My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 27
Print
Author  (Read 29736 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #225 on: September 13, 2006, 09:34:34 AM »
haila.....  classic  song.............   moti...... tum  badi  woh ho tongue3

ek  mera  fav.. song........  

Hindi Song Title: Aafreen Aafreen
Hindi Movie/Album Name: SANGAM - ALBUM
Singer(s): NUSRAT FATEH ALI KHAN  


Hindi Lyrics:
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Aisa Daikha Nahi Khoobsurat Koi
Jism Jaisay Ajanta Ki Moorat Koi
Jism Jaisay Nigaahon Pay Jaado Koi
Jism Naghma Koi, Jism Khushboo Koi
Jism Jaisay Machalti Hoi Raagni
Jism Jaisay Mehekti Hoi Chandni
Jism Jaisay Ke Khilta Hoi Aik Chaman
Jism Jaisay Ke Sooraj Ki Pehli Kiran
Jism Tarsha Hoa Dil-kash O Dil-nasheen
Sandali Sandali, Marmari Marmari
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai
Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai
Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan E Ghazal
Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal
Chehra Jaise Tasawwar Bhi Tasveer Bhi
Chehra Ek Khwaab Bhi, Chehra Taabeer Bhi
Chehra Koi Alif Lail Ki Dastaan
Chehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal Gumaan
Chehra Jaisa Ki Chehra Kaheen Bhi Naheen
Maahroo Maahroo, Mehjabeen Mehjabeen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Aankhein Daikhe To Mein Daikhta Reh Gaya
(Jaam Do Aur Donon He Do Aatisha)
Aankhein Ya Maikade Ke Yeh Do Baab Hein
Aankhein Inko Kahoon Ya Kahoon Khuwaab Hein
Aankhein Neechi Huwi To Haya Bun Gayi
Aankhein Unchi Howi To Dua Bun Gayi
Aankhein Uth Ker Jhuki To Ada Bun Gayi
Aankhein Jhuk Ker Uthi To Qaza Bun Gayi
Aankhein Jin Mein Qaid Aasman O Zameen
Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Zulf E Janaan Ki Bhi Lambi Hai Daastan
Zulf Ki Mere Dil Per Hein Parchiyaan
Zulf Jaisay Ke Umdi Howi Ho Ghata
Zulf Jaisay Ke Ho Koi Kaali Bala
Zulf Uljhay To Dunya Pareshaan Ho
Zulf Suljhay To Yeh Zeest Aasan Ho
Zulf Bikhray Siyah Raat Chaanay Lagay
Zulf Lehraye To Raat Janay Lagay
Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Haseen
Reshmi Reshmi, Amberi Amberi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
khushiiiii
Guest
«Reply #226 on: September 13, 2006, 10:41:56 AM »
lolzzzzzzzzz

thnx waheed.............

nice song...........
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #227 on: September 13, 2006, 11:44:48 AM »
ye dil tum bin kahi lagta nahi hum kya kare
tasawoor mein koi basta nahi hum kya kare
tum hi kah do ab ae jaana-ye-wafaa hum kya kare

loote dil mein diya jaltaa nahi hum kya kare
tum hei kah do ab ae jaana-ye-wafaa hum kya kare

kisi ke dil mein bas ke dil ko tadpaana nahi  achhaa
nigaaho ko zalak de de kar chup jaana nahi achha
ummeedon ke khile gulshan ko zulasanaa nahi achha
hume tum bin koi jachantaa nahi hum kyaa kare

mohabbat kar to lekin  mohabbat raas aaye bhi
dilon ko boz lagate hain kabhi julfon ke saaye bhi
hajaaro gam hain is duniyaa mein apne bhi paraaye bhi
mohabbat hi kaa gam tanahaa nahi, hum kyaa kare

buzaa do aag dil ki yaa ise khulakar hawaa de do
jo is kaa mol de paaye, use apni wafaa de do
tumhaare dil mein kyaa hain bas hume itanaa pataa de do
ke abh tanahaa safar katataa nahee, hum kyaa kare

ye dil tum bin kahi lagta nahi hum kya kare
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #228 on: September 13, 2006, 12:03:21 PM »
yahee wo jagah hain, yahee wo fijaayen
yahee par kabhee, aap hum se mile the
inhe hum bhalaa, kis tarah bhool jaaye
yahee par kabhee, aap hum se mile the

yahee par meraa haath me, haath lekar
kabhee naa bichhadane kaa waadaa kiyaa thaa
sadaa ke liye ho gaye hum tumhaare
gale se lagaakar humei ye kahaa thaa
kabhee kam naa hongee humaaree wafaayen

yahee par wafaa kaa nayaa rang bhar ke
banaayee thee chaahat kee tasaweer tumane
yahee kee bahaaron se fulon ko chunakar
sawaaree thee ulafat kee takadeer tumane
wo din aap ko yaad kaise dilaaye
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #229 on: September 13, 2006, 12:16:56 PM »
wowwwwwwwwwwwww..................nicee song taau G................
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #230 on: September 13, 2006, 12:23:14 PM »
He he he ...thanku ji thanku ji  :lol:  :lol:  :lol:
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #231 on: September 13, 2006, 12:26:38 PM »
Haseena Likhoon, Meherbaan Likhoon, Ya Dilruba Likhoon
Hairaan Hoon Ki Aap Ko Is Khat Mein Kya Likhoon
Yeh Mera Prem Patra Padh Kar
Ke Tum Naaraaz Na Hona
Ke Tum Meri Zindagi Ho
Ke Tum Meri Bandagi Ho

Tujhe Maein Chand Kehta Tha, Magar Usme Bhi Daag Hai
Tujhe Suraj Maein Kehta Tha, Magar Usme Bhi Aag Hai
Tujhe Itna Hi Kehta Hoon
Ki Mujhko Tumse Pyar Hai
Tumse Pyar Hai, Tumse Pyar Hai
Yeh Mera Prem Patra Padh Kar ...

Tujhe Ganga Maein Samjhoon Ga
Tujhe Jamuna Maein Samjhoon Ga
Tu Dil Ke Paas Hai Itni
Tujhe Apna Maein Samjhoon Ga
Agar Mar Jaoon Rooh Bhatke Gi
Tere Intezaar Mein, Intezaar Mein, Intezaar Mein
Yeh Mera Prem Patra Padh Kar ... :D
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #232 on: September 14, 2006, 05:40:46 AM »
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan
Aye mere humnashi tu jaha mein wahaaaaa
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan

Meri sada mein bole tu ye koi kya jaane
Meri sada mein bole tu ye koi kya jaane
Geet mein hai saaz mein hai
tu hi tu naghma kaha
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan
Aye mere humnashi tu jaha mein wahaaa
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan

Darde mohabbat ke siva……..
main bhi kya tu bhi kya…………..2
Yeh zameen tum……. aasmaan tum………
ab hume jaana kaha…….
Jaana kaha…….
Ab humein jaana kaha
Jaana kahaaaaaaaaa
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #233 on: September 14, 2006, 05:41:25 AM »
Kya hua tera waada
Woh kasam woh iraada……….2
Bhulega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasamwoh iraada

Yaad hai mujhko tune kaha tha
Tumse nahi roothenge kabhi
Dil ki tarah se haath mile hain
Kaise bhala chhootenge kabhi
Teri baaho mein beeti har shaam
Bewafa yeh bhi kya yaad nahi
Kya hua tera waada………………

O… kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai yeh bata
Woh jisne gham liya pyaar ki khaatir
Ya jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuch bhi yaad nahi

Kya hua tera waada
Woh kasam woh iraada
Bhulega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam woh irada………..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #234 on: September 14, 2006, 07:41:43 AM »
hoke majboor mujhe usne bhulaayaa hogaa
hoke majboor mujhe usne bhulaayaa hogaa
zeher chupke se davaa jaanke khaayaa hogaa
hoke majboor mujhe usne bhulaayaa hogaa
hoke majboor mujhe

dil ne aise bhi kuchh afsaane sunaaye honge -2
ashq aaNkhoN ne piye aur na bahaaye honge
band kamre mein jo khat mere jalaaye honge
ek ek harf jabin par ubhar aayaa hogaa
hoke majboor mujhe usne bhulaayaa hogaa
hoke majboor mujhe

usne ghabraake nazar laakh bachaayee hogi -2
dil ki luTti huyee duniyaa nazar aayee hogi
mez se jab meri tasveer haTaayee hogi -2
haay..
(har taraf mujhko) -2 taDaptaa huaa paayaa hogaa
hoke majboor mujhe usne bhulaayaa hogaa
hoke majboor mujhe

chheD ki baat pe armaaN machal aaye honge -2
Gham dikhaave ki haNsi mein ubal aaye honge
naam par mere jab aaNsoo nikal aaye honge -2
(sar na kaaNdhe se) -2 saheli ke uThaayaa hogaa
hoke majboor mujhe usne bhulaayaa hogaa
hoke majboor mujhe

zulf zid karke kisi ne jo banaayee hogi -2
aur bhi Gham ki ghaTaa mukhDe pe chhaayee hogi
bijli nazroN ne kai din na giraayee hogi
rang chehre pe kai roz na aayaa hogaa
hoke majboor mujhe usne bhulaayaa hogaa
zeher chupke se davaa jaanke khaayaa hogaa
hoke majboor mujhe
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #235 on: September 14, 2006, 07:52:57 AM »
wowww................nice one...........
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #236 on: September 14, 2006, 08:44:12 AM »
acchi chosie  hai mere  bhayya  ki  aur  meli  khusi  ki........sab mera asar hai tongue3
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #237 on: September 14, 2006, 09:22:21 AM »
oye hoye..............thnx waheed
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #238 on: September 14, 2006, 09:33:05 AM »
ur  welcome  basanti  tongue3

Hindi Song Title: Meri Vafaayen Yaad Karogi
Hindi Movie/Album Name: SAINIK
Singer(s): KUMAR SANU, ASHA  


Hindi Lyrics:
ku : meri vafaayen yaad karoge
rooge haan haan fariyaad karoge  -2

mujhako to barbaad kiya hai  -2
aur kise he he barbaad karoge  -2
rooge fariyaad karoge ...

kaise bhoologe tum mujhako  -2
yaad mujhe mere baad karoge

a : meri muhabbat yaad karoge  -2
rooge fariyaad karoge ...

apanon ko to bhool chuke ho  -2
aur kise tum yaad karoge
rooge fariyaad karoge ...

loot ke meri duniya dilabar
kaise khud ko aabaad karoge
rooge fariyaad karoge ...
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #239 on: September 14, 2006, 10:27:38 AM »
nice song waheed..................
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:43:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer