:::::::: My ChoicE ::::::::

by Saba_Saba on March 26, 2006, 11:22:42 AM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 5765 times)
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #15 on: April 17, 2006, 09:11:25 PM »
Saari mohabbat hume hi aazmati hai
Ek milti hai to dooji saath chhor jaati hai

Film: Arpan


likhne wale ne likh daale ...2
milan ke saath vichore
asa hun tur janae din reh gaye thore ...2

likhne wale ne likh dale
milan ke saath vichore
asa hun tur jaanae din reh gaye thore ...2

mushkil hai is sheher se jana...2
fir jaane kab hoga aana
yaad na aana bhool na jana...2
yeh dil kaisa hai deewana
char dino me is ne kitne
rishte naate jode
asa hun tur janae din reh gaye thore ...2

milna bicharna reet yehi hai...2
haar yehi hai jeet yehi hai
pyar yehi hai preeet yehi hai
mera aakhri geet yehi hai
is beran birha ne jaane
kitno ke dil tode
asa hun tur janae din reh gaye thore .. 2

duniya ke dastoor hai aise ...2
saare bandhan sapno jaise
dil gum seh leta hai waise
koi aansu roke kaise
jab beti doli me baithe ...2
babul ka ghar chhode

asa hun tur janae din reh gaye ...2
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
my Choice by Aman_with_u in Shayri-E-Dard
Some Shers Of my Choice by lamhay_terbin in Shairi - E - Zindagi
Life is all about Choice by TOUCHY in Inspirational Stories and real life Incidences.
~~~~~~ READER' S CHOICE ~~~~~~ by kashiif in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Styles.....Choice is urs.. by Sonu in Chit - Chat & General Discussion
waheed_rose2004
Guest
«Reply #16 on: April 18, 2006, 04:49:23 AM »
wonderfull  choice  Saba...........yeh sab songs mujhe  bahot bahot  pasand hai................very  nice  Pooja sis................
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #17 on: May 10, 2006, 03:11:34 PM »
Thankxx Waheed......... hw r u ? ....
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #18 on: May 10, 2006, 03:41:39 PM »
Film: Ek dooje ke liye

[Koshish kar ke dekh le
Darya saare nadiya saari
Dil ki lagi nahi bujhti
Bujhti hai har chingari ..!!!]

Hmmmmmmm mmm
Aa aaa aa..Aa aaa aa
Solah baras kiiiii
Solah baras ki baali umar ko salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam..salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam
Duniya me, sab se pehle, jis ne yeh dil diya
Duniya ke, sab se pehle, dilbar ko salam
Dil se nikalne wale, raste ka shukriyaaa
Dil tak pahonchne wali, dagar ko salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam.. salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam

Jis me jawan hokar badnaam hum huye
Jis me jawan hokar badnaam hum huye
Us sheher, us gali, us ghar ko salam
Jis ne hume milaya, jis ne juda kiya
Us waqt, us ghadi, us dagar ko salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam..salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam

Milte rahe yaha hum, yeh hai yaha likha
Is likhawaqt ki, zer-o-zabar ko salam
Sahil ki ret par yu, lehra utha yeh dil
Saagar me uthne wali, har leher ko salam
In mast gehri gehri aankho ki jheel me
Jis ne hume duboya, us bhanwar ko salam
Ghoongat to tod kar jo, sar se sarak gayi
Aisee nigodi dhani chunar ko salam
Ulfat ke dushmano neeeee
Ulfat ke dushmano ne.. koshish hazar ki
Fir bhi nahi jhuki jo, us nazar ko salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam

Solah baras ki baali umar ko salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam..salam
Aye pyar teri pehli nazar ko salam
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #19 on: May 10, 2006, 03:45:03 PM »
Film: Lucky

Aa ke bharlo bazuon mein
tumko hai kasam
jaan meri jaa rahi sanam
jaan meri jaa rahi sanam

Aa ke bharloo bazuon mein
tumko hai kasam
jaan meri jaa rahi sanam
hoo jaan meri jaa rahi sanam

Aa ki bharloo bazuon mein
tumko hai kasam
jaan meri jaa rahi sanam
jaan meri jaa rahi sanam

kya mohabbat hai
kya nazaara hai
kal talak ye dil tha mera
ab tumhara hai

kya tamanna hai
kya ishara hai
hamne to pal pal tadap ke
pal guzaara hai
ho hamne to pal pal tadap ke
pal guzaara hai

dekho dekho na
ab karo na mujhpe yu sitam
jaan meri jaa rahi sanam
hoo jaan meri jaa rahi sanam

Aa ki bharloo bazuon mein
tumko hai kasam
jaan meri jaa rahi sanam
jaan meri jaa rahi sanam

kya ladakpan hai
kya jawaani hai
ab tumhare naam saari zindagani hai

kya haqeeqat hai
kya kahaani hai
saamne mere, mere sapno ki rani hai
hoo saamne mere, mere sapno ki rani hai

ab saha na
ab saha na jaaye mujhse
doori ka ye gham
jaan meri jaa rahi sanam
hoo jaan meri jaa rahi sanam

Aa ke bharlo bazuon mein
tumko hai kasam
jaan meri jaa rahi sanam
jaan meri jaa rahi sanam
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #20 on: May 10, 2006, 03:51:47 PM »
The Style Guru Says......


Gud choice Saba JI!!! All songs are purely soulful......
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #21 on: May 10, 2006, 07:02:51 PM »
Thank you

Style Guru
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #22 on: May 12, 2006, 04:17:32 PM »
Film: Ghulami

Ooooooo
Zeehaale masti ma kunba ranjish
bahaal hijra bechara dil hai
sunayi deti hai jiski dharkan
tumhara dil ya humara dil hai
woh aake pehle me aise baitheeeee ...2
ke shaam rangeen ho gayi hia
ke sham rangeen ho gayi hai
ke sham rangeen ho gayi hai
zara zara si khili tabiyat
zara si gamgeen ho gayi hai
Zeehaale masti ma kunba ranjish
bahaal hijra bechara dil hai

Ajeeb hai dil ke darrrrd
ajeeb hai dil ke dard yaaro.n
na ho to mushkil hai jeena iska
jo ho to har dard ek heera
har ek gum hai nageena iska
Zeehaale masti ma kunba ranjish
bahaal hijra bechara dil hai
sunayi deti hai jiski dharkan
tumhara dil ya humara dil hai

kabhi kabhi shaaaam aise dhalti hai
jaise ghoonghat utar rahaaaa hai
utar raha hai
kabhi kabhi shaaaam aise dhalti hai
jaise ghoonghat utar rahaaaa hai
tumhare seene se uthta dhuwa
humara dil se guzar raha hai
Zeehaale masti ma kunba ranjish
bahaal hijra bechara dil hai
sunayi deti hai jiski dharkan
tumhara dil ya humara dil hai

Yeh sharm haiiiii ya haya hai
kya hai
nazar uthate hi jhuk gayi hai ...2
tumhari palko se gir ke shabnam
humari aankho me ruk gayi hai
Zeehaale masti ma kun ba ranjish
bahaal hijra bechara dil hai
sunayi deti hai jiski dharkan
tumhara dil ya humara dil hai
[/color][/i]
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #23 on: March 03, 2010, 08:48:49 PM »
Film: Tum Se Achha Kaun Hai

Ik duje pe marte they
Hum Pyar ki baatein karte they
Khawabo me khoye rehte they
baaho me soye rehte they
hum aashiq they, deewane they
is duniya se, begane they
Yeh un dino ki baat hai
jab hum paagal paagal phirte they
Yeh un dino ki baat hai
jab hum paagal paagal phirte they

kehte they kuchh sunte they
hum phool wafa k chunte they
kabhi hanste they kabhi rote they
hum yaar juda jab hote they
hume sab kuchh achha lagta tha
afsana saccha lagta tha
Yeh un dino ki baat hai
jab hum paagal paagal phirte they
Yeh un dino ki baat hai
jab hum paagal paagal phirte they

Tanhayi me jab milte they
dil me hulchul si hoti thi
hum dono jaagte rehte they
jab sari duniya soti thi
jab yaad tumhari aati thi
chahat ke nagme gate they
bechain deewani dhadkan ko
behlate they samjhate they
Yeh un dino ki baat hai
jab hum paagal paagal phirte they
Yeh un dino ki baat hai
jab hum paagal paagal phirte they

Ik duje pe marte they
Hum Pyar ki baatein karte they
Khawabo me khoye rehte they
baaho me soye rehte they
hum aashiq they, deewane they
is duniya se, begane they
Yeh un dino ki baat hai
jab hum paagal paagal phirte they
Yeh un dino ki baat hai
jab hum paagal paagal phirte they
phirte they, phirte theyyy

°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #24 on: March 03, 2010, 08:51:11 PM »
Film: Tum Se Achha Kaun Hai


Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho

Mere haalat aise hai
Ke mai kuchh kar nahi sakti
Tadapta hai yeh dil lekin
Mai aahein bhar nahi sakti
Zakhm hai hara hara aur tum
Chot khane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho

Zamane me bhala kaise
Mohabbat log karte hai
Zamane me bhala kaise
Mohabbat log karte hai
Wafa ke naam ki ab to
Shikayat log karte hai
Aag hai bujhi bujhi aur tum
Lao jalane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho

Kabhi jo khawab dekha to
Mili parchhaiya mujh ko
Kabhi jo khawab dekha to
Mili parchhaiya mujh ko
Mujhe mehfil ki khawahish thi
Mili tanhaiya mujh ko
Har taraf dhua dhua aur tum
Aashiyane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho


°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #25 on: March 03, 2010, 08:53:43 PM »
Film: Jahaan Ara


Phir wohi sham wohi gum wohi tanhayi hai
Dil ko samjhane teri yaad chali aayi hai

Phir wohi sham wohi gum wohi tanhayi hai
Dil ko samjhane teri yaad chali aayi hai
Phir wohi sham...

phir tasavvar tere pehlu me bitha jayega..2
phir gaya waqt ghadi bhar ko palat aayega
Dil behel jayega aakhir ko to sodayi hai

Phir wohi sham wohi gum wohi tanhayi hai
Dil ko samjhane teri yaad chali aayi hai
Phir wohi sham...

Jane ab tujhse mulaqat kabhi ho k na ho ..2
jo adhuri rahi woh baat kabhi ho k na ho
meri manzil teri manzil se bichhar aayi hai

Phir wohi sham wohi gum wohi tanhayi hai
Dil ko samjhane teri yaad chali aayi hai
Phir wohi sham...


°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #26 on: March 03, 2010, 08:59:57 PM »
Film:Jahaan Ara



[Tera gum khawar hu, lekin mai tujh tak aa nahi sakta
mai apne naam teri, bekasi likhwa nahi sakta]



Teri aankh k aansoo pee jaau
aisi meri takdeer kaha...2
tere gum me tujhko behlaau
aisi meri tadkeer kaha
teri aankh k aansoo pee jaau

aye kash jo milkar ro de
kuchh dard to halke hote
bekar na jate aansoo
kuchh daag jigar k dhoote
phir ranj na hota itna
hai tanhayi me jitna
ab jaane yeh rasta gum ka
hai aur b lamba kitna
haalat ki uljhan suljhaoo..2
aisi meri takdeer kaha
teri aankh k aansoo pee jaau


kya teri zulf ka lehra
hai ab tak wohi sunehra
kya ab tak tere dar pe
deti hai hawaye pehra
lekin yeh hai khawab ~khayali~
teri zulf bani hai sawali
muhtaj hai ek kali ki
ek roz thi phoolo wali

woh zulf paresha mehkaau..2
aisi meri takdeer kaha




°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #27 on: March 27, 2010, 07:01:43 AM »
Beautiful songs Saba ji and Pooja ji,thanks for sharing. icon_thumleft
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #28 on: March 27, 2010, 08:52:47 AM »
fILM :-ARMY

Dil mein kuchh hone laga
Hone de na hone de na
Chein mera khone laga
Khone de na khone de na

Dil mein kuchh hone laga
Hone de na hone de na
Chein mera khone laga
Khone de na khone de na
Mehki jawaani behke nazaare
Thandi hawaaein jalte sharaare
Uff ye suhaana sama pyaar ka

Dil mein kuchh hone laga
Hone de na hone de na
Chein mera khone laga
Khone de na khone de na

Main hoon tera majnu tu hai meri laila
Sadkon pe ghoomoonga banke tera chhaila
Hoga kahan aisa saudaai deewana
Paagal na ho jaaye zara isko samjhaana
Haan jo tu kahe main karke dikhaoon
Tere liye main marke dikhaoon
Mauka yehi to hai ikraar ka

Dil mein kuchh hone laga
Hone de na hone de na
Chein mera khone laga
Khone de na hone de na

Main star number one kyon samjhe re zero
Tu meri heroine hai main hoon tera hero
Tu chhod de jaani ye filmon ka chakkar
Na main koi actress na tu koi actor
Haan us din khulega kismat ka taala
Jis din milega ik film waala
Daawa hai jaana tere yaar ka

Dil mein kuchh hone laga
Hone de na hone de na
Chein mera khone laga
Khone de na hone de na

Palkhon mein rakh loongi tu hai mera saajan
Tanse laga loongi tu hai mera aanchal
Ye madbhari aankhein ye mastaana mukhda
Achchha nahin lagta ye door ka dukhda
Achchhi lage hai ye teri baatein
Kaisi guzaroon tanha main raatein
Daaman pakad le na dildaar ka

Dil mein kuchh hone laga
Hone de na hone de na
Chein mera khone laga
Khone de na hone de na
Mehki jawaani behke nazaare
Thandi hawaaein jalte sharaare
Uff ye suhaana sama pyaar ka

Dil mein kuchh hone laga
Hone de na hone de na
Chein mera khone laga
Khone de na khone de na .


Logged
rkswatian
Guest
«Reply #29 on: March 27, 2010, 08:55:35 AM »
Film: Tum Se Achha Kaun Hai


Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho

Mere haalat aise hai
Ke mai kuchh kar nahi sakti
Tadapta hai yeh dil lekin
Mai aahein bhar nahi sakti
Zakhm hai hara hara aur tum
Chot khane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho

Zamane me bhala kaise
Mohabbat log karte hai
Zamane me bhala kaise
Mohabbat log karte hai
Wafa ke naam ki ab to
Shikayat log karte hai
Aag hai bujhi bujhi aur tum
Lao jalane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho

Kabhi jo khawab dekha to
Mili parchhaiya mujh ko
Kabhi jo khawab dekha to
Mili parchhaiya mujh ko
Mujhe mehfil ki khawahish thi
Mili tanhaiya mujh ko
Har taraf dhua dhua aur tum
Aashiyane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
muskurane ki baat karte ho


°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙


WOOW NICE SO BIBIJEE
I LIKE THIS SONG VERY MUCH
NaNaNa
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:55:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer