My Favourite songs

by redwhitegang on June 01, 2008, 07:14:27 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1132 times)
redwhitegang
Guest
kisi nazar ko teraa, intezaar aaj bhi hai
kahaan ho tum ke ye dil bekaraar aaj bhi hai



wo waadiyaan, wo fizaayen ke hum mile the jahaan
meri wafaa kaa wahii par mazaar aaj bhi hai



na jaane dekh ke kyoon un ko ye huaa ehasaas
ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhi hai


wo pyaar jis ke liye humne chhod di duniyaa
wafaa ki raah mein ghaayal wo pyaar aaj bhi hai



yakiin nahin hain magar aaj bhi yeh lagtaa hai
meri talaash mein shaayad bahaar aaj bhi hai



na pooch kitne mohabbat ke zakhm khaayi hain
ke jinko sooch ke dil sau dayaar aaj bhi hai



zindagi kya koi nisaar kare
kis se duniya mein koi pyaar kare
apnaa saayaa bhi apnaa dushman hai
kaun ab kiska aitbaar kare… aitbaar kare…

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My favourite songs............. by khushiiiii in Songs & Lyrics « 1 2 ... 26 27 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
redwhitegang
Guest
«Reply #1 on: June 01, 2008, 07:17:12 AM »
kabhii kisii ko mukammal jahaa.N nahii.n miltaa
kahii.n zamiin to kahii.n aasmaan nahii.n miltaa


jise bhii dekhiye vo apne aap me.n gum hai
zubaa.N milii hai magar ham-zubaa.N nahii.n miltaa



bujhaa sakaa hai bhalaa kaun vaqt ke shole
ye aisii aag hai jisme dhuaa.N nahii.n miltaa


tere jahaa.N me.n aisaa nahii.n ki pyaar na ho
jahaa.N ummiid ho iskii vahaa.N nahii.n miltaa

Logged
Sonia01
Guest
«Reply #2 on: June 01, 2008, 07:17:40 AM »
Yeh song mujhe b bahut pasand hai Redwhitegange jee
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #3 on: June 01, 2008, 07:20:40 AM »
khulii jo aa.Nkh to vo thaa na vo zamaanaa thaa
dahakatii aag thii tanhaa_ii thii fasaanaa thaa



ghamo.n ne baa.NT liyaa mujhe yuu.N aapas me.n
ke jaise mai.n ko_ii luuTaa huaa Khazaanaa thaa


ye kyaa ke cha.nd hii qadamo.n pe thak ke baiTh gaye
tumhe.n to saath meraa duur tak nibhaanaa thaa



mujhe jo mere lahuu me.n Dubo ke guzaraa hai
vo ko_ii Gair nahii.n yaar ek puraanaa thaa


khud apane haath se “Shahzad” us ko kaaT diyaa
ke jis daraKht ke Tahanii pe aashiyaanaa thaa
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #4 on: June 01, 2008, 07:22:14 AM »
Ji sonia ji:)...yahan par har ek song mera pasandida hai..
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #5 on: June 01, 2008, 11:26:26 AM »
nazar se nazar ko salaam aa rahe hain
phir un kii taraf se payaam aa rahe hain


jo pardah-nashiin they bahut muddaton se
woh lamhe mujhe bazm-e-aam aa rahe hain


sajaane ko ab mere khwaabon ki bastii
ye phoolon ke gajre tamaam aa rahe hain


zara toh karo sabr aye maikashon tum
tumharii hi jaanib ye jaam aa rahe hain


kahan kho gaye aap ‘Gumnaam’ ho kar
tumhe dhoondhne subah-o-shaam aa rahe hain

Logged
envysharma
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2008, 04:04:42 AM »
WAH. WAH KYA NAZAR HI
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: November 24, 2008, 04:29:04 AM »
nice selection RWG
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:08:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer