My All Time Favourite Songs...................

by Talat on May 20, 2005, 07:08:13 AM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 30
Print
Author  (Read 35507 times)
Suhas
Guest
«Reply #195 on: July 08, 2005, 04:18:34 AM »
Quote from: "pyarikudi1983"
Ye daulat bhi le lo...ye shohrat bhi le lo...bhale chin lo mujhse meri jaawani........magar mujhko lauta do vo baachpan ka saawan...Wo kagaz ki khasti Wo baarish ka pani................. :?

Muhaale ki sabse puraani inshani....
Wo budhiya jise baache kehte the nanii....
wo nani ke baatoin mein pyaarion ka dera.......
Wo chehre ke juhriyoon mein sadiyon ka fera...
Bhulaye nahi bhul sakta hai koi..........
Wo choti si raatein Wo lambi kahani............................ :cry:

Kadi dhup mein aapne gharse nikalna..
Wo chidiya Wo bulbul Wo titli pakadna...
Wo gudiya ki shaadi pe ladna-jhagadna....
Wo jhulo se jirna..WO girke sambhalna..
Wo peetal ke chalo ke pyaare se Thoofe....
Wo tuti hui Chudiyon ki inshani...........
Wo kagaz ki khasti...wo baarish ka pani.........

 :cry:  :cry:  :cry:


Nice Song...........................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My favourite songs............. by khushiiiii in Songs & Lyrics « 1 2 ... 26 27 »
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
Talat
Guest
«Reply #196 on: July 09, 2005, 07:00:43 AM »
NIce songs...Bhambra and Sweet Girl..........!!!!!!!!!!!!
Logged
bhambra
Guest
«Reply #197 on: July 09, 2005, 10:07:25 AM »
Quote from: "Talat"
NIce songs...Bhambra and Sweet Girl..........!!!!!!!!!!!!


Thanks Talat..
Logged
pyarikudi1983
Guest
«Reply #198 on: July 09, 2005, 03:49:30 PM »
Quote from: "Talat"
NIce songs...Bhambra and Sweet Girl..........!!!!!!!!!!!!


Thanxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx yaar sweety pie :lol:  :lol:  :lol:
Logged
Talat
Guest
«Reply #199 on: July 10, 2005, 05:31:45 PM »
Welcome yaar ..................... Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #200 on: July 10, 2005, 05:35:18 PM »
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein
Har Dam Har Pal Bechaini Hai Kaun Bala Hai Seene Mein

Is Dharti Par Jis Pal Suraj Roz Savere Ugta Hai
Apne Liye To Theek Usi Pal Roz Dhala Hai Seene Mein
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein

Jaane Yeh Kaisi Aag Lagi Hai Is Mein Dhuaan Na Chingari
Ho Na Ho Us Paar Kahin Koi Khwaab Jala Hai Seene Mein
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein

Jis Raste Par Tapta Suraj Sari Raat Nahi Dhalta
Ishq Ki Aisi Raah Guzar Ko Hum Ne Chuna Hai Seene Mein
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein

Kahan Kise Ke Liye Hai Mumkin Sab Ke Liye Ek Sa Hona
Thoda Sa Dil Mera Bura Hai Thoda Bhala Hai Seene Mein
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein
Har Dam Har Pal Bechaini Hai Kaun Bala Hai Seene Mein
Logged
Yoindian Ghunda
Guest
«Reply #201 on: July 11, 2005, 07:13:45 AM »
mera sab tu chnga song ve

ais tu dada dukh na koi
kise da yaar na vichrey


Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
Logged
bhambra
Guest
«Reply #202 on: July 11, 2005, 08:48:13 AM »
Quote from: "Talat"
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein
Har Dam Har Pal Bechaini Hai Kaun Bala Hai Seene Mein

Is Dharti Par Jis Pal Suraj Roz Savere Ugta Hai
Apne Liye To Theek Usi Pal Roz Dhala Hai Seene Mein
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein

Jaane Yeh Kaisi Aag Lagi Hai Is Mein Dhuaan Na Chingari
Ho Na Ho Us Paar Kahin Koi Khwaab Jala Hai Seene Mein
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein

Jis Raste Par Tapta Suraj Sari Raat Nahi Dhalta
Ishq Ki Aisi Raah Guzar Ko Hum Ne Chuna Hai Seene Mein
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein

Kahan Kise Ke Liye Hai Mumkin Sab Ke Liye Ek Sa Hona
Thoda Sa Dil Mera Bura Hai Thoda Bhala Hai Seene Mein
Awaarapan Banjarapan Ek Khala Hai Seene Mein
Har Dam Har Pal Bechaini Hai Kaun Bala Hai Seene Mein


This is a lovely song talat, i like it.
Logged
bhambra
Guest
«Reply #203 on: July 11, 2005, 08:51:26 AM »
Tanhaai, tanhaai
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai - 2

(Khwaab mein dekha tha ek aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapnon ke shishe
Chubte hai in aankhon mein) - 2
Kal koi tha yahin, ab koi bhi nahin
Banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi
Tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi - 2

(Kyoon aisi umeed ki maine
Jo aise naakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui) - 2
Ab kahan jaaoon main, kisko samjhaaoon main
Kya maine chaaha tha aur kyoon kismat mein aayi
Tanhaai, tanhaai, jaise andhero ki ho gehraayi
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai - 2
Tanhaai, tanhaai, tanhaai, tanhaai
Logged
bhambra
Guest
«Reply #204 on: July 11, 2005, 08:52:33 AM »
Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge
Maine Socha Na Tha
Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge
Maine Socha Na Tha

Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen
Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen
Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen
Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen
Maine Socha Na Tha

Dil Ki Daali Pe Kaliyaan Si Khilne Lagin
Jab Nigaahein Nigaahon Se Milne Lagin
Dil Ki Daali Pe Kaliyaan Si Khilne Lagin
Jab Nigaahein Nigaahon Se Milne Lagin
Ek Din Is Tarah Hosh Kho Jayenge
Paas Aaye To Madhosh Ho Jayenge
Maine Socha Na Tha

Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge
Maine Socha Na Tha

Jagamagati Hui Jaagti Raat Hai
Raat Hai Ya Sitaaron Ki Barsaat Hai
Jagamagati Hui Jaagti Raat Hai
Raat Hai Ya Sitaaron Ki Barsaat Hai
Ek Din Dil Ki Raahon Mein Apne Liye
Jal Uthenge Mohabbat Ke Itne Diye
Maine Socha Na Tha

Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen
Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen
Maine Socha Na Tha

Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge
Maine Socha Na Tha

Maine Socha Na Tha
Maine Socha Na Tha .
Logged
bhambra
Guest
«Reply #205 on: July 11, 2005, 08:54:28 AM »
--FEMALE--
Mm mm mm, mm mm mm mm
Mm mm mm mm mm mm, mm mm mm mm, mm mm mm mm
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai - 2
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
La la la la la la, la la la la la la
Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se ek umr churaani hai

--MALE--
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

--BOTH--
Ek pyar ka nagma hai

--MALE--
Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon

--FEMALE--
Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon
Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

--BOTH--
Ek pyar ka nagma hai

--MALE--
Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
Logged
bhambra
Guest
«Reply #206 on: July 11, 2005, 08:55:02 AM »
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise khilta gulaab
Jaise shaayar ka khwaab
Jaise ujli kiran
Jaise van mein hiran
Jaise chaandni raat
Jaise naghme ki baat
Jaise mandir mein ho ek jalta diya
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise subahon ka roop
Jaise sardi ki dhoop
Jaise veena ki taan
Jaise rangon ki jaan
Jaise balkhaaye bel
Jaise lehron ka khel
Jaise khushboo liye aaye thandi hava
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise naachta mor
Jaise resham ki dor
Jaise pariyon ka raag
Jaise sangdal ki aag
Jaise sola sighaar
Jaise rasti fuhaar
Jaise aahista aahista badhta nasha
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga .
Logged
bhambra
Guest
«Reply #207 on: July 12, 2005, 11:04:59 AM »
Haai ho, oh ho ho, oh oh ho ho ho
Yeh gazal hai na geet hai koi
Yeh mere dard ki kahaani hai
Mere seene mein sirf, ho
Mere seene mein sirf shole hai
Meri aankhon mein sirf paani hai
Kabhi bekasi ne maara - 2
Oh, kabhi bebasi ne maara
Kabhi bekasi ne maara
Oh, kabhi bebasi ne maara
Gila maut se nahin hai - 2
Mujhe zindagi ne maara
Kabhi bekasi ne maara
Oh, kabhi bebasi ne maara
(Muqaddar pe kuch zor chalta nahin
Voh mausam hai yeh jo badalta nahin) - 2
Kahin thi yeh badnaseebi
Oh, kahin thi meri gareebi - 2
Kis kis ka naam loon main
Oh, kis kis ka naam loon main
Mujhe har kisi ne maara
Gila maut se nahin hai - 2
Mujhe zindagi ne maara
Kabhi bekasi ne maara
Oh, kabhi bebasi ne maara
(Bemurawwat bewafa duniya hai yeh
Hai yehi duniya to kya duniya hai yeh) - 2
Na kami thi doston ki
Na kami thi dushmanon ki
Oh, na kami thi dushmanon ki
Kahin dushmani ne loota - 2
Kahin dosti ne maara
Gila maut se nahin hai - 2
Mujhe zindagi ne maara
Kabhi bekasi ne maara
Kabhi bebasi ne maara
(Ujaalon se veshat mujhe ho gayi hai
Andheron ki aadat mujhe ho gayi hai) - 2
Raha jab talak andhera
Oh, kata khoob waqt mera - 2
Mujhe chaandni ne loota
Oh, mujhe chaandni ne loota
Mujhe roshni ne maara
Gila maut se nahin hai - 2
Mujhe zindagi ne maara
Kabhi bekasi ne maara
Kabhi bebasi ne maara
Kabhi bekasi ne maara
Oh, kabhi bebasi ne maara
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #208 on: July 12, 2005, 11:12:16 AM »
Quote from: "bhambra"
--FEMALE--
Mm mm mm, mm mm mm mm
Mm mm mm mm mm mm, mm mm mm mm, mm mm mm mm
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai - 2
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
La la la la la la, la la la la la la
Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se ek umr churaani hai

--MALE--
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

--BOTH--
Ek pyar ka nagma hai

--MALE--
Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon

--FEMALE--
Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon
Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

--BOTH--
Ek pyar ka nagma hai

--MALE--
Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai


nice song Bhambra..................
Logged
bhambra
Guest
«Reply #209 on: July 12, 2005, 11:19:21 AM »
Thanks khushi, Chalo koi to reply diya :o , by the way baki sab gana kaisi lagi? Puzzled !
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 06:09:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer