***Romantic Songs*******

by Friend_4uall on February 06, 2005, 02:47:25 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11]
Print
Author  (Read 12903 times)
mili_genie
Guest
«Reply #150 on: October 31, 2005, 02:37:48 PM »
O ho ho ho, khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh oh, khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh oh, khoya khoya chaand
Masti bhari hawa jo chali - 2
Khil khil gayi yeh dil ki kali
Mann ki gali mein hai khalbali
Ke unko to bulaao
O ho ho, khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh oh, khoya khoya chaand
Taare chale, nazaare chale - 2
Sang sang mere voh saare chale
Chaaron taraf ishaare chale
Kisi ke to ho jaao
Oh ho ho, khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh oh, khoya khoya chaand
Oh, oh oh oh oh oh, oh oh oh oh oh oh
Aisi hi raat, bheegi si raat - 2
Haathon mein haath hote voh saath
Keh lete unse dil ki yeh baat
Ab to na sataao
Oh ho ho, khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh oh, khoya khoya chaand
Hum mit chale jinke liye
Hum mit chale hai jinke liye
Bin kuch kahe voh chup chup rahe
Koi zara yeh unse kahe
Na aise aazmaao
Oh ho ho, khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh oh, khoya khoya chaand, khoya khoya chaand
Khoya khoya chaand, khoya khoya chaand
Khoya khoya chaand, khoya khoya chaand

Film : Kala Bazar
Singer : Mohmmad Rafi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
world`s best romantic shayari by sachin_9810****** in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
romantic sms by shivani(9899207979) in SMS , mobile & JOKES
romantic साँसे by anjaanajnabi in Miscellaneous Shayri
Lata & Rafi sb's romantic song (60's) by suman59 in Share Video
BEDARD - (A Romantic Thriller story) by asif biswas in General Stories « 1 2 3  All »
Friend_4uall
Guest
«Reply #151 on: November 09, 2005, 07:14:48 AM »
dekho zara dekho barkha ki jhadi
tan ko bhigoye boondon ki ladi

mausam suhaana hai kya aashikaana hai
bajne lagi hai tik tik dil ki ghadi
dekho zara ...

thodi si bechaini thoda nasha
aane laga hai mujhe to maza
ghungharu bajaati hain chanchal hawa
na zaane saawan ki niyat hain kya
mujhko sambhalo mushkil hain badi
dekho zara ...

lalla ...

mehke nazaare suhaani dagar
main bekhabar na mujhe kuch khabar
ho anjaani chahat ka ehsaas hain
bheege labon pe nayi pyaas hain
phisle kadam kaise rahu main khadi
dekho zara ...

mausam suhana hain kya aashikaana hai
bajne lagi hain tik tik dil ki ghadi
(dekho zara dekho barkha ki jhadi
tan ko bhigoye boondon ki ladi
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #152 on: November 09, 2005, 07:16:18 AM »
janam janam ka saath hai nibhaane ko
sau sau baar maine janam liye)
(pyaar amar hai duniya mein, pyaar kabhi nahin marta hai)
maut badan ko aati hai, ruh ka jalva rehta hai
janam janam ka saath hai nibhaane ko
sau sau baar maine janam liye

(oh shehzaadi sapnon ki, itni tu hairaan na ho)
main bhi tera sapna hoon, jaan mujhe anjaan na ho
janam janam ka saath hai nibhaane ko
sau sau baar maine janam liye

(tu manzil main raahi hoon, ek din tujhko paaunga)
kaun mujhe ab rokega, har dum yoon hi aaunga
(janam janam ka saath hai nibhaane ko
sau sau baar maine janam liye)
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #153 on: November 12, 2005, 02:03:40 PM »
Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yahi to pyaar hai
betabiyon mein dhadkan meri chal paye
shayad yahi to pyaar hai
kutch bhi kaha na
kutch bhi suna na
phir bhi
bechain dil hai humara
behke kadam hai
mushkil main hum hai
dekho
sambhle bhala kaise yaara
chahe bina bhi
nazdeek hum chale aaye
shayad yahi toh pyaar hai

nazrein bichade
pehre laga de
dil pe
par dil kisiki na maane
Kaaton pe chalke
sholon mein jalke
roke
milke rahenge deewane
o o o
chahat ki lau to
aandhi mein bhi zilmilaye
shayad yahi to pyaar hai
Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yahi to pyaar hai

ye mulaqatein
yeh teri ankhein
ek pal na main bhool pau
kitni mohabbat
hai kitni chahat
tumse
kaise bhala main bataoo
Acha lage jo
toh samne muskuraye
shayad yahi to pyaar hai
Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye
shayad yahi to pyaar hai
kutch bhi kaha na
kutch bhi suna na
phir bhi
bechain dil hai humara
behke kadam hai
mushkil main hum hai
dekho
sambhle bhala kaise yaara
chahe bina bhi
nazdeek hum chale aaye
shayad yahi toh pyaar hai
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #154 on: November 13, 2005, 08:11:36 AM »
Khoobsurat hai woh itna
sahaa nahie jaata
kaise hum khoed ko rokh le
raha nahie jaata

Khoobsurat hai woh itna
sahaa nahie jaata
kaise hum khoed ko rokh le
raha nahie jaata
Chaand me daag hai yeh jaante hai hum lekien
raat bhar dekhe bina oesko
raha nahie jaata
Khoobsurat hai woh itna
sahaa nahie jaata

Djo mera ho nahie paayega
ies djahaa me kahie
roeh ban kar mieloenga oesko
aasma me kahie
Pyaar dhartie par farishto se
kiya nahie djaata
Khoobsurat hai woh itna
sahaa nahie jaata

Oen nigaho me mohabbat nahie
to kaho aur kya hai
par woh mujh se yeh keh raha
woh kisie aur kaa hai
zarasa jhoot bhie dhang se
kaha nahie jaata
khoobsurat hai woh itna
sahaa nahie djaata

Aankh me kaid kiye baitha
mai ek haseen lamha
jab mai ies neend se jagoenga
to dil toete ga
woh mujhe gaab koi kyoe
diekha nahie jaata
khoobsurat hai woh itna
sahaa nahie jaata
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #155 on: November 13, 2005, 08:12:39 AM »
Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi
Maine dil se kaha dhoond laana khushi


Bechaara kahan jaanta tha
Khalish hai yeh kya khala hai
Shehar bhar ki khushi se
Yeh dard mera bhala hai
Jashna yeh raaz na aaye
Mazaa toh bas gam main aaya hai

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Kabhi hai ishq ka ujaala
Kabhi hai maut ka andhera
Bataao kaun bes hoga
Main jogi banu ya lutera
Kayi chehre hai is dil ke
Najaane kaunsa mera

Maine dil se kaha dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Hazaaron aaise phaasle the
Jo Tai karne chale the
raahe magar chal padi thi
Aur peeche hum rah gaye the
kadam Do chaar chal paaye
Kiye phere tere mann ke

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #156 on: November 13, 2005, 08:14:38 AM »
Sultana Sultana Mera Naam Hai Sultana
Mere Husn Ka Har Andaz Mastana
Main Pariyon Ki Rani  
Kuku  
Meri Chadhti Jawani  
Kuku  
Jo Bhi Dekhe Ho Jaye Deewana  
Sultana  
Sultana...Mastana
Main Chaal Chalun To Hirni Ruk Jaye
Angdayee Loon To Bijli Sharmaye, Haan!
Main Shokh Kali Hoon  
Kuku  
Chanchal Titli Hoon  
Kuku  
Main Shokh Kali Chanchal Titli
Har Koi Deta Hai Dil Nazrana  
Sultana  
Sultana...Mastana
Masoom Samajh Ke Dore Mat Daalo
Dil Se Jaoge Are O Dilwalon Haan
Main Aaj Yahan Hoon  
Kuku  
Kal Jaane Kahan Hoon  
Kuku  
Main Aaj Yahan Kal Jaane Kahan
Banjaron Ka Kab Koi Thikana  
Sultana  
Sultana Sultana Mera Naam Hai Sultana
Mere Husn Ka Har Andaz Mastana
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #157 on: November 13, 2005, 08:16:55 AM »
Tere Chehre Se Nazar Nahin Hat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen
Tujhe Milke Bhi Pyaas Nahin Ghat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen

Pighle Badan Teri Tapti Nigaahon Se
Sholon Ki Aanch Aaye Barfili Raahon Se
Lage Kadmonse Aag Lipat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Rangon Ki Barkha Hai Khushboo Ka Saath Hai
Kisko Pataa Hai Ab Din Hai Ke Raat Hai
Lage Duniya Hi Aaj Simat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Palkon Pe Failaa Teri Palkon Ka Saaya Hai
Chehre Mein Tere Mera Chehra Chhupaya Hai
Tere Jalwon Ki Chhund Nahin Chhat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #158 on: November 13, 2005, 08:17:28 AM »
Tere Chehre Se Nazar Nahin Hat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen
Tujhe Milke Bhi Pyaas Nahin Ghat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen

Pighle Badan Teri Tapti Nigaahon Se
Sholon Ki Aanch Aaye Barfili Raahon Se
Lage Kadmonse Aag Lipat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Rangon Ki Barkha Hai Khushboo Ka Saath Hai
Kisko Pataa Hai Ab Din Hai Ke Raat Hai
Lage Duniya Hi Aaj Simat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Palkon Pe Failaa Teri Palkon Ka Saaya Hai
Chehre Mein Tere Mera Chehra Chhupaya Hai
Tere Jalwon Ki Chhund Nahin Chhat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #159 on: November 14, 2005, 11:22:04 AM »
good friends......... nice collection yaar

Is Pyaar se meri taraf na dekho, pyaar hojayega
yeh pyaar ho gaya tho teer dil ke paar ho jayega
pyaar hojayega

Do char aise mulakatein hogi
saare zamane mei baatein hongi
baatein hongi
ke naam badnaam tera mera yaar hojayega
pyaar hojayega

Is Pyaar se meri taraf na dekho, pyaar hojayega
yeh pyaar ho gaya tho teer dil ke paar ho jayega
pyaar hojayega

aankhon se apna dil taam lena
aankhon se aankhen milne na dena
milne na dena
ki ankhon hi ankhon mei koi vaar hojayega
pyaar hojayega

Is Pyaar se meri taraf na dekho, pyaar hojayega
yeh pyaar ho gaya tho teer dil ke paar ho jayega
pyaar hojayega
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #160 on: November 18, 2005, 12:27:23 PM »
Ek bahut hi acha geet hai jo mujhe muh bole yaad hai.......

Azib daastan hai yeh
Kahan shuru kahan khatam
ye manzilain hai kaun si
Na woh samajh sake na hum

Ye roshni ke saath kyun dhuan utha chirag se
Ye khwab dekhti hoon main ki jag padi hoon khwab se
Azib daastan hai yeh...

Mubarake tumhe ki tum kisi ka noor ho gaye
Kisi ke itne paas ho ki sabse door ho gaye

Kisi ka pyar leke tum naya jahan basaoge
Ye shaam jabhi aayegi tum humko yaad aaoge
Azib daastan hai yeh
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #161 on: November 19, 2005, 11:42:47 AM »
Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon
Aakhir kyun pal yun diwaana main ho gaya
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -

Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh hoke beqaabu, dil kho gaya
Tumhein jo maine socha, tumhein jo maine maana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya  

Itni kyun, tum khubsoorat ho, ke sab ko hairat ho
Duniya mein sach-much hi rehti hai
Pariyon se bhi zyaada pyaari si ladki koyi
Haan itni kyun, bolo haseen tum ho, jo dekhein gum-sum ho
Dekho na main bhi hoon khoya sa
Behka sa mujhpe bhi chhaayi hai diwaangi
Tumhi ko maine puja, tumhi ko chaaha paana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh hoke beqaabu, dil kho gaya
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -
Jo hosh tha, woh toh gaya


Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon
Tumne jo dekha toh kya jaane kya ho gaya
Jaane kyun, rehti hoon khoyi si, jaagi na soyi si
Ab dil mein armaan hai saanson mein toofaan hai
Aankhon mein khwaabon ki hai chaandni
Aa…jaane kyun, behka sa ye mann hai, mehka sa ye tan hai
Chalti hoon itraake, ithlaake, sharmaake
Balkhaake jaise koyi raagini
Tumhein jo maine samjha, tumhein jo pehchaana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh ho hoke beqaabu, dil kho gaya
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:15:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.19 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer