My fav songs lyrics.......

by prempagla on November 11, 2004, 11:39:53 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 4840 times)
prempagla
Guest
(1)

 hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai
 ishq kiije phir samajhiye zindagii kyaa chiiz hai

 un se nazare.n kyaa milii raushan fizaaye.n ho ga_ii.n
 aaj jaanaa pyaar kii jaaduugarii kyaa chiiz hai

 Khulatii zulfo.n ne sikhaa_ii mausamo.n ko shaayarii
 jhukatii aa.Nkho.n ne bataayaa maikashii kyaa chiiz hai

 ham labo.n se kah na paaye un se haal-e-dil kabhii
 aur vo samajhe nahii.n ye Khaamoshii kyaa chiiz hai

(2)

madhuban khushabuu detaa hai,
saagar saavan detaa hai
jiinaa usakaa jiinaa hai, jo auro.n ko jiivan detaa hai
madhuban ...

suuraj na ban paae to, banake diipak jalataa chal
phuul mile.n yaa a.Ngaare, sach kii raaho.n pe chalataa chal –2
 pyaar dilo.n ko detaa hai, ashko.n ko daaman detaa hai
jiinaa usakaa jiinaa hai, jo auro.n ko jiivan detaa hai
madhuban ...

chalatii hai laharaake   pavan,
 ke saa.Ns sabhii kii chalatii rahe –2
logo.n ne tyaag diye jiivan,
 ke priit dilo.n me.n palatii rahe –2
dil vo dil hai jo auro.n ko, apanii dha.Dakan detaa hai
jiinaa usakaa jiinaa hai, jo auro.n ko jiivan detaa hai
madhuban ...

(3)

chhuu lene do naazuk hoTho.n ko
kuchh aur nahii.n hai.n jaam hai.n ye
qudarat ne jo hamako baKshaa hai
vo sabase ha.nsii.n iinaam hai.n ye

sharamaa ke na yuu.N hii kho denaa
ra.ngiin javaanii kii ghaDiyaa.N
betaab dha.Dakate siino.n ka
aaramaan bharaa paigaam hai ye, chhuu ...

achchho.n ko buraa saabit karanaa
duniyaa kii puraanii aadat haii
is mai ko mubaarak chiiz samajh
maanaa kii bahut badanaam hai ye, chhuu ...

(4)

chho.D de saarii duniyaa kisii ke lie
ye munaasib nahii.n aadamii ke lie
pyaar se bhii zaruurii ka_ii kaam hai.n
pyaar sab kuchh nahii.n zi.ndagii ke lie

tan se tan kaa milan ho na paayaa to kyaa –2
man se man kaa milan koii kam to nahii.n
 khushabuu aatii rahe duur se hii sahii
saamane ho chaman koii kam to nahii.n
 chaa.Nd milataa nahii.n sabako sa.Nsaar me.n
hai diyaa hii bahut roshanii ke lie

lol poora nahin aata sorry.......

(5)

kasame vaade pyaar vafaa sab,
 baate.n hai.n baato.n kaa kyaa
 koI kisii kaa nahii.n ye jhuuThe,
 naate hai.n naato.n kaa kyaa
 kasame vaade pyaar vafaa sab, baate.n hai.n baato.n kaa kyaa

 hogaa masiihaa ... hogaa masiihaa saamane tere
 phir bhii na tuu bach paayegaa
 teraa apanaa.a.a.a aa.a.a.a
tera apanA khuun hii aakhir tujhako aag lagaayegaa
aasamaan me.n ... aasamaan me u.Dane vaale
 miTTii me.n mil jaayegaa
 kasame vaade pyaar vafaa sab, baate.n hai.n baato.n kaa kyaa

 sukh me.n tere ...
sukh me.n tere saath chale.nge dukh me.n sab mukh mo.De.nge
duniyaa vaale ...
duniyaa vaale tere banakar teraa hii dil to.De.nge
dete hai.n ...
dete hai.n bhagavaan ko dhokhaa, inasaa.n ko kyaa chho.De.nge
 kasame vaade pyaar vafaa sab, baate.n hai.n baato.n kaa kyaa .......


Hope u all like these lyrics and gungunayin them tooooo......



 tongue3  tongue3  tongue3  tongue3
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
Songs Lyrics of movies From A___To___Z by fakharenaveed in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Read or Write Your own Songs Lyrics by harashmahajan in Songs & Lyrics
Marathi songs lyrics..... by mili_genie in Songs & Lyrics
Rap lyrics raftar by journalist sandeep in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 11, 2004, 03:32:02 PM »
wowoow Good one Prem ji!!!!
Logged
akela
Guest
«Reply #2 on: November 16, 2004, 11:14:46 PM »
bahoot hi acchi dhune hai Usual Smile
Logged
Rishi
Guest
«Reply #3 on: November 17, 2004, 03:36:23 AM »
nice ones prem !
**
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #4 on: November 24, 2004, 01:14:04 PM »
I love this song too,

"hum bewafa hargiz na thhey
per hum wafa kar na sakey
humko mili uski sazaa
hum jo khhatha kar na sakey

kithni akeli thhin vo
raahein hum jin pei
kab sei akeley
chalthey rahey
jaaney tumhein meiney koi
dhhoka diya
jaaney tumhein koi
dhhoka hua....."

I like the re-mix of it too. It's the only re-mix I've seen that supasses the original in my view. It's just a viewpoint.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: November 24, 2004, 04:04:14 PM »
NICE SONG!!
 JHINGA LA LA HU HU!!!
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #6 on: November 24, 2004, 04:27:11 PM »
Aw! You heard the re-mix? isn't it like so good, it has the Lion King music in it.  :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: November 24, 2004, 04:56:22 PM »
Usual SmileUsual SmileUsual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: November 24, 2004, 07:35:30 PM »
Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai ] 2
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Jhuki hui nigaahon mein, kahin mera khayaal tha
Dabi dabi hansi mein ik, haseen saa gulaal tha
Main sochta tha, mera naam gunguna rahi hai woh -2
Na jaane kyon laga mujhe, ke muskura rahi hai woh
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Mera khayaal hai abhi jhuki hui nigaah mein
Khuli hui hansi bhi hai, dabi hui si chaah mein
Main janta hoon, mera naam gunguna rahi hai woh
Yahi khayaal hai mujhe, ke saath aa rahi hai woh
Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai
Woh shaam kuchh ajeeb thi
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #9 on: November 24, 2004, 08:33:30 PM »
Pooja this song you quoted above is so nice. I particularly love the whistling that preceeds the song. And the movie Khhaamoshi that it's from is so good! I love this Asha Bhonsle song -

"ho leke pehla pehla pyaar
bhharkey aankhhon mein khhumaar
jaadu nagri sei aaya
hei koi jaadugar....."  :wink:

NO! I don't love this song, I'm just kidding. It's nice but it's so old and seems comical but if someone were to present it as a show on stage today, I know it would be very very endearing.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: November 24, 2004, 09:07:56 PM »
chale aaj tum jahan se
huyi zindagi parayi
tumhe mil gaya thikana
hamein maut bhi na aayi

(o door ke musafir
hamko bhi saath le le re
hamko bhi saath le le
ham reh gaye akele)(2)

tu ne to de diya gham
bemaut mar gaye hum
dil uth gaya jahan se
le chal hamein yahan se(2)
kis kam ki yeh duniya
jo zindagi se khele re
hamko bhi saath le le
ham reh gaye akele

sooni hai dil ki raahein
khamosh hai nigahen
nakam hasraton ka
uthne ko hai janaza(2)
charo taraf lage hai
barbadiyon ke mele re
hamko bhi saath le le
ham reh gaye akele
o door ke musafir
hamko bhi saath le le re
hamko bhi saath le le
ham reh gaye akele
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #11 on: November 24, 2004, 11:33:17 PM »
Pooja, I heard the above song actually sung by the singer, in Calgary when they came to present the show. It was a Sonu Nigam show and I  think his father is the actual singer, he didn't get much acclaim for singing in his life, only for a few songs. Sonu Nigam was saying that he loved to sing the songs his father sang but as long as he did that, he never got famous. And as soon as he started singing more modern, contemporary pop, he was an immediate hit that his father could not be.

I love this song from the movie, 'Aap tho aisey na thhey' 1980. I think I've seen the movie a long time back. It actually begins with this song and the whole scene and pictorization is so beautiful, dhhuan udtha hua, subha ki laalima and greenery -

"tu is terha sei meri zindagi mein shaamil hei
jahaan bhhi jaaun yei lagtha hei teri mehfil hei

1) yei aasmaan yei baadal yei raasthey yei havaa
harek cheez hei apni jagha thhikaaney sei
kai dinon sei shikaayat nahin zamaaney sei
yei zindagi hei safar tu safar ki manzil hei
jahaan bhhi jaaun......

2) harek phhool kisi yaad sa mehektha hei
therey khhyaal sei jaagi hui phhizaain hein
yei saath terey hein ya pyaar ki duaayein hein
tu paas ho kei nahin phhir bhhi tu mukaabil hei
jahaan bhhi jaaun.....

3) harek shei hei mohabbat kei noor sei roshan
yei roshni jo na ho zindagi adhhuri hei
raahey wafa mein koi humsafar zaroori hei
yei raastha kahin tanha katei tho mushkil hei
jahaan bhhi jaaun...."
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: November 25, 2004, 02:36:03 PM »
waah waah ..bohat achhe
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #13 on: November 25, 2004, 06:13:27 PM »
Thanks Nishita ji!
Logged
immi
Guest
«Reply #14 on: November 25, 2004, 06:26:43 PM »
Nice Songs Pooja n Beena !!

Beena just for your info thesong :
"chale aaj tum jahan se
huyi zindagi parayi
tumhe mil gaya thikana
hamein maut bhi na aayi

was sang by Late Mohd.Rafi and I believe its from the movie called "Uddan Khatola"
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 06:20:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer