:::::::: My ChoicE ::::::::

by Saba_Saba on March 26, 2006, 11:22:42 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 5825 times)
KOYAL46
Guest
«Reply #30 on: March 27, 2010, 08:56:02 AM »
Wafa Jinse Ki Bewafaa Ho Gaye
Hindi Movie :- PYAAR KA SAGAR
Singer(s): MUKESH

Ho gaye do roj mein, aabaad bhee barabaad bhee
ab tamannaa hain yahee, aaye naa un kee yaad bhee

wafaa jin se kee, bewafaa ho gaye
wo waade mohabbat ke kyaa ho gaye

jo kahate the hum to sadaa hain tumhaare
jamaane mein sab se jinhe hum the pyaare
wo hee aaj hum se judaa ho gaye

wo itanaa bataa de, kabhee paas aa ke
milaa hain unhe kyaa, humei yoon mitaa ke
khataa kyaa thee jo wo khafaa ho gaye

mere saamane bhee agar ab wo aaye
n dekhengee unako ye bebas nigaahenn
wo jinake liye hum fanaa ho gaye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
my Choice by Aman_with_u in Shayri-E-Dard
Some Shers Of my Choice by lamhay_terbin in Shairi - E - Zindagi
Life is all about Choice by TOUCHY in Inspirational Stories and real life Incidences.
~~~~~~ READER' S CHOICE ~~~~~~ by kashiif in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Styles.....Choice is urs.. by Sonu in Chit - Chat & General Discussion
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #31 on: March 27, 2010, 08:56:18 AM »
Thanxx Madhu


Thanxx Koyal for sharing such a beautiful song....




-------------------------
°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #32 on: March 27, 2010, 09:09:17 AM »
Jeene Ke Ishare
Hindi Movie :- PHIR MILENGE
Singer(s): SHANKAR MAHADEVAN


Kuchh Khushbuyen
Yaadon Ke Jungal Se Beh Chali
Kuchh Khidkiyan
Lamhon Ke Dastak Pe Khul Gayi
Kuch Geeth Purane Rakhe The Sirhaane
Kuchh Sur Kahin Khoye The Bandish Mil Gaye

Jeene Ke Ishare Mil Gaye
Bichde The Kinare Mil Gaye

Meri Zindagi Main Teri Baarish Kya Hui
Mere Raste Darya Bane Behne Lage
Meri Karvaton Ko Tune Aake Kya Chhua
Kahin Khwab Neendon Ki Gali Rehne Lage

Jeene Ke...Kinare Mil Gaye

Meri Loh Havaaon Se Jhagadkar Lee Uthi
Mere Har Andhere Ko Ujale Pee Gaye
Tune Hasken Mujhse Muskurane Ko Kaha
Mere Man Ke Mausam Gulmohar Se Ho Gaye

Jeene Ke...Kinare Mil Gaye

Kuchh Khushbuyen, Saanso Se Saanso Me Ghul Gayi
Kuchh Khidikyan, Aankhon Hi Aankhon Me Khul Gayi
Kuchh Pyaas Adhuri
Kuchh Shyam Sindhoori
Kuchh Reshmi Gunahon
Main Rate Dhal Gaye
Jeene Ke Ishare Mil Gaye
Bichde The Kinare Mil Gaye

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #33 on: March 27, 2010, 09:40:49 AM »
Movie: 3 Idiots (2009)

Song Title: Behti Hawa Sa Tha Woh

Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Hum o to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta, masti mein chalta tha woh
Hum ko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh
Chhoo ke humare dil ko
Kahan gaya usae dhoondo
Sulagti dhoop mein chhaaon ke jaisa
Raegistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghaav pe marham
Jaisa tha woh
Hum sahme se rehte koovein mein
Woh nadiya mein gotae lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh
Baadal awara tha woh
Yaar humara tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Hum ko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta, masti mein chalta tha woh
Hum ko kal ki fikr sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh
Chhoo ke humare dil ko
Kahan gaya usae dhoondo
 
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #34 on: March 27, 2010, 09:55:27 AM »
Movie: 3 Idiots (2009)

Song Title: Behti Hawa Sa Tha Woh

Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Hum o to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta, masti mein chalta tha woh
Hum ko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh
Chhoo ke humare dil ko
Kahan gaya usae dhoondo
Sulagti dhoop mein chhaaon ke jaisa
Raegistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghaav pe marham
Jaisa tha woh
Hum sahme se rehte koovein mein
Woh nadiya mein gotae lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh
Baadal awara tha woh
Yaar humara tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Hum ko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta, masti mein chalta tha woh
Hum ko kal ki fikr sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh
Chhoo ke humare dil ko
Kahan gaya usae dhoondo
 

i like this song very much
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #35 on: March 27, 2010, 09:58:24 AM »
Beautiful song.thanks for sharing Koyal ji.
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #36 on: March 29, 2010, 06:50:26 AM »
Film/Album: Ajab Prem Ki Ghazab Kahani

Shining in the setting sun like a pearl upon the ocean
come and feel me
Girl feel me
Shining in the setting sun like a pearl upon the ocean
come heel me
Girl feel me
Thinking about the love we making
and the life we sharing
come and feel me
Ho feel me
Shining in the setting sun like a pearl upon the ocean
come and feel me
Com'mon heal me

Hua jo tu bhi mera mera
Tera jo ikraar hua
To kyu na main bhi keh doo keh doo
Hua mujhe bhi pyaar hua
Tera hone laga hoo khone laga hoo Jab se mila hoo
Tera hone laga hoo khone laga hoo Jab se mila hoo
Shining in the setting sun like a pearl upon the ocean
come on feel me
Girl feel me
Shining in the setting sun like a pearl upon the ocean
come on heal me
Girl heal me

O Aise to mann mera pehli bhi raaton mein aksar hi chahat ke haan
Sapne saujaunta tha
Pehle bhi dhadkan ye dhun koi gaati thi
Par ab jo hota hai woh pehle na hota tha
Hua hai tujhe jo bhi jo bhi
Mujhe bhi is baar hua
To kyun na main bhi keh doon keh doon
Hua mujhe bhi pyaar hua
Tera hone laga hoo khone laga hoo Jab se mila hoo
Tera hone laga hoo khone laga hoo Jab se mila hoo


Aankhon se chhu loo ke bahen tarasti hain
Dil ne pukara hai haan Ab to chale aao
Aao ke shabnam ki boondein barasti hain
Mausam ishara hai haan Ab to chale aao
Baahon mein dalein baahein baahein
Baahon ka jaise haar hua
Haa mana maine mana mana
Hua mujhe bhi pyaar hua
Tera hone laga hoo khone laga hoo Jab se mila hoo
Tera hone laga hoo khone laga hoo Jab se mila hoo
Shining in the setting sun like a pearl upon the ocean
come on feel me
Girl feel me
Shining in the setting sun like a pearl upon the ocean
come on heal me
Girl heal me
Thinking about the lovin making and life sharing
come and feel me
Girl feel me
Shining in the setting sun like a pearl upon the ocean
come on feel me
Come on heal me


-------------------------
°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙

Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #37 on: April 16, 2010, 07:25:29 AM »
Soniyo
Raaz - The Mystery Continues


Ooohoo
Baby Come Stand By My Side
Come N Be My Guding Light
O I Will Be What You Want Me To Be
I Will Give All My Love In Whole Of My Life
Soniyo.., O Soniyo..
Tumhein Dekhta Hoon To Sohcta Hoon Bas Yehi
Tum Jo.., Mera Saath Do..
Sare Gum Bhola Ke Jee Lu Muskuraake Zindagi
(Tu Dede Mera Saath Tham Le Haath
Chahe Jo Bhi Ho Baat Tu Bas De De Mera Saath) - 2

I Get This Feeling Now, I Cannot Wait No Longer
I Know Your Love Will Keep Me Happy
Will Keep Me Stronger
I Get This Feeling Now, Cannot Live Without
You I Know Your Loves The Only One So True
(Raho Mein Tanha Hoon Sath Le Chal Yun
Sang Tere Safar Poora Karu..) - 2
Kya Kahun.. Aye Zindagi..
Tu Hai Meri Saans Rehna Tu Paas Har Ghadi
Tu Dede Mera Saath Tham Le Haath
Chahe Jo Bhi Ho Baat Tu Bas De De Mera Saath
Tu Bas De De Mera Saath

(Tukjo Jo Paaya To Hari Ye Lagta Kyun
Bahon Mein Bas Teri Mehfooz Hoon..) - 2
Tum Bana.. Saaya Mera..
Zindagi Mein Aao Zindagi Bitaao Bas Yehi
Tu Dede Mera Saath Tham Le Haath
Chahe Jo Bhi Ho Baat Tu Bas De De Mera Saath
Tu Bas De De Mera Saath
Baby Come Stand By My Side
Come N Be My Guding Light
O I Will Be What You Want Me To Be
I Will Give All My Love In Whole Of My Life
Babby, Come N Be My Guding Light...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #38 on: April 16, 2010, 02:00:05 PM »
Film...Bobby..
Main shaayar to nahin
(Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gayi) - 2
Main aashiq to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko aashiqui aa gayi
Main shaayar to nahin
(Pyaar ka naam maine suna tha magar
Pyaar kya hai, yeh mujhko nahin thi khabar) - 2
Main to uljha raha uljhanon ki tarha
Doston mein raha dushmanon ki tarha
Main dushman to nahin
Main dushman to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko dosti aa gayi
Main shaayar to nahin
(Sochta hoon agar main dua maangta
Haath apne uthaakar main kya maangta) - 2
Jab se tujhse mohabbat main karne laga
Tab se jaise ibaadat main karne laga
Main kaafir to nahin
Main kaafir to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko bandagi aa gayi
Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gayi
Main shaayar to nahin

Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #39 on: May 03, 2010, 07:09:18 AM »
Very Nice song Dear

thanx for sharing
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #40 on: May 03, 2010, 07:18:11 AM »
Yaar ko Maine (Male)
Movie: Sheesha (2005)


There is something i wanna tell you now
and i don't know what it is
i just can't(3)
you have done some kind of magic
magic is called love check it
magic is called love
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya
pyar hi pyar kiya o~
pyar hi pyar kiya
pyar ne sone na diya
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya
pyar hi pyar kiya o~
pyar hi pyar kiya
pyar ne sone na diya
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya

uski chudiyon ki khanak uski woh bindiya ki chamak
uski chudiyon ki khanak uski woh bindiya ki chamak
haai kajre ki gazab dhaar ne sone na diya
haai kajre ki gazab dhaar ne sone na diya
pyar hi pyar kiya o~
pyar hi pyar kiya
pyar ne sone na diya
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya

uski angdaai ne kya kya na qayamat dhaai
uski angdaai ne kya kya na qayamat dhaai
dhadkanon ki badhi raftar ne sone na diya
dhadkanon ki badhi raftar ne sone na diya
pyar hi pyar kiya o~
pyar hi pyar kiya
pyar ne sone na diya
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya
yaar ko maine mujhe yaar ne sone na diya

some mirrors lie
kuchh sheeshe jhooth bolte hai
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #41 on: May 03, 2010, 08:37:14 AM »
Yaar ko maine (Female)
Movie: Sheesha (2005)


Yaar ko maine, mujhe yaar ne sone na diya
Yaar ko maine, mujhe yaar ne sone na diya
Pyar hi pyar kiya haaye~
Pyar hi pyar kiya pyar ne sone na diya
Yaar ko maine, mujhe yaar ne sone na diya

Uski baahon k samandar me yeh kashti sa badan -2
Pyar ki mauj ne dildar ne sone na diya - 2
Pyar hi pyar kiya haaye~
Pyar hi pyar kiya pyar ne sone na diya
Yaar ko maine, mujhe yaar ne sone na diya

Mujh se lipta tha dupatte ki trah mera sanam - 2
Meri chaahat k talabgaar ne sone na diya - 2
Pyar hi pyar kiya haaye~
Pyar hi pyar kiya pyar ne sone na diya
Yaar ko maine, mujhe yaar ne sone na diya

Yaar ko maine, mujhe yaar ne sone na diya
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #42 on: May 03, 2010, 12:38:47 PM »
Very good nice romaantic sharing Saba-di.... Winking Winking Winking Winking
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #43 on: May 03, 2010, 01:18:02 PM »
ANARI
Singer: MUKESH
Saab kuch seekha hamne na seekhi hoshiyari
Sach hai duniyawaalon ki hum hain anaadi

Duniya ne kitna samajhaya
Kaun hai apna kaun paraaya
Phir bhi dil ki chot chupa kar
Hamne aapka dil bahalaaya
Khud pe mar mitne ki ye zid thi hamari (2)

Sach hai duniyawaalon ki hum hain anaadi

Asli nakli chehre dekhe
Dil pe sau sau pahre dekhe
Mere dukhte dil se poochho
Kya kya khwaab sunahare dekhe
Toota jis taare pe nazar thi hamari (2)

Dil ka chaman ujadte dekha
Pyaar ka rang utarte dekha
Hamne har jeene waale ko
Dhan daulat pe marte dekha
Dil pe marne waale marenge bhikhari (2)

Sach hai duniyawaalon ki hum hain anaadi
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #44 on: May 03, 2010, 01:29:58 PM »
Kisi Ki Muskurahaton Lyrics
Album name:- Anari(1959)
Singer :- Mukesh.
Performer:- Raj Kapoor.

Kisi Ki Muskurahaton

Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai

Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai

Maana apni jeb se fakeer hein
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hein
Maana apni jeb se fakeer hein
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hein

Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi
Chale bahaar ke liye woh zindagi
Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar
Jeena isi ka naam hai

Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai

Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hami se naam pyaar ka
Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hami se naam pyaar ka

Ki marke bhi kisi ko yaad ayenge
Kisi ke aansuo mein muskuraanyenge
Kahega phool har kali se baar baar
Jeena isi ka naam hai

Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:53:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer