~*~*~*~Mere Dil ke Kareeb~*~*~*~

by pankshivam on November 29, 2008, 05:42:32 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 32
Print
Author  (Read 30106 times)
pankshivam
Guest
«Reply #90 on: December 30, 2008, 06:54:50 AM »
Teri deewani
Album: Kailasa
<a href="http://www.youtube.com/v/ZSmT8EdNaws&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/ZSmT8EdNaws&rel=1</a>
preet ki lath mohe aaisi laagi
ho gayi main matwaali
bal bal jaaun apane piya ko
he main jaaun vaari vaari
mohe sudh budh naa rahi tan mann ki
yeh toh jaane duniya saari
bebas aur laachar phiru main
haari main dil haari - 2

tere naam se jee loon - 2
tere naam se marr jaaun - 2
teri jaan ke sadke mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho ri ha ri ho gayi main
teri deewani deewani- 2
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho gee ha gee ho gayi main
teri deewani deewani - 2



ishq junoon jab hadh se badh jaaye - 2
haste haste aashiq suli chadh jaaye
ishq ka jaadu sara chadha kara bole - 2
khoob laga lo pehre raste rab khole
yahi ishq di marzi hain
yahi rab di marzi hain
yahi ishq di marzi hain
yahi rab di marzi hain
tere bin jeena kaisa
haan khudgarzi hai
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho ri ha ri ho gayi main
teri deewani deewani - 4

oh ho oh hoohhhh...

he main rang rangeeli deewani - 2
ke main albeli main mastani
gaaun bajaaun sabko rijhaaun
he main deen dhram se begaani
ke main deewani main deewani
tere naam se jee loon tere naam se marr jaaun
tere jaan ke sadle mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho ri ha ri ho gayi main
teri deewani deewani
teri deewani deewani
teri deewani deewani
teri deewani deewani...

~NM~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Mere Dil Ke Kareeb~ by pankshivam in Shairi - E - Zindagi
~*~Mere Dil Ke Kareeb~*~ by pankshivam in SMS , mobile & JOKES « 1 2 3  All »
Mere dil ke kareeb... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Kareeb Aur Kareeb Aayiye "Khwahish" by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mera Chand Mere Kareeb Aaya Hae- R.K.Rastogi by Ram Krishan Rastogi in Shayari -e- Husn
pankshivam
Guest
«Reply #91 on: December 30, 2008, 06:57:07 AM »
Lambi Judai Song Lyrics -
Movie:Jannat
<a href="http://www.youtube.com/v/XG_AmTE5QA0&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/XG_AmTE5QA0&rel=1</a>
Char dino ka pyaar o rabba
Lambi judai lambi judai

Rabbaaa…

Char dino ka pyaar o rabba
Lambi judai lambi judai

Tere bin dil mera lage kahin na
Tere bin jaan mere jaye kahin na
Kitne zamane baad o rabba
Yaad tu aaya, yaad tu aaya

Aaaaa….aa..aaaaaaaa….

Khoye rahi mein, saason mein apne
Aahat bhi teri, bhool gaye hun
Sadiyoon se kitni tanha rahi hun
Ishq tera bhool gayi hun

Aaa… hhh

Khoye rahi mein, saason mein apne
Aahat bhi teri, bhool gaye hun
Sadiyoon se kitni tanha rahi hun
Ishq tera bhool gayi hun

Uljhi rahi mein is zindagi mein
Doon kya duhai doon kya duhai

Ohhh rabbaa.. rabbaaa..
aaaaaaaaaaaa….

Kithe mein jaawaa…

Har bebasi mein, is zindagi mein
Tujh ko hi chaha, tujh ko hi manga
Jin raston se guzra yeh dil tha
Manzil mili na pyaar na paya

ohhh… hoo…

Har bebasi mein, is zindagi mein
Tujh ko hi chaha, tujh ko hi manga
Jin raston se guzra yeh dil tha
Manzil mili na pyaar na paya

Khud ko chupake rahon se guzri
Dil ko sambhle dil ko sambhle

Tere bin dil mera lage kahin na
Tere bin jaan meri jaye kahin na
Kitne zamane baad o rabba
Yaad tu aaya, yaad tu aaya
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #92 on: December 30, 2008, 06:59:25 AM »
Tanhaai

<a href="http://www.youtube.com/v/1BDUlZhDujU&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/1BDUlZhDujU&rel=1</a>
Tanhaai, tanhaai
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai - 2

(Khwaab mein dekha tha ek aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapnon ke shishe
Chubte hai in aankhon mein) - 2
Kal koi tha yahin, ab koi bhi nahin
Banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi
Tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi - 2

(Kyoon aisi umeed ki maine
Jo aise naakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui) - 2
Ab kahan jaaoon main, kisko samjhaaoon main
Kya maine chaaha tha aur kyoon kismat mein aayi
Tanhaai, tanhaai, jaise andhero ki ho gehraayi
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai - 2
Tanhaai, tanhaai, tanhaai, tanhaai
~NM~
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #93 on: December 30, 2008, 10:11:31 AM »
Nice sharing Shivam Ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #94 on: December 30, 2008, 09:36:50 PM »
el se bad ker ek gaane hai apki collection main. good sharing pank ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #95 on: December 30, 2008, 09:52:13 PM »
Dil Ke Jharoke Mein Tujko Bithakar
Yadoon Ko Teri Maein Dulhan Banakar
Rakhoonga Maein Dil Ke Paas
Mat Ho Meri Jaan Udaas,
Dil Ke Jharoke...

Kal Tere Jalwe Paraye Bhi Honge
Lekin Jhalak Mere Khwabon Mein Hogi
Phoolon Ki Doli Mein Hogi Tu Rukhsat
Lekin Mehak Meri Sanson Mein Hogi,
Dil Ke Jharoke...

Ab Bhi Tere Surkh Hothon Ke Pyale
Mere Tassavur Mein Saki Baney Hain
Ab Bhi Teri Zulf Ke Mast Saye
Birha Ki Dhoop Mein Sathi Baney Hain,
Dil Ke Jharoke...

Meri Mohabbat Ko Thukra De Chahe
Maein Koi Tujhse Na Shikva Karoonga
Aankhon Mein Rehti Hai Tasveer Teri
Sari Umar Teri Pooja Karoonga,
Dil Ke Jharoke...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #96 on: December 30, 2008, 09:53:15 PM »
wah kaya baat hai, bahoot he acha gana apne yaha hum sab ke sath share kiyahai Rajesh ji...shukaria
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #97 on: December 30, 2008, 09:57:39 PM »
Thanks for appreciation Pooja Ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #98 on: December 31, 2008, 06:21:21 AM »
el se bad ker ek gaane hai apki collection main. good sharing pank ji
shukriya Poojaji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #99 on: December 31, 2008, 10:52:26 PM »

Movie-KAANTE
Maahi Ve
Singer(s): RICHA SHARMA AND SUKHWINDER SINGH

<a href="http://www.youtube.com/v/Uyc4d8RZrrQ&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/Uyc4d8RZrrQ&rel=1</a>
--FEMALE--
Maahi ve, mohabbataan sachiyaane - 2
Mangda naseeba kuch aur hai
Kismat de maare assi ki kariye - 2
Kismat de maare o assi ki kariye
Kismat pe kis ka zor hai
Maahi ve maahi ve, maahi ve maahi ve
(Ek taraf ishq hai tanha tanha
Ek taraf husn hai ruswa ruswa) - 2

--MALE--
Dono bebas hue hain
Kuch aise kare to kisse kare hum shikwa

--FEMALE--
Maahi ve
Maahi ve, shikaetaan sachiyaane
Mangda naseeba kuch aur hai
Maahi ve, mohabbataan sachiyaane
Mangda naseeba kuch aur hai

--MALE--
Maahi ve, maahi ve, ve

--FEMALE--
(Dil na toote, khuda ka yeh ghar hai
Tere sajde mein mera yeh sar hai) - 2

--MALE--
Maut se darr nahin lagta mujhko
Sirf tumse judaai ka darr hai

--FEMALE--
Maahi ve
Maahi ve, aeneetaan sachiyaane
Mangda naseeba kuch aur hai
O maahi ve, mohabbataan sachiya ne
Mangda naseeba kuch aur hai
Kismat de maare assi ki kariye
Kismat de maare o assi ki kariye
Kismat de maare assi ki kariye
Kismat pe kis ka zor hai

--MALE--
Maahi ve maahi ve, maahi ve maahi ve
Maahi ve, maahi ve, maahi ve, maahi ve, maahi ve
Logged
Pooja
Guest
«Reply #100 on: December 31, 2008, 10:55:36 PM »
nice sharing PANK JI
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #101 on: December 31, 2008, 10:59:35 PM »
Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
Bholi surat waala nikla lutera
Raat chhupaaye dil mein munh pe savera
Oye humne dil nisaar kiya
Usko beqaraar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
De gayi dhoka hamein neeli neeli aankhen
Neeli neeli aankhen
Sooni hai dil ki mehfil, bheegi bheegi aankhen
O bheegi bheegi aankhen
Oye humne aitbaar kiya
Ulfat ka ikraar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
Ek bewafa se pyaar kiya
Usse nazar ko chaar kiya
Haai re humne yeh kya kiya, haai kya kiya
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #102 on: December 31, 2008, 11:03:57 PM »
nice sharing PANK JI
Shukriya Poojaji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #103 on: December 31, 2008, 11:06:38 PM »
Shukriya Rajesh ji
Ek Request hai aapse
Ho sake toh Film ka naam bhi Add kare
Taki Jo Chiz ham share kar rahe hai vo logo ko pasand aaye toh khojne me aasani ho
Thanx Again for Nice song Rajesh ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #104 on: December 31, 2008, 11:09:12 PM »

O K Shivam Ji aage se khayaal rakkhenge

Film Awaaraa
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 32
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:38:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer