My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 27
Print
Author  (Read 29525 times)
khushiiiii
Guest
«Reply #240 on: September 14, 2006, 10:29:00 AM »
Chain se humko kabhi aapne jeene na diya
Chain se humko kabhi aapne jeene na diya
Zahar bhi chaha agar peena to peene na diya
Chain se humko kabhi………………………..

Chaand ke rath mein raat ki dulhan  jab jab aayegi
Yaad humari aapke dil ko tadapa jaayegi
Aap ne jo hain diya wo to kisi ne naa diya
Chain se humko kabhi…………………
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
khushiiiii
Guest
«Reply #241 on: September 14, 2006, 10:29:28 AM »
bhuli huyi yaado mujhe itna na satao
ab chain se rahne do mere paas na aao
bhuli huyi yaado……….

daaman mein liye baithta hun toote huye taare
kab tak mein jiyunga yun hi khwaabo ke sahaare
diwaanaa hun ab aur naa diwaanaa banao
ab chain se rahne do mere paas na aao
bhuli huyi yaado……………..

lootu naa mujhe is tarah  do raahe pe laa ke
aawaaj na do ek nayi raah dikhaa ke
sambhala hun main gir gir ke muze fir naa giraao
ab chain se rahne do mere paas na aao
bhuli huyi yaado mujhe itna na satao
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #242 on: September 14, 2006, 11:25:16 AM »
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro - 2
Main bhi to chalta hoon, zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai, unse kahoon
(To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun) - 2
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
(Unke chehre ki yeh narmiyaan
Unki zulfon ki yeh badliyaan
Unki aankhon ke roshan diye
Unke honton ki yeh surkhiyaan) - 2
Sab unke hain jalwe, main chalne se pehle
Saanson mein, aankhon mein, khwaabon mein, yaadon mein
Aur is dil mein unko chhupaake rakhoon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
(Main kahin bhi rahoon ae sanam
Mujhko hai zindagi ki kasam
Faaslein aate jaate rahe
Pyaar lekin nahin hoga kam) - 2
Jinhe chaahoon, jinhe poojoon, unhe dekhoon, unhe chhoo loon
Zara baatein to kar loon, zara baahon mein bhar loon
Main is chaand se maathe ko choom loon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
Main bhi to chalta hoon, zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai, unse kahoon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #243 on: September 14, 2006, 11:33:52 AM »
Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho
Jeevan Meethi Pyaas Yeh Kehti Ho
Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho

Har Shyam Aankhon Par
Tera Aanchal Lehraye
Har Raat Yaadon Ki
Baarat Le Aaye
Maein Saans Leta Hoon
Teri Khushboo Aati Hai
Ek Mehka Mehka Sa
Paigham Laati Hai
Meri Dil Ki Dhadkan Bhi
Tere Geet Gaati Hai
Pal Pal ...

Tum Sochogi Kyon Itna
Maein Tumse Pyaar Karoon
Tum Samjhogi Deewana
Maein Bhi Iqraar Karoon
Dewaanon Ki Yeh Baatein
Deewane Jaante Hain
Jalne Mei Kya Mazaa Hai
Parwanr Jaante Hain
Tum Yunhi Jalate Rehna
Aa Aakar Khwabon Mein
Pal Pal ...
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #244 on: September 15, 2006, 06:05:31 AM »
Kis liye maine pyaar kiya
Dil ko yun hi bekarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intezaar kiya
Kis liye maine………….

Aankhon mein maine kajal daala mathe pe bindiya lagayi
Aise mein tu aa jaaye to kya ho raam duhai….2
Chupke mann mein armaano ne li aisi angdai
Koi dekhe to kya samjhe ho jaaye rusvaai
Maine kyun singaar kiya
Dil ko yun hi bekaraar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raath din intzaar kiya
Kis liye maine pyaar kiya

Aaj woh din hai jiske liye main tadapi banke radha
Aaj mere mann ki bechaini badh gayi aur zyaada……….2
Pyar mein dhoka na kha jaaye ye mann seedha saada
Aisa na ho jhootha nikle aaj milan ka vaada
Maine kyun aitbaar kiya
Raat din intezaar kiya
Kis liye main pyar kiya
Dil ko yun hi bekaraar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raath din intzaar kiya
Kis liye maine pyaar kiya
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #245 on: September 15, 2006, 06:06:06 AM »
Kisi raah mein kisi maud par
kahi chal naa denaa tu chhodkar
mere humasafar mere humasafar
kisi haal mein kisi baat par
kahi chal naa denaa tu chhodkar
mere humasafar mere humasafar

meraa dil kahe kahi ye naa ho
nahi ye naa ho nahi ye naa ho
kisi roz tujhse bichhad ke mein
tujhe dhoondhati firu darbadar
mere humsafar mere humsafar

tera rang saaya bahaar kaa
tera rup aaina pyaar kaa
tujhe aa najar mein chhoopaa lu mein
tujhe lag naa jaaye kahi najar
mere humsafar mere humsafar

tera saath hain to hain jindagi
teraapyaar hain to hain roshini
kaha din ye dhal jaaye kya pata
kaha raat ho jaaye kyaa khabar
mere humsafar mere humsafar
mere humsafar mere humsafar
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #246 on: September 15, 2006, 07:01:01 AM »
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota……….2
Na tumne kaha hota…….na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

La la la la, la la la la
Dil ki baat na poochho dil to aata rahega…………….2
Dil bahekaata raha hai dil bahekaata rahega
Dil ko tumne oh……. kuch samjhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota,\ na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana……………

Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai………….2
Ek diya bujhta hai….ek diya jalta hai
Tumne koi..oh…….. deep jalaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana……………………

Kitne saahil dhoonde koi na saamne aaya………..2
Jab majdhaar mein doobe saahil thaamne aaya
Tumne saahil.. oh…………..pehle bichhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana…………………
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #247 on: September 15, 2006, 10:06:51 AM »
last  osng accha nahi hia Puzzled !  maine  suna hi nahi tongue3
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #248 on: September 15, 2006, 10:12:47 AM »
That was one of my fav. Song waheed……kabhi sunna achha lagega……….
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #249 on: September 15, 2006, 10:15:29 AM »
kis  film  ka hia .........   Puzzled !  mujhe  batao  tab na sununga..... ya tum  suna  do tongue3
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #250 on: September 15, 2006, 10:16:07 AM »
..........................
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #251 on: September 15, 2006, 10:17:43 AM »
suna  do Puzzled !
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #252 on: September 18, 2006, 05:26:14 AM »
...................................
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #253 on: September 19, 2006, 07:52:16 AM »
kuch  mat  karna  plz...............
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #254 on: September 19, 2006, 07:59:26 AM »
khusiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii   edit mat karo  plzzzzzz :sad:
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:35:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer