana ab meri bebasi hain
zindagi zindagi kya tera roop hai - 2
tu kabhi chaanv hain aur kabhi dhoop hain
zindagi zindagi

Album : G , Singer : Ganesh Hegde
Logged
bhambra
Guest
«Reply #227 on: January 13, 2006, 10:33:30 AM »
Jaa sajna, tujhko bhula diya - 2
Vaada kiya hasaane ka mujhko rula diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya - 2
Todke saari kasmon ko tune daga diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa sajna, tujhko bhula diya
Patthar hai tera dil dil nahin
Is pyaar ke tu kaabil nahin
Teri ragon mein behti jafa
Tu kya karega mujhse vafa
Mujhko di hai tune voh gham
Bhooloongi na main tere sitam
Kya hai teri haqeeqat yeh tune bata diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya - 2
Vaada kiya hasaane ka mujhko rula diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa re jaa sajna, tujhko bhula diya

--MALE--
Mm, kaisi haalat hai meri, aa tujhe main bataaoon
Kya kahaani hai meri, aa tujhe main sunaaoon
Kaisi haalat hai meri, aa tujhe main bataaoon
Kya kahaani hai meri, aa tujhe main sunaaoon
Aa aa aa aa aa aa, aa aa aa aa, aa aa aa aa aa, aa aa aa
Aa aa aa aa aa, aa aa aa aa aa
Sab ki nazar mein yeh pyaar tha
Main raaste ki deewaar tha
Kisne yahan pe ki hai khata
Kisko mili hai uski saza
Sach kya hai yeh jab jaanegi tu
Meri vafa ko maanegi tu
Maine teri nafrat ko dil se laga liya

--FEMALE--
Jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa re jaa sajna, tujhko bhula diya
Vaada kiya hasaane ka mujhko
Vaada kiya hasaane ka mujhko rula diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa re jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya

Film : Raja
Logged
bhambra
Guest
«Reply #228 on: January 13, 2006, 10:35:01 AM »
--FEMALE--
Jab neend na aaye, aah
Jab yaad sataaye, aah aah aah
Jab dil ghabaraaye, aah aah aah aah, aah
Jab gham tadpaaye
Isse kya kahiye, mere rab tu bata


--CHORUS--
Ishq hai, ishq hai, ishq hai, ishq hai


--FEMALE--
Ishq haar bhi hai, ishq jeet bhi hai
Dil ka dushman bhi hai, dil ka meet bhi hai


--CHORUS--
Ishq hai, ishq hai, ishq hai, ishq hai


--FEMALE--
Ishq haar bhi hai, ishq jeet bhi hai

(Kabhi ishq banke shama jagmagaaye
Kabhi banke gham ka andhera yeh chhaaye) - 2
Ishq hai geet bhi, ishq hai raag bhi
Dil jalaa de magar ishq voh aag bhi
Aag lagaaye, hosh udaaye
Dil ko sataaye, jaan gawaaye
Ek deewangi hai isse kya kahoon


--CHORUS--
Ishq hai, ishq hai, haan yehi ishq hai


--FEMALE--
Ishq haar bhi hai, ishq jeet bhi hai
Dil ka dushman bhi hai, dil ka meet bhi hai
Ishq hai, ishq hai, haan yehi ishq hai

(Kabhi ishq dil mein khushi leke aaye
Kabhi ishq aansu in aankhon mein laaye) - 2
Ishq mein hai khushi, ishq mein dard bhi
Iske sau roop hai, ishq hai zindagi
Khwaab dikhaaye, phir chaukaaye
Dil ko dukhaaye, chain churaaye
Ishq aakhir hai kya, main bhi hairaan hoon


--CHORUS--
Ishq hai, ishq hai, haan yehi ishq hai


--FEMALE--
Jab neend na aaye, jab yaad sataaye
Jab dil ghabaraaye, jab gham tadpaaye


--CHORUS--
Aah aah aah, aah aah, aah aah...


--FEMALE--
(Aah aah, aah aah, aah aah, aah aah, aah, ho)

Film : Ishq
Logged
bhambra
Guest
«Reply #229 on: January 19, 2006, 06:49:34 AM »
--FEMALE--
(Jaa sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezaar) - 2

--MALE--
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaoonga

--FEMALE--
Jaa sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezaar
Jaa magar mudke tu dekh le ek baar
Main karoongi tera intezaar

--MALE--
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaoonga
Tumse hi thi meri zindagi, lekin yeh kya hua - 2
Tum bin bhi main jee raha hoon
Main kaisa hoon bewafa

--FEMALE--
Jaa sanam aayegi phir lautke yeh bahaar
Main karoongi tera intezaar
Haan sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezaar

--MALE--
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaoonga
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Shaayad kabhi kahin tumhe meri mile khabar - 2
Kar le na yaad bas mujhe
Mumkin ho yeh agar

--FEMALE--
Jaa sanam tere saath meri jaan hai mere yaar
Main karoongi tera intezaar
Jaa sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezaar

--MALE--
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaoonga

Film : Na tum jaano na hum
Logged
bhambra
Guest
«Reply #230 on: January 19, 2006, 06:51:20 AM »
Jo Raah Chuni Tune, Usi Raah Pe Raahi Chalte Jaana Re
Ho Kitni Bhi Lambi Raat, Diya Ban Jalte Jaana Re
Kabhi Ped Ka Saaya Ped Ke Kaam Na Aaya
Seva Mein Sabhi Ki Usne Janam Bitaaya
Koi Kitne Bhi Phal Tode, Use To Hai Phalte Jaana Re
Usi Raah Pe Raahi Chalte Jaana Re

Jeevan Ke Safar Mein Aise Bhi Mod Hain Aate
Jahan Chal Dete Hain Apne Bhi Tod Ke Naate
Kahin Dheeraj Choot Na Jaye, Tu Dekh Sambhalte Jaana Re
Usi Raah Pe Raahi Chalte Jaana Re

Tere Pyar Ki Maala Kahin Jo Toot Bhi Jaye
Janmon Ka Saathi Kabhi Jo Choot Bhi Jaye
De Dekar Jhoothi Aas Tu Khud Ko Chhalte Jaana Re
Usi Raah Pe Raahi Chalte Jaana Re

Teri Apni Kahani Yeh Darpan Bol Raha Hai
Bheegi Aankh Ka Paani, Hakikat Khol Raha Hai
Jis Rang Mein Dhaale Waqt, Musafir Dhalte Jaana Re
Usi Raah Pe Raahi Chalte Jaana Re

Film : Tapasya
Logged
bhambra
Guest
«Reply #231 on: January 19, 2006, 06:52:29 AM »
Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rungroop
Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop
Yeh Jeevan Hai...
Yeh Na Socho Isme Apni Haar Hai Ke Jeet Hai
Ise Apna Lo Jo Bhi Jeevan Ki Reet Hai
Yeh Zid Chodo, Bandhan Yuh Na Todo
Har Pal Ek Darpan Hai
Yeh Jeevan Hai...

Dhan Se Na Duniya Se, Ghar Se Na Dwar Se
Saason Ki Dor Bandhi Hai, Preetam Ke Pyar Se
Duniya Choote, Par Na Toote, Yeh Aisa Bandhan Hai
Yeh Jeevan Hai...

Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rungroop
Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop
Yeh Jeevan Hai...


Film : Piya ka ghar
Logged
bhambra
Guest
«Reply #232 on: January 19, 2006, 06:54:31 AM »
This is very nice.....

Ghungroo ki tarah
Bajta hi raha hoon mein
Ghungroo ki tarah
Bajta hi raha hoon mein
Kabhi iis pagh me
Kabhi oos pagh me
Bandhta hi raha hoon mein
Ghungroo ki tarah
Bajta hi raha hoon mein

Kabhi toot gaya
Kabhi toda gaya
Sau baar mujhe
Phir joda gaya
Kabhi toot gaya
Kabhi toda gaya
Sau baar mujhe
Phir joda gaya
Yuhi loot loot ke aur meet meet ke
Banta hi raha hoon mein
Ghungroo ki tarah
Bajta hi raha hoon mein

Mein karta raha
Auron ki kahi
Meri baat mere
Mann hi me rahi
Mein karta raha
Auron ki kahi
Meri baat mere
Mann hi me rahi
Kabhi mandir me
Kabhi mehfil me
Sajta hi raha hoon mein
Ghungroo ki tarah
Bajta hi raha hoon mein

Apnon me rahe
Ya gairon me
Ghungroo ki jagah
To hai pairon me
Apnon me rahe
Ya gairon me
Ghungroo ki jagah
To hai pairon me
Phir kaisa gila
Jag se jo mila
Sahta hi raha hoon mein
Ghungroo ki tarah
Bajta hi raha hoon mein
Ghungroo ki tarah
Bajta hi raha hoon mein
Bajta hi raha hoon mein

Film : Chor machay shor
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #233 on: January 20, 2006, 08:51:56 PM »
i m adding one more this is my fav8 song.. aur is baar competition me mai ye gana gane wala hoooo...

From :- Rules - Pyaar ka Superhit Formula

It's Love That I Need
It's Only Love That I Need
It's Love That I Need
It's Only Love That I Need

Kabhi Phool Denaa Manaane Ke Lene
Kabhi Door Rahanaa Sataane Ke Liye
Aur Kabhi Kabhi Khaamosh Baithe Baanhon Ke Sahaare
Sooraj Bujhaa Na Saagar Kinaare
Phir Raaton Ko Chaand Ugaanaa
Vaise Pyaar Ke Naam Pe To Yaaro Sab Huaa Hai
Ab Ye Pyaar Bhi Ho Jaaye Bas Itni Duaa Hai
Kabhi Raahon Mein Phirte Rahnaa
Binaa Kahe Bas Yun Sunte Rahnaa
Kaanon Mein Uski Saanson Se Jalte Huey Pighalte Rahnaa
It's Only Love I Want To Hold On To
And For Ever Make It Stay
It's Only Love I Want To Hold On To
And For Ever Make It Stay

It's Only It's Only Love
It's Only It's Only Love
O Oh Yeah
It's Only It's Only Love
It's Only It's Only Love
It's Only Love
It's Only It's Only Love
It's Only It's Only Love
Janmon Ke Vaade Har Baar The Kasam
Kabhi Jaan Kahnaa Kabhi Kahnaa Sanam
Aur Sau Sau Baar Ye Kahnaa
Hamein Pyaar Hai Tumhi Se
Le Aayeinge Ham Taare Zamin Pe
Jo Kahoge To Jaan Bhi Deinge
Vaise Pyaar Ke Naam Pe To Yaaro Sab Huaa Hai
Ab Ye Pyaar Bhi Ho Jaaye Bas Itni Duaa Hai
In Lamhon Ko Rokne Ki Vo Naakaam Koshishein Karnaa
Jo Guzrein Hain Saath Unko Phir Yaadein Banaa Ke Rakhnaa
It's Only Love I Want To Hold On To
And For Ever Make It Stay
It's Only Love I Want To Hold On To
And For Ever Make It Stay
It's Only Love I Want To Hold On To
And For Ever Make It Stay
It's Only Love I Want To Hold On To
And For Ever Make It Stay
Hold On To
Hold On To
And For Ever Make It Stay
It's Only Love I Want To Hold On To
And For Ever Make It Stay
Logged
bhambra
Guest
«Reply #234 on: January 21, 2006, 05:59:20 AM »
Nice song mili, maine kabhi suna nahi...

too naheen to jindagee mein aaur kyaa rah jaayegaa
door tak tanahaeeyon kaa silasilaa rah jaayegaa

dard kee saaree tahe aaur saare gujare haadase
sab dhuwaan ho jaayenge, yek waakiyaa rah jaayegaa

yoo bhee hogaa wo muze dil se bhoolaa degaa magar
ye bhee hogaa khud usee mein yek khalaa rah jaayegaa

daayare inkaar ke ikaraar kee saragoshiyaan
ye agar toote kabhee to faasalaa rah jaayegaa

Film : Arth
Logged
bhambra
Guest
«Reply #235 on: January 21, 2006, 06:03:30 AM »
chupana bhi nahin aata
jatana bhi nahin aata
humen tumse mohabbat hai
batana bhi nahi aata

hatheli par tumhara naam
likhte hai mitate hai )-2
tumhi se pyaar karte hai
tumhi se phir kyon chupate hai
juban pe baat hain lekin sunana hi nahin aata
humen tumse .....

mohabbat kaise karte hai
koi to humko samjhaye )-2
kahin aisa na ho ki
pyaar bin umra kat jaaye
tum se milne ka koi bahan bhi nahi aata
humen tumse mohabbat hai ...

chori chori chupke chupke
tumko dekha karte hai)-2
haale dil sunane se
na jane kyon darte hai
kitna pagal dil hai mera manana bhi nahi aata
hume tumse ...


Film : Baazigar
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #236 on: January 21, 2006, 10:32:00 AM »
one more my fav8 song....

from - Rules - pyaar ka superhit formula

Ho O Ho O Ho O Ho O
Chhodo Na Mujhe Yun Beqaraar Saa
Kar Bhi Do Izhaar Tum Apne Pyaar Kaa
Tumhaare Dil Ki Hai Ye Manzil Mera Deewana Dil
Bolo Tum Bolo
Ho O Ho O

Kar Doge Inkaar To Jee Na Paayenge
Jo Kar Doge Iqraar To Mar Hi Jaayenge
Tumhaare Dil Ki Hai Ye Manzil Mera Deewana Dil
Bolo Tum Bolo
Ho O Ho O Yeah

Itne Paraaye Jo Ho Tum Pahle Kabhi Bhi Na The
Mere Jahaan Mein Ghamon Ki Ho
Tum To Vajah Hi Nahin The
Dil Se Mere Tum Khud Ko Nikaalo
Yaa Phir Mujhe Hi Apnaa Banaa Lo
Bolo Tum Bolo
Ho O Ho O

Ho O Ho O Ho O Ho O
Khoyee Khoyee Zindagi Ki
Raahon Mein Ab Aa Bhi Jaao
Jo Tum Nahin Aanaa Chaaho Mujhko Hi Paas Bulaao
Kab Tak Jiyenge Aise Bataao
Mujhko Nahin Tum Aazmaao
Bolo Tum Bolo
O O Ho O
Chhodo Na Mujhe Yun Beqaraar Saa
Kar Bhi Do Izhaar Tum Apne Pyaar Kaa
Tumhaare Dil Ki Hai Ye Manzil Mera Deewana Dil
Bolo Tum Bolo
Ho O Ho O
Ho O Ho O Ho O Ho O
Logged
mehek
Guest
«Reply #237 on: January 21, 2006, 05:13:07 PM »
Kehna hi kya ye nein ik anjaan se jo mile
Chalne lagi mohabbat ke jaise ye silsile
Armaan naye aise dil mein khile
Jinko kabhi main na jaanoon
Vo humse hum unse kabhi na mile
Kaise mile dil na jaanoon
Ab kya karein kya naam lein
Kaise unhein main pukaroon

Kehna hi kya ye nein ik anjaan se jo mile
Chalne lagi mohabbat ke jaise ye silsile
Armaan naye aise dil mein khile
Jinko kabhi main na jaanoon
Vo humse hum unse kabhi na mile
Kaise mile dil na jaanoon
Ab kya karein kya naam lein
Kaise unhein main pukaroon

Pehli hi nazar mein kuchh hum kuchh tum
Ho jaate hain yoon gum
Neinon se barse rimjhim rimjhim
Humpe pyaar ka saawan
Sharam thodi thodi humko aaye to nazrein jhuk jaayein
Sitamb thoda thoda humpe shokh hwaa bhi kar jaayein
Aisi chale aanchal uthay dil mein ek toofan uthay
Hum to lut gaye khade hi khade

Kehna hi kya ye nein ik anjaan se jo mile
Chalne lagi mohabbat ke jaise ye silsile
Armaan naye aise dil mein khile
Jinko kabhi main na jaanoon
Vo humse hum unse kabhi na mile
Kaise mile dil na jaanoon
Ab kya karein kya naam lein
Kaise unhein main pukaroon

Gumsum gumsum gupchup gumsum gupuchup
Gumsum gumsum gupchup gumsum gupuchup ..
Hulchul hulchul ho gayi teri honth hai kyon chup
Hulchul hulchul ho gayi teri baithe hain gupchup
Pyaare pyaare chehre ne karte hain ishaara
Dekha teri aankhon ne hai sapna koi pyaara
Humse gori na tu sharma kehde humse zara
Humse gori na tu sharma kehde humse zara

In honthon na maanga sargam sargam
Tu aur tera hi pyaar hai
Aaj dhoondhe hai jisko hardam hardam
Tu aur tera hi pyaar hai
Mehfil mein bhi tanha hai dil aise dil aise
Tujhko kho na de darrta hai ye aise ye aise
Aaj mili aisi khushi jhoom uthi duniya ye meri
Tumko paaya to paayi zindagi

Kehna hi kya ye nein ik anjaan se jo mile
Chalne lagi mohabbat ke jaise ye silsile
Armaan naye aise dil mein khile
Jinko kabhi main na jaanoon
Vo humse hum unse kabhi na mile
Kaise mile dil na jaanoon
Ab kya karein kya naam lein
Kaise unhein main pukaroon

Kehna hi kya ye nein ik anjaan se jo mile
Chalne lagi mohabbat ke jaise ye silsile
Kehna hi kya

[kehna hi kya... BOMBAY..]

hmmmm... kaaash... !!!
Logged
mehek
Guest
«Reply #238 on: January 21, 2006, 05:24:19 PM »
Kya hua tujhe
Bechain dil ho raha
Kyoon hua bhala
Mujhko nahin kuch pata
Aisa bhi kya ho gaya re
Jaane mujhe kya hua re
Dhadkanein badhi
Dhadkan to ruk si gayi
Saanson ka kya
Saansein bhi bas mein nahin
Arre re re yeh kya hua re
Voh to nahin ho gaya re
Kya hua tujhe
Kitna mushkil chhupaana
Usse bhi mushkil bataana
Dil ki baaton ko lekin
Apnon se na chhupaana
Mm, kehna chaahoon main lekin
Kuch kaha bhi na jaaye
Rog tumko laga jo
Usse rab hi bachaaye
Iski dava
Iski dava kuch nahin
Ab hoga kya
Arre mujhko pata hi nahin
Arre re re yeh kya hua re
Jaane mujhe kya hua re
Kya hua tujhe
Hey ae ae
Aa aa aa aa aa, aa aa aa
Aa aa aa aa aa
Dil ki baaton ko dilbar
Jo na humse kahoge
Dekhna zindagi bhar
Tum tadapte rahoge
Kaunsa mod hai yeh
Kaisi yeh bekhudi hai
Main kahan hoon mujhe to
Kuch khabar hi nahin hai
Kuch to khabar lo tum zara apne dil ke
Dil to mera ab paas mere nahin
Tera hua, kya karoon re
Arre re re pyaar ho gaya re
Tujhse hi pyaar ho gaya re - 2
Tujhse hi pyaar ho gaya re - 2
Usual Smile
Logged
bhambra
Guest
«Reply #239 on: January 23, 2006, 11:06:06 AM »
(Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho) - 2
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho
(Mere haalaat aise hai
Ke main kuch kar nahin sakta) - 2
Tadapta hai yeh dil lekin
Main aahein bhar nahin sakta
Zakhm hai hara hara aur tum
Chot khaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho
(Zamaane mein bhala kaise
Mohabbat log karte hain) - 2
Vafa ke naam ki ab to
Shikaayat log karte hain
Aag hai bujhi bujhi aur tum
Lau jalaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho
(Kabhi jo khwaab dekha to
Mili parchhaaiyaan mujhko) - 2
Mujhe mehfil ki khwaahish thi
Mili tanhaaiyaan mujhko
Har taraf dhuaan dhuaan aur tum
Aashiyaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho
Mm hm hm hm hm hm hm hm hm hm - 2

Film : Tum se accha kaun hay..
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 34
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 01:27:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer