My fav lyrics N songs which touches my heart !

by Delicate_Doll on January 30, 2005, 07:49:36 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Author  (Read 10327 times)
Delicate_Doll
Guest
«Reply #75 on: February 20, 2007, 02:14:56 PM »
Kuch na kaho, kuch bhi na kaho - 2
Kya kehna hai, kya sunna hai
Mujhko pata hai, tumko pata hai
Samay ka yeh pal tham sa gaya hai
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho, kuch bhi na kaho
(Kitne gehre halke, shyaam ke rang hai chhalke
Parvat se yun utre baadal jaise aanchal dhalke) - 2
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho, kuch bhi na kaho
(Sulgi sulgi saansein, baheki baheki dhadkan
Maheke maheke shyaam ke saaye, pighle pighle tan mann) - 2
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho, kuch bhi na kaho
Kya kehna hai, kya sunna hai
Mujhko pata hai, tumko pata hai
Samay ka yeh pal tham sa gaya hai
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho, kuch bhi na kaho
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My fav songs lyrics....... by prempagla in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
story that touches ur heart !! by sammu1984 in Inspirational Stories and real life Incidences. « 1 2  All »
Songs Lyrics of movies From A___To___Z by fakharenaveed in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Read or Write Your own Songs Lyrics by harashmahajan in Songs & Lyrics
Marathi songs lyrics..... by mili_genie in Songs & Lyrics
Delicate_Doll
Guest
«Reply #76 on: February 20, 2007, 02:15:24 PM »
ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja - 2
meri manzil hai tu tu hi mera jahaan
ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja - 2
ban gaye aaj ham do badan ek jaan
ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja

(bheega bheega aanchal aankhon ka yeh kajal ghayal na kar de mujhe
seene ki yeh huchul badhne lagi pal pal paagal na kar de mujhe) - 2
paagal toh ham ho gaye ban jaayegi dastaan
aahista bolo sanam sun lega sara jahaan
meri manzil hai tu tu hi mera jahaan
ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja - 2

(saanson ke yeh sholey saanson mein tu gholey pal mein pihgal jaye ham
hothon ke angaarey hothon pe hamare rakh de toh jal jaaye ham) - 2
yeh pyar woh aag hain jis mein nahi hai kuaan
lagti hai jab yeh agan jal jaate hai jism-o-jaan
ban gaye aaj ham do badan ek jaan
ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja
meri manzil hai tu tu hi mera jahaan
ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #77 on: February 20, 2007, 02:15:43 PM »
akele hai, to kyaa gam hai
chaahe to humaare bas mein kyaa nahee
bas yek jaraa, saath ho teraa
tere to hum kab se sanam

ab ye naheen sapanaa, ye sab hain apanaa
ye jahaan pyaar kaa, chhotaan saa ye aashiyaan bahaar kaa
bas yek jaraa, saath ho teraa.. ..

fir naheen tootegaa, hum pe koee toofaann
saajanaa, dekhanaa, har tufaan kaa main karungee saamanaa
bas yek jaraa, saath ho teraa.. ..

ab to mere saajan beetegaa har din
pyaar kee baahon me, rang jaayegee rut teree adaaon me
bas yek jaraa, saath ho teraa.. ..
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #78 on: February 20, 2007, 02:16:13 PM »
gajab kaa hain din socho jaraa, ye diwaanaapan dekho jaraa
tum ho akele, hum bhee akele, majaa aa rahaa hain kasam se

dekh lo hum ko kareeb se, aaj hum mile hain naseeb se
ye pal fir kahaa aaur ye manjil fir kahaa

kyaa kahoo meraa jo haal hai, raat din tumhaaraa khayaal hai
fir bhee jaana-ye-jaan, main kahaa aaur tum kahaa
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #79 on: February 20, 2007, 02:16:38 PM »
kab aaoge kab aaoge jism jaan juda hogi kya tab aaoge
der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja re ke mera man ghabraye
der na ho jaye kahin der na ho jaye

kahan hai ronake mahfil yahi sub poochte hai
barha tere na aane sabab puchte hai
der na ho jaye kahin der na ho jaye

har baat ka wakt mukarar hai har kaam ki saat hoti hai
wakt gaya to baat gayi bus wakt ki kimat hoti hai
der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja re ke mera man ghabraye
der na ho jaye kahin der na ho jaye

rasta roka kabhi kali ghata ne
ghera dala kabhi baren hawa ne
bijli chamak ke lagi aankhe dekhane
bedle hai kaise kaise tevar faza ne
sare vade irade barshaat aake dho jati hai
main der karta nahin der ho jati hai
der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja re ke mera man ghabraye
der na ho jaye kahin der na ho jaye

dil diya aitbaar ki had thi
jaan di tere pyaar ki had thi
mar gaye hum khuli rahi aankhe
yeh tere intezar ki had thi
had ho chuki hai aaja jaan par bani hai aaja
mehfil saji hai aaja ke teri kami hai aaja
der na ho jaye kahin der na ho jaye

aaho ki kasam tujhe naalo ki kasam hai
khawaboo ki kasam tujko khayaalo ki kasam hai
In bajte chiraago ke ujalo ki kasam hai
aaje ke tujhe chahnewalo ki kasam hai
der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja re ke mera man ghabraye
der na ho jaye kahin der na ho jaye

aaja ve mahi tera rasta ho dekhdiya
dar se hatti nahin nazar aaja
aaja dil ki pukar par aaja
der karna teri aadat thi sahi
der se hi sahi magar aaja
aaja ve mahi tera rasta ho dekhdiyan
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #80 on: February 20, 2007, 02:17:02 PM »
Chaahe Tum kuch na kaho,
maine sun liya...
ke saathi pyaar ka...
mujhe chun liya....chun liyaaaa..maine sun liyaa

Pehla nasha...pehla hummar
Naya pyaar hai...naya intezaar
karloo mein kya apna haal...
mere dile bekaraar ...tu hi bata....(pehla nasha...)

Udthaa hi phirum in hawaom mein kahi
yaa mein jhool jaavu in ghattavom mein kahi....
ek kar doo aasman aur zameen...
kaho yaaron kya karu kya nahi.....(pehla nasha..)

Usne baath ki kuch aise dang se
sapne de gaya hazaaron rang ke
rah jaau jaise mein haar ke..
aur choome vo mujhe pyaar se....(pehla nasha...)
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #81 on: February 20, 2007, 02:17:36 PM »
Teri Yaad mai pagel pal pal rotha hai
Bin Tere Na jage yeh na sotha hai
Afser tanayhee mai tuje pukare,na zor dil pe chale
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare
Teri Yaad mai pagel pal pal rotha hai
Bin Tere Na jage yeh na sotha hai
Afser tanayhee mai tuje pukare,na zor dil pe chale
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare

Ab jane hum,yeh pyaar kya hai,darde jiger
mushkil badha hai,sunta nahien kehna koi bhi
dil pe khabar,zith mai aada hai
samjahon kasie usse jane jaaa
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare

Har aaina thota lage hai, sach bhi hume jootha bhi lage hai
Jaane kaha hum aagahay hay,sara jaha rootha lage hai
Kya darde diya kya kahee
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare

Teri Yaad mai pagel pal pal rotha hai
Bin Tere Na jage yeh na sotha hai
Afser tanayhee mai tuje pukare,na zor dil pe chale
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare
Haare Haare Harree,Hum To dil se haare
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #82 on: February 20, 2007, 02:18:02 PM »
Raba Mere Ishq Kisii Ko Aise Na Tadapaa'e
Dil Kii Baat Rahe Is Dil Men
Honthon Tak Na Aa'e, Na Aa'e
Tujhe Yaad Na Merii Aa'ii
Kisii Se Ab Kya Kahana
Tujhe Yaad Na Merii Aa'ii
Kisii Se Ab Kya Kahana
Dil Roya Ki Aankh Bhar Aa'ii...
Kisii Se Ab Kya Kahana
Tujhe Yaad Na Merii Aa'ii
Kisii Se Ab Kya Kahana
Tujhe Yaad Na Merii Aa'ii
Kisii Se Ab Kya Kahana
Tujhe Har Khushii De Dii
Lavon Kii Hansii De Dii
Zulfon Kii Ghata Laharaa'ii
Paigaam Vafaa Ke Laa'ii
Tuu Ne Achchhii Priit Nibhaa'ii...
Kisii Se Ab Kya Kahana
Tujhe Yaad Na Merii Aa'ii
Kisii Se Ab Kya Kahana
Vo Chaand Mere Ghar-Aangan Ab To Aa'egii
Tere Sune Is Aanchal Ko Vo Bhar Jaa'egii
Terii Kar Dii God Bharaa'ii
Kisi Se Ab Kya Kahana
Dil Roya Ki Aankh Bhar Aa'ii
Kisi Se Ab Kya Kahana
Tujhe Yaad Na Merii Aa'ii
O Maahiya, O Maahiya
Khata Ho Ga'ii Mujh Se
Kaha Kuchh Nahiin Tum Se
Ikaraar Jo Tum Kar Paate
To Duur Kabhii Na Jaate
Koii Samajhe Na Piir Piraaii...
Kisi Se Ab Kya Kahana
Tujhe Yaad Na Merii Aa'ii
Kisi Se Ab Kya Kahana
Tujhe Yaad Na Merii Aa'ii
Kisi Se Ab Kya Kahana...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #83 on: February 20, 2007, 02:18:32 PM »
Chaand Sitare Phool Aur Khushboo Ye To Saare Puraane Hain
Taaza Taaza Kali Khili Hai Hum Uske Deewne Hain
Arre Kaali Ghatayein Barkha Saawan
O Kaali Ghatayein Barkha Saawan
Ye To Sab Afsane Hain
Taaza Taaza Kali Khili Hai Hum Uske Deewne Hain

Andaz Hai Uske Naye Naye, Hai Naya Naya Deewanapan
Andaz Hai Uske Naye Naye, Hai Naya Naya Deewanapan
Pehnane Taj Jawaani Ka Hanske Laut Gaya Bachpan
Geet Ghazal Sab Kal Ki Baatein
O Geet Ghazal Sab Kal Ki Baatein
Uske Naye Taraane Hain
Taaza Taaza Kali Khili Hai Hum Uske Deewne Hain

Hai Roop Mein Itna Saadapan, To Kitna Sundar Hoga Mann
Hai Roop Mein Itna Saadapan, To Kitna Sundar Hoga Mann
Bin Gahnein Aur Singaar Bina Vo To Lagti Hai Dulhan
Kaajal Bindiya Kangan Jhumke
O Kaajal Bindiya Kangan Jhumke
Ye To Guzare Zamane Hain
Taaza Taaza Kali Khili Hai Hum Uske Deewne Hain

Chaand Sitare Phool Aur Khushboo Ye To Saare Puraane Hain
Taaza Taaza Kali Khili Hai Hum Uske Deewne Hain
Arre Kali Ghatayein Barkha Saawan
Ye To Sab Afsane Hain
Taaza Taaza Kali Khili Hai Hum Uske Deewne Hain.
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #84 on: February 20, 2007, 02:18:51 PM »
Kyun chalti hai pawan, kyun jhoome hai gagan,
Kyun machalta hai mann, na tum jaano na hum
Kyun aati hai bahaar, kyun lutatta hai karaar,
Kyun hota hai pyaar, na tum jaano na hum
Yeh madhoshiyan, yeh tanhaiyan, tasaboor mein hai kis ki parchaiyan
Yeh bheega sama, umange jawan, mujhe ishq le ja raha hai kahan,
Kyun gum hai har disha, kyun hota hai nasha,
Kyun aata hai mazaa, na tum jaano na hum
Dhadakta bhi hai, tadapta bhi hai,
Yeh dil kyun achanak behakta bhi hai,
Mehekta bhi hai, chehekta bhi hai,
Yeh dil kya wafa ko samajhta bhi hai
Kyun milti hai nazar, kyun hota hai asar,
Kyun hoti hai saher, na tum jaano na hum
Kyun chalti hai pawan, kyun jhoome hai gagan,
Kyun machalta hai mann, na tum jaano na hum
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #85 on: February 20, 2007, 02:19:32 PM »
aasman se ye kisne utaari aankhein
aaye hain ham jahaan mein tumhaare liye
hain tumhaare liye he hamari aankhein
is jahaan ki nahi hain

do jahaan de ke le lu to sasti hain ye
aasmaan se ye kisne

rehte ho aankhon mein tum he ab din raat
ab to ghar hai hamara tumhari aankhein
duniyawaalon se rakhana bacha kar inhen
na churale koi ye tumhari aankhein
aaye hain ham jahaan mein
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #86 on: February 20, 2007, 02:19:58 PM »
Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil
Maut se to mein darti nahin
Aur darti to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujhse main karti nahin
Pyaar tujhse main karti nahin
Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil

Ek armaan is paar hai
Ek armaan us paar hai
Humne khud hi banayi thi jo
Raaste mein woh deewar hai
Ek khushi dil ne kya maang li
Har khushi ko nazar lag gayi
Zindagi jab kareeb aayi to
Zindagi ko nazar lag gayi

Ab tamanna ho dil main koi
Ab tamanna ho dil main koi
Main tamanna bhi karti nahin
Aur darti to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujhse main karti nahin
Pyaar tujhse main karti nahin
Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil

Man se man ka hai bandhan agar
Tan mile na mile kuch nahin
Man ka chandan mehekta rahe
Man hi sab kuchh hai tan kuchh nahin
Aasmaanon mein so jayega
Dastaanon mein kho jayega
Tan kisi roz ban kar dhuaan
In hawaaon ka ho jayega

Pyaar rehta hai zinda sada
Pyaar rehta hai zinda sada
Aatma hai yeh marti nahin
Aur darti to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujhse main karti nahin
Pyaar tujhse main karti nahin
Haan judaai se darta hai dil..
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #87 on: February 20, 2007, 02:20:18 PM »
Yeh kya hua kaise hua
Yeh kab hua kya pata

Chori chori jab nazarein mili
Chori chori phir neendein udi
Chori chori yeh dil ne kaha
Chori mein bhi hai maza

Chori chori jab nazarein mili
Chori chori phir neendein udi
Chori chori yeh dil ne kaha
Chori mein bhi hai maza
Chori chori jab nazarein mili

Kya jaane kya mil gaya
Kya jaane kya kho gaya
Tune yeh kya kar diya
Mujhko yeh kya ho gaya
Palkein jhuki palkein uthi
Kya keh diya kya suna

Phoolon ke khwaabon mein aakar
Khushboo chura le gayi
Baadal ka aanchal bhi aakar
O paagal hawa le gayi

Phoolon ke khwaabon mein aakar
Khushboo chura le gayi
Baadal ka aanchal bhi aakar
Paagal hawa le gayi
Ek phool ne ek phool se
Phir kaan mein kuchh kaha

Chori chori jab nazarein mili
Chori chori phir neendein udi
Chori chori yeh dil ne kaha
Chori mein bhi hai maza

Rishton ke neele bhanwar
Kuchh aur gehre huay
Tere mere saaye hain
Pani pe thehre huay
Jab pyar ka moti gira
Banne laga daira

Chori chori jab nazarein mili
Chori chori jab nazarein mili
Chori chori phir neendein udi
Chori chori yeh dil ne kaha
Chori mein bhi hai maza
Hay
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #88 on: February 20, 2007, 02:20:46 PM »
Dil mera chura lo
Aankhon mein chhupa lo
Apna bana lo sanam

Na na na..
Na na na..
Haan haan haan
Na na na na

Chura lo na dil mera sanam
Bana lo na apna sanam
Ki tere bin na ji sakenge
Ki tere bin na mar sakenge
Kuchh bhi na kar sakenge

Chura lo na dil mera sanam
Chura lein kyon dil tera sanam

Na na na..
Haan haan haan
Na na na na

Masala baant loon
Main pyaaz kaat loon
Chhuri kidhar gayi
Uff hai nal khula hua

Main keh raha hoon kya
Tu sun rahi hai kya
Tu sun rahi hai kya
Main keh raha hoon kya

Tera deewanapan hai yeh
O bekhabar kitchen hai yeh
Yeh kyon vahaan utha dhuaan
Kya jaane kya jal gaya

Tere bin na ji sakenge
Ki tere bin na mar sakenge
Kuchh bhi na kar sakenge
Chura lo na dil mera sanam
Chura lein kyon dil tera sanam

Na jaane kya kaha
Kaho na phir zara
Sunoon mein gaur se
Kaho na zor se

Kaha jo zor se
To chaaron aur se
Hasenge hum pe sab
Hamaare shor se

Karenge baat phir kabhi
Jawaab chaahiye abhi
Nahin nahin abhi nahin
Itni bhi jaldi hai kya

Ki tere bin na ji sakenge
Ki tere bin na mar sakenge
Hum soch kar kahenge

Achcaha hua jo pyaar ki pehchaan ho gayi
Dete thay jis pe jaan woh anjaan ho gayi
Mausam to main nahin hoon
Jo aaoonga jaoonga
Rootha jo ek baar to vaapas na aoonga

Na na na..
Na na na..
Haan haan haan
Na na na na

Chura lo na dil mera sanam
Bana lo na apna sanam
Ki tere bin na ji sakenge
Ki tere bin na mar sakenge
Hum soch kar kahenge

Dil mera churalo
Aankhon mein chhupalo
Apna banalo sanam..
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #89 on: February 20, 2007, 02:21:14 PM »
chehara kya dekhate ho ( dil mein utar ke dekho na ) -3
mausam pal mein badal jaayega patthar dil bhi pighal jaayega
meri mohabbat mein hai kitana asar dekho na
chehara kya dekhate ho ...

thode se kareeb aao aise na itaraao
mujhase sanam door baithe ho kya -2
bechain kar doonga itna tumhen aake lipat jaaogi dilaruba
aise kya sochati ho aake idhar dekho na -3
chehara kya dekhate ho ...

main to tumhaari hoon tumpe dil haari hoon
phir kisliye hain ye betaabiyaan -2
aake gale se laga lo mujhe ab dooriyaan na rahen darmiyaan
kisne tumhen roka hai shaam-o-sahar dekho na
chehara kya dekhate ho ...
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:30:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer