My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 27
Print
Author  (Read 29530 times)
khushiiiii
Guest
«Reply #210 on: September 11, 2006, 07:51:11 AM »
Quote from: "Jaanasheen"
which movies is this song from



...........from the movie KOHRA................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
Rajbir
Guest
«Reply #211 on: September 11, 2006, 10:27:31 AM »
Tasveer teri dil me, jis din se utari hai

Tasveer teri dil me, jis din se utari hai
Phiru tujhe sang leke, naye naye rang leke
Sapnon ki mehfil me

Tasveer teri dil me, jis din se utari hai
Phiru tujhe sang leke, naye naye rang leke
Sapnon ki mehfil me
Tasveer teri dil me

Mathe ki bindiya tu hai sanam, nainon ka kajra piya tera gum
Mathe ki bindiya tu hai sanam, nainon ka kajra piya tera gum
Nain kiye neeche neeche, rahun tere peeche peeche, chalun kisi manzil me

Tasveer teri dil me, jis din se utari hai
Phiru tujhe sang leke, naye naye rang leke
Sapnon ki mehfil me
Tasveer teri dil me

Tum se nazar jab gayi hai mil, jahan hai kadam tere wahi mera dil
Tum se nazar jab gayi hai mil, jahan hai kadam tere wahi mera dil
Jhuke jahan palke teri, khule jahan zulfe teri, rahun usi manzil me

Tasveer teri dil me, jis din se utari hai
Phiru tujhe sang leke, naye naye rang leke
Sapnon ki mehfil me
Tasveer teri dil me

Toofan uthayegi duniya magar, ruk na sakega dil ka safar
Toofan uthayegi duniya magar, ruk na sakega dil ka safar
Yun hi nazar milti hogi, yun hi shama jalti hogi, teri meri manzil me

Tasveer teri dil me, jis din se utari hai
Phiru tujhe sang leke, naye naye rang leke
Sapnon ki mehfil me
Tasveer teri dil me, jis din se utari hai
Phiru tujhe sang leke, naye naye rang leke
Sapnon ki mehfil me
Tasveer teri dil me
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #212 on: September 11, 2006, 10:40:39 AM »
wowwwwwwwww nice song taau G
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #213 on: September 11, 2006, 10:45:09 AM »
Thanku ji thanku :D
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #214 on: September 11, 2006, 11:13:08 AM »
kahi na jaa, aaj kahi mat ja phir mile na mile
ye pal ye shama baaho me aaja
kahi na ja aaj kahi mat jaa……………..2

ye jo bas mein kadam nahi tere
main sambhalungi tu aa sang mere
tere dil ki manzil hai yahaan………….

jaane wafa, sach hai kisko pata phir mile na mile
ye pal ye shama baahon mein aa jaa

meri raahon ka diya teri aankhen
mere gam ki dawa teri baatein
to phir aur jaana hai kaha………..2

kahi na jaa, aaj kahi mat jaa ...

uljhan teri main sab jaanu
tujhe teri tarah pehchanu
jo main hun to gam kyun jaanejaan

ho jab dil hua jab tera deewana
thokar mein hai sara zamaana
mera kya karega ye jahaan

jaane wafa sach hai kisko pata
phir mile na mile ye pal ye sama
baaho mein aa jaa

kahi na jaa aaj kahi mat jaa ...
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #215 on: September 12, 2006, 05:23:30 AM »
--FEMALE--
Kuch aisa jahan hum banaaye
Jahan pehla ho har voh nazaara
Pehla saawan ka baadal
Pehla lehraata aanchal
Pehla bhawra voh paagal

--MALE--
Jahan pehla pyaar ho
Kuch aisa jahan hum banaaye
Jahan pehla ho har voh nazaara……..2
Pehla saawan ka baadal
Pehla lehraata aanchal
Pehla bhawra voh paagal

--FEMALE--
Jahan pehla pyaar ho

--MALE--
Hmm pehli kali ne pehli ghata se
Kya kaha hai sun zara…………….
Baarish ki pehli boonde tum
Sooraj ki pehli kirne tum
Aur mera pehla pehla pyaar tum

--FEMALE--
Na na na na la la la lala la la la la

--MALE--
Kuch aisa jahan hum banaaye
Jahan pehla ho har voh nazaara…………..

--FEMALE--
hmmm pehli tamanna, pehli woh khwaaish
Tu hi tu hai jaan meri
Pyaar ka pehla vaada tum
Aankhon ka pehla sapna tum
Aur khushi ka pehla pehla aansu tum

--MALE--
Na na na na, na na na na
Hey hey eh hey hey, aah aah haa

--FEMALE--
Kuch aisa jahan hum banaaye
Jahan pehla ho har voh nazaara

--MALE--
Kuch aisa jahan hum banaaye
Jahan pehla ho har voh nazaara
Pehla saawan ka baadal

--FEMALE--
Pehla lehraata aanchal

--MALE--
Pehla bhawra voh paagal

--FEMALE--
Jahan pehla pyaar ho
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #216 on: September 12, 2006, 06:36:26 AM »
Ae zindagi yeh lamha jee lene de
Ho……….pehle se likha……. kuch bhi nahi
Roz naya kuch likhti hai tu
Jo bhi likha hai dil se jiya hai
Yeh lamha filhaal jee lene de……..2

Maasoom si hasi bevajah hi kabhi
Honthon pe khil jaati hai………
Anjaan si khushi baheti hui kabhi
Saahil pe mil jaati hai
Yeh anjaana safar ajnabi hai magar
Khoobsurat hai jee… lene de
Yeh lamha filhaal jee lene de……….2

Dil hi mein rehta hai aankhon mein bahta hai
Kaccha sa ek khwaab hai
Lagta sawaal hai shaayad jawaab hai
Dil phir bhi betaab hai
Yeh sukun hai to hai yeh junoon hai to hai
Khoobsurat hai jee lene de
Yeh lamha filhaal jee lene de .…..2

Ho………. pehle se likha kuch bhi nahi
Roz naya kuch likhti hai tu
Jo bhi likha hai dil se jiya hai
Yeh lamha filhaal jee lene de .……………
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #217 on: September 12, 2006, 06:37:04 AM »
Tere dar par sanam chale aaye
Tu na aaya to hum chale aaye……….2
Chale aaye chale aaye

Tere dar par sanam chale aaye…………..

Bin tere koi aas bhi na rahi
Itne tarse ke pyaas bhi na rahi
Itne tarse ke pyaas hi na rahi……..
Ladkhadaate kadam……. chale aaye….2
Chale aaye chale aaye

Tere dar par sanam chale aaye…………

Isse pahle ke hum par hasti raat
Banke naagin ye humko dasti raat………2
Leke apna brham chale aaye…..2
Chale aaye chale aaye……..

Tere dar par sanam chale aaye……………
Tu na aaya to hum chale aaye
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #218 on: September 12, 2006, 07:46:11 AM »
aaj sochaa to aansoo bhar aaye
muddate ho gayee muskuraye

har kadam par udhar mud ke dekhaa
unki mehfil se hum uthh to aaye

reh gayee zindagi dard ban ke
dard dil mein chhupaaye chhupaaye

dil kee naazuk rage tootatee hain
yaad itnaa bhee koi naa aaye
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #219 on: September 12, 2006, 08:36:18 AM »
nice one taau G....................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #220 on: September 12, 2006, 08:50:59 AM »
Milti hai zindagii mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaro ki inaayat kabhi kabhi
milti hai zindagi mein…………….

sharmaa ke muh na pher nazar ke sawaal par………2
laati hai aise maud par kismat kabhi kabhi
milti hai zindagi mein……………

khulte nahi hain roz galiche bahaar ke………….2
aati hai jaaneman ye qayaamat kabhi kabhi
milti hai zindagi mein………….

tanaha na kat sakenge jawani ke raaste………2
pesh aayegi kisi ki zarurat kabhi kabhi
milti hai zindagi mein……….

phir kho na jaaye hum kahi duniya ki bheed mein………2
milti hai paas aane ki muhalat kabhi kabhi
hoti hai dilbaro ki inaayat kabhi kabhi

milti hai zindagi mein mohabbat kahi kabhi
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #221 on: September 12, 2006, 09:48:29 AM »
Nice song Khushi :D

Yeh zindagi usi ki hai
Jo kisi ka ho gaya
pyaar hi me kho gaya
Yeh zindagi usi ki hai

Yeh bahaar yeh samaah
kehraha hai pyaar kar
kisi ki arzoo mein apne
dil ko bekarar kar

yeh zindagi hai bewafa....
zindagi hai bewafa
loot pyaar ka mazaa

yeh zindagi .......

Dhadak raha hai dil to kya
yeh dil ke dhadkanein na gin
phir kahaan yeh fursatein
phir kahaan yeh raat din

Aa rahi hai ye samaah.........
Aa rahi hai samaah
mastiyon mein doob ja

Yeh zindagi........

Jo dil yahaan na mil sake
milenge us jahaan mein
khilenge hasraton ke phool
jo ke aasman mein

yeh zindagi chale gayi...
Yeh zindagi chale gayi
Jo pyaar mein to kya hua


Yeh zindagi ...


Sunaayegi ye daastan
Kshama mera  hai pyaar ke
yeh shaam hi mein khilti rahi
yeh kali anaar ki

Ise mazaak mat kaho....
Ise mazaak mat kaho
Yeh mahal hai pyaar ka

Yeh zindagi .....

Yeh zindagi ki shaam aa........
Yeh zindagi ki shaam aa
Tujhe gale lagaun mein
Tujhi mein doob jaun mein...
Jahan ko bhool jaun mein...
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #222 on: September 12, 2006, 11:09:19 AM »
thanko taau G.......................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #223 on: September 13, 2006, 08:16:01 AM »
mere pyaar ki umar ho itni sanam
tere naam se shuru tere naam pe khatam
teri khushi se hai khushi tere gham se hai gham
tere naam se shuru tere naam pe khatam
mere pyaar ki...………

mere sapne gulaabi neende ho gayi jawaan……………2
lo aake teri baahon mein ho…….
lo aake teri baahon mein
mein kho gayi kaha
haazir hai jaan jaaneman jaan ki kasam
tere naam se shuru.……………

bin tere ik pal bhi mujhse raha nahi jaye……2
ye door door rehna……….
ye door door rehna ab sahaa nahi jaye
teri pyaar bhari baahon mein hi niklega dam
tere naam se shuru tere naam pe khatam

mere pyaari ki umar ho itni sanam………………….
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #224 on: September 13, 2006, 08:16:31 AM »
justajoo jiski thi usko to na paaya humne
is bahane se magar dekh li duniya humne
justajoo jiski thi………………

tujhko rusawa naa kiya
khud bhi pashemaan na huye
ishq ki rasm ko is tarah nibhaaya humne
justajoo jiski thi……………

kab mili thi, kaha bichadi thi hume yaad nahi
jindagee tujhko to bas khwaab mein dekhaa humne
justajoo jiski thi…………………

ae khuda aur sunaaye bhi to kyaa haal apana
umar kaa lanbaa safar tay kiya tanaha humne
justajoo jiski thi usko to na paaya humne………………
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 04:09:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer