My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27
Print
Author  (Read 29506 times)
Rajbir
Guest
«Reply #375 on: February 04, 2007, 08:50:05 PM »
Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !

Movie: Namastey London
Song: Main Jahaan rahoon


(main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai) - 2

kisi se kahoon
ke nahi kahoon
yeh jo dil ki baat hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3
main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai

kahin to dil mein yaadon ki
ek suli gad jaati hai
kahin har ek tasveer bhahut hi dhondhali pad jati hai
koi nayi duniya ke naye rango mein khush rehta hai
koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kehta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3

kahin to beete kal ki jadein
dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhage tute to malaayen bhikar jaati
koi dil mein jagah nayi, baaton ke liye rakhta hai
koi apni palko par yaadon ke diye rakhta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
khushiiiii
Guest
«Reply #376 on: February 07, 2007, 06:36:36 AM »
Jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
Tujhse bhichad ke main jaoon kaha…….
Ho ke judaa hai saath bhi
Tu door bhi tu paas bhi
Jaise zameen se hai yeh aasmaan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichad ke main jaoon kahan

Usse alag ho ke bhi main
Us se alag ho na paaya……….2
Dharti pe jitna gagan hai
Utna hi hai tera saaya…..2
Yaadein teri baatein teri
Din hai tere raatein teri
Paoon tujhe hi main jaoon jahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan

Haantho se haanth hai chhoote
Dil se dil chhoote nahin hai
Rishton ke phool abhi tak
Chaagon se toote nahin hai………….2
Khushiyaan teri gham hai tere
Dil mein mere mausam tere
Mehka tujhi se hai ye gulsitaan
Jaan-e-jaan jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Ho ke judaa hai saath bhi
Tu door bhi tu paas bhi
Jaise zameen se hai yeh aasmaan

Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #377 on: February 07, 2007, 07:54:03 AM »
haay....aaj  judai ka song  likhi hai..............  nice Kaaki
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #378 on: February 08, 2007, 07:17:09 AM »
Rasm-e-ulfat ko nibhaaye to nibhaaye kaise
Har taraf aag hai daaman ko bachaaye kaise

Dil ki raaho mein uthate hain jo duniya wale
Koi kehde ke woh deewar giraaye kaise

Rasm-e-ulfat ko…………….

Dard mein doobe hue naghme hazaron hain magar
Saaz-e-dil toot gaya ho to sunaaye kaise
Rasm-e-ulfat ko……………

Bojh hota jo ghamo ka to utha bhi lete
Zindagi bojh bani ho to uthaaye kaise
Rasm-e-ulfat ko nibhaayen to nibhaaye kaise
Har taraf aag hai daaman ko bachaaye kaise
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #379 on: February 08, 2007, 07:18:36 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
haay....aaj  judai ka song  likhi hai..............  nice Kaaki


thank you hai ji..................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #380 on: March 06, 2007, 08:29:25 AM »
pyaar hai ya saja, aai mere dil bata
tootata kyun nahi dard ka silsila
is pyaar mein ho kaise kaise imntihaan
ye pyaar likhe kaisi kaisi dastaan
ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar...............2
pyaar hai ya saja, aai mere dil bata
tootata kyun nahi dard ka silsila

kaisa hai safar wafa ki manjil ka
na hai koi hal dilon ki mushkil ka
dhadkan dhadkan bikhri ranjishein
saansein saansein tooti bandishein
kahi to har lamha honton pe fariyaad hai
kisi ki duniya chaahat mein barbaad hai
ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
ho ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar

koi na sune sisakati aanhon ko
koi na dhare tadapati baahon ko
aadhi aadhi puri khwaishein
tooti footi sab farmaaishein
kahin shak hain kahin nafrat ki deewaar hai
kahin jeet mein bhi shamil palpal haar hain
ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
ho ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
ho o o pyaar hai ya saja, aai mere dil bata
tootata kyon nahi dard ka silsila
ho o o o ho o o o
na poocho dard bandon se
hansi kaisi khushi kaisi
musibat sar pe rehati hain
kabhi kaisi kabhi kaisi
ho o o o... rabba, rabba ho o o ho
rabba ho o o, ho o ho rabba
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #381 on: March 06, 2007, 08:33:07 AM »
And now my most favourite song..............


Dil Ne Tum Ko Chun Liya Hai
Tum Bhi Usko Chuno Na
Khwaab Koi Dekhta Hai
Tum Bhi Sapne Buno Na
Dil Ne Tum Ko Chun Liya Hai
Tum Bhi Usko Chuno Na
Khwaab Koi Dekhta Hai
Tum Bhi Sapne Buno Na
Dil Yeh Mera Tumse Kuch Keh Raha Hai
Suno Na
Dil Yeh Mera Tumse Kuch Keh Raha Hai
Suno Na
Dil Ne Tum Ko Chun Liya Hai
Tum Bhi Usko Chuno Na
Khwaab Koi Dekhta Hai
Tum Bhi Sapne Buno Na
Dil Yeh Mera Tumse Kuch Keh Raha Hai
Suno Na
Dil Yeh Mera Tumse Kuch Keh Raha Hai
Suno Na

Darr Ho Kar Bhi Darr Tum Nahin Ho
Paas Ho Lekin Paas Kyon Nahin Ho
Darr Ho Kar Bhi Darr Tum Nahin Ho
Paas Ho Lekin Paas Kyon Nahin Ho
Tanha Tanha Samay Mehki Mehki Hawa
Keh Raha Hai Jahan Jo Suno Na
Dil Ne Tum Ko Chun Liya Hai
Tum Bhi Usko Chuno Na
Khwaab Koi Dekhta Hai
Tum Bhi Sapne Buno Na
Dil Yeh Mera Tumse Kuch Keh Raha Hai
Suno Na
Dil Yeh Mera Tumse Kuch Keh Raha Hai
Suno Na

Dekhlo Mausam Kitna Suhana Hai
Pyaar Karne Ka Yeh To Ek Bahana Hai
Dekhlo Mausam Kitna Suhana Hai
Pyaar Karne Ka Yeh To Ek Bahana Hai
Muskurati Fiza Gungunati Hawa
Kehraha Hai Jahan Jo Suno Na
Dil Ne Tum Ko Chun Liya Hai
Tum Bhi Usko Chuno Na
Khwaab Koi Dekhta Hai
Tum Bhi Saapne Buno Na
Dil Yeh Mera Tumse Kuch Keh Raha Hai
Suno Na
Dil Yeh Mera Tumse Kuch Keh Raha Hai
Suno Na Suno Na
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #382 on: March 12, 2007, 09:09:07 AM »
very  nice  song  kaaki  :lol:
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #383 on: March 12, 2007, 10:52:57 AM »
..thnx waheed......................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #384 on: March 14, 2007, 08:55:27 AM »
bhooli bisri yaadon mein ab bhi kahin pyar chupa hain ………..3
tera hriday mera hriday ek baat keh raha hain
chal saath chal saath kah raha hai……….

shikwo mein kya rakha hain, sab kutch hain pyar mein-----------2
kyun umr ye bitaa de ek intejaar mein
nazaro ke saamne se pal pal gujar raha hain
(chal saath) - 3 keh raha hain
bhooli bisri yaadon mein ab bhi kahin pyar chupa hain

kutch waqt mil gaya hain, chalo dil ki baat kar le…………..2
jee toh yeh keh raha hain, baahon mein tumko bharle
kabse judaai tumse mann mera seh raha hain
(chal saath) - 3 keh raha hain
bhooli bisri yaadon mein ab bhi kahin pyar chupa hain

kaisa banaya rab ne, yeh jindagi ka mela  
duniya hain saath saari phir bhi mann akela
aankhon se ashk banke jazbaat beh raha hain  
(chal saath) - 3 keh raha hain
bhooli bisri yaadon mein ab bhi kahin pyar chupa hain - 3
tera hriday mera hriday ek baat keh raha hain
(chal saath) - 3 keh raha hain
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #385 on: March 14, 2007, 09:18:54 AM »
saara pyaara tumhara, maine baandh liya hai aanchal mein ….2
tere naye rup ki nai ada hum dekha karenge pal pal mein………..2
saara pyaar tumhara maine……..

dekh ke teri surat mit jaati hai ek hi pal mein jeevan hi har thakan
mer sapno ki tum murat tumko paake saphal hua hai mera ye jeevan………2
sapno ki tum murat……….
Hoo….chamki meri kismat ki rekha in nayano ke kaajal mein
saara pyaara tumhara, maine baandh liya hai aanchal mein ….

hum aur paas aayenge hume aur paas koi laayega
duniya ko nazar hum aayenge hun jab jab wo h muskayega……..2
aayi aisi bela ik pal bhu mujhe akela chhod na dena tum
aai aisi bela, ika pala ko bhi, mujhe akela,
aai aisi bela………….
Paas hi rahna kho mat jaana duniya ki hulchal mein………..
paasa hi rahana, kho mata jaana, duniya ki halachala mein
saara pyaara tumhara, maine baandh liya hai aanchal mein …………
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #386 on: March 14, 2007, 10:55:28 AM »
last  song  bahot accha hai  Khusi.........  good one
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #387 on: March 15, 2007, 05:18:02 AM »
thnx kakaaaaaaa...............................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #388 on: March 15, 2007, 05:27:35 AM »
Aankh hai bhari bhari aur tum muskuraane ki baat karte ho….2
Zindagi khafa khafa aur tum dil lagaane ki baat karte ho……
Aankh hai bhari bhari………………………..

Mere haalaat aise hai ke main kuch kar nahin sakti……….2
Tadapta hai yeh dil lekin main aahein bhar nahin sakti
Zakhm hai hara hara aur tum chot khaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum muskuraane ki baat karte ho

Zamaane mein bhala kaise mohabbat log karte hain…….2
Wafa ke naam ki ab to shikaayat log karte hain……..
Aag hai bujhi bujhi aur tum lau jalaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum Muskuraane ki baat karte ho

Kabhi jo khwaab dekha to mili parchaiyaa mujhko………2
Mujhe mehfil ki khwaahish thi mili tanhaaiyaan mujhko
Har taraf dhuaan dhuaan aur tum aashiyaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum muskuraane ki baat karte ho
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #389 on: April 04, 2007, 12:23:34 PM »
……….nice song gum………….
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:13:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer