Sad Songs of Mukesh..............

by Suhas on May 30, 2005, 08:54:55 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6586 times)
Suhas
Guest
Jo Tumko Ho Pasand Wahi Baat Karenge
Tum Din Ko Agar Raat Kaho Raat Kahenge

Dete Na Aap Saath To Mar Jaate Hum Kabhi Ke
Poore Huye Hain Aapse Armaan Zindagi Ke
Hum Zindagi Ko Aap Ki Saugaat Kahenge
Tum Din Ko Agar Raat Kaho Raat Kahenge


Chaahenge... Nibhayenge... Sarhayenge Aap Hi Ko
Aankon Mein Dam Hai Jab Tak Dekhenge Aap Hi Ko
Apni Zubaan Se Aapke Jazbaat Kahenge
Tum Din Ko Agar Raat Kaho Raat Kahenge
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
my fav songs..... by nice_off_me in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
Chand ki deewar...... sad song of Mukesh sb by suman59 in Share Video
chand ki deewar na todi by mukesh by suman59 in Share Video
Suhas
Guest
«Reply #1 on: May 30, 2005, 08:56:04 AM »
Dost dost na raha, pyaar pyaar naa raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha,  aitbaar na raha

Amaanatein main pyaar ki, gaya tha jisko saunp kar
Woh mere dost tum hi the, tumhi to the
Jo zindagi ki raah me bane the mere hamsafar
Woh mere dost tum hi the, tumhi to the
Saare bhed khul gaye, raazdaar na raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha
Dost dost na raha, pyaar pyaar naa raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha,  aitbaar na raha


Safar ke waqt mein palak pe motiyo ko taulti
Woh tum na thi to kaun tha tumhi to thi
Nashe ki raat dhhal gayi ab khumaar na raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha
Dost dost na raha, pyaar pyaar naa raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha,  aitbaar na raha
Logged
Suhas
Guest
«Reply #2 on: May 30, 2005, 08:56:44 AM »
Saab kuch seekha hamne na seekhi hoshiyari
Sach hai duniyawaalon ki hum hain anaadi

Duniya ne kitna samajhaya
Kaun hai apna kaun paraaya
Phir bhi dil ki chot chupa kar
Hamne aapka dil bahalaaya
Khud pe mar mitne ki ye zid thi hamari (2)

Sach hai duniyawaalon ki hum hain anaadi

Asli nakli chehre dekhe
Dil pe sau sau pahre dekhe
Mere dukhte dil se poochho
Kya kya khwaab sunahare dekhe
Toota jis taare pe nazar thi hamari (2)

Dil ka chaman ujadte dekha
Pyaar ka rang utarte dekha
Hamne har jeene waale ko
Dhan daulat pe marte dekha
Dil pe marne waale marenge bhikhari (2)

Sach hai duniyawaalon ki hum hain anaadi
Logged
Suhas
Guest
«Reply #3 on: May 30, 2005, 08:57:49 AM »
Deewano Se Yeh Mat Poocho
Deewano Pe Yeh Kya Guzari Hai
Haan Unke Dilon Se Yeh Poocho
Armanon Pe Kya Guzari Hai

Auron Ko Pilate Rehte Hain
Aur Khud Pyaase Reh Jaate Hai
Yeh Peene Waale Kya Jaane
Paimanon Pe Kya Guzari Hai
Deewano Se Yeh Mat Poocho
Deewano Pe Yeh Kya Guzari Hai


Malik Ne Banaya Insaan Ko
Insaan Mohabbat Kar Baitha
Woh Upar Baitha Kya Jaane
Insanon Pe Kya Guzari Hai
Deewano Se Yeh Mat Poocho
Deewano Pe Yeh Kya Guzari Hai
Logged
Suhas
Guest
«Reply #4 on: May 30, 2005, 08:58:29 AM »
suhaanee chaandanee raaten, humei sone naheen detee
tumhaare pyaar kee baaten, humei sone naheen detee

tumhaaree reshamee julfon mein, dil ke fool khilate the
kahee foolon ke mausam me, kabhee hum tum bhee milate the
puraanee wo mulaakaaten, humei sone naheen detee

kahee ayesaa n ho lag jaaye, dil mein aag paanee se
badal le raasataa apanaa, ghataayen meharabaanee se
ke yaadon kee ye barasaaten, humei sone naheen detee
Logged
Suhas
Guest
«Reply #5 on: May 30, 2005, 08:59:50 AM »
muze tum se kuchh bhee naa chaaheeye
muze mere haal pe chhod do
meraa dil agar koee dil naheen
use mere saamane tod do

tumhe apanaa kahane kee chaah mein
kabhee ho sake naa kisee ke hum
yahee dard mere jigar mein hain
muze maar daalegaa bas ye gam

mai ye bhool jaaoongaa jindagee
kabhee muskaraayee thee pyaar mein
mai ye bhool jaaoongaa meraa dil
kabhee khil uthhaa thaa bahaar mein
Logged
Suhas
Guest
«Reply #6 on: May 30, 2005, 09:00:32 AM »
Dil Se Tujhko Bedili Hai
Mujhko Hai Dil Ka Guroor
Tu Yeh Maane Ya Na Maane
Log Maanenge Zaroor

Yeh Mera Deewanapan Hai
Ya Mohabbat Ka Suroor
Tu Na Pehchaane To Hai Yeh
Teri Nazron Ka Kusoor
Yeh Mera Deewanapan ...

Dil Ko Teri Hi Tamanna
Dil Ko Hai Tujhse Hi Pyar
Chaahe Tu Aaye Na Aaye
Hum Karenge Intezaar
Yeh Mera Deewanapan...

Aise Veerane Mein Ek Din
Ghut Ke Mar Jayenge Hum
Jitna Ji Chaahe Pukaro
Phir Nahin Aayenge Hum
Yeh Mera Deewanapan...
Logged
Suhas
Guest
«Reply #7 on: May 30, 2005, 09:03:05 AM »
Hum Chhodh Chale Hain Mehfil Ko
Yaad Aayen Kabhi To Mat Rona
Iss Dil Ko Tasalli De Dena
Ghabraye Kabhi To Mat Rona
Hum Chhodh Chale...

Ek Khwab Sa Dekha Tha Humne
Jab Aankh Khuli To Toot Gaya
Yeh Pyaar Tumhe Sapna Bankar
Tadpaye Kabhi To Mat Rona
Hum Chhodh Chale...

Tum Mere Khayalon Mein Khokar
Barbad Na Karna Jeevan Ko
Jab Koi Saheli Baat Tumhe
Samjhaye Kabhi To Mat Rona
Hum Chhodh Chale...

Jeevan Ke Safar Mein Tanhai
Mujhko To Na Zinda Chhodhegi
Marne Ki Khabar Aye Jaane Jigar
Mil Jaye Kabhi To Mat Rona
Hum Chhodh Chale...
Logged
Suhas
Guest
«Reply #8 on: May 30, 2005, 09:03:47 AM »
mere toote huye dil se, koee to aaj ye poochhe
ke teraa haal kyaa hai

kismat teree reet niraalee, o chhaliye ko chhalanewaalee
fool khilaa to tootee daalee
jise ulafat samaz baithhaa, meree najaron kaa dhokhaa thaa
kisee kee kyaa khataa hai

maangee mohabbat paayee judaayee, duniyaan muz ko raas naa aayee
pahale kadam par thhokar khaayee
sadaa aazaad rahate the, humei maaloom hee kyaa thaa
mohabbat kyaa balaa hai
Logged
Suhas
Guest
«Reply #9 on: May 30, 2005, 09:04:45 AM »
jaaoo kahaan bataa aye dil  duniyaan badee hain sangadil
chaandanee aayee ghar jalaane, suze naa koee manjil

ban ke toote yahaan, aarajoo ke mahal
ye jameen aasamaan bhee gaye hain badal
kahatee hain jindagee, is jahaan se nikal

haay is paar to aasuon kee dagar
jaane us paar kyaa ho kise hain khabar
thhokaren khaa rahee, har kadam par najar
Logged
Suhas
Guest
«Reply #10 on: May 30, 2005, 09:05:34 AM »
teree yaad dil se bhoolaane chalaa hoo
ke khud apanee hastee mitaane chalaa hoo

ghataao tumhe saath denaa padegaa
mai fir aaj aansoo bahaane chalaa hoo

kabhee jis jagah khwaab dekhe the maine
wahee khaank apanee udaane chalaa hoo

gama-ye-ishk le, fook de meraa daaman
mai apanee lagee yoo, buzaane chalaa hoo
Logged
Suhas
Guest
«Reply #11 on: May 30, 2005, 09:06:37 AM »
taaron mein saj ke, apane sooraj se, dekho dharatee chalee milane
zanakee paayal  mach gayee halachal  anbar saaraa lagaa hilane

hai ghataaon kaa, do nain mein kaajal
dhoop kaa mukh pe daale sunaharaa saa aanchal
yoo laharayee, lee angadaee, lagee jaise dhanak khilane

aag see lapate, jalatee huyee raahe
jee ko dahalaaye, bechain toofaan kee aahe
naa daregee, naa rukegee, dekhe kyaa ho, kahaa dil ne
Logged
Suhas
Guest
«Reply #12 on: May 30, 2005, 09:07:19 AM »
Mujhko Is Raat Ki Tanhaai Mein Aawaz Na Do
Jiski Aawaz Rula De Mujhe Woh Saaz Na Do
Awaaz Na Do...

Roshni Ho Na Saki Dil Bhi Jalaya Maine
Tujhko Bhula Hi Nahin Lakh Bhulaya Maine
Mein Pareshan Hoon Mujhe Aur Pareshan Na Karo
Awaaz Na Do...

Is Kadar Jald Kiya Mujhse Kinara Tumne
Koi Bhatkega Akela Yeh Na Socha Tumne
Chhup Gaye Ho To Mujhe Yaad Bhi Aaya Na Karo
Awaaz Na Do...
Logged
Suhas
Guest
«Reply #13 on: May 30, 2005, 09:08:05 AM »
Chal Ree Sajni Ab Kya Soche
Kajraa Na Beh Jaaye Rote-Rote
Chal Ree Sajni...

Baabul Pachtaye Haathon Ko Mal Ke
Kaahe Diya Pardes Tukde Ko Dil Ke
Aansoo Leeye Soch Raha Door Khadha Re
Chal Ree Sajni...

Mamta Ka Aanchal Gudiyon Ka Kangna
Chhoti Badi Sakhiyaan Ghar Gali Angna
Chhoot Gaya, Chhoot Gaya, Chhoot Gaya Re
Chal Ree Sajni...

Dulhan Banke Gori Khadhi Hai
Koi Nahin Apna Kaisi Ghadi Hai
Koi Yahaan, Koi Wahaan, Koi Kahaan Re
Chal Ree Sajni ...
Logged
Suhas
Guest
«Reply #14 on: May 30, 2005, 09:08:55 AM »
Aaya Hai Mujhe Phir Yaad Woh Zaalim
Guzara Zamaana Bachpan Ka
Hay Re Akele Chhod Ke Jaana
Aur Na Aana Bachpan Ka
Aaya Hai Mujhe ...

Woh Khel, Woh Saathi , Woh Jhule
Woh Daud Ke Kehna Aa Chhule
Hum Aaj Talak Bhi Na Bhule
Woh Khwab Suhaana Bachpan Ka
Aaya Hai Mujhe...

Iski Sab Ko Pehchaan Nahin
Yeh Do Din Ka Mehmaan Nahin
Mushkil Hai Bahut Aasaan Nahin
Yeh Pyar Bhulaana Bachpan Ka
Aaya Hai Mujhe...

Milkar Roye, Fariyaad Kare
Un Beete Dino Ki Yaad Kare
Aye Kaash Kahin Mil Jaaye Koi
Yun Meet Puraana Bachpan Ka
Aaya Hai Mujhe..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:19:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer