SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 75 76 77 78 [79] 80 81 82 83 ... 108
Print
Author  (Read 58958 times)
Pooja
Guest
«Reply #1170 on: May 21, 2008, 09:35:52 PM »
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

(Masti bhara taraana, kyu raat gaa rahi hai
Aankho mein neend aakar, kyu door jaa rahi hai) 2
Dil mein koyi sitamgar, armaan jaga gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

Betaab ho raha hai, ye dil machal machal ke
Shaayad ye raat beete, karvat badal badal ke
Lala laa lala laa...
Betaab ho raha hai, ye dil machal machal ke
Shaayad ye raat beete, karvat badal badal ke
Eh dil zara sambhal jaa, shaayad woh aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

(Bheegi huwi hawaaye, mausam bhi hai gulaabi
Kya chaand kya sitaare, har cheez hai sharaabi) 2
Dheere se ek naghma, koyi suna gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1171 on: May 21, 2008, 10:35:04 PM »
Wo jab yaad aaye bohot yaad aaye
Gam-e-zindagi ke andhere me hamne
Charag-e-muhabbat jalaye bujhaye
Wo jab yaad aaye bohot yaad aaye

Aahaten jaag uthi raste hans diye
Tham kar dil uthe ham kisi ke liye
Kai baar aesa bhi dhoka huwa he
Chale aarahe hen wo nazren jhukaaye
Wo jab yaad aaye.....

Dil sulag ne laga ashk behne lage
Jaane kya kya hame log kehne lage
Magar rote rote hansi aagai he
Khyaalon me aake wo jab muskuraaye
Wo jab yaad aaye.....

Wo juda kya huwe zindagi so gai
Shama jalti rahi roshni kho gai
Bohot koshishen ki magar dil n-behla
Kayi saaz chhede kayi geet gaaye
Wo jab yaad aaye.....

Gam-e-zindagi ke andhere me ham ne
Charag-e-muhabbat jalaye bujhaye
Wo jab yaad aaye bohot yaad aaye
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #1172 on: May 22, 2008, 09:40:17 AM »
 

Tum mujhe yuh bhula na paoge
haan tum mujhe yuh bhula na paoge
Jab kabhi bhi sunoge geet mere
Sanng sanng tum bhi gungunaoge
Haan tum mujhe yuh bhula na paoge
Ho tum mujhe yuh ...

Woh baharein woh chandani raatein
Humne ki thi woh pyaar ki baatein
Un najaroon ki yaad aayegi
Jab khayaloon mein mujhko laoge
Haan tum mujhe yuh bhula na paoge
Ho tum mujhe yuh ...

Mere haatho mein tera chehra tha
Jaise koi gulab hota hai
Aaur sahara liya tha bahon ka
woh shaam kis tarah bhulaoge
Haan tum mujhe yuh bhula na paoge
Ho tum mujhe yuh ...

Mujhko dekde bina karaar naa tha
Ek aisa bhi daaur gujra hai
Jhooth manu tho puchlo dil se
Mein Kahoonga tho ruth jaoge
Haan tum mujhe yuh bhula na paoge
Logged
Talat
Guest
«Reply #1173 on: May 23, 2008, 04:51:16 PM »
Ku ku ku, ku ku ku, subahaa subahaa koyal bole
Ku ku ku, ku ku ku, sunke saari duniya jaage
Tum bhi jaago, bhaago bhaago
Looto haseen in nazaaron ko jhat se
Ramaiyyo, Krishnaiyyo, dhoop bhi aayi milne ko
Chhodo re susti ko, mast hoke ghar se niklo
Zindagi hai khoobsurat, iska hai kya mol, yaaron zara samjho

Baadalon se bani yeh kiski chhavi
Lag rahi hai mujhe koi ladki haseen
Saat rangon ki odhke chunar yeh nayi
Hai chali re chali yeh kahan ko chali
Uchhal kood karti yeh hawa, peechha karti hai uska
Sar sar sar sar kehti hai, kya hoga matlab iska
Isse jaano, pehchaano, ho jaaoge pal mein fidaa
Ku ku ku, ku ku ku, subahaa subahaa koyal bole
Ku ku ku, ku ku ku, sunke saari duniya jaage
Tum bhi jaago, bhaago bhaago
Looto haseen in nazaaron ko jhat se

Hey eh, eh eh eh eh, eh eh eh eh
Haiyya ho, haiyya ho, haiyya ho

Sab tere hai yahan tu dekh pyaar se
Har khushi hai yahan pe ekta taar se
Voh bhi to hai yahin pe, chaahoon main jisse
Voh chhipi hai milegi ek din mujhe
Jaag jaag kar yeh taarein kisko takte rehte hai
Parvat pe behte jharnein kisse milne tarse hai
Isse jaano, pehchaano, ho jaaoge pal mein fidaa
Ku ku ku, ku ku ku, subahaa subahaa koyal bole
Ku ku ku, ku ku ku, sunke saari duniya jaage
Tum bhi jaago, bhaago bhaago
Looto haseen in nazaaron ko jhat se

Ay, Ramaiyyo, Krishnaiyyo, dhoop bhi aayi milne ko
Chhodo re susti ko, mast hoke ghar se niklo
Zindagi hai khoobsurat, iska hai kya mol, yaaron zara samjho
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1174 on: May 23, 2008, 05:05:25 PM »
Laagi Tum Se Man Ki Lagan
Lagan Laagi Tum Se Man Ki Lagan

Gali-Gali Ghoome Dil Tujhe Dhoondhe
Gali-Gali Ghoome Dil Tujhe Dhoondhe
Tere Bin Tarase Nayan
Lagan Laagi Tum Se Man Ki Lagan

Aa Ja O Meri Jaan
Mere Dil Ka Jahaan
Maange Teri Khabar
Dhoondhe Tera Nishaan
Laagi Tum Se Man Ki Lagan
Lagan Laagi Tum Se Man Ki Lagan

Gali-Gali Ghoome Dil Tujhe Dhoondhe
Gali-Gali Ghoome Dil Tujhe Dhoondhe
Tere Bin Tarase Nayan
Lagan Laagi Tum Se Man Ki Lagan

Tera Tujhako Saunp De Kya Laagat Hai Mor
Mera Mujhamen Kuchh Naaheen Jo Hovat So Tor

Tere Bin Mera Man
Jaise Ban Men Hiran
Jaise Pagali Pawan
Laagi Tum Se Man Ki Lagan
Lagan Laagi Tum Se Man Ki Lagan
Lagan Laagi Tum Se Man Ki Lagan
Lagan Laagi Tum Se Man Ki Lagan
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1175 on: May 25, 2008, 02:30:49 AM »
Jis dil me basa tha pyaar tera, Us dil ko kabhi ka tod diya
Badnaam na hone denge tujhe, Tera naam hi lena chhod diya
Haay Chhod diya...
Jis dil me basa tha pyaar tera.....

Tu or ka koy or tera, Duniyan me ham kyun zinda hen
Ham bankar kyun diwaar rahe, Ye soch ke ham sharminda hen
Dar koi or khule n khule, Teri raah ke ham ne chhod diya
Haay chhod diya...
Jis dil me basa tha pyaar tera.....

Ham pyaar me the naadaan bohot, Kuchh karna tha kuchh kar bethe
Wo phool tha or ke joode ka, Ham jisse daaman bhar bethe
Ham ne khud apni baharon ka, Wiraano se rishta jod diya
Haay jod diya...
Jis dil me basa tha pyaar tera, Us dil ko kabhi ka tod diya
Badnaam na hone denge tujhe, Tera naam hi lena chhod diya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1176 on: May 25, 2008, 11:10:37 AM »
dekh ke tumko dil dola hai
god promise ham sach bola hai
o hamko tumse ho gaya hai pyaar kya kare
bolo to jiye bolo to mar jaaye
o hamko tumse ...

kabhi bolu main kabhi bole tu i love you
I love you
maine tumpe tumne mujh pe kar diya jaadu
i love you
love you
ab tak chhupaaye rakha shola dabaaye rakha
ab tak chhupaaye ...
raaz ye hamne ab khola hain
god promise ham ...
o hamko tumse ...

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1177 on: May 27, 2008, 06:35:17 PM »
Mere dushman tu meri dosti ko tarse
Mujhe gam dene waale tu khushi ko tarse

Tu phool bane patjhad ka tujhpe bahaar na aaye kabhi
Meri hi tarha tu tarse tujhko qaraar na aaye kabhi
Pashema'n hoke roye tu khushi ko tarse
Mere dushman tu meri dosti ko tarse

Tere gulshan se zyada weeran koi weerana na ho
Is jana'n me tera apna to kya koi begaana na ho
Jiye tu istarha ke zindagi ko tarse
Mere dushman tu meri dosti ko tarse...
Mujhe gam dene waale tu khushi ko tarse
Mere dushman.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1178 on: May 27, 2008, 06:39:09 PM »
Tum the aa khushboo hawaaon mein thi
Tum the ya rang saari dishaaon mein the 
Tum the ya roshni raahon mein thi
Tum the ya geet goonje fizaaon mein the 
Tum the mile ya mili thi manzilein 
Tum the ke tha jaadoo bhara koyi sama 
Do pal ruka, khwaabon ka kaarvaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan 
Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan 
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan 
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1179 on: May 28, 2008, 09:19:10 AM »
main jo iraade bata du tum ko
sharma hi jaoge tum
dhadkane jo suna du tumko
ghabra hi jaoge tum

hum ko aata nahi hai chupana
hona hai tujh me fanaaaa

subahn allah subahn allah

chand sifarish jo karta humari
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1180 on: May 28, 2008, 06:18:30 PM »
Main Kabhi Batlata Nahin,
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa,
Yun To Main, Dikhlata Nahin,
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa!
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa?
Tujhe Sab Hain Pata, Meri Maa...

Bheed Mein Yun Na Chodo Mujhe,
Ghar Laut Ke Bhi Aa Naa Paaun Maa,
Bhej Na Itna Door Mujhko Tu,
Yaad Bhi Tujhko Aa Naa Paaun Maa!
Kya Itna Bura Hoon Main Maa?
Kya Itna Bura Meri Maa...

Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe,
Jo Zor Se Jhoola Jhulate Hain Maa,
Meri Nazar Dhoondhe Tujhe,
Sochu Yahi Tu Aa Ke Thaamegi Maa!

Unse Main Yeh Kehta Nahin,
Par Main Seham Jaata Hoon Maa,
Chehre Pe Aana Deta Nahin,
Dil Hi Dil Mein Ghabraata Hoon Maa!
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa?
Tujhe Sab Hai Pata Meri Maa...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1181 on: May 28, 2008, 06:28:31 PM »
jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyon hai
zindagi roz naye rang badalti kyon hai

tum se bichhade hain to ab kis se milati hai hamein
zindagi dekhiye kya rang dikhati hai hamein
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1182 on: May 28, 2008, 06:29:08 PM »
Dil to yeh chaahe,
har pal tumhe hum bas yuhi dekha kare,
mar ke bhi hum na tumse juda ho,
aao kuch aisa kare,

mujh mein samaa jaa,
aa paas aa jaa,
hum dum mere hum nasheen,
dil hai ke maanta nahin....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1183 on: May 28, 2008, 06:31:18 PM »
 Laughing hard Laughing hard a munda ta gaya kam to  NaNaNa

dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein
tumane to khwaab dekhanaa sikhalaa diyaa hamein
us jindagi se kaise sitam ko gilaa kare
jis jindagi ne aapase milawaa diyaa hamein
dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein

ankhon mein hai nashile bhavar zulf mein lehar - 2
daryaa ye kaisaa husna kaa dikhalaa diyaaa hamein
aramaano kaa jahaan mubobbat ki daasataa - 2
hum kyaa kahe ki apane kyaa kyaa diyaa hamein
dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein

manjar tammam rang mein dube hue se hai - 2
tumane ye kis makaam pe pohanchaa diyaa hamein
ye aap hai ki aayaa hai mausam bahaar kaa - 2
shadaab kar diyaa hamein mehakaa diyaa hamein
dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein
tumane to khwaab dekhanaa sikhalaa diyaa hamein
us jindagi se kaise sitam ko gilaa kare
jis jindagi ne aapase milawaa diyaa hamein
dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1184 on: May 28, 2008, 06:39:51 PM »
ab hai judai ka mausam,
do pal ka mehmaan,
kaise na jaayega andhera,
kyon ka thamega tufaan,
kaise na milegi manzil pyaar ki,

eh mere humsafar,
ek zara intezaar,
suun sadaye de rahi hai,
manzil pyaar ki....

pyaar mein jahan pe rakha hai,
jhoom ke kadam ek baar,
wahi se khula hai koi rasta,
wahi se giiri hai deewar,
roko kab rukhi hai,
manzil pyaar ki...

eh mere humsafar,
ek zara intezaar,
suun sadae de rahi hai manzil pyaar ki...
Logged
Pages: 1 ... 75 76 77 78 [79] 80 81 82 83 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:04:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.224 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer