My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 27
Print
Author  (Read 29728 times)
Rajbir
Guest
«Reply #255 on: September 19, 2006, 08:05:52 PM »
Khushi --- come back soon  :cry:

Aa Laut Ke Aaja Mere Meet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Mera Soona Padha Re Sangeet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Aa Laut Ke Aaja Mere Meet

Barse Gagan Mere Barse Nayan
Dekho Tarse Hai Man Ab To Aaja
Sheetal Pavan Yeh Lagaye Agan
O Sajan Ab To Mukhada Dikha Ja
Toone Bhali Re Nibhai Preet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Aa Laut Ke Aaja Mere Meet

Ek Pal Hai Hasna Ek Pal Hai Rona
Kaisa Hai Jeevan Ka Khela
Ek Pal Hai Milna Ek Pal Bichhadna
Duniya Hai Do Din Ka Mela
Yeh Ghadi Na Jaye Beet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Aa Laut Ke Aaja Mere Meet
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
Rajbir
Guest
«Reply #256 on: September 19, 2006, 08:15:30 PM »
:cry:  :cry:  :cry:  :cry:  :cry:

jaane vaalon zaraa, mud ke dekho mujhe
ek insaan hoon main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa, mud ke dekho mujhe
ek insaan hoon main tumhaari tarah


jisane sabako rachaa, apane hi roop se
usaki pahachaan hoon main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa ...

is anokhe jagat ki main taqadeer hoon -2
main vidhaataa ke haathon ki tasaveer hoon
ek tasaveer hoon
is jahaan ke liye, dharati maan ke liye
shiv kaa varadaan hoon, main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa...

man ke andar chhipaae milan ki lagan -2
apane suraj se hoon ek bichhadi kiran
ek bichhadi kiran
phir rahaa hoon bhatakataa, main yahaan se vahaan
aur pareshaan hoon, main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa...

mere paas aao chhodo yah saaraa bharam -2
jo meraa dukh vahi hai tumhaaraa bhi Ghum
hai tumhaaraa bhi Ghum
dekhataa hoon tumhein, jaanataa hoon tumhein
laakh anjaan hoon, main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa...
Logged
S H W E T A
Guest
«Reply #257 on: September 19, 2006, 08:28:26 PM »
Khilte hain gul yahan,khil k bikharne ko
milte hain dil yahan,mil k bicchadne ko...

Kal rahe ne rahe,mausam ye pyaar ka
kal rukey na rukey,dola bahaar ka
Chaar pal miley jo aaj,pyaar me guzaar de...
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #258 on: September 21, 2006, 10:42:52 AM »
Quote from: "Rajbir"
Khushi --- come back soon  :cry:

Aa Laut Ke Aaja Mere Meet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Mera Soona Padha Re Sangeet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Aa Laut Ke Aaja Mere Meet

Barse Gagan Mere Barse Nayan
Dekho Tarse Hai Man Ab To Aaja
Sheetal Pavan Yeh Lagaye Agan
O Sajan Ab To Mukhada Dikha Ja
Toone Bhali Re Nibhai Preet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Aa Laut Ke Aaja Mere Meet

Ek Pal Hai Hasna Ek Pal Hai Rona
Kaisa Hai Jeevan Ka Khela
Ek Pal Hai Milna Ek Pal Bichhadna
Duniya Hai Do Din Ka Mela
Yeh Ghadi Na Jaye Beet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Aa Laut Ke Aaja Mere Meet


aa gayiiiiiiiiiiiiiiii.................. :D
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #259 on: September 21, 2006, 10:43:35 AM »
Diye jalte hain phool khilte hain ………….
badi mushkil se magar duniya mein dost milte hain
diye jalte hain…………………

Jab jis waqt kisi ka yaar juda hota hai
kuch na poochho yaaro dil ka haal bura hota hai
Jab jis waqt kisi ka pyar juda hota hai
kuchh na poochho yaaro dil ka haal bura hota hai
dil pe yaado ke jaise teer chalte hain ahaha………
Diye jalte hain ………………………………


Daulat aur jawani ek din kho jaati hain
sach kahta hoon saari duniya dushman ho jaati hai…………2
umr bhar dost lekin saath chalte hain hmmhm
Diye jalte hain phool khilte hain badi mushkil se
magar, duniya mein dost milte hain
Diye jalte hain………………
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #260 on: September 21, 2006, 10:44:04 AM »
hazaar raahe mud ke dekhi
kahi se koi sadaa na aayi….

badi wafaa se nibhaayi tumne
humaari thodi si bewafai

jahaa se tum maud mud gaye the
ye maud ab bhi wahi pade hai
hum apane pairon mein jaane kitne
bhanwar lapete huye khade hai

badi wafa se nibhaayi tumne
humaari thodi si bewafai………

kahi kise roz yun bhi hota
humaari halat tumhari hoti
jo raat humne gujaari marke
wo raat tumne gujaari hoti

badi wafa se nibhaayi tumne
humaari thodi si bewafi

tumhe ye zidd thi ke hum bulaate
hume ye ummeed wo pukaare
hai naam hothhon pe ab bhi lekin  
aawaaj mein pad gayee daraare

hazaar raahe mud ke dekhi
kahi se koi sadaa na aayi
badi wafa se nibhaayi tumne
humaari thodi si bewafaai
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #261 on: September 21, 2006, 10:44:33 AM »
dushman na kare …..
dost ne wo kaam kiya hai
umar bhar kaa gam hume inaam diyaa hai
dushman na kare………

toofaa mein humko chhod ke saahil pe aa gaye
saahil pe aa gaye
naakhudaa kaa humne inhe naam diyaa hai
umr bhar ka gham hume inaam diya hai
dushman na kare………..

pahale to hosh chhin liye julm-o-sitam se
julm-o-sitam se
diwaanagee kaa fhir hume ilzaam diyaa hai
umr bhar ka gham hume inaam diya hai
dushman na kare……….

apne hi giraate hain nasheman pe bijaliyaan
nasheman pe bijaliyaan
gairo ne aa ke fhir bhi use thaam diyaa hai
umr bhar ka gham hume inaam diya hai
dushman na kare……….
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #262 on: September 21, 2006, 10:44:53 AM »
Tum pukar lo
tumhara intezaar hai
tum pukar lo
Khwaab chun rahi hai raat beqarar hai
Tumhara intezaar hai

Honth pe liye hue dil ki baat ham
Jaagte rahenge aur kitni raat ham………2
Muqtasar si baat hai tum se pyaar hai
Tumhara intezaar hai
tum pukar lo

Dil bahal to jaayega is khayal se
Haal mil gaya tumhara apne haal se………..2
Raat ye qaraar ki beqarar hai
Tumhara intezaar hai……….
Tum pukar lo
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #263 on: September 21, 2006, 11:57:55 AM »
wah re  kuchiiiiiiiiiii   mast  song  re..........   kya pasand hai  tumhari...  tongue3
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #264 on: September 21, 2006, 12:01:35 PM »
thnxxxxxxxxxx waheedddd
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #265 on: September 21, 2006, 12:19:55 PM »
ur  welcome  Khusiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii..........  accha laga teri pos  dekh kar  :lol:  welcome  back
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #266 on: September 22, 2006, 12:12:52 PM »
thnx waheed.......................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #267 on: September 28, 2006, 08:53:01 AM »
tere bina  jiya  jaaye na
bin tere  tere bin saajana
saans mein saans aaye naa
tere bina jiya jaaye na…………….

jab bhi khayalo mein tu aaye
mere badan se khushabu aaye………….2
mahake badan mein raha na jaay
rahaa jaaye naa
tere bina jiya jaaye na……………

reshami raatein roz na hogi
ye saugaate roz na hogi
zindagi tujh bin raas na aaye
raas aaye na…
tere bina jiya jaaye na…….
Bin tere tere bin saajna
Saans mein saans aaye na
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #268 on: September 28, 2006, 08:53:33 AM »
Maahi maahi motiyaa waala
Mera sona dachiyaa waala
Maahi maahi motiyaa waala
Maahi maahi motiyaa waala

hume jabse mohabbat ho gayi hai
Ye duniya khoobsoorat ho gayi hai…………….2

Fizaaon mein nayi ek roshni hai
Havaaon mein ajab si taazgi hai
Tum is vadee mein mujhse mil rahi ho
Zameen lagta hai jaise ga rahi hai
Nayi rut ki mahoorat ho gayi hai
Ye duniya khoobsoorat ho gayi hai
hume jabse mohabbat ho gayi hai

Hai lipti dhund mein dilkash nazaare
Nadi khaamosh hai chup hain kinaare
Hai ek chhoti si kashti aur hum hain
Chale jaate hain lehron ke sahaare
Suhaani ab lo sangat ho gayi hai
Ye duniya khoobsoorat ho gayi hai

hume jabse mohabbat ho gayi hai
Ye duniya khoobsoorat ho gayi hai…

Maahi maahi motiyaa waala
Mera sona dachiyaa waala
Maahi maahi motiyaa waala
Maahi maahi motiyaa waala
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #269 on: September 28, 2006, 09:05:47 AM »
Wah Bhatiji

Nice songs :D
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:33:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer