***Romantic Songs*******

by Friend_4uall on February 06, 2005, 02:47:25 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
Print
Author  (Read 12818 times)
dolly
Guest
«Reply #45 on: February 27, 2005, 07:13:25 PM »
yeh samaa ..samaa hai yeh pyaar ka...
kisi ke intezaar ka dil naa chura kahin mera mausam bahar ka...

basne lage aankhon mein kuch aise sapne ...
koi bulaaye jaise nainon se apne naino se apne...
yeh sama ....

mil ke khayalon mein hi apne balam se ,
neend chura li maine apni kasam se,
Aapni kasam se..
yeh sama ..sama hai khumaar ka
kisi ke intezaar ka ,
dil naa chura le kahin mera ,mausam bahaar ka..

main to bannongi apne raja ki raani..
hogi phir puri apni ...prem kahaani...prem kahani

yeh sama ,sama hai yeh pyaar ka
kisi ke intezaar ka ,
dil naa chura le kahin mera mausam bahaar ka..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
world`s best romantic shayari by sachin_9810****** in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
romantic sms by shivani(9899207979) in SMS , mobile & JOKES
romantic साँसे by anjaanajnabi in Miscellaneous Shayri
Lata & Rafi sb's romantic song (60's) by suman59 in Share Video
BEDARD - (A Romantic Thriller story) by asif biswas in General Stories « 1 2 3  All »
dolly
Guest
«Reply #46 on: February 28, 2005, 05:49:18 PM »
Tere naam ka deewaana tere ghar ko dhoondta hai..

awaaz dil ki pehchaan le,main kaun hoon tu yeh jaanle
awaaz dil ki pehchaan le,main kaun hoon tu yeh jaanle

tere naam ka deewaana tere ghar ko dhoondta hai..

phoolon mein jaise hai rango bu..
mujhko chupa le aankhon mein tu
mera dil tadap tadap ke dilbar ko dhoondta hai

jaane wafaa o jaanejigar yeh zindagi to hai ek safar
jaane wafaa o jaanejigar yeh zindagi to hai ek safar

iss safar mein musafir humsafar ko dhoondta hai..

tere naam ka deewaana tere ghar ko dhoondta hai..
Logged
jindagi
Guest
«Reply #47 on: March 03, 2005, 02:09:42 AM »
one of my favt.song...

ye dil aur unki nigahon ke saaye
mujhe gher lete hain baahon ke saaye

pahadon ko chanchal kiran chumati hai
havaa har nadi ka badan chumati hai
yahan se wahan tak hain chahon ke saaye
ye dil aur unki...

lipaTate ye pedon se badal ghanere
ye pal pal ujale ye pal pal andhere
bahut thande thande hain rahon ke saaye
ye dil aur unki...

dhadakte hain dil kitni betabiyon se
bahut milate julte hain in wadiyon se
mohabbat ke rangin panhon ke saaye
ye dil aur unki.......
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #48 on: March 03, 2005, 03:54:54 AM »
YEH CHAHAT KA PEHLA ASR HO RHA HAI
EDHER HO CHUKA HAI UDHER HO RHA HAI
NA JANE QDAM MERE KYUN RUK S GAYE HAIN
KIA TERI GALI S GUZR HO RHA HAI
*
*
*
*

*
*
*
*
*
ITS MY FAVRT
SINGER IS SHIRIKANT ACHARYA
Logged
jindagi
Guest
«Reply #49 on: March 04, 2005, 12:25:42 AM »
e dil-e-nadaan ..e dil-e-nandaan
aarzu kya hai ..zustazu kya hai
e dil-e-nadaan...

hum bhatakte hain .kyon bhatakte hain, dashto-seharaa main
aisa lagta hai, mauj pyasi hai, apne dariya main
kaisi uljhan hai, kyon ye uljhan hai
ek saya sa, ru-baru kya hai
e dil-e-nahdaan..

kya qayamat hai, kya musibat hai
kah nahi sakte, kiska arman hai
zindagi jaise, khoi khoi hai, hairaan hairaan hai
ye zami chup hai, asmaan chup hai
fir ye dhadkan si, chaar su kyahai
e dil-e-naadaan...

aisi rahon main kitne kaante hain
arzoouone  arzoouone
har kisi dil ko , dard baante hain
kitane ghaayal hain, kitane bismil hain
is khudaai main , ek tu kya hai
e dil-e-naadaan....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #50 on: March 04, 2005, 12:55:07 AM »
Quote from: "jindagi"
e dil-e-nadaan ..e dil-e-nandaan
aarzu kya hai ..zustazu kya hai
e dil-e-nadaan...

hum bhatakte hain .kyon bhatakte hain, dashto-seharaa main
aisa lagta hai, mauj pyasi hai, apne dariya main
kaisi uljhan hai, kyon ye uljhan hai
ek saya sa, ru-baru kya hai
e dil-e-nahdaan..

kya qayamat hai, kya musibat hai
kah nahi sakte, kiska arman hai
zindagi jaise, khoi khoi hai, hairaan hairaan hai
ye zami chup hai, asmaan chup hai
fir ye dhadkan si, chaar su kyahai
e dil-e-naadaan...

aisi rahon main kitne kaante hain
arzoouone  arzoouone
har kisi dil ko , dard baante hain
kitane ghaayal hain, kitane bismil hain
is khudaai main , ek tu kya hai
e dil-e-naadaan....
ITS MY FAVRT TREEN SONG YAAR

I LOVE IT

BUHAT ACHEY JINDGI
Logged
jindagi
Guest
«Reply #51 on: March 04, 2005, 12:57:23 AM »
thx fakh
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #52 on: March 04, 2005, 01:00:40 AM »
YOU COME COME
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #53 on: March 06, 2005, 07:56:24 AM »
Chunari chunari

Lal ganj ke lal bangle se lal chunariya layi
Chunari Chunari
Chunari chunari
Lal rang me daal daal ke lal lal rangvaayi
Chunari Chunari
Chunari chunari
Aaja na chhoole meri chunari sanam
Kuchh na mein boloon tujhe meri kasam
Aayi jawani sar pe mere
Tere pe kya karoon jawani pe rehem
Aaja na chhoole meri chunari sanam
Kuchh na mein boloon tujhe meri kasam
Aayi jawani sar pe mere
Tere pe kya karoon jawani pe rehem
Hay

Aaja na chhoole meri chunari sanam
Kuch na mein boloon tujhe meri kasam

Chunari Chunari
Chunari Chunari
Meri chunari lal rang ki sharmaaye ghabraaye
Tu jo daale ispe nazar ye aur lal ho jaaye
Chunari Chunari
Chunari Chunari

Teri chunari lipat lipat ke pagal mujhe banaaye
Pehle se hi tadap raha tha aur mujhe tadpaaye
Jane tamanna kar na aise sitamb
Kuch na mein bolu tujhe meri kasam
Aayi jawani sar pe mere
Tere pe kya karoon jawani pe rehem

Hay

Aaja na chhoole meri chunari sanam
Kuchh na mein boloon tujhe meri kasam
Aayi jawani sar pe mere
Tere pe kya karoon jawani pe rehem

Chunari Chunari
Chunari Chunari
Chikne Chikne badan se tere sar sar chunari sarke
Aisa lage ke bin baadal ambar pe bijli kadke
Chunari Chunari
Chunari Chunari
Jee karta ye bijli mein tujhpe aaj bithaoon
Tujhko bhar loon baahon mein ye chunari tujhe udaoon
Badta hi jaye dard ho na khatam
Kuch na mein bolu tujhe meri kasam
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #54 on: March 06, 2005, 07:58:29 AM »
Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha
jaise meri saari duniya main geeton ki rut
aur rangon ki barkha hai khushbu ki aakdhi hai
mahki hui si ab saari fizaayen hain
bahki hui si ab saari hawaayen hain
khoyi hui si ab saari dishaayen hain
badli hui se ab saari adaayen hain
jaagi ummengein hain, dhadak raha ahi dil
sapnon main toofaan hain, hoton pe nagme hain
aakhon main sapne hain, sapnon main beete hue
se vo saare lamhe hain
jab koi aaya tha, jazron pe chhaya tha
dil main samaya tha, kaise main bataun tumhe
kaise use paaya tha, pyaar ke chehre pe bikhri jo julphen
to aisa lagta tha jaise kohre ke peechhe
ek os main dhula hua phool khila hai jaise
badal main ik chaand chhupa hai
aur jhaank raha hai jaise raat ke parde main
ek savera hai roshan roshan aakhon main
sapnon ka saagar jismain prem sitaron ki chaadar
jaise jhalak rahi hai
lahron lahron baat kare to jaise moti barse
jaise kahin chandi ki payal goonjey
jaise kahin sheeshe main jaam girey
aur chhann se tootey jaise koi chhip ke sitaar bajaye
jaise koi chaandni raat main gaye
jaise koi hole se paas bulaye
kaisi meethi baatain thee
vo kaisi mulakaatein thee
vo jab maine jaana tha
jazron se kaise pighalte hain dil
aur aarzoo paati hai kaise manzil
aur kaise utarta hai chaand jameen par
kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
to bas hai yahin par
usne bulaya mujhe, aur samjhaya mujhe
hum jo mile hain, hamain aise hi milna tha
gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha
janmo ke bandhan, janmo ke rishtey hain
jab bhi hum janme to hum yahin milte hain
kaanon main mere jaise, shahed sa ghulne lage
khwaabon ke dar jaise aakhon main khulne lage
khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur
kaisi rangeen thee khwaabon ki duniya
jo kahne ko thee par kahin bhi nahi thee
khwaab jo toote mere, aakh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe
maine dekha maine jaana
vo jo kabhi aaya tha, nazron pe chhaya tha
dil main samaya tha, ja bhi chuka hai
aur dil mera ab hai tanha tanha
na to koi armaan hai, na koi tamanna hai
aur na koi sapna hai
ab jo mere din aur ab jo meri ratain hain
unmain sirf aansoon hain
unmain seif dard ki ranj ki batain hain
aur pharyaadein hain
mera ab bhi koi nahi main hoon aur khoye
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #55 on: March 06, 2005, 08:01:41 AM »
Chhookar Mere Man Ko Kiya Toone Kya Ishaara
Badla Yeh Mausam Lage Pyaara Jag Saara

Tu Jo Kahe Jeevan Bhar Tere Liye Maein Gaoon
Geet Tere Bolon Pe Likhta Chala Jaoon
Mere Geeton Mein Tujhe Dhoonde Jag Saara
Chhookar Mere Man Ko

Aaja Tera Aanchal Yeh Pyaar Se Maein Bhar Doon
Khushiyaan Jahan Bhar Ki Tujhko Nazar Kar Doon
Tu Hi Mera Jeevan Tu Hi Jeene Ka Sahaara
Chhookar Mere Man Ko
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #56 on: March 06, 2005, 08:02:32 AM »
Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Meri zindagi sawaari
Mujhko gale lagake
Baitha diya falak pe
Mujhe khaat se oothake

Meri zindagi sawaari
Mujhko gale lagake
Baitha diya falak pe
Mujhe khaat se oothake
Yaara teri yaari ko
Maine to khuda mana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Mere dil ki yeh dua hai
Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena
Woh din kabhi na aaye

Mere dil ki yeh dua hai
Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena
Woh din kabhi na aaye
Tere sung jeena yahan
Tere sung mar jaana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #57 on: March 06, 2005, 08:03:32 AM »
Yeh Mera Deewanapan Hai
Ya Mohabbat Ka Suroor
Tu Na Pehchaane To Hai Yeh
Teri Nazron Ka Kusoor
Yeh Mera Deewanapan ...

Dil Ko Teri Hi Tamanna
Dil Ko Hai Tujhse Hi Pyar
Chaahe Tu Aaye Na Aaye
Hum Karenge Intezaar
Yeh Mera Deewanapan...

Aise Veerane Mein Ek Din
Ghut Ke Mar Jayenge Hum
Jitna Ji Chaahe Pukaro
Phir Nahin Aayenge Hum
Yeh Mera Deewanapan...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #58 on: March 06, 2005, 08:06:42 AM »
Choodi Baji Hai Kahin Door Chhan Chhan Chhan
Kangana Baja Hai Kahin Door Khan Khan Khan
Choodi Baji Hai Kahin Door Chhan Chhan Chhan
Kangana Baja Hai Kahin Door Khan Khan Khan
Ye Tera Kajra
Ye Tera Gajra
Luta Doon Aaj Is Pe Tan Man Dhan

Choodi Baji Hai Kahin Door Chhan Chhan Chhan
Kangana Baja Hai Kahin Door Khan Khan Khan

Gin Gin Taare Raat Guzaroon
Din Din Bhar Main Tujhe Pukaroon
Sanvre..
Gin Gin Taare Raat Guzaroon
Din Din Bhar Main Tujhe Pukaroon
Goonjti Hai Pavan Jaise San San San San
Logged
sanya310
Guest
«Reply #59 on: March 06, 2005, 11:42:56 AM »
hmm nice songs!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:49:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer