~*~*~*~Mere Dil ke Kareeb~*~*~*~

by pankshivam on November 29, 2008, 05:42:32 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 32
Print
Author  (Read 29833 times)
pankshivam
Guest
«Reply #135 on: January 10, 2009, 11:09:54 PM »
Zindagi kii naa toote ladi
pyaar kar le ghadhi do ghadhi
lambi lambi umariya ko chodo
pyaar ki ik ghadhi hai badi

un aankhon ka hasna bhi kya
jin aankhon mein paani nahin
yeh jawaani, jawaani nahin
jiski koi kahaani nahin
aansoo hai khushi ki ladi

aaj se apna waada raha
ham milenge har ik mod pe
dil ki duniya basaayenge ham
gam ki duniya kaa ghar chodke
jeene marne kii kisko padii

laakh gahra ho sagar tou kya
pyaar se kuch bhi gahra nahin
dil kii diwaani har mauj pe
aasmaano kaa pahra nahin
toot jaayegi har hathkadi

pyaar kar le ghadhi do ghadhi


Film: "Kranti"

Shukriya Deepatiji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Mere Dil Ke Kareeb~ by pankshivam in Shairi - E - Zindagi
~*~Mere Dil Ke Kareeb~*~ by pankshivam in SMS , mobile & JOKES « 1 2 3  All »
Mere dil ke kareeb... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Kareeb Aur Kareeb Aayiye "Khwahish" by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mera Chand Mere Kareeb Aaya Hae- R.K.Rastogi by Ram Krishan Rastogi in Shayari -e- Husn
Deepati
Guest
«Reply #136 on: January 10, 2009, 11:11:26 PM »

Shukriya Deeapatiji

Welcome, Pank Ji Usual Smile
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #137 on: January 10, 2009, 11:14:50 PM »
Eh meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahi
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan meri jaan
Eh meri zohra-jabeen…

Ye shokhiyaan ye baankpan,
Jo tujh mein hai kahi nahi
Dilo ko jeetne ka fan, jo tujh mein hai kahi nahi
Main teri…
Main teri aankho mein paa gaya do jahaan
Eh meri zohra-jabeen…

Tu meethhe bol jaan-e-man,
Jo muskuraake bol de
To dhadhkano mein aaj bhi,
Sharaabi rang ghol de
Oh sanam…
Oh sanam main tera aashiq-e-jaawida
Eh meri zohra-jabeen…

----------Waqt-------------
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #138 on: January 10, 2009, 11:37:54 PM »
Movie=Babul
Wada Raha

Jab duaaen maine rab se maangi
Tab jaake tu mila
Baat lenge milke dono saathi
Shikwa ho gila

Wada raha wada raha wada raha
Pyaar ka
Wada raha wada raha wada raha
Pyaar ka

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #139 on: January 11, 2009, 12:20:33 PM »
Woh Bheege Pal
Movie: Manorama

(Woh Bheege Pal, Woh Bheegi Yaadein
Woh Tanha Raatein, Woh Teri Baatein, Bhula Nahi, Bhula Nahi) - 2
(Saari Duniya Ka Maine Pyaar Paaya Tere Kadmo Mein
Ji Gaya Main Tere Sang Sadiyon Ko Chand Lamho Mein) - 2
Woh Bheege Pal, Woh Bheegi Yaadein
Woh Tanha Raatein, Woh Teri Baatein, Bhula Nahi, Bhula Nahi

(Tu Aarjoo, Tu Justjoo, Tere Siva Kuchh Nahi
Din Dophar Abb Har Sehar Khalati Hai Teri Kami) - 2
Gaahein-Bagaahein Meri Saanse Bhi Mujhko Lagati Hai Jaise Saja
Woh Bheege Pal, Woh Bheegi Yaadein
Woh Tanha Raatein, Woh Teri Baatein, Bhula Nahi, Bhula Nahi

(Ai Jindagi Tere Bina Jeena Nahi Hai Mujhe
Sajada Karuun, Rab Se Kahuun, De De Duwa Mein Tujhe) - 2
Mehfus Rakhloon Tujhe Apane Dil Mein, Mere Dil Ki Hai Yeh Sada
Woh Bheege Pal, Woh Bheegi Yaadein
Woh Tanha Raatein, Woh Teri Baatein, Bhula Nahi, Bhula Nahi
Saari Duniya Ka Maine Pyaar Paaya Tere Kadmo Mein
Ji Gaya Main Tere Sang Sadiyon Ko Chan Lamho Mein
Woh Bheege Pal, Woh Bheegi Yaadein
Woh Tanha Raatein, Woh Teri Baatein, Bhula Nahi, Bhula Nahi
~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #140 on: January 12, 2009, 07:33:12 PM »
Zindagi ke Safar Mein
Movie:Aapki Kasam

zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate
zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate

phool khilte hain,
log milte hain
phool khilte hain,
log milte hain magar
patjhad main jo phool
murjha jate hain
woh baharon ke aane se khilte nahin
kuchh log ek roz jo bichad jate hain
woj hazaron ke aane se milte nahin
umr bhar chahe koi pukara kare unka naam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate

aap roka hai
kya bharosa hai
aap roka hai kya bharosa hai suno
doston shak dosti ka dushman hai
apne dil me ise ghar babane na do
agar tadapna pade yaad me zindagi
rok lo roothkar unko jaane na do
baad me pyaar ke chahe bhejo hazaroon salaam
woh phir nahi aate
woh phir nahi aate

subaah aate hai
raat jaate hai
subaah aate hai
raat jaate hai yuhi
waqt chalta hi rehta hai rukta nahi
ek pal me ye aage nikal jaata hai
aadmi theek se dekh paata nahin
aur parde pe manzar badal jaata hai
ek baar chale jaate hai jo din raat subaah shaam
woh phir nahi aate
woh phir nahi aate

zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #141 on: January 12, 2009, 07:38:51 PM »

Zindagi Ye Safar
Movie:Dil Kabaddi

Zindagi ye safar mein hai
Kat raha hai rasta
Zindagi ye safar mein hai
Kat raha hai rasta

Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda
Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda

Zindagi ye safar mein hai
Kat raha hai rasta
Zindagi ye safar mein hai
Kat raha hai rasta

Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda
Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda

Hmm Hmm…
Hmm Hmm…
Aansuon ki dhoop mein
Koi chal raha idhar
Aansuon ki dhoop mein
Koi chal raha idhar
Kehkahon ki chhanv mein
Koi chal raha udhar
Koi kisi se gum hua
Koi kisi ko mil gaya
Koi kisi se gum hua
Koi kisi ko mil gaya

Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda
Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda

sa ni, ni sa ni sa ni sa
sa re re re
sa ni, ni sa ni sa ni sa
sa re re re
sa ni, ni sa ni sa ni sa
sa re re re

ni pa ni pa ni pa ni pa ni sa
sa ni, ni sa ni sa ni sa
sa re re re
sa ni, ni sa ni sa ni sa
sa re re re
sa ni, ni sa ni sa ni sa
sa re re re
sa re re pa re re
ma re re sa

Hain milan ki chahatein
Faasle hain darmiyaan
Hain milan ki chahatein
Faasle hain darmiyaan
Dhadkane to ek hai
Phir bhi hai ye dooriyaan

Koi kisi ko hai chahata
Koi kisi se hai khafa
Koi kisi ko hai chahata
Koi kisi se hai khafa

Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda
Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda

Zindagi ye safar mein hai
Kat raha hai rasta
Zindagi ye safar mein hai
Kat raha hai rasta

Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda
Hum safar to hai magar
Manzilein hain juda juda

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #142 on: January 12, 2009, 07:55:23 PM »

Zindagi Ka Safar
Movie:Safar

Zindagi Ka Safar Hai Ye Kaisa Safar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin
Hai Ye Kaisi Dagar Chalte Hain Sab Magar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

Zindagi Ko Bahut Pyaar Hamne Kiya
Maut Se Bhi Mohabbat Nibhaaenge Ham
Rote Rote Zamaane Mein Aaye Magar
Hanste Hanste Zamaane Se Jaaenge Ham
Jaaenge Par Kidhar Hai Kise Ye Khabar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

Aise Jeevan Bhi Hain Jo Jiye Hi Nahin
Jinko Jeene Se Pehle Hi Maut Aa Gayi
Phool Aise Bhi Hain Jo Khile Hi Nahin
Jinko Khilne Se Pehle Fiza Kha Gai
Hai Pareshaan Nazar Thak Gaye Chaaraagar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

~NM~
Logged
Roja
Guest
«Reply #143 on: January 13, 2009, 03:47:05 AM »
Movie: Paisa Ya Pyaar
Singer: Hemant Kumar


inasaano.n ne paise ke li_e aapas kaa pyaar miTaa Daalaa - 2
ha.Nsate basate ghar phuu.Nk di_e dharatii ko nark banaa Daalaa ...

miTTii se nikaalaa sone ko sone se banaa_e mahal magar - 2
jazbaato.n ke naazuuk rishte ko miTTii ke tale dafanaa Daalaa ...

diin aur dharam ko haar diyaa nekii ko badii par vaar kiyaa - 2
ma.ndir masjid aur girjo.n ko bai.nko.n kii bhe.nT cha.Dhaa Daalaa ...

pyaar apanii jagah Kud daulat hai ye baat naa samajhii inasaan ne - 2
kudarat kii banaa_ii daulat kaa sikko.n me.n mol lagaa Daalaa ...

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #144 on: January 13, 2009, 08:10:29 AM »
Nice Sharing Caraji Applause Applause Applause
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #145 on: January 13, 2009, 08:13:48 AM »

Ramayyaa Wastaawayyaa
Movie: Shree 420

Ramayyaa Wastaawayyaa, Ramayyaa Wastaawayyaa
Maine Dil Tuz Ko Diyaa

Naino Mein Thee Pyaar Kee Roshanee
Teree Aankhon Mein Ye Duniyaadaaree N Thee
Too Aaur Thaa, Teraa Dil Aaur Thaa
Tere Man Mein Ye Meethhee Kataaree N Thee
Mai Jo Dukh Paaoo To Kyaa
Aaj Pachhataaoo To Kyaa
Maine Dil Tuz Ko Diyaa

Us Des Me, Tere Parades Me
Sone Chaandee Ke Badale Mein Bikate Hain Dil
Is Gaanw Mein Pyaar Kee Chhaanw Me
Pyaar Ke Naam Par Hee Dhadakate Hain Dil
Chaand Taaron Ke Tale Raat Ye Gaatee Chale
Maine Dil Tuz Ko Diyaa

Yaad Aatee Rahee, Dil Dukhaatee Rahee
Apane Man Ko Manaanaa, Naa Aayaa Hume
Too Naa Aaye To Kyaa, Bhool Jaaye To Kyaa
Pyaar Kar Ke Bhoolaayaa Naa Aayaa Hume
Wahee Se Door Se Hee, Too Bhee Ye Kah De Kabhee
Maine Dil Tuz Ko Diyaa

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #146 on: January 13, 2009, 08:24:01 AM »

Honthon Se Chhulo
Movie: Prem Geet
Hm Mm Mm Mm, Hm Hm Hm Hm Hm Hm Hm
(Honthon Se Chhoo Lo Tum
Mera Geet Amar Kar Do) - 2
Ban Jaao Meet Mere
Meri Preet Amar Kar Do
Honthon Se Chhoo Lo Tum
Mera Geet Amar Kar Do
(Na Umr Ki Seema Ho
Na Janm Ka Ho Bandhan) - 2
Jab Pyaar Kare Koi
To Dekhe Keval Mann
(Nayi Reet Chalaakar Tum
Yeh Reet Amar Kar Do) - 2
(Aakaash Ka Soonapan
Mere Tanha Mann Mein) - 2
Paayal Chhankaati Tum
Aa Jaao Jeevan Mein
Saansein Dekar Apni
Sangeet Amar Kar Do
Sangeet Amar Kar Do
Mera Geet Amar Kar Do
(Jag Ne Chheena Mujhse
Mujhe Jo Bhi Laga Pyaara) - 2
Sab Jeeta Kiye Mujhse
Main Har Dam Hi Haara
(Tum Haarke Dil Apna
Meri Jeet Amar Kar Do) - 2
Honthon Se Chhoo Lo Tum
Mera Geet Amar Kar Do

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #147 on: January 13, 2009, 08:32:58 AM »

Naseeb Mein
Movie: Do Badan

Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha Woh Teri Mehfil Mein Kaam Aaya
Kisike Hisse Mein Pyaas Aayi Kisike Hisse Mein Jaam Aaya
Mein Ek Fasana Hoon Bekasi Ka
Yeh Haal Hai Meri Zindagi Ka
Na Husn Hi Mujhko Raas Aaya
Na Ishq Hi Mere Kaam Aaya

Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha

Badal Gayee Teri Manzilein Bhi
Bichhad Gaya Caravan Se Mein Bhi
Meri Mohabbat Ke Raaste Mein
Na Jaane Ye Kya Muqaam Aaya

Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha

Tujhe Bhoolane Ki Koshishein Bhi
Tamaam Nakaam Ho Gayi Hain
Kisine Zikr-e-wafa Kiya Jab
Zubaan Pe Tera Hi Naam Aaya

Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha

~NM~
Logged
Deepati
Guest
«Reply #148 on: January 14, 2009, 05:21:51 AM »
Zindagi pyaar ka geet hai, jise har dil ko gaana padega
zindagi gam ka sagar bhi hai, haske us paar jaana padega

jiska jitna ho aanchal jahaan mein, usko saugaat utni milegi
phool jeevan mein gar na khile tou, kaanton se bhi nibhaana padega

hai agar duur manzil tou kya, raasta bhi hai mushkil tou kya
raat taaron bhari na mile tou, dil ka deepak jalaana padega

zindagi ik paheli bhi hai, dukh sukh ki saheli bhi hai
zindagi ik vachan bhi tou hai, jise sabko nibhaana padega
Logged
Roja
Guest
«Reply #149 on: January 14, 2009, 05:42:11 AM »
Movie: Baap Re Baap
Singer(s): Asha Bhonsle, Kishore Kumar


aa : Piyaa piyaa piyaa meraa jiyaa pukaare
ham bhii chale.nge sai.nyaa sa.ng tumhaare

ki : chorii-chorii-chorii kaahe hame.n pukaare
tum to basii ho gorii man me.n hamaare

aa : piyaa piyaa piyaa ...

yuu.N chhup-chhup hamase chale ho kahaa.N sai.nyaa.N
mai.n laaguu.N tore pai.nyaa naa chho.D morii bai.nyaa.N

ki : ye chhab matavaarii ye mukh goraa-goraa
na dekho-dekho aise ke jiyaa Dole moraa

aa : bhole-bhaale nainaa kare jaane kyaa ishaare

ki : tum to basii ho gorii ...

aa : mai.n piyaa terii chhaayaa ke sa.ng-sa.ng Doluu.N
tuu jaa_e jahaa.N sai.nyaa.N mai.n saath tere ho luu.N

ki : ye rut manamaatii ye din madamaate
vo dekho gorii ham-tum chale hai.n ha.Nsate-gaate

aa : mere piyaa jhuume jiyaa jhuume ye nazaare

ki : tum to basii ho gorii ...


Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 32
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:42:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer