~I LIKE THESE SONGS~

by bhambra on July 25, 2005, 08:26:25 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 34
Print
Author  (Read 28866 times)
isha_verma7
Guest
«Reply #90 on: August 01, 2005, 05:28:21 AM »
Quote from: "bhambra"
I like this song too ......

Film : ROJA

Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi

Tere honthon pe hain husn ki bijliyaan
Tere gaalon pe hain zulf ki badliyaan
Tere baalon ki khushboo se mehke chaman
Sangmarmar ke jaisa ye tera badan

Meri jaanejaan ye hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna

Ye bandhan hai pyaar ka dekho toote na sajni
Ye janmon ka saath hai dekho chhoote na sajna
Tere aanchal ki chhaaon ke tale meri manzil mujhe mil gayi
Teri palkhon ki chaaon ke tale mohaabat mujhe mil gayi

Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna

Jee karta hai saajna dil mein tumko bitha loon
Aa masti ki raat mein apna tumko bana loon
Uthne lage hain toofan kya meer seene mein ay sanam
Tumhein chaahoonga dilon jaan se meri jaanejaan teri kasam

Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
 
Meri jaanejaan ye hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna


Thanks and i LOVE both of these songs from ROJA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
Songs that I Like...... by natural in Songs & Lyrics « 1 2 ... 23 24 »
Songs of Love by P K Padhy in English
bhambra
Guest
«Reply #91 on: August 01, 2005, 05:29:28 AM »
U r most welcome dr............................................... ..................................... :D
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #92 on: August 01, 2005, 08:26:38 AM »
all nice songs bhambra..................................achhi collection hai...........
Logged
bhambra
Guest
«Reply #93 on: August 01, 2005, 08:34:28 AM »
Thanx Khushi, Tumhe acchi lagi :wink: keep watching........................... :D
Logged
bhambra
Guest
«Reply #94 on: August 02, 2005, 10:07:46 AM »
aye kaash ke hum  hosh mein ab aane naa paaye
bas nagmein tere pyaar ke, gaate hee jaaye

khilatee, mahakatee ye julfon kee shaam
hasate, khanakate ye hothhon ke jaam
aa zoom ke saath uthhaye, bas nagmein tere pyaar ke ..

ho bas agar tum humaare sanam
hum to sitaaron pe rakh de kadam
saaraa jahaan bhool jaaye, bas nagmein tere pyaar ke ..


Film : Kabhi haan kabhi naa
Logged
bhambra
Guest
«Reply #95 on: August 02, 2005, 10:09:14 AM »
Kyon Chalti Hai Pavan
Kyon Jhume Hai Gagan
Kyon Machalta Hai Mann
Na Tum Jano Na Hum
Na Tum Jano Na Hum

Kyon Aati Hai Bahaar
Kyon Lutta Hai Karaar
Kyon Hota Hai Pyaar
Na Tum Jano Na Hum
Na Tum Jano Na Hum

Ye Madhoshiyaan Ye Tanhaiyaan
Tasabur Mein Hai Kiski Parchhaiyaan
Ye Bhiga Samaan Umangein Jawaan
Mujhe Ishq Le Ja Raha Hai Kahaan
Kyon Gum Hai Har Disha
Kyon Hota Hai Nasha
Kyon Aata Hai Mazaa
Na Tum Jano Na Hum
Na Tum Jano Na Hum

Dhadakta Bhi Hai Tadapta Bhi Hai
Ye Dil Kyon Achanak Bahakta Bhi Hai
Mahakta Bhi Hai
Chahakta Bhi Hai
Ye Dil Kya Vafa Ko Samajhta Bhi Hai
Kyon Milti Hain Nazar
Kyon Hota Hai Asar
Kyon Hoti Hai Sahar
Na Tum Jano Na Hum
Na Tum Jano Na Hum

Kyon Chalti Hai Pavan
Kyon Jhume Hai Gagan
Kyon Machalta Hai Mann
Na Tum Jano Na Hum

Kyon Aati Hai Bahaar
Kyon Lutta Hai Karaar
Kyon Hota Hai Pyaar
Na Tum Jano Na Hum
Na Tum Jano Na Hum

Film : Kaho na pyar hai.
Logged
bhambra
Guest
«Reply #96 on: August 02, 2005, 10:10:01 AM »
Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Oh oonche oonche parvat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Oonche oonche parvat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa pyaasa  ambar jab choomta hai saagar ko
Pyaar se kasne ko baahon mein basne ko
Dil mera lalchaaye koi to aa jaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Oh thande thande jhonke jab baalon ko sehlayein
Tapti tapti kirnen jab gaalon ko chhoo jayein
Thande thande jhonke jab baalon ko sehlayein
Tapti tapti kirnen jab gaalon ko chhoo jayein
Saanson ki garmi ko haathon ki narmi ko
Mera mann tarsaaye koi to chhoo jhaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Hey chham chham karta saawan boondon ke baan chalaaye
Satrangi barsaaton mein jab tan man bhiga jaaye
Chham chham karta saawan boondon ke baan chalaaye
Satrangi barsaaton mein jab tan man bhiga jaaye
Pyaar mein nahaane ko doob hi jaane ko
Dil mera tadpaaye khwaab jaga jaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
La la la..


Film : Kalakar
Logged
bhambra
Guest
«Reply #97 on: August 02, 2005, 10:11:57 AM »
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Aakar mujhe tum tham lo
Manzil teri dekhe rasta
Mud ke zara ab dekh lo
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha


Bichhde bhi ham jo kabhi raston main
To sang sang rahungi sada
Kadmon ki aawaaz sun ke chalungi
Tumhe dhoond loongi sada
Bhooli mohabbat ki yeh khushbuye hain
Hawaon main phaili hui
Chhu kar mujhe aaj mahsoon kar lo
vo yadein meri unchhui
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha

Aaa.. Aaa..
Vadon ke dhagon main hum tum bandhe hain
Zara dor tum tham lo
Bahon main aise pighal jane do mujhko
Aise mera naam lo
Main vo shama hoon jo roshan tumhe karke
khud to pighal jaungi
Subah ka sooraj tumhare liye hai
Main hoon raat dhal jaungi
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Mud ke zara ab dekh lo
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha

Film : Kishna Cottage
Logged
bhambra
Guest
«Reply #98 on: August 02, 2005, 10:18:56 AM »
Pyaar Hum Ko Bhi Hai
Pyaar Tum Ko Bhi Hai
To Yeh Kya Silsile Ho Gaye
Bewafa Hum Nahin
Bewafa Tum Nahin
To Kyon Itne Gile Ho Gaye
Chalte Chalte Kaise Yeh Faasle Ho Gaye
Kya Pata Kahan Hum Chale
Pyaar Hum Ko Bhi Hai
Pyaar Tum Ko Bhi Hai
To Yeh Kya Silsile Ho Gaye
Bewafa Hum Nahin
Bewafa Tum Nahin
To Kyon Itne Gile Ho Gaye
Chalte Chalte Kaise Yeh Faasle Ho Gaye
Kya Pata Kahan Hum Chale

Pyaar Hum Ko Bhi Hai
Pyaar Tum Ko Bhi Hai
To Yeh Kya Silsile Ho Gaye
Bewafa Hum Nahin
Bewafa Tum Nahin
To Kyon Itne Gile Ho Gaye
Chalte Chalte Kaise Yeh Faasle Ho Gaye
Kya Pata Kahan Hum Chale

Duniya Jo Pooche To Kya Hum Kahen
Koi Yeh Humko Samjaade
Thes Lagi To Pal Mein Toot Gaye
Sheshe Ke The Kya Sab Vaade
Jaata Hai Koi Kyon Sapno Ko Thukraake
Payega Yeh Dil Kya Kisi Ko Batake
Chalte Chalte Raakh Hum Bin Jale Ho Gaye
Bujh Gaye Diye Pyaar Ke
Pyaar Hum Ko Bhi Hai
Pyaar Tum Ko Bhi Hai
To Yeh Kya Silsile Ho Gaye

Doob Gaya Hai Kaise Dard Mein Dil
Aansoon Bhari Hai Ab Aankhen
Tanhaiyon Ki Jo Ruth Aa Gayi
Ujdi Hui Hai Sab Raahein
Socha Tha Paayenge Dono Ek Manzil Ko
Raahein Jo Badli To Tumhi Batado
Chalte Chalte Gum Kahan Kaple Ho Gaye
Kho Gaye Kahan Raste
Pyaar Hum Ko Bhi Hai
Pyaar Tum Ko Bhi Hai
To Yeh Kya Silsile Ho Gaye
Bewafa Hum Nahin
Bewafa Tum Nahin
To Kyon Itne Gile Ho Gaye
Chalte Chalte Kaise Yeh Faasle Ho Gaye
Kya Pata Kahan Hum Chale
Kya Pata Kahan Hum Chale


Film : Chalte Chalte
Logged
bhambra
Guest
«Reply #99 on: August 02, 2005, 10:20:26 AM »
aaeene ke sau tookaden, kar ke hum ne dekhe hai
yek mein bhee tanahaa the, sau mein bhee akele hai

jo banaa yek saathee, wo bhee hum se chhootaa hai
bewafaa naheen jab wo, fir kyo hum se ruthhaa hai
khoyee khoyee aakhon mein, aasuon ke mele hai

us kaa haal kyaa hogaa, yahee gam sataataa hai
nind bhee naheen aatee, dard badhataa jaataa hai
jindagee kee raahon mein, log hum se khele hai

har taraf ujaalaa hai, dil mein yek andheraa hai
saamane kab aayegaa, kyo chhupaa saweraa hai
meraa dil jigar dekho, kitane dard zele hai

Film : Maa
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #100 on: August 02, 2005, 10:52:05 AM »
Quote from: "bhambra"
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Aakar mujhe tum tham lo
Manzil teri dekhe rasta
Mud ke zara ab dekh lo
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha


Bichhde bhi ham jo kabhi raston main
To sang sang rahungi sada
Kadmon ki aawaaz sun ke chalungi
Tumhe dhoond loongi sada
Bhooli mohabbat ki yeh khushbuye hain
Hawaon main phaili hui
Chhu kar mujhe aaj mahsoon kar lo
vo yadein meri unchhui
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha

Aaa.. Aaa..
Vadon ke dhagon main hum tum bandhe hain
Zara dor tum tham lo
Bahon main aise pighal jane do mujhko
Aise mera naam lo
Main vo shama hoon jo roshan tumhe karke
khud to pighal jaungi
Subah ka sooraj tumhare liye hai
Main hoon raat dhal jaungi
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Mud ke zara ab dekh lo
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha

Film : Kishna Cottage


wow Bhambra...........ncie song...........mine fav. too................
Logged
bhambra
Guest
«Reply #101 on: August 02, 2005, 10:55:00 AM »
I know k hum dono ki psand ek hai :wink: ................................................. .........BTW Thanx
Logged
bhambra
Guest
«Reply #102 on: August 03, 2005, 09:52:47 AM »
(Dil toh udne laga, ye kya hone laga -2
Ye kaun sa mod hai_
Dheere dheere, chori chori
kaise kaise meethhe meethhe sapne sanjota hai dil) -2
Dil toh udne laga, ye kya hone laga -2

Lehre meri aaghosh mein, kaise rahoon main hosh mein
Dhadkan mein hai, kaisi jalan, bas mein nahin, kyun mera man
Naya naya dard hai, nayi nayi pyaas hai
Naye armaan hai, naye ehsaas hai
Ye kaun sa mod hai
Dheere dheere, chori chori, kaise kaise meethhe meethhe sapne sanjota hai dil
Dil toh udne laga, ye kya hone laga -2

Halchal machi kyun aaj hai, kaisi meri parvaaz hai
Paagal hawa rangeen safar, manzil se hoon main bekhabar
Jawaan jawaan ye sama, huwa woh badgumaan
Labon ke darmiyaan, khuli khuli daastaan
Ye kaun sa mod hai
Dheere dheere, chori chori, kaise kaise meethhe meethhe sapne sanjota hai dil
Dil toh udne laga, ye kya hone laga -2
Ye kaun sa mod hai
Dheere dheere, chori chori, kaise kaise meethhe meethhe sapne sanjota hai dil
Dil toh udne laga, ye kya hone laga -4

Film : Tum
Logged
bhambra
Guest
«Reply #103 on: August 03, 2005, 09:54:14 AM »
Ooo...
Ek sooraj nikla tha
Kuchh paara pighla tha
Ek aandhi aayi thi
Jab dil se aah nikli thi
Dil se re

Ek sooraj nikla tha
Kuchh paara pighla tha
Ek aandhi aayi thi
Jab dil se aah nikli thi
Dil se re

Dil se re dil se re
Dil se re dil se re
Dil se re
Dil to aakhir dil hai na
meethi si mushkil hai na
Piya piya
Piya piya piya na piya
Jiya jiya jiya na jiya
Dil se re

Dil se re dil se re
Dil se re dil se re
Dil se re
Dil to aakhir dil hai na
meethi si mushkil hai na
Piya piya
Piya piya piya na piya
Jiya jiya jiya na jiya
Dil se re

Ooo....
Do patte patjhad ke pedon se utrey thay
Pedon ki shaakhon se utrey thay
Phir utne mausam guzre vo patte do bechaare
Phir ugne ki chaahat mein vo sehraon se guzre
Vo patte dil dil dil thay
Vo dil thay dil dil dil thay
Dil hai to phir dard hoga
dard hai to dil bhi hoga
Mausam guzarte rehte hain
Dil hai to phir dard hoga
dard hai to dil bhi hoga
Mausam guzarte rehte hain
Dil se dil se dil se dil se
dil se re

Dil to aakhir dil hai na
meethi si mushkil hai na
Piya piya
Piya piya piya na piya
Jiya jiya jiya na jiya
Dil se re

Ooo...
Bandhan hai rishton mein
kaaton ki taarein hain
Patthar ke darwaaze deewaarein
Belein phir bhi ugti hain
aur guchchhe bhi khilte hain
Aur chalte hain afsaane
kirdaar bhi milte hain
Vo rishtey dil dil dil thay
Vo dil thay dil dil dil thay
Gam dil ke pak chulbule hain
paani ke ye bulbule hain
Bujhte hain bate rehte hain
Gam dil ke pak chulbule hain
paani ke ye bulbule hain
Bujhte hain bate rehte hain
Dil se dil se dil se dil se
dil se re
Dil se re dil se re
Dil se re dil se re

Dil to aakhir dil hai na
meethi si mushkil hai na
Piya piya
Dil to aakhir dil hai na
meethi si mushkil hai na
Piya piya piya na piya
Piya piya
Jiya jiya jiya na jiya
Piya piya piya na piya
Dil se re
Jiya jiya jiya na jiya
Dil se re
Dil se re dil se re
Dil se re.

Film : Dil Se
Logged
bhambra
Guest
«Reply #104 on: August 03, 2005, 09:55:22 AM »
Ho paakhi paakhi pardesi
Paakhi paakhi pardesi
Paakhi paakhi pardesi
Paakhi paakhi pardesi

Paakhi paakhi pardesi
Paakhi paakhi pardesi

Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se
Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se
Main yahan tukdon mein jee raha hoon
Main yahan tukdon mein jee raha hoon
Tu kahin tukdone mein jeen rahi hai

Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se
Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se

Roz roz resham si hawa aate jaate kehti hai bata
Resham si hawa kehti hai bata
Vo jo doodh dhuli masoom kali
Vo hai kahan kahan hai
Vo roshni kahan hai vo jaansi kahan hai
Main adhoora tu adhoori jee rahein hain

Paakhi paakhi pardesi
Paakhi paakhi pardesi
Paakhi paakhi pardesi
Paakhi paakhi pardesi

Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se
Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se
Main yahan tukdon mein jee raha hoon
Main yahan tukdon mein jee raha hoon
Tu kahin tukdone mein jeen rahi hai
Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se


Tu to nahin hai lekin teri muskurahatein hain
Chehra nahin hai par teri aahatein hain
Tu hai kahan kahan hai
Tera nishaan kahan hai
Mera jahan kahan hai
Main adhoora tu adhoori jee rahein hain

Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se
Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se
Main yahan tukdon mein jee raha hoon
Main yahan tukdon mein jee raha hoon
Tu kahin tukdone mein jeen rahi hai
Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se
Aye ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se.

Film : Dil Se
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 34
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:24:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer