~*~*~*~Mere Dil ke Kareeb~*~*~*~

by pankshivam on November 29, 2008, 05:42:32 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 32
Print
Author  (Read 29820 times)
pankshivam
Guest
«Reply #60 on: December 09, 2008, 08:41:10 PM »
Thanx Poojaji

Ye nazme hin to hain jinke alfaz dil ko chhu jate hain...
Suno inhe jab dil kabhi to guzare zamane yaad aate hain...
Do ask baha kar chup ho jati hain sanse khud hi...
Aur ham fir se zindagi ke kamo me lag jate hain...

~Pank~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Mere Dil Ke Kareeb~ by pankshivam in Shairi - E - Zindagi
~*~Mere Dil Ke Kareeb~*~ by pankshivam in SMS , mobile & JOKES « 1 2 3  All »
Mere dil ke kareeb... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Kareeb Aur Kareeb Aayiye "Khwahish" by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mera Chand Mere Kareeb Aaya Hae- R.K.Rastogi by Ram Krishan Rastogi in Shayari -e- Husn
Pooja
Guest
«Reply #61 on: December 09, 2008, 08:44:03 PM »
Thanx Poojaji

Ye nazme hin to hain jinke alfaz dil ko chhu jate hain...
Suno inhe jab dil kabhi to guzare zamane yaad aate hain...
Do ask baha kar chup ho jati hain sanse khud hi...
Aur ham fir se zindagi ke kamo me lag jate hain...

~Pank~

Very True Pank ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #62 on: December 09, 2008, 10:08:09 PM »
Hari Om Hari Om Hari Om Hari Om
Man Tarpat Hari Darshan Ko Aaj (2)

More Tum Bin Bigade Sagare Kaaj
Ho Binti Karat Hoon Rakhiyo Laaj
Man Tarpat Hari Darshan Ko Aaj

Tumare Dwaar Ka Main Hoon Jogi
Aaa Aaa Aaa Aaa
Tumare Dwaar Ka Main Hoon Jogi
Humari Aor Najar Kab Hogi
Suno More Vyaakul Man Ka Baaj
Man Tarpat Hari Darshan Ko Aaj (2)

Bin Guru Gyaan Kahaan Se Paau
Aaa Aaa Aaa Aaa
Bin Guru Gyaan Kahaan Se Paau
Deejo Daan Hari Gun Gaau
Sab Guni Jan Pe Tumara Raaj
Man Tarpat Hari Darshan Ko Aaj (2)

Murli Manohar Aas Na Todo
Dukh Bhanjan Mora Saath Na Chhodo
Mohe Darshan Bhiksha De Do Aaj
Logged
Deepati
Guest
«Reply #63 on: December 10, 2008, 06:05:01 AM »
Pank Ji very nice collection and Rajesh Ji aapki bhi choice bahut achi hai.

Here is one my favorite song:


Hamne dekhi hai un aankhon ki mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton ka ilzaam naa do

sirf ehsaas hai rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koi naam naa do

pyaar koi boli nahin pyaar awaaz nahin
ek khamoshi hai sunati hai kaha karti hai
na yeh bujhati hai na rukati hai na thahri hai kahin
noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai

sirf ehsaas hai rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koi naam naa do

muskurahat si khili rahti aankhon mein kahin
aur palkon pe ujaale se chhupe rahte hain
honth kuch kahte nahin kaanpte honthon pe magar
kitane khamosh se afsaane ruke rahte hain

sirf ehsaas hai rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koi naam naa do

hamne dekhi hai un aankhon ki mahakati khushboo
haath se chhoo ke ise rishton ka ilzaam naa do
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #64 on: December 10, 2008, 06:21:10 AM »
ehasaan mere dil pe tumhaaraa hai dosto
ye dil tumhaare pyaar kaa maaraa hai dosto

banataa hai meraa kaam tumhaare hii kaam se
hotaa hai meraa naam tumhaare hii naam se
tum jaise meharabaan kaa sahaaraa hai dosto
ye dil ...

jab aa padaa hai koii bhii mushkil kaa raastaa
main ne diyaa hai tum ko muhabbat kaa vaastaa
har haal mein tumhiin ko pukaaraa hai dosto
ye dil ...

yaaron ne mere vaaste kyaa kuchh nahiin kiyaa
sau baar shukriyaa are sau baar shukriyaa
bachapan tumhaare saath guzaaraa hai dosto
ye dil ...


Logged
Deepati
Guest
«Reply #65 on: December 11, 2008, 06:40:46 AM »
Kuch dil ne kaha, kuch bhi nahin
kuch dil ne suna, kuch bhi nahin

aisi bhi baatein hoti hain
aisi bhi baatein hoti hain

leta hai dil angdayian, is dil ko samjhaaye koi
armaan naa aankhein khol de, ruswaa naa ho jaaye koi
palkon ki thandi sej par, sapnon ki pariyan soti hain

aisi bhi baatein hoti hain
aisi bhi baatein hoti hain

dil ki tasalii ke liye, jhoothi chamak jhootha nikhaar
jeevan tou soona hii raha, sabh samjhe aayi hai bahaar
kaliyon se koi poochhata, yeh hansti hain ki rotii hain

aisi bhi baatein hoti hain
aisi bhi baatein hoti hai

kuch dil ne kaha, kuch bhi nahin
kuch dil ne suna, kuch bhi nahin
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #66 on: December 11, 2008, 07:56:34 PM »
Pank Ji very nice collection and Rajesh Ji aapki bhi choice bahut achi hai.

Here is one my favorite song:


Hamne dekhi hai un aankhon ki mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton ka ilzaam naa do

sirf ehsaas hai rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koi naam naa do

pyaar koi boli nahin pyaar awaaz nahin
ek khamoshi hai sunati hai kaha karti hai
na yeh bujhati hai na rukati hai na thahri hai kahin
noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai

sirf ehsaas hai rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koi naam naa do

muskurahat si khili rahti aankhon mein kahin
aur palkon pe ujaale se chhupe rahte hain
honth kuch kahte nahin kaanpte honthon pe magar
kitane khamosh se afsaane ruke rahte hain

sirf ehsaas hai rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koi naam naa do

hamne dekhi hai un aankhon ki mahakati khushboo
haath se chhoo ke ise rishton ka ilzaam naa do
Thanx Deepati ji!!!
This one is very close to me
Thanx for This one

Shukriya Pooja ji!!!
Shukriya Rajesha ji!!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #67 on: December 11, 2008, 08:02:23 PM »
Aye Dil
Movie: Yaaden
<a href="http://www.youtube.com/v/ti9IKcWTKLI&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/ti9IKcWTKLI&rel=1</a>

Aye Dil Dil Ki Duniya Mein
Aisa Haal Bhi Hota Hai
Baahar Koi Hansta Hai
Andar Koi Rota Hai
Aye Dil Koi Pehchaana Nahin
Kisi Ne Yeh Maana Nahin
Kisi Ne Yeh Jaana Nahin
kisi Ko Batana Nahin
Dard Chhupa Hai Kahan
Aye Dil Dil Ki Duniya Mein
Aisa Haal Bhi Hota Hai
Baahar Koi Hansta Hai
Andar Koi Rota Hai
Tune Mujhse Vafa Nahin Ki
Tujhko Kaise Vafa Milegi
Tune Mujhko Dard Diya Hai
Tujhko Kaise Dava Milegi
Seene Mein Uthte Hai Armaan Aise
Dariya Mein Aate Hai Toofan Jaise
Kabhi Kabhi Khud Hi Maajhi
kashti Ko Dubota Hai
Aye Dil Dil Ki Duniya Mein
Aisa Haal Bhi Hota Hai
Baahar Koi Hansta Hai
Andar Koi Rota Hai
Kaante Chunkar Tera Daaman
Phoolon Se Main Bhar Jaaoonga
Is Se Badi Saza Kya Hogi
Maaf Tujhe Main Kar Jaaoonga
Hogi Kisi Ko Pehchaan Kaise
Pyaar Mein Hote Hain Kurbaan Kaise
Hum Ko Yeh Maaloom Na Tha
Pyaar Bhi Ek Samjhauta Hai
Aye Dil Dil Ki Duniya Mein
Aisa Haal Bhi Hota Hai
Bahar Koi Hansta Hai
Andar Koi Rota Hai
Aye Dil Koi Pehchaana Nahin
Kisi Ne Yeh Maana Nahin
Kisi Ne Yeh Jaana Nahin
Kisi Ko Batana Nahin
Dard Chhupa Hai Kahan
Aye Dil Dil Ki Duniya Mein
Aisa Haal Bhi Hota Hai
Baahar Koi Hansta Hai
Andar Koi Rota Hai
Aye Dil Dil Ki Duniya Mein
Aisa Haal Bhi Hota Hai
Baahar Koi Hansta Hai
Andar Koi Rota Hai...

Movie= Yaaden

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #68 on: December 11, 2008, 08:09:10 PM »
Jane Tu Meri Kya Hai
Movie: Jane Tu Ya Jen Na
<a href="http://www.youtube.com/v/4f8_vvTC-RE&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/4f8_vvTC-RE&rel=1</a>
Jaane tu meri kya hai, jaane mein tera kya tha,
Saath tere har pal, saath har lamha tha..

Jaane kaisi kasak hai, jaane kaisi tadap hai,
Kyu yeh aankehin num hai, jaane kaisa gum hai..

Hai dosti humko yakeen tha, dosti aur kuch bhi nahi tha,
Par kaise tujh ko bole, kyu chubhte hai pairon mein kaante,
Janaa dil jaana, kaise maine naa jaana,
Ki pyaar yahi hai, yeh jaane tu ya jaane naa..
Janaa dil jaana, kaise tune naa jaana,
yeh pyaar to hai, yeh jaane tu ya jaane naa..

Jaane tu meri kya hai, jaane mein tera kya tha,
Saath tere har pal, saath har lamha tha..

Kyu aise chubhti hai tujhse doori,
Kyu lagti hai zindagi yun adhuri,
Chua kisi ne tujhko to laga ki,
Dil mein kisi ne jaise aag laga ke,
Duniya jala di..heyyy meri…
Jaane tu meri kya hai, jaane mein tera kya tha,
Saath tere har pal, saath har lamha tha..

Jaane kaisi kasak hai, jaane kaisi tadap hai,
Kyu yeh aankehin num hai, jaane kaisa gum hai..

Janaa dil jaana, kaise maine naa jaana,
Ki pyaar yahi hai, yeh jaane tu ya jaane naa..
Janaa dil jaana, kaise tune naa jaana,
yeh pyaar to hai, yeh jaane tu ya jaane naa..

~NM~
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #69 on: December 11, 2008, 08:51:45 PM »
Dil kehta hai, jo chaahe hum voh kare
Dil kehta hai (kehta hai)
Jo chaahe hum voh kare
Hum na koi baat sune, jo chaahe raah chune
Duniya se hum kyoon darre
Dil kehta hai (kehta hai)
Jo chaahe hum voh kare

Khushiyaan hamaare liye
Humko nahin koi gham
Manzil yahan har ghadi
Choome hamaare kadam
Rang jamaaye hum jahan jaaye
Masti lutaaye, mauj manaaye
Aawaargi ki kasam
Saara jahan ruk jaaye, ambar bhi jhuk jaaye
Jhoomke hum jab bhi chale
Dil kehta hai, jo chaahe hum voh kare

Paaband rehna yahan
Manzoor humko nahin
Aazaad rakhna hamein
Kehti hai yeh sarzameen
Hum to likhenge aisi kahaani
Humse misaale lengi jawaani
Humse hai kal aaj kal
Saazon ki galiyon mein ghut ghutke yaar mere
Jeete ji, hum kyoon mare
Dil kehta hai (kehta hai)
Jo chaahe hum voh kare


Logged
pankshivam
Guest
«Reply #70 on: December 11, 2008, 11:19:40 PM »
Chahat Desh SE
<a href="http://www.youtube.com/v/ETxYZjDMV7s&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/ETxYZjDMV7s&rel=1</a>
Chahat des se aane wale ye to bata ke sanam kaise hain,
Dil walon ki kya haalat hai,
Dil walon ki kya haalat hai, pyar ke mousam kaise hain.
Chahat des se aane wale ye to bata ke sanam kaise hain....

kya ab bhi koi baton baton me rota hai has deta hai,
kya ab bhi koi baton baton me rota hai has deta hai,
us raah ki khushiyan kaisee hain..un galiyon ke gam kaise hain,
us raah ki khushiyan kaisee hain..un galiyon ke gam kaise hain,
Chahat des se aane wale ye to bata ke sanam kaise hain....

jugnu shabnam taare bankar mere aansun dhoodh rahe hain,
aane wale tu hi bata de mere humdam kaise hain,
ane wale tu hi bata de mere humdam kaise hain,
Chahat des se aane wale ye to bata ke sanam kaise hain....
Dil walon ki kya haalat hai,
Dil walon ki kya haalat hai, pyar ke mousam kaise hain,
Chahat des se aane wale ye to bata ke sanam kaise hain....

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #71 on: December 11, 2008, 11:23:31 PM »

Hothon Se Chhu lo
<a href="http://www.youtube.com/v/BPsLGo5Dg_Q&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/BPsLGo5Dg_Q&rel=1</a>
Honto se choo lo tum
Hm mm mm mm, hm hm hm hm hm hm hm
(Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do) - 2
Ban jaao meet mere
Meri preet amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
(Na umr ki seema ho
Na janm ka ho bandhan) - 2
Jab pyaar kare koi
To dekhe keval mann
(Nayi reet chalaakar tum
Yeh reet amar kar do) - 2
(Aakaash ka soonapan
Mere tanha mann mein) - 2
Paayal chhankaati tum
Aa jaao jeevan mein
Saansein dekar apni
Sangeet amar kar do
Sangeet amar kar do
Mera geet amar kar do
(Jag ne chheena mujhse
Mujhe jo bhi laga pyaara) - 2
Sab jeeta kiye mujhse
Main har dam hi haara
(Tum haarke dil apna
Meri jeet amar kar do) - 2
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #72 on: December 11, 2008, 11:25:21 PM »
Kisi nazar ko tera
Movie: Aitbar
<a href="http://www.youtube.com/v/6Ye9WDQykjw&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/6Ye9WDQykjw&rel=1</a>
Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai,
Kahaan ho tum ke ye dil beqaraar aaj bhi hai.

Wo waadiyaan wo fazaaein ke hum mile the jahaan,
Meri wafa ka wahin par mazaar aaj bhi hai.
Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai..

Na jaane dekh ke kyu unko ye hua ehsaas,
Ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhi hai.
Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai..

Wo pyaar jiske liye humne chhod di duniya,
Wafa ki raah me ghayal wo pyaar aaj bhi hai.

Yakin nahi hai magar aaj bhi ye lagta hai,
Meri talaash me shayad bahaar aaj bhi hai.
Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai..

Na pooch kitne mohobbat ke zakhm khaaye hain,
Ke jinko soch ke dil saugawaar aaj bhi hai.

Wo pyaar jiske liye humne chhod di duniya,
Wafa ki raah me ghayal wo pyaar aaj bhi hai.

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai,
Kahaan ho tum ke ye dil beqaraar aaj bhi hai.

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #73 on: December 11, 2008, 11:27:29 PM »
Woh Kagaz ki kashti - Jagjit Singh & Chitra Singh
<a href="http://www.youtube.com/v/EB7ih3X4C9M&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/EB7ih3X4C9M&rel=1</a>
Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani

Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani

Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani

Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani

~NM~
Logged
Deepati
Guest
«Reply #74 on: December 11, 2008, 11:47:35 PM »
Thanx Deepati ji!!!
This one is very close to me
Thanx for This one

Shukriya Pooja ji!!!
Shukriya Rajesha ji!!!

You are welcome, Pank Ji, very close to me as well  Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 32
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:20:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer