~I LIKE THESE SONGS~

by bhambra on July 25, 2005, 08:26:25 AM
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 34
Print
Author  (Read 28294 times)
Shikha12
Guest
«Reply #285 on: July 12, 2006, 03:13:51 AM »
Nice Selection of Songs...[/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
Songs that I Like...... by natural in Songs & Lyrics « 1 2 ... 23 24 »
Songs of Love by P K Padhy in English
ranjana
Guest
«Reply #286 on: July 12, 2006, 04:32:12 AM »
Quote from: "mili_genie"
Kasam ki kasam hai kasam se
Humko pyar hai sirf tum se
Ab ye pyar na hoga phir hum se
Kasam ki kasam hai kasam se
Kuch bhi karle ye duniya wale
Darenge na ab hum in se
Kasam ki kasam hai kasam se
Mar jayenge ab ji na payenge
Door hokar tum se
Kasam ki kasam hai kasam se
Chahte hai tumhe hum jaane kab se
Aa bhi jaao na satao ab humko
Ke kuch kar jaayenge door rahkar hum tumse
Kasam ki kasam hai kasam se
Bhool jaaoge humain jis din se
Maan kar tumhe apni takdir
Karte rahenge pyar zindagi bhar tum se
Kasam ki kasam hai kasam se
Humko pyar hai sirf tum se
Ab ye pyar na hoga phir hum se
Kasam ki kasam hai kasam se

From - Mai Prem ki Diwani hooo..(should be)



i like this song very much  :D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #287 on: July 12, 2006, 12:25:31 PM »
Mujhko Dafnaa Kar Wo Jab Wapas Jaayeinge,..
Saath Rakeebon Ke Wo Jashn Manaayeinge,...[2]
Meri Maut Ka Jashn Manaa Kar,..
Mere Pyaar Ki Khaak Udaa Kar,..
Apni Adat Se Wo Baaz Na Aayeinge,..
Aaj Rakeebon Ka Wo Dil Behlaayeinge,..[2].

Hai Jag ki Reet Pooraani,..
Mile Pyaar mein Zakahm Nishaani,..[2]
Us Bewafaa ne Mujhe Barbaad Hi Kar Daala,..
Mujhko Zindagi Se Azaad Hi Kar Daala,..
Mujhko Dafnaa Kar Wo Jab Wapas Jaayeinge,..
Saath Rakeebon ke Wo Jashn Manaayeinge,..[2]

Dil Mera Toot Gaya Hai,..
Bedardi Rooth Gaya Hai,..[2]
Laash Pe Rone Waalon Zara Unko Manaa Laao,..
Aakhri Baar Unki Mujhe Shakal Dikhaa Jaao,..
Mujhko Dafnaa Kar Wo Jab Wapas Jaayeinge,..
Saath Rakeebon ke Wo Jashn Manaayeinge.,[2]

Jab Dori Saans Ki Tooti,..
Tab Sari Duniya Roothi,..[2]
Mere Hothon Pe Naam Uska Hi Thaa Yaaron,..
Laash Pe Nahi Aaya Wo Badaa Bewafaa Yaaron,..
Mujhko Dafna Kar Wo Jab Wapas Jaayeinge,..
Saath Rakeebon ke Wo Jashn Manaayeinge,..[2],.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #288 on: July 13, 2006, 10:08:31 PM »
Kal chaudvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai - 2
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi
Hum bhi vahin maujood the - 2
Humse bhi sab poochha kiye
Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye
Hum has diye, hum chup rahe - 2
Manzoor tha parda tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Is shaher mein kisse mile - 2
Humse to chhooti mehfilein
Is shaher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein
Har shaks tera naam le - 2
Har shaks deewana tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Koonche ko tere chhodkar - 2
Jogi hi ban jaaye magar
Koonche ko tere chhodkar - 2
Jogi hi ban jaaye magar
Jungle tere, parbat tere - 2
Basti teri, sahera tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Bedard sunni ho to chal - 2
Kehta hai kya achchhi ghazal
Bedard sunni ho to chal
Kehta hai kya achchhi ghazal
Aashiq tera, ruswaan tera - 2
Shaayar tera, inshaa tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai - 2
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2

by-jagjit singh JI :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #289 on: July 14, 2006, 03:54:56 AM »
aadhaa hai cha.ndramaa raat aadhii
rah na jaae terii merii baat aadhii, mulaaqaat aadhii
aadhaa hai cha.ndramaa...

aas kab tak rahegii adhuurii
pyaas hogii nahii.n kyaa ye puurii
pyaasaa-pyaasaa gagan pyaasaa-pyaasaa chaman
pyaase taaro.n kii bhii hai baaraat aadhii
aadhaa hai cha.ndramaa...

sur aadhaa hai shyaam ne baa.Ndhaa
rahaa raadhaa kaa pyaar bhii aadhaa
nain aadhe khile ho.nTh aadhe mile
rahii pal me.n milan kii vo baat aadhii
aadhaa hai cha.ndramaa...

piyaa aadhii hai pyaar kii bhaashhaa
aadhii rahane do man kii abhilaashhaa
aadhe chhalake nayan aadhe chhalake nayan
aadhii palako.n kii bhii hai barasaat aadhii
aadhaa hai cha.ndramaa...
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #290 on: July 14, 2006, 09:15:19 AM »
nice one Ranju......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #291 on: July 14, 2006, 01:50:49 PM »
shukriya vikas....



baat nikalegii to phir duur talak jaayegii

log bevajah udaasii kaa sabab pUchhe.nge
ye bhii puuchhe.nge ke tum itanii pareshaa.n kyU.N ho
u.ngaliyaa.n uThe.ngii suukhe hue baalo.n kii taraf
ek nazar dekhe.nge guzare hue saalo.n kii taraf
chuu.Diyo.n par bhii kaI ta.nz kiye jaaye.nge
kaa.Npate haatho.n pe bhii fikare kase jaaye.nge

log zaalim hai.n har ek baat kaa taanaa de.nge
baato.n baato.n me.n meraa zikr bhii le aaye.nge - 2
unakii baato.n kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa
varanaa chehare kii taasur se samajh jaaye.nge
chaahe kuchh bhI ho savaalaat naa karanaa unase
mere baare me.n koI baat na karanaa unase

baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #292 on: July 14, 2006, 03:59:52 PM »
Har Ghadi Badal Rahi Hai Roop Zindagi,..
Chanv Hai Kabhi Kabhi Hai Dhoop Zindagi,..
Har Pal Yahan Jee Bhar Jeeyo,..
Jo Hai Samaan Kal Ho Naa Ho,..

Ho Chaahe Jo Tumhe Poore Dil Se,..
Milta Hai Wo Mushkil Se,..
Aisa To Koi Kahin Hai,..
Par Wo Hi Sabse Haseen Hai,..
Us Hath Ko tum Thaam Lo,..
Wo Meharbaan Kal Ho Naa Ho,.
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #293 on: July 15, 2006, 07:00:34 AM »
I love--

Hoshwalon ko khabart kya...
bekhudi kya cheez hai
Ishq kije phir samjhiye
kya cheez hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #294 on: July 17, 2006, 06:05:00 AM »
Dekha Ek Khwaab To Yeh Silsile Hue
Door Tak Nigahon Mein Hain Gul Khile Hue
Yeh Gila Hai Aapki Nigahon Se
Phool Bhi Ho Darmiyaan To Faasle Hue
Dekha Ek Khwaab...

Meri Saanson Mein Basi Khushboo Teri
Yeh Tere Pyaar Ki Hai Jadugari
Teri Aawaz Hai Havaaon Mein
Pyar Ka Rang Hai Phizaaon
Dhadkanon Mein Tere Geet Hain Mile Hue
Kya Kahun Ke Sharm Se Hain Lub Sile Hue
Dekha Ek Khwaab...

Mera Dil Hai Teri Panaahon
Aa Chhupa Loon Tujhe Maein Baahon Mein
Teri Tasveer Hai Nigaahon Mein
Door Tak Roshni Hai Raahon Mein
Kal Agar Na Roshni Ke Kaafile Hue
Pyar Ke Hazaar Deep Hain Jale Hue
Dekha Ek Khwaab...
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #295 on: July 18, 2006, 06:15:20 AM »
wow..Ranjana I just love this song....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #296 on: July 18, 2006, 12:12:58 PM »
Mere Samne Waali Khidki Mein,.
Ek Chand Ka Tukda Rehta Hai,.
Afsos Ye Hain Ke wo Humse,
Kuch Ukhda Ukhda Rehta Hai,..

Jis Roz Se Dekha Hai Usko,.
Hum Shama Jalaana Bhool Gaye.,.
Dil Tham Ke Aise Baithe Hain,.
Kahin Aana Jaana Bhool Gaye,,,
Ab Aath Pehar In aankhon Mein,.
Wo Chanchal Mukhda Rehta Hai,...
Logged
riya_shah21
Guest
«Reply #297 on: July 21, 2006, 05:19:02 AM »

--FEMALE--
(Jaa sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezaar) - 2

--MALE--
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaoonga

--FEMALE--
Jaa sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezaar
Jaa magar mudke tu dekh le ek baar
Main karoongi tera intezaar

--MALE--
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaoonga
Tumse hi thi meri zindagi, lekin yeh kya hua - 2
Tum bin bhi main jee raha hoon
Main kaisa hoon bewafa

--FEMALE--
Jaa sanam aayegi phir lautke yeh bahaar
Main karoongi tera intezaar
Haan sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezaar

--MALE--
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaoonga
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Shaayad kabhi kahin tumhe meri mile khabar - 2
Kar le na yaad bas mujhe
Mumkin ho yeh agar

--FEMALE--
Jaa sanam tere saath meri jaan hai mere yaar
Main karoongi tera intezaar
Jaa sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezaar

--MALE--
Main itni door chala jaaoonga
Tujhe yaad bhi na aaoonga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaoonga
Logged
riya_shah21
Guest
«Reply #298 on: July 21, 2006, 06:11:14 AM »

--FEMALE--
Aah, aah, aah, aah aah
Aah aah, aah
(Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai) - 2
Aye dil, koi pehchaana nahin
Kisi ne yeh maana nahin
Kisi ne yeh jaana nahin
Kisi ko bataana nahin
Dard chhupa hai kahan
Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai

--MALE--
O, hey, eh
Tune mujhse vafaa nahin ki
Tujhko kaise vafaa milegi
Tune mujhko dard diya hai
Tujhko kaise davaa milegi

--FEMALE--
Seene mein uthte hai armaan aise
Dariya mein aate hai toofan jaise
Kabhi kabhi khud hi maajhi
Kashti ko dubota hai
Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai

--MALE--
Kaante chunkar tera daaman
Phoolon se main bhar jaaoonga
Isse badi sazaa kya hogi
Maaf tujhe main kar jaaoonga
Aa, eh aah

--FEMALE--
Hogi kisi ko pehchaan kaise
Pyaar mein hote hain purbaan kaise
Humko yeh maaloom na tha
Pyaar bhi ek samjhauta hai
Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai
Aye dil, koi pehchaana nahin
Kisi ne yeh maana nahin
Kisi ne yeh jaana nahin
Kisi ko bataana nahin
Dard chhupa hai kahan

--MALE--
(Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai) - 2
Logged
riya_shah21
Guest
«Reply #299 on: July 21, 2006, 06:18:00 AM »

Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar

Meri Subahon Ko Teri Shaamon Ka
Meri Shaamon Ko Tere Vaadon Ka
Meri Raaton Ko Tere Khaabon Ka
Meri Neendon Ko Teri Baahon Ka
Mere Jazbon Ko Teri Chaahon Ka
Bahaki-Bahaki Si Kuchh Khataaon Ka
Khoobasoorat Se Kuchh Gunaahon Ka
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar

Apane Dilabar Ka Apane Hamadam Ka Apane Jaanam Ka Intazaar
Surkh Phoolon Se Mahaka Rasata Hai
Dil To Mera Magar Zard Patta Hai
Paas Aankhon Ke Sabz Manjar Hai
Dil Ka Mausam To Phir Bhi Banjar Hai
Mahaki-Mahaki Si Kuchh Hawaaon Ka
Bheegi-Bheegi Si Kuchh Ghataaon Ka
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar
Apane Baadal Ka Apani Baarish Ka Apane Saawan Ka Intazaar
Apani Dhadakan Ka Apani Saanson Ka Apane Jeene Ka Intazaar

Koi Badali Kabhi Is Tarah Aayegi
Pyaas Sadiyon Ki Pal Men Bujh Jaayegi
Tujhako Lauta Ke Meri Aagosh Men
Dekhana Vaqt Ki Nabz Tham Jaaegi
Aisa Hone Ke Kuchh Duaaon Ka
Umr Bhar Jo Milen Un Panaahon Ka
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar
Tere Aane Ka Tujhako Paane Ka Phir Na Jaane Ka Intazaar
Tere Aane Ka Tujhako Paane Ka Phir Na Jaane Ka Intazaar
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar
Logged
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 34
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 07:23:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer