My All Time Favourite Songs...................

by Talat on May 20, 2005, 07:08:13 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 30
Print
Author  (Read 35550 times)
Talat
Guest
Ankhiyon Ke Jharokhon Se Maine Dekha Jo Saanware
Tum Door Nazar Aaye Badi Door Nazar Aaye
Band Karke Jharokhon Ko Zara Baithee Jo Sochne
Man Mein Tumhi Muskaye Man Mein Tumhi Muskaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se

Ek Man Tha Mere Paas Woh Ab Khone Laga Hai
Paakar Tujhe Hai Mujhe Kuchh Hone Laga Hai
Ek Tere Bharose Pe Sab Baithee Hoon Bhool Ke
Yoon Hi Umar Guzar Jaye Tere Saath Guzar Jaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Jeeti Hoon Tujhe Dekh Ke Marti Hoon Tumhi Pe
Tum Ho Jahan Saajan Meri Duniya Hai Wahin Pe
Din Raat Dua Maange Mera Man Tere Waaste
Kabhi Apni Ummeedon Ka Kahin Phool Na Murjhaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Maein Jab Se Tere Pyar Ke Rangon Mein Rangi Hoon
Jaagte Hue Soi Nahin Neendon Mein Jagi Hoon
Mere Pyar Bhare Sapne Kahin Koi Na Chheen Le
Man Soch Ke Ghabraye Yahi Soch Ke Ghabraye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My favourite songs............. by khushiiiii in Songs & Lyrics « 1 2 ... 26 27 »
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
Talat
Guest
«Reply #1 on: May 20, 2005, 07:08:37 AM »
Tere bina zindagi se koi
shikwa to nahi...shikwa to nahi
shikwa to nahi...shikwa to nahi

Ji main aata hai tere daaman me
Sir chupa ke hum, rote rahen..rote rahen
Teri bhi ankhon me aansuon ki nami to nahin....
Tere bina zindagi se koi
shikwa to nahi...shikwa to nahi

Kaash aisa hi tere qadmon se
chun ke manzil chalen
door kahin....aur kahin....
tum gar paas ho manzilon ki kami to nahin...

Tere bina zindagi se koi
shikwa to nahi...shikwa to nahi
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: May 20, 2005, 07:09:09 AM »
main ye soch kar uske dar se utha tha
ke wo rok legi mana legi mujhko

hawaon mein lehraata tha aata tha daaman
ke daaman pakad kar bitha legi mujhko

kadam aise andaaz se uth rahe the
ke aawaz dekar bula legi mujhko

magar usne roka, na usne manaya
na daaman hi pakda, na mujhko bithaaya
na aawaz hi di na waapas bulaaya

main aahista aahista badhta hi aaya
yahan tak ki us se juda ho gaya main
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: May 20, 2005, 07:14:05 AM »
tujhse naaraaz nahin zindagi hairaan hoon main
hairaan hoon main
tere masoom sawaalon se pareshaan hoon main
o pareshaan hoon main

jeene ke liye socha hi nahi, dard sambhaalne honge
muskuraaun to, muskuraane ke karz utaarne honge
muskuraaun kabhi to lagta hai
jaise honton pe karz rakha hai
tujhse ...

aaj agar bhar aayi hain, boonden baras jaayengi
kal kya pata kinke liye aankhen taras jaayengi
jaane kahaan gum hua kahaan khoya
ek aansu chupaake rakha tha
tujhase ...
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: May 20, 2005, 07:16:13 AM »
wo jab yaad aaye bahot yaad aaye
ghum-e-zindagi ke andhere main humne
chiraag-e-mohabbat jalaae bujhaae

aahaten jaag uthiin raaste hans diye
thaamkar dil uthe hum kisii ke liye
kai baar aisaa bhii dhokhaa huaa hai
chale aa rahe hain wo nazaren jhukaae

dil sulagne lagaa ashq bahne lage
jaane kyaa-kyaa humain log kahne lage
magar rote-rote hansii aa gai hai
khayaalon main aake wo jab muskuraae

wo judaa kyaa huye zindagii kho gai
shamaa jaltii rahii roshnii kho gai
bahot koshishen kiin magar dil na bahlaa
kai saaz chhede kai geet gaaye

wo jab yaad aaye bahot yaad aaye
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 20, 2005, 07:16:50 AM »
Mujhe dard-e-dil ka pata na tha
Mujhe aap kis liye mil gaye...
Main akele yunhi maze main tha...
Mujhe aap kis liye mil gaye....


Yunhi apne apne safar main gum
Kahin door main kahin door tum
Chale ja rahe the juda juda
Mujhe aap kis liye mil gaye..

Mujhe dard-e-dil ka pata na tha
Mujhe aap kis liye mil gaye...

Na main chaand hoon kisi shaam ka
Na chiraagh hoon kisi baam ka
Main to raaste ka hoon ek diya
Mujhe aap kis liye mil gaye

Mujhe dard-e-dil ka pata na tha
Mujhe aap kis liye mil gaye...
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: May 20, 2005, 07:21:56 AM »
tum bin jaaun kahan,  ki duniya main aake
kuch na phir chaaha kabhi, tumko chaah ke
tum bin jaaun kahan ...

rah bhi sakoge tum kaise, ho ke mujhse juda
dheh jaaengi deewaaren, sun ke meri sada
aanaa hi hoga tumhen mere liye
saathi meri, sooni raah ke ...
tum bin jaaun kahan

kitni akeli si pahle, thi yahi duniya
tumne nazar jo mila li, bas gai duniya
dil ko mili jo tumhaari lagan
diye jal gaye, meri aah se ...
tum bin jaaun kahan

dekho mere ghum ki kahaani, kisi se mat kahna
kahin meri baat chale to, sunke chup rahna
mera kya hai kat jaaygi kahin
ye zindagi, tumko chaah ke ...

tum bin jaaun kahan,  ki duniya main aake
kuch na phir chaaha kabhi, tumko chaah ke
tum bin jaaun kahan ...
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #7 on: May 20, 2005, 07:35:55 AM »
Jo meri rooh ko chain de pyar de
woh khushi ban gaye ho tum
zindagi ban gaye ho tum
zindagi ban gaye ho tum

Jism se jaan tak paas aate gaye
in nigaho se dil me samate gaye
jis hasee khawab ki thi tamanna mujhe
haa wohi ban gaye ho tum
zindagi ban gaye ho tum

Har kisi se jise mai chhupati rahi
bekhudhi me jise gungunati rahi
Maine tanha kabhi
jo likhi thi wohi shayri ban gaye ho tum
zindagi ban gaye ho tum
Logged
Suhas
Guest
«Reply #8 on: May 20, 2005, 08:44:40 AM »
Quote


Mujhe dard-e-dil ka pata na tha
Mujhe aap kis liye mil gaye...
Main akele yunhi maze main tha...
Mujhe aap kis liye mil gaye....


Yunhi apne apne safar main gum
Kahin door main kahin door tum
Chale ja rahe the juda juda
Mujhe aap kis liye mil gaye..

Mujhe dard-e-dil ka pata na tha
Mujhe aap kis liye mil gaye...

Na main chaand hoon kisi shaam ka
Na chiraagh hoon kisi baam ka
Main to raaste ka hoon ek diya
Mujhe aap kis liye mil gaye

Mujhe dard-e-dil ka pata na tha
Mujhe aap kis liye mil gaye...


I like Mukesh... is this song from Dil bhi tera hum bhi tere?Huh??

Talat ji... very nice collections.....  Usual Smile  Usual Smile  Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: May 20, 2005, 11:05:29 AM »
Thanks Saba for your contribution happy9

Thanks !! Suhas happy9  Well this song is from movie Akash Deep and sung by Mohd Rafi happy9
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: May 20, 2005, 12:24:39 PM »
Raaton ke saaye ghane...
Jab bojh dil par bane
Na to jale baati...
na ho koi saathi
Phir bhi na darr agar bujhe diye...
sahar to hai tere liye............

Jab bhi mujhe kabhi koi jo ghum ghere
Lagta hai honge nahin sapne ye poore mere
Kehta hai dil mujhko ...maana hai ghum tujhko..
Phir bhi na darr agar bujhe diye...
sahar to hai tere liye............

Jab na chaman khile mera baharon main
Jab doobne main lagun raaton ke majhdhare main
Mayoos man dole ... tab ye gagan bole
Phir bhi na darr agar bujhe diye...
sahar to hai tere liye............

Jab zindagi kisi tarah bahalti nahin
Khaamoshiyon se bhari jab raat dhalti nahin
Tab muskuraaun main..yeh geet gaaun main
Phir bhi na darr agar bujhe diye...
sahar to hai tere liye............
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: May 20, 2005, 12:29:01 PM »
Lag ja gale se ki phir ye haseen raat ho na ho
Shayad phir is janam me mulaaqaat ho na ho
Lag ja gale se ............

Humko mili hain aaj ye ghadiyaan naseeb se
Ji bhar ke dekh lijiye humko qareeb se
Phir aapke naseeb main ye baat ho na ho
Shayad phir is janam me mulaaqaat ho na ho
Lag ja gale se ............

Paas aaiye ki hum nahin aayenge baar baar
Baahen gale me daal ke hum ro len zaarozaar
Ankhon se phir ye pyar ki barsaat ho na ho
Shayad phir is janam me mulaaqaat ho na ho
Lag ja gale se ............
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: May 20, 2005, 01:02:06 PM »
Ye dil aur unki nigaahon ke saaye
Mujhe gher lete hain baahon ke saaye

Paharhon ko chanchal kiran choomti hai
Hawa har nadi ka badan choomti hai
Yahan se wahan tak hain chahon ke saaye
Ye dil aur unki nigaahon ke saaye....

Lipat te ye perhon se badal ghanere
Ye pal pal ujaale ye pal pal andhere
Bohot thande thande hain raahon ke saaye
Ye dil aur unki nigaahon ke saaye....

Dhadakte hain dil kitni azaadiyon se
Bohot milte julte hain in waadiyon se
Mohabbat ke rangeen panahon ke saaye
Ye dil aur unki nigaahon ke saaye........
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: May 20, 2005, 01:09:04 PM »
Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
Phir mujhe nargisi aankhon ka sahara de de
Mera khoya hua rangeen nazara de de

Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam.....

Ae mere khwaab ki taabeer meri jaan-e-ghazal
Zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai
Raat din mujhko satata hai tasavvur tera
Dil ki dhadkan tujhe awaaz diye jaati hai
Aa mujhe apni sadaaon ka sahara de de
Mera khoya hua rangeen nazara de de

Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam.....

Yaad hai mujhko meri umr ki pehli wo ghadi
Teri aankhon se koi jaam piya tha maine
Meri rag rag main koi barq si lehraayi thi
Jab tere marmari haathon ko chuaa tha maine
Aa mujhe phir unhi haathon ka sahara de de
Mera khoya hua rangeen nazara de de

Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam.....

Saamne aa ke zara parda utha de rukh se
Ek yahi mera ilaaj-e-ghum-e-tanhaaiyi hai
Teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko
Ab to mil ja ke meri jaan pe ban aayi hai
Dil ko bhooli hui yaadon ka sahara de de
Mera khoya hua rangeen nazara de de

Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: May 20, 2005, 01:29:34 PM »
O saathi re.....tere bina bhi kya jeena
tere bina bhi kya jeena...

jaane jaise anjaane hi aan basa koi paagal man main
apna sab kuch kho baithe hain paagal man ke pagalpan main
dil ke afsaane, main jaanu tu jaane, aur ye jaane koi na.....
tere bina bhi kya jeena....O saathi re...

Har dhadkan me pyaas hai teri saanson me teri khushbu hai
Is dharti se us ambar tak meri nazar me tu hi tu hai
pyaar ye tute na, tu mujhse roothe na, saath ye chute kabhi na....
tere bina bhi kya jeena....O saathi re...

tujh bin jogan meri raatain tujh bin mere din banjaare
mera jeevan jalti boonden bujhe bujhe mere sapne saare
tere bina meri, mere bina teri, ye zindagi zindagi na...
tere bina bhi kya jeena....O saathi re...
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:15:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer