My All Time Favourite Songs...................

by Talat on May 20, 2005, 07:08:13 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 30
Print
Author  (Read 35489 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: May 28, 2005, 06:38:16 AM »
In this album of Pal..by KK i love this dosti waala part......

Yaaron dosti badi hi haseen hai
yeh na ho to kya phir bolo ye zindagi hai
Koi to ho raazdaar begharaz tera ho yaar
koi to ho raazdaar....

Teri har ek burai pe dante wo dost
Ghum ki ho dhoop to saaya bane tera wo dost
Naache bhi wo teri khushi main....
Arre yaaron dosti badi hi haseen hai ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My favourite songs............. by khushiiiii in Songs & Lyrics « 1 2 ... 26 27 »
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
Talat
Guest
«Reply #46 on: May 28, 2005, 06:46:13 AM »
Another one from Pal....

Hum rahen ya na rahen kal...
kal.. yaad ayenge yeh pal
pal yeh hain pyaar ke pal
chal aa mere sang chal
Chal.. soche kya
Choti si hai zindagi
Kal mil jaayen to hogi khushnaseebi.....

Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal....

Shaam ka aanchal orh ke aayi
Dekho wo raat suhaani
Aa likh den hum dono milke
Apni yeh prem kahaani...
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal

Aane waali subah jaane
Rang kya laaye deewani
Meri chaahat ko rakh lena
Jaise koi nishaani
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal...
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: May 30, 2005, 05:15:31 AM »
From Choti si baat...

Na jaane kyun, hota hai ye zindagi ke saath
achanak ye man...kisi ke jaane ke baad
kare phir uski yaad..chhoti chhoti si baat
na jaane kyun.....

wo anjaan pal...
Dhal gaye kal.. aaj wo..rang badal badal
man ko machal machal...
rahen na chal.... na jaane kyun....wo anjaan pal
tere bina mere naino main..
Toote re haaye re sapnon ke mahal
na jaane kyun, hota hai yeh zindagi ke saath ...

wahi hai dagar...wahi hai safar..
hai nahin...saath mere magar
ab mera hamsafar...dhoonde nazar
na jaane kyon, wahi hai dagar
kaha gayeen shamain madbhari
wo mere, mere wo din gaye kidhar
na jaane kyun, hota hai ye zindagi ke saath ...
Logged
Talat
Guest
«Reply #48 on: May 30, 2005, 05:21:08 AM »
I really love this song..always leaves me in tears !!

Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono
Chalo ek baar phir se ....

Na main tumse koi ummeed rakhun dilnawazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadayen meri baaton se
Na zaahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se...
Chalo ek baar phir se ....

Tumhe bhi koi uljhan rokti hai peshqadmi se
Mujhe bhi log kehte hain ki ye jalwe paraye hain
Mere humraah bhi ruswaaiyaan hain mere maazi ki
Tumhare saath bhi guzri hi raaton ke saaye hain
Chalo ek baar phir se ....

Taarruf rog ban jaaye to usko bhoolna behtar
Taalluq bojh ban jaaye to usko todna achccha
Wo afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsurat morh ke de kar chorhna achcha
Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: May 30, 2005, 08:42:27 AM »
Abhi alwida mat kaho doston..
Na jaane kahan phir mulaaqat ho
Kyunki...

Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Khwaabon hi main ho chahe mulaaqat to hogi
Beete hue lamhon....

Ye pyar me doobi hui rangeen fizaain
Ye chehre ye ankhain ye jawan rut ye nazare
Hum jaayen kahin inki mahak saath to hogi..
Beete hue lamhon....

Phoolon ki tarah dil me basaye hue rakhna
Yaadon ke chiraaghon ko jalaye hue rakhna
Lamba hai safar isme kahin raat to hogi...
Beete hue lamhon....

Ye saath guzaare hue lamhaat ki daulat
Jazbaat ki daulat ke khayaalat ki daulat
Kuch saath na ho saath ye saughaat to hogi
Beete hue lamhon....
Logged
Suhas
Guest
«Reply #50 on: May 30, 2005, 08:48:42 AM »
Quote from: "Talat"
I really love this song..always leaves me in tears !!

Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono
Chalo ek baar phir se ....

Na main tumse koi ummeed rakhun dilnawazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadayen meri baaton se
Na zaahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se...
Chalo ek baar phir se ....

Tumhe bhi koi uljhan rokti hai peshqadmi se
Mujhe bhi log kehte hain ki ye jalwe paraye hain
Mere humraah bhi ruswaaiyaan hain mere maazi ki
Tumhare saath bhi guzri hi raaton ke saaye hain
Chalo ek baar phir se ....

Taarruf rog ban jaaye to usko bhoolna behtar
Taalluq bojh ban jaaye to usko todna achccha
Wo afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsurat morh ke de kar chorhna achcha
Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono



Very beautiful song Talat ji..... i too love this song very much
Logged
Talat
Guest
«Reply #51 on: May 30, 2005, 11:29:17 AM »
Yes Suhas........... its really beautuful and sentimental song !!

Another one....

Bahaaron ne mera chaman loot kar
Khizaan ko ye ilzaam kyun de diya
Kisi ne chalo dushmani ki magar
Ise dosti naam kyun de diya
Bahaaron ne mera chaman loot kar...

Main samjha nahin ae mere humnasheen
Mujhe ye saza phir mili kis liye
Ki saaqi ne lab se mere cheen kar
kisi aur ko jaam kyun de diya
Bahaaron ne mera chaman loot kar....

Mujhe kya pata tha kabhi ishq main
Raqeebon ko qaasid banate nahin
Qata ho gayi mujhse qaasid mere
Tere haath paighaam kyun de diya
Bahaaron ne mera chaman loot kar....

Khudaaya yahan tere insaaf ke
Bohot maine charche sune hain magar
Saza ki jagah ek qatawaar ko
Bhala tune inaam kyun de diya
Bahaaron ne mera chaman loot kar....
Logged
Talat
Guest
«Reply #52 on: May 30, 2005, 11:44:12 AM »
dil se tujhko bedili hai, mujhko hai dil ka ghuroor
tu ye maane ke na maane, log maanenge zuroor

ye mera deewaanapan hai, ya mohabbat ka suroor
tu na pahchaane to hai ye, teri nazaron ka qusoor
ye mera deewaanapan hai...

dil ko teri hi tamanna, dil ko hai tujhse hi pyaar
chaahe tu aaye na aaye, hum karenge intezaar
ye mera deewaanapan hai....

aise veeraane main ek din, ghut ke mar jaayenge hum
jitna ji chaahe pukaaro, phir nahin aayenge hum
ye mera deewaanapan hai...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #53 on: May 31, 2005, 09:12:24 AM »
nice one talat ...gr888....!!

my all time fav bahut hain magar un mein se ek ashiqui ka hai

ab tere bin jee lenge hum...
zeher zindagi ka pee lenge hum...
Logged
Talat
Guest
«Reply #54 on: May 31, 2005, 03:20:04 PM »
Thanks a lot !!! ................................. Salma !!!!!!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #55 on: June 02, 2005, 08:21:19 AM »
Koi sachche khwaab dikha kar aankhon me sama jata hai
Yeh Rishta kya kehlata hai
Yeh Rishta kya kehlata hai
Yeh Rishta kya kehlata hai
Yeh Rishta kya kehlata hai......

Jab suraj thakne lagta hai ..aur dhoope simatne lagti hai
Koi anjaani si cheez meri saanson se lipatne lagti hai...
Main dil ke qareeb aa jaati hoon, dil mere qareeb aa jaata hai...
Yeh Rishta kya kehlata hai
Yeh Rishta kya kehlata hai......

Tasveer banati rehti hoon main tooti hui aawazon par
Ek chehra dhoondti rehti hoon...deewaron kabhi darwazon par...
Main apne paas nahin rehti..aur door se koi bulata hai..
Yeh Rishta kya kehlata hai
Yeh Rishta kya kehlata hai
Yeh Rishta kya kehlata hai
Yeh Rishta kya kehlata hai......
Logged
sonia_babe
Guest
«Reply #56 on: June 03, 2005, 01:57:45 AM »
kabhi dil ke karib
tume aapne nasib
uin laye ge
socha  na ta

ek chahat ka paal
sab sawalo ka haal
uin  paye ge
socha na ta


film(socha na ta)
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #57 on: June 03, 2005, 02:25:16 AM »
Quote from: "sonia_babe"
kabhi dil ke karib
tume aapne nasib
uin laye ge
socha  na ta

ek chahat ka paal
sab sawalo ka haal
uin  paye ge
socha na ta


film(socha na ta)
hmmmmmmm nice
Logged
Talat
Guest
«Reply #58 on: June 03, 2005, 08:05:44 AM »
Thanks Sonia for your contribution ....!!

Toot ke dil ke tukde tukde ho gaye mere seene main
Aa gale lag ke mar jaayen kya rakha hai jeene main

Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aaspas
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aaspas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas...
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aaspas.....

Dard zamane main kam nahin milte
Sab ko mohabbat ke ghum nahin milte
Tootne waale dil hote hain kuch khaas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas....
Ankhiyon ko rehne de.......

Reh gayin dunya main naam ki khushian
Tere mere kis kaam ki khushian
Saari umar humko rehna hai yoon udaas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas....
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aaspas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas...
Ankhiyon ko rehne de.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #59 on: June 04, 2005, 05:12:00 AM »
There's a boy in my mind
and he knows i am thinking of him..
All my way through the day and the night
stars shine above me...
He's been gone for sometime
but i know i truley love him...
And iam singing a song
hoping he'll be back when he hears it......

my heart goes....
shalalala shalala in the morning
shalalala shalala in the sunshine
shalalala shalala in the evening
shalalala shalala just for you!

If your luck's gone away just like mine
you feel like crying....
Sing along maybe once maybe twice
lets try it together...
Some sweet day no one knows he'll return
and you'll be happy..
Shouting sweet in a song
listen to your heart it is singing...

my heart goes..
shalalala shalala in the morning
shalalala shalala in the sunshine
shalalala shalala in the evening
shalalala shalala just for you!!!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:38:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer