Sawaal se jawaab tak..!

by nishita on November 11, 2004, 09:23:36 AM
Pages: 1 ... 61 62 63 64 [65] 66 67 68 69 70
Print
Author  (Read 42628 times)
Shikha12
Guest
«Reply #960 on: October 05, 2008, 09:00:57 AM »
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha,
Woh Teri Mehfil Mein Kaam Aaya,
Kisi ke Hisse Mein Pyaas Aayi..
Kisi ke Hisse Mein Jaam Aaya..

Logged
Roja
Guest
«Reply #961 on: October 08, 2008, 04:12:20 PM »
haha mahi..

Galiyaan-galiyaan dhoondh chuki main
kahaan ho bata do saajanaa
galiyaan-galiyaan dhoondh chuki main

ye socha tha sapane hamaare
ik din poore ho jaayenge
saath jiyenge saath marenge
ik dooje mein kho jaayenge
bikhare sapane saare ro-ro naina haare
poore hue na armaan
kaahaan ho bata do saajana
galiyaan-galiyaan dhoondh chuki main
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #962 on: October 10, 2008, 12:37:57 PM »
Do dil toote, Do dil haare...
Duniya waalon, Sadke Tumhaare...
Do Dil toote.. Do Dil haare...

Main naa rahungi lekin, Goonjegi aahein meri gaanv mein,
Ab naa khilegi sarson, Ab naa lagegi mehandi paanv mein..
Ab naa ugenge.. Chaand Sitaare...
Do Dil toote.. Do Dil haare...

Pyaar tumhara dekha, Dekha tumhaara aankhein moudnaa,
Toud ke jaana dil ko, Khel nahin hai dil ka toudnaa..
Tadapoge tum bhi.. Saath Hamaare...
Do Dil toote.. Do Dil haare...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #963 on: October 10, 2008, 01:30:10 PM »
Kholo Kholo Darwaze
Parde Karo Kinare
Khuntey Se Bandhi Hai Hawa
Mil Ke Chhudao Saare

Aajao Patang Leke
Apney Hi Rang Leke
Aasmaan Ka Shamiyana
Aaj Hamein Hai Sajana


Kyun Is Kadar Hairaan Tu
Mausam Ka Hai Mehmaan Tu
O, Duniya Sajee Tere Liye
Khud Ko Zara Pehchaan Tu

Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar
Tu Hai Nadee O Bekhabar
Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin
Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #964 on: October 10, 2008, 01:37:37 PM »
Manzil thi kahin, Jaana tha kahin,
Taqdeer kahan le aayi hai..
Kehne ko toh mehfil hai magar,
Lagta hai ki bus tanhaai hai..
Manzil thi kahin.. Jaana tha kahin..

Jhoothi kasme, Jhoothe waade,
Hai raat nasheeli ka jaadu..
Utrega nasha toh dekhoge,
Is jhooth mein kya gehraai hai...
Manzil thi kahin.. Jaana tha kahin..

Shikwa bhi karein, toh kis.se karein,
Koi toh samajhne waala ho..
Hum baat karein kya gairon ki,
Apno se thokar khaayi hai..
Manzil thi kahin.. Jaana tha kahin..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #965 on: October 10, 2008, 02:35:11 PM »
gam naa kar khushi kaa daur aayegaa
gam naa kar zamaanaa aur aayegaa

khatm ho gayi sitam ki daastaan
jhuk rahaa hai ab zamin pe aasamaan
ab naa ye hansi teri rulaayegaa
gam naa kar


aa gaye hain dekho din bahaar ke
din guzar gaye hain intazaar ke
duhkh kaa ye samaa badal hi jaayegaa
gam naa kar

chaar din guzaar de hansi khushi
aa gayaa vo vaqt jab ki aadami
thokaren nasib ke naa khaayegaa
gam naa kar


dekhanaa ye raat kat hi jaayegi
isake baad subah muskuraayegi
ik nayaa jahaan jagamagaayegaa
gam naa kar
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #966 on: October 10, 2008, 02:57:24 PM »
RAAT KALI EK KHAWAB MAI AAI OR GALE KA HAAR HUI
SUBAH KO JABHUM NIND SE JAAGE AANKH UNHI SE CHHAR HUE


MOHHABAT NAAM HAI KISKA SURU KANHA SE HOUTI HAI KIYA KISNE AISE PAIDA SURU KANHA SE HOUTI HAI
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #967 on: October 11, 2008, 06:57:20 AM »
Kore kore sapne mere, Barson se thhe kitne adhoore,
Dheere dheere rang saja ke, Tuu ne kar diye unko poore...
Waada hai Waada.. Chaaheinge Tumko.. Jeevan se jyaada..
Hai Waada.. Waadaa...
Kore kore sapne mere.. Barson se thhe kitne adhoore..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #968 on: October 11, 2008, 02:31:27 PM »
samay tu dheere dheere chal
saari duniyaa chhoD ke peechhe
aage jaaooN nikal, main to aage jaaooN nikal
pal pal, ho pal pal
samay tu dheere dheere chal


ye rut aur ye pyaaraa samaa
saaraa jeevan Thahre yahaaN
pyaar ki raahon mein khoyee rahooN
teri baahon mein soyee rahooN

aaj kaa din meri muTThi mein hai
kisne dekhaa kal, arrey kisne dekhaa kal
pal pal, ho pal pal
samay tu dheere dheere chal
Logged
Talat
Guest
«Reply #969 on: October 15, 2008, 07:44:25 PM »
Dheere dheere chal chaand gagan main
Dhal na jaaye raat, toot na jaaye sapne
Logged
syednaami
Guest
«Reply #970 on: October 16, 2008, 07:27:31 PM »
Tera gham mera gham ek jaisa sanam,
Hum dono ki ek kahani,
Aa lag ja gale dil jaani.

 DOH
Logged
Talat
Guest
«Reply #971 on: October 16, 2008, 07:39:03 PM »
Ye ladka zara sa deewana lagta hai
Gaadi ka koi model purana lagta hai DOH
Logged
syednaami
Guest
«Reply #972 on: October 16, 2008, 07:43:04 PM »
Haan tu hai haan tu hai
meri baaton men tu hai.


mere khwaabon men tu

meri yaadon men tu

iraadon men tu hai. -

 Winking Giggle
Logged
Talat
Guest
«Reply #973 on: October 16, 2008, 07:52:31 PM »
Bhaiyya mere raakhi ka bandhan nibhaana Laughing hard
Logged
syednaami
Guest
«Reply #974 on: October 16, 2008, 08:13:33 PM »
Behna ne bhai ki kalaai se
behna ne bhaai ki kalaai se pyaar baandha hai

pyaar ke do taar se, sansaar baandha hai
resham ki dori se
resham ki dori se sansaar baandha hai

 Giggle Giggle NaNaNa
Logged
Pages: 1 ... 61 62 63 64 [65] 66 67 68 69 70
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:35:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer