Sad Songs of Mukesh..............

by Suhas on May 30, 2005, 08:54:55 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 6602 times)
Suhas
Guest
«Reply #15 on: May 30, 2005, 09:09:50 AM »
Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai

Mere Dil Ki Mere Jazbaat Ki Keemat Kya Hai
Uljhe Uljhe Se Khayalaat Ki Keemat Kya Hai
Maine Kyon Pyar Kiya Tumse, Kyon Pyar Kiya
In Pareshan Savalat Ki Keemat Kya Hai
Tum Jo Yeh Bhi Na Bataao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat...

Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai
Zulf Rukhsar Ki Jannat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai
Bhook Aur Pyaas Ki Maari Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai
Tum Agar Aankh Churaao To Yeh Haq Hai Tumko
Maine Tumse Hi Nahin Sabse Mohabbat Ki Hai

Tumko Duniya Ke Gham-O-Dard Se Fursat Na Sahi
Sabse Ulfat Sahi Mujhse Hi Mohabbat Na Sahi
Main Tumhari Hoon Yahi Mere Liye Kya Kam Hai
Tum Mere Ho Ke Raho,Yeh Meri Kismat Na Sahi
Aur Bhi Dil Ko Jalaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
my fav songs..... by nice_off_me in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
Chand ki deewar...... sad song of Mukesh sb by suman59 in Share Video
chand ki deewar na todi by mukesh by suman59 in Share Video
Suhas
Guest
«Reply #16 on: May 30, 2005, 09:12:30 AM »
Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye
Chupke Se Aaye
Mere Khayaalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaaye

Kabhi Yun Hi Jab Hui Bojhal Saansen
Bhar Aai Baithe Baithe Jab Yun Hi Aankhen
Kabhi Machal Ke Pyar Se Chal Ke
Chhuye Koi Mujhe Par Nazar Na Aaye
Kahin Door...

Kahin To Yeh Dil Kabhi Mil Nahin Paate
Kahin Pe Nikal Aaye Janmon Ke Naate
Thami Thi Uljhan Bairi Apna Man
Apna Hi Hoke Sahe Dard Paraaye
Kahin Door...
Logged
Suhas
Guest
«Reply #17 on: May 30, 2005, 09:13:23 AM »
koee jab tumhaaraa hriaday tod de
tadapataa huaa jab koee chhod de
tab tum mere paas aanaa pirye
meraa dar khulaa hai, khulaa hee rahegaa, tumhaare liye

abhee tum ko meree jarurat nahee, bahot chaahanewaale mil jaayenge
abhee rup kaa yek saagar ho tum  kanwal jitane chaahogee khil jaayenge
darpan tumhe jab daraane lage, jawaanee bhee daaman chhoodaane lage
tab tum mere paas aanaa pirye
meraa sar zukaa hai, zukaa hain rahegaa, tumhaare liye

koee sharta hotee naheen pyaar me, magar pyaar sharton pe tum ne kiyaa
najar mein sitaare jo chamake jaraa, buzaane lagee aaratee kaa diyaa
jab apanee najar mein hee girane lago, andhero mein apane hee ghirane lago
tab tum mere paas aanaa pirye
ye deepak jalaa hai, jalaa hee rahegaa tumhaare liye
Logged
Suhas
Guest
«Reply #18 on: May 30, 2005, 09:21:52 AM »
(Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar
Kisika dard mil sake to le udhaar
Kisike waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena issi ka naam hai) -2

(Maana apni jeb se fakeer hain
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hain) -2
Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi
Jale bahaar ke liye woh zindagi
Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar
Jeena issi kaa naam hai

(Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hameen se naam pyaar ka) -2
Ke mar ke bhi kisi ko yaad aayenge
Kisi ke aansuon mein muskuraayenge
Kahega phool har kali se baar baar
Jeena issi kaa naam hai
Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar..
Logged
Suhas
Guest
«Reply #19 on: May 30, 2005, 09:22:28 AM »
Hum tujhse mohabbat karke sanam - 2
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2
Khush hoke sahe ulfat ke sitam - 2
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2
(Hai dil ki lagi kya tujhko khabar
Ek dard utha tharaayi nazar) - 2
Tharaayi nazar
Khaamosh the hum
Khaamosh the hum is gham ki kasam
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2
(Yeh dil jo jala ek aag lagi
Aansu jo bahe barsaat hui) - 2
Barsaat hui
Baadal ki tarah
Baadal ki tarah aawaara the hum
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2
Hum tujhse mohabbat karke sanam - 2
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: May 30, 2005, 11:32:23 AM »
Quote from: "Suhas"
Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai

Mere Dil Ki Mere Jazbaat Ki Keemat Kya Hai
Uljhe Uljhe Se Khayalaat Ki Keemat Kya Hai
Maine Kyon Pyar Kiya Tumse, Kyon Pyar Kiya
In Pareshan Savalat Ki Keemat Kya Hai
Tum Jo Yeh Bhi Na Bataao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat...

Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai
Zulf Rukhsar Ki Jannat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai
Bhook Aur Pyaas Ki Maari Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai
Tum Agar Aankh Churaao To Yeh Haq Hai Tumko
Maine Tumse Hi Nahin Sabse Mohabbat Ki Hai

Tumko Duniya Ke Gham-O-Dard Se Fursat Na Sahi
Sabse Ulfat Sahi Mujhse Hi Mohabbat Na Sahi
Main Tumhari Hoon Yahi Mere Liye Kya Kam Hai
Tum Mere Ho Ke Raho,Yeh Meri Kismat Na Sahi
Aur Bhi Dil Ko Jalaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat...


I love this song Suhas.... very touching !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: May 30, 2005, 11:49:46 AM »
Mubarak ho sabko samaan ye suhaana
Main khush hoon mere aansuon pe na jaana
Main to deewana deewana deewana

Hazaaron tarah ke ye hote hain aansu
Agar dil main ghum hon to rote hain aansu
Khushi main bhi aankhain bhigote hain aansu
Inhe jaan sakta nahin ye zamaana
Main khush hoon mere aansuon pe na jaan
Main to deewana deewana deewana

Ye shehnaaiyaan de rahi hain duhaai
Koi cheez apni hui hai paraayi
Kisi se milan hai kisi se judaai
Naye rishton ne toda naata puraana
Main khush hoon mere aansuon pe na jaan
Main to deewana deewana deewana...
Logged
Suhas
Guest
«Reply #22 on: August 20, 2005, 10:30:07 AM »
dil lagaakar aapase pachhataa rahe hain jaan-e-man
pyaar karane kii sazaa ham paa rahe hain jaan-e-man

aaNkh kuchh aisii ladii naukarii karanii paDii
aa gaye baaton mein ham dil mein chhuuTii phulajhaDii
haay ham to phaNs gaye ghabaraa rahe hain jaan-e-man
pyaar karane kii sazaa ham paa rahe hain jaan-e-man

dil to pahale de diyaa dilabar apane ho chuke
paas jo puuNjii bachii haay vo bhii kho chuke -2
ham to apane haal par sharamaa rahe hain jaan-e-man
pyaar karane kii
Logged
Suhas
Guest
«Reply #23 on: August 20, 2005, 10:36:09 AM »
o jaanewaale, ho sake to laut ke aanaa
ye ghaat, too ye baant kahee bhool naa jaanaa

bachapan ke tere meet tere sang ke sahaare
dhoondhenge tuze galee galee, sab ye gam ke maare
poochhegee har nigaah kal teraa thhikaanaa

de de ke ye aawaaj koee har ghadee bulaaye
fir jaaye jo us paar kabhee laut ke naa aaye
hai bhed ye kaisaa koee kuchh to bataanaa
Logged
Suhas
Guest
«Reply #24 on: August 20, 2005, 10:37:48 AM »
hum ne apanaa sab kuchh khoyaa, pyaar teraa paane ko
chhod diyaa kyo pyaar ne tere, dar dar bhatakaane ko

wo aansoo jo, bah naheen paaye
wo baaten jo, kah naheen paaye
dil mein chhupaaye firate hain hum  ghootakar mar jaane ko

us kee rahe too, jis kee ho lee
tuz ko mubaarak, pyaar kee dolee
baithh gaye hum gam kee chitaa par, jindaa jal jaane ko
Logged
Suhas
Guest
«Reply #25 on: August 20, 2005, 10:39:29 AM »
khush raho, har khushee hain tumhaare liye
chhod do aansooon ko humaare liye

kyon udaasee kee tasaweer banakar khade
gam uthhaane ko duniyaan mein hum to pade
muskuraane ke din hain, naa aahen bharo
mere hote naa khud ko pareshaan karo

bijalee chamake tumhen dar kee kyaa baat hain
roshanee kee yahee to shuruwaat hain
tootanee hain jo bijalee meraa sar to hain
jo andhere hain beghar, meraa ghar to hain

tum bahaaron se shikawaa naa karanaa kabhee
de do kaante humein fool le lo sabhee
fool koee kuchal jaaye jab bhool mein
soch lenaa ke hum mil chooke dhool mein
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #26 on: August 21, 2005, 10:27:35 PM »
Hey i like most of the songs u wrote

~~Har dil jo pyar kerengaa
    woh ganaa kayegaa
    diwanaa sankado main pehcaanaa jayegaa....
From Sangam
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:04:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer