~*~*~*~Mere Dil ke Kareeb~*~*~*~

by pankshivam on November 29, 2008, 05:42:32 AM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 32
Print
Author  (Read 29840 times)
pankshivam
Guest
«Reply #195 on: February 12, 2009, 09:33:00 PM »
Song: Mujhe Tum Yaad Aate ho
Movie: Tumsa Nahi Dekha
http://www.youtube.com/v/UPgWChqTOZ8&rel=1
jahan mein her-kaheen her-su
mere pyare mere mehboob mujhe tum yaad aate ho

bhari barsaat mein koyal kisi sarsabz tehni per pukaray jab kaheen koo koo
mere pyaare mere mehboob mujhe tum yaad aate ho

kisi gul say kali say ya hawa kay narm aanchal say kaheen mehktay kabhi kushboo
mere pyaare mere mehboob mujhe tum yaad aate ho

udaas afsurda roti ghamzada aankhon say jiss lamha dhalakta hai koi aanso
mere pyaare mere mehboob mujhe tum yaad aate ho

meri majboriyan dekho ke koh-o-dasht waadi ne Huh? sar e sahra kinare Huh?
mere pyaare mere mehboob mujhe tum yaad aate ho

~NM~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Mere Dil Ke Kareeb~ by pankshivam in Shairi - E - Zindagi
~*~Mere Dil Ke Kareeb~*~ by pankshivam in SMS , mobile & JOKES « 1 2 3  All »
Mere dil ke kareeb... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Kareeb Aur Kareeb Aayiye "Khwahish" by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mera Chand Mere Kareeb Aaya Hae- R.K.Rastogi by Ram Krishan Rastogi in Shayari -e- Husn
pankshivam
Guest
«Reply #196 on: February 12, 2009, 09:36:05 PM »
Song: Bheed Me Tanhayi Me
Movie: Tumsa Nahi Dekha

bheed mein tanhaai mein
pyas ki gehraai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
geet mein shehnaai mein
khwaab mein purwaai mein
dhup mein parchaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
bheed mein tanhaai mein
pyas ki gehraai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2

(teri chaahatein meri zindagi
tere pyar ko main bhula na saku) - 2
karu koshishen bhale raat din
tere aksa ko main mita na saku
pyas ki gehraai mein
bheed mein tanhaai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
geet mein shehnaai mein
khwaab mein purwaai mein
dhup mein parchaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2

(kabhi khwaab mein socha na tha
jeena padega tujhe chhod ke) - 2
sanam jo tera ishaara mile
chali aaun saari kasam tod ke
zulf ki nanaai mein
bheed mein tanhaai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
bheed mein tanhaai mein
pyas ki gehraai mein
dard mein ruswaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
geet mein shehnaai mein
khwaab mein purwaai mein
dhup mein parchaai mein
mujhe tum yaad aate ho - 2
mujhe tum yaad aate ho - 2

Logged
Pooja
Guest
«Reply #197 on: February 12, 2009, 09:39:22 PM »
good collection Pank ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #198 on: February 12, 2009, 09:44:48 PM »
Thanx Poojaji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #199 on: February 12, 2009, 09:50:49 PM »

Song Name:  Tumse Juda Hokar Maine Yeh Jaana Hai
Album Name:  Hemachandra - The Debut Album
Singer Names: Hemachandra,
Lyricist Name: Sham Balkar
http://www.youtube.com/v/xyMNimd0leA&rel=1
(Tumse Juda Hokar, Maine Yeh Jaana Hai
Pyaar Mein Thodasa Khona Hai Paana Hai) - 2
Gujre Hai Pal Sabhi Teri Hi Yaad Mein
Meri Yaadon Ke Sang Terahi Saaya Hai

Tumse Juda Hokar, Maine Yeh Jaana Hai
Pyaar Mein Thodasa Khona Hai Paana Hai

Kaash Yeh Ho Jaaye Tum Kbhi Aa Jaao
Dil Mera Mujhse Yeh Kehta Hai

Yeh Dil Tanhaayi Mein Yaadon Ko Odhake
Khayaalon Mein Duba Huva Rehta Hai

Abb Bhi Teri Khushboo Hai Meri Saanson Mein
Ehsaas Terahi Mujhme Samaaya Hai

Tumse Juda Hokar, Maine Yeh Jaana Hai
Pyaar Mein Thodasa Khona Hai Paana Hai

Bin Tere Kuchh Nahi Yeh Phalak Aur Jameen
Teri Deewaanagi Mein Rehta Hoon

Tu Kahaan Dur Hai Mujhme Maujud Hai
Main Teri Aahaton Ko Sunta Hoon

Tum Rooh Mein Basin, Tum Jism-O-Jaan Mein
Ek Terahi Armaan Mann Mein Basaaya Hai

Tumse Juda Hokar, Maine Yeh Jaana Hai
Pyaar Mein Thodasa Khona Hai Paana Hai
Gujre Hai Pal Sabhi Teri Hi Yaad Mein
Meri Yaadon Ke Sang Terahi Saaya Hai

Tumse Juda Hokar, Maine Yeh Jaana Hai
Pyaar Mein Thodasa Khona Hai Paana Hai

~NM~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #200 on: February 12, 2009, 09:56:22 PM »
Song By LATA MANGESHKAR

aye dila-ye-naadaan aye dila-ye-naadaan
aarajoo kyaa hain, justajoo kyaa hain

hum bhatakate hain, kyon bhatakate hain dashta-o-seharaa mein
ayesaa lagataa hain, mauj pyaasee hain apane dareeyaa mein
kaisee ulazan hain, kyon ye ulazan hain
yek saayaa saa, rubaru kyaa hain

kyaa kayaamat hain, kyaa musibat hain
kah naheen sakate, kis kaa aramaan hain
jindagee jaise khoyee khoyee hain, hairaan hairaan hain
ye jameen choooop hain, aasamaan choop hain
fir ye dhadakan see chaar soo kyaa hain

aye dila-ye-naadaan ayesee raahon mein kitane kaante hain
aarajooon ne har kisee dil ko dard baante hain
kitane ghaayal hain, kitane bismil hain
is khudaee mein yek too kyaa hain

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #201 on: February 12, 2009, 10:04:24 PM »
Song: Kuch Is Tarah
Album: Doori (Aatif Aslam)

http://www.youtube.com/v/Gr5MO8L-288&rel=1
Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de

Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de

Tu har ghadi har waqt mere saath raha hai
Haan yeh jism kabhi door kabhi paas raha hai
Jo bhi gham hain yeh tere unhein tu mera pataa de

Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de

Mujhko toh tere chehre pe yeh ghum nahin janchta
Jaayiz nahin lagta mujhe ghum se tera rishta
Sun meri ghuzarish ise chehre se hataa se
Sun meri ghuzarish ise chehre se hataa se

Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de
~NM~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #202 on: February 12, 2009, 10:22:09 PM »
Hummm.. maine yah gaana kabhi nahi suna pank... bahoot achi wordings hai.... Good shairing
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #203 on: February 12, 2009, 10:27:53 PM »
Shukriya Poojaji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #204 on: February 12, 2009, 10:29:42 PM »

Song Name:  Kuch Kam Roshan
Album Name:  Dostana 2008
Singer Names: Shaan,
Lyricist Name: Vishal Dadlani

http://www.youtube.com/v/5J9LpxUmiEM&rel=1
Kuch Kam Roshan Hain Roshni
Kuch Kam Geeli Hain Baarishein
Kuch Kam Lehrati Hai Hawaa
Kuch Kam Hai Dil Mein Khwaahishein
Tham Sa Gaya Hai Ye Waqt Aise Tere Liye Hi Thehra Ho Jaise

Kuch Kam Roshan Hain Roshni
Kuch Kam Geeli Hain Baarishein
Kuch Kam Lehrati Hai Hawaa
Kuch Kam Hai Dil Mein Khwaahishein
Tham Sa Gaya Hai Ye Waqt Aise Tere Liye Hi Thehra Ho Jaise

Kyo Meri Saas Bhi Kuch Phiki Si Hai Dooriyo Se Hui Nazdiki Si Hai
Jaane Kya Ye Baat Hai Har Subah Ab Raat Hai
Kyo Meri Saas Bhi Kuch Phiki Si Hai Dooriyo Se Hui Nazdiki Si Hai
Jaane Kya Ye Baat Hai Har Subah Ab Raat Hai
Kuch Kam Roshan Hain Roshni
Kuch Kam Geeli Hain Baarishein
Kuch Kam Lehrati Hai Hawaa
Kuch Kam Hai Dil Mein Khwaahishein
Tham Sa Gaya Hai Ye Waqt Aise Tere Liye Hi Thehra Ho Jaise

Phool Mehke Nahi Kuch Gumsum Se Hai
Jaise Ruthe Hue Kuch Ye Tum Se Hai
Phool Mehke Nahi Kuch Gumsum Se Hai
Jaise Ruthe Hue Kuch Ye Tum Se Hai
Khooshbue Dhal Gayi Saath Tum Ab Jo Nahi
Kuch Kam Roshan Hain Roshni
Kuch Kam Geeli Hain Baarishein
Tham Sa Gaya Hai Ye Waqt Aise Tere Liye Hi Thehra Ho Jaise

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #205 on: February 12, 2009, 10:38:17 PM »

Song: Rehna Tu
Movie: Dilli6

http://www.youtube.com/v/Cx_R-_EzbyI&rel=1
Rehna Tu
Hai Jaisa TU
Thoda sa dard tu
Thoda Sukun

Rehna Tu
Hai Jaisa TU
Dheema Dheema jhonka
Ya phir junoon
Thoda sa reshma
Tu humdam
Thoda sa khurdura
Kabhi daud jaye
Ya lad jaye
Ya khushboo se bhara

Tujhe badalna na chahoon
Rati bhar bhi sanam
Bina sajawat milawat
Na jyaada na hi kaam

Tuhje chaahon jaisa hai tu
Mujhe teree barish mein beegna hai ghuljana hai
Tujhe chaahon jaisa hai tu
Mujhe tere lapat mein jalna rakh ho jana hai

Tu zakham de agar
Marham bhi aakar tu lagaaye

Zakham mein bhi mujhko pyaar aaye

Dariya o dariya
Doopne de mujhe dariya
Doopne de mujhe dariya

Rehna Tu
Hai Jaisa TU
Thoda sa dard tu
Thoda Sukun

Rehna Tu
Hai Jaisa TU
Dheema Dheema jhonka
Ya phir junoon

Haath tham chalna hi
To dono ke daye haath sang kaise
Haath tham chalna hi
To dono ke daye haath sang kaise

Ek daaya hoga ek baaiya hoga
Tham le haath yeh thaam le
Chalna hai sang tham le

Rehna Tu
Hai Jaisa TU
Thoda sa dard tu
Thoda Sukun

Rehna Tu
Hai Jaisa TU
Dheema Dheema jhonka
Ya phir junoon

Thoda sa reshma
Tu humdam
Thoda sa khurdura
Kabhi daud jaye
Ya lad jaye
Ya khushboo se bhara

Tujhe badalna na chahoon
Rati bhar bhi sanam
Bina sajawat milawat
Na jyaada na hi kaam

Tuhje chaahon jaisa hai tu
Mujhe teri barish mein beegna hai ghuljana hai
Tujhe chaahon jaisa hai tu
Mujhe teri lapat mein jalna rakh ho jana hai
~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #206 on: February 12, 2009, 10:46:34 PM »

Song: Kaise Mujhe
Movie: Ghajini
Lyricist : Prasoon Joshi

http://www.youtube.com/v/nDW1JfWdBao&rel=1
Kaise mujhe tu mil gayi
Kismat pe aaye na yakeen
Utar aayi jheel mein
Jaise chaand utarta hai kabhi
Haule haule
Dheere se

Gunguni dhoop ki tarah se
Tarannum mein tum
Chhoo ke mujhe
Guzri ho yun
Dekhun tumhe
Ya main sunu
Tum ho sukoon
Tum ho junoon
Kyun pehle na
Aayi tum

Kaise mujhe tum mil gayi
Ho.. ho.. ho.. ho.. ho
Kismat pe aaye na yakeen
Ho.. ho.. ho.. ho.. ho

Main to ye sochta tha
Ki aaj kal
Uparwaale ko fursat nahi
Phir bhi tumhe banake wo

Meri nazar mein chadh gaya
Rutbe mein wo
Aur badh gaya

aa.. aa..
aa.. aa..

Badle raaste jharne aur nadi
Badle deep tim tim
Chhede zindagi dhun koi nayi
Badle barkha ki rim jhim
Badlengi rituen ada
Par main rahungi sada
Usi tarah

Teri baahon mein baahein daal ke
Har lamha
Har pal

Aa..aa..
Aa..aa..

Zindagi sitar ho gayi
Rim jhim malhar ho gayi
Mujhe aata nahi

Kismat pe apni yakeen
Kaise mujhko mil gayi tum

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #207 on: February 12, 2009, 11:04:13 PM »

Song:Aaoge Jab Tum
Movie : Jab We Met
http://www.youtube.com/v/iwnCMv--L9Y&rel=1
Aaaaaaaaaaaa…aaaaaaaaaaaaaaa….aaa

Aaoge Jab Tum Saajna
Aaoge Jab Tum Saajna
Angana phool khilege
Barsega saawan, barsega saawan
Jhoom jhoom ke
Do dil aise milenge
Aaoge Jab Tum Saajna
Angana phool khilege

Naina tere kajrare
Naino pe hum dil hare hai
Anjane hi tere naino ne
Waade kiye kaie saare hai
Saanso he leher madam chale
To tu kahe barsega saawan
indicine.com
Barsega saawan jhoom jhoom ke
Do dil aise milenge

Aaoge Jab Tum Saajna
Angana phool khilege

Ka ba ba sa sa re ga ga

Chanda ko uta lakho mein
Yeh zindagi tere haton mein
Palko pe jil mil tare hai
Aana bahri barsato mein
indicine.com
Sapno ka jahan
Hoga khila khila
Barsega saawan, barsega saawan
Jhoom jhoom ke
Do dil aise milenge

pa ni sa re ma ma ga ga ga
ga re re re ga re da ni re re ma da ni da da
da ni da pa ma ma ma da da ma re pa ga
ga ma da ni sa sa re pa ma ma ga ga ga re ga sa
Angana phool khile
pa ni da ni da sa re ma ma ma ma ga
Angana phool khile
ma ma pa ni da re ma pa re re sa da
re pa pa ma ma ga ga
~NM~
Logged
Roja
Guest
«Reply #208 on: February 16, 2009, 02:19:17 PM »

Yaad teri aayegi mujhko bada satayegi
Zid yeh joothi teri meri jaan leki jayegi
yaad teri....
Tera saath choota toota dil to ye maana
Kitna hai mushkil dil se yaar ko bhulana
Dil ka humesha se hai dusman zamana
Gham ye hai tune mujhe naa pehchana, naa pechchana
yaad teri ...
Bujh gaya suraj jaale chaand taare
Nazre dhuaan hai dhuaan saare nazaare
Mujhe dil lagane ki kya tune saaza di
Bina soche samjhe dil ke duniya jala di
Duniya jala di
yaad teri ..
Haas ke sahoonga saare duniya ke ye gham
Mar bhi gaya tho hoga pyaar nahi kam
Cheen le tujhe jo mujhse kisme hai yeh dum
Tan se juda hai to kya ek jaan hain hum, ek jaan hain hum
Ek jaan hai hum, yaad teri
Logged
Roja
Guest
«Reply #209 on: February 16, 2009, 02:20:29 PM »
Ek Sapera Ek Lutera

Hum tum se judaa ho ke,
mar jaayenge ro ro ke
mar jaayenge ro ro ke
duniyaa badee zaalim hai,
dil tod ke hasatee hai
ek mauj kinaare se,
milane ko tarasatee hai
kah do naa koyee roke
kah do naa koyee roke
hum tum se judaa ho ke,

sochaa thaa kabhee do dil
milakar naa judaa honge
maaloom na thaa hum yoon,
naakaama-e-wafaa honge
qismat ne diye dhokhe
qismat ne diye dhokhe
hum tum se judaa ho ke,

waade naheen bhoolenge,
qasmein naheen todenge
ye tay hai ke hum dono,
milanaa naheen chhodenge
jo rok sake roke
jo rok sake roke
hum tum se judaa ho ke,
mar jaayenge ro ro ke
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 32
Print
Jump to:

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:01:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer