SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 77 78 79 80 [81] 82 83 84 85 ... 108
Print
Author  (Read 58956 times)
Pooja
Guest
«Reply #1200 on: May 30, 2008, 05:08:44 PM »
Dil to paagal hai
Dil deewana hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai

Pehli pehli baar milaata hai yehi
Seene mein phir aag lagaata hai
Dheere dheere pyaar sikhaata hai yehi
Hansata hai yehi yehi rulaata hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai

Saari saari raat jagaata hai yehi
Ankhiyon se neend churaata hai
Sachche jhoothe khwaab dikhaata hai yehi
Hansata hai yehi yehi rulaata hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai

lalalala...

Is dil ki baaton mein jo aate hain
Vo bhi deewane ho jaate hain
Manzil to raahi dhoondh lete hain
Raste magar kho jaate hain
Dil to paagal hai
Dil deewana hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai

Soorat se main na pehchaanoongi
Naam se bhi na usko jaanoongi
Dekhoongi kuchh na main sochoongi
Dil jo kahega vohi manoongi
Dil to paagal hai
Dil deewana hai
Hay paagal hai
Haan deewana hai

Hmmm.. haha ha
Hmm.. oh oh ho

Dil ka kehna sab sab maanein
Dil na kisi ki maane
Jaan di humne jaan gaye sab
Ek wohi na jaane
Dil to paagal hai
Dil deewana hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai


Rehne do chhodo ye kahaaniyaan
Deewanepan ki sab nishaaniyaan
Logon ki saari pareshaaniyaan
Is dil ki hai ye saari meherbaaniyaan
Ho dil to paagal hai
Dil deewana hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai

Saari saari raat jagaata hai yehi
Ankhiyon se neend churaata hai
Dheere dheere pyaar sikhaata hai yehi
Hansata hai yehi yehi rulaata hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai
Dil to paagal hai
Dil deewana hai .
Logged
Talat
Guest
«Reply #1201 on: May 30, 2008, 05:12:49 PM »
Likhe jo khat tujhe
woh teri yaad mein
hazaaron rang ke
nazaare ban gaye

sawera jab huya
to phool ban gaye
jo raat aayi to
sitaare ban gaye

Koyi nagma kahin goonja
kahan dil mein
yeh tu aayi
kahin chatki kali koyi
main yeh samjha, tu sharmaayi
koyi khushboo kahin bikhri
laga yeh zulf lehraayi

Likhe jo khat tujhe...

Fiza rangeen, adaa rangeen
yeh ithlaana, yeh sharmaana
yeh angdhaayi, Yeh tanhaayi
yeh tarsa kar, chale jaana
bana de ga nahi kisko
jawaan jadoo yeh deewana

Likhe jo khat tujhe..

jahan tu hai, wahan main hoon
mere dil ki tu dhadhkan hai
musafir main tu manzil hai
main pyaasa hoon tu saawan hai
meri duniya yeh nazre hain
meri jannat yeh daaman hai

Likhe jo khat tujhe...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1202 on: May 30, 2008, 05:18:27 PM »
Lakhon Hein Nigaah Mein,
Zindagi Ki Raah Mein,
Sanam Haseen Jawan,
Hoton Pe Gulaab Hai,
Aankhon Mein Sharab Hai,
Lekin Voh Baath Kahan..?

Lat Hai Kisi Ki Jaadu Kaa Jaal,
Rang Dale Dil Pe Kisi Ka Jamaal,
Touba Yeh Nigaahen Ke Rok Thi Hai Raahen, (2)
Dekho Le Le Ke Teerkaman.. Oye..
Lakhon Hein Nigaah Mein,
Zindagi Ki Raah Mein,
Sanam Haseen Jawan,
Hoton Pe Gulaab Hai,
Aankhon Mein Sharab Hai,
Lekin Voh Baath Kahan..?

Jaanu Na Diwana Mein Dil Ka,
Kaun Hai Khayalon Ki Malika,
Bheegi Bheegi Rut Ki Chavun Tale,
Maan Lo Kahin Voh Aan Mile,
Kaise Pehechanu, Ke Naam Nahin Jaanu, (2)
Kise Dunden Mere Armaan.. Oye..
Lakhon Hein Nigaah Mein,
Zindagi Ki Raah Mein,
Sanam Haseen Jawan,
Hoton Pe Gulaab Hai,
Aankhon Mein Sharab Hai,
Lekin Voh Baath Kahan..?

Kabhi Kabhi Voh Ik Mahazabeen,
Dolti Hai Dil Ke Paas Kahin,
Hein Jo Yahi Baaten, Tho Hongi Mulaqaaten, (2)
Kabhi Yahan Nahin Tho Vahan.. Oye..
Lakhon Hein Nigaah Mein,
Zindagi Ki Raah Mein,
Sanam Haseen Jawan,
Hoton Pe Gulaab Hai,
Aankhon Mein Sharab Hai,
Lekin Voh Baath Kahan..?

Logged
Talat
Guest
«Reply #1203 on: May 30, 2008, 05:30:42 PM »
wakt karataa jo wafaa, aap humaare hote
hum bhee aauron kee tarah aap ko pyaare hote

apanee takadeer mein pahale hee se kuchh to gam hain
aaur kuchh aap kee fitarat mein wafaa bhee kam hain
waranaa jeetee huyee baajee to naa haare hote

dam ghootaa jaataa hain seene mein fir bhee jindaa hain
tum se kyaa, hum to jindagee se bhee sharamindaa hain
mar hee jaate naa jo yaadon ke sahaare hote
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1204 on: May 30, 2008, 05:45:30 PM »
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan

Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Mujhse keh rahi hai ki badhne de bekhudi
Mil yoon ki daud jaayein nas nas mein bijliyaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan

Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Uljhi uljhi saanson ki aawaaz hai pasand
Moti luta rahi hai saawan ki badliyaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan .

Logged
Talat
Guest
«Reply #1205 on: May 30, 2008, 06:55:51 PM »
Jalte hain jiske liye teri aakhon ke diye,
dhoond laya hoon wahi geet main tere liye,
jalte hain ...

dil main rakh lena ise haathon se ye chhute na kahin,
geet nazuk hai mere sheeshe se bhi toote na kahin,
gungunaunga yehi geet main tere liye,
jalte hain ...

jab talak na yeh tere ras ke bhare hontoon se mile,
yunhi awara phirega yeh teri zulfon ke tale,
gaye jaunga yehi geet main tere liye,
jalte hain .
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1206 on: May 30, 2008, 07:34:06 PM »
Aa chal ke tujhe, main le ke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhii na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hii pyaar pale

Aa chal ke tujeh main le ke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Suraj ki pahali kiran se, aashaa kaa savera jaage (2)
chandaa kii kiraN se dhul kar, ghanaghor andhera bhaage (2)
kabhi dhuup khile kabhi chhaav mile
lambii sii Dagar na khale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Jahan door nazar daud aae, aazaad gagan laharaae laharaee (2)
jahan rang birange panchhi, aashaa kaa sandesaa laayen (2)
sapano me pali hansati ho kali
jahan shaam suhaani dhale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Sapano Ke aise jahan mein jahan pyaar hi pyaar khila ho
hum jaa ke vahan kho jaaye shikuva na koyi ghila ho
kahin bhair na ho koyi ghair na ho
sab milke chalte chale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale
aa chal ke tujeh mein leke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale
Logged
Talat
Guest
«Reply #1207 on: May 31, 2008, 09:18:56 AM »
Mujhko Khuda Ne De Diya Pyaar Tere Jo Saathiya
Maano Jaise Mil Gaya Hai Jannat Ka Rasta
Main Chalti Thi Raaste Ek Manzil Ke Waaste
Tujhse Milke Yun Laga Jana Mujhko Hai Kahan
Hum Dono Ko Milna Tha Jaana Pyaar Yunhi Khilna Tha Jaana
Meri Aankhon Mein Teri Saason Mein Bas Tu Hi Hai Jaana
Mujhko Khuda Ne De Diya Pyaar Tere Jo Saathiya
Maano Jaise Mil Gaya Hai Jannat Ka Rasta
Main Chalti Thi Raaste Ek Manzil Ke Waaste
Tujhse Milke Yun Laga Jana Mujhko Hai Kahan

Tu Rahe To Rahe Meri Zindagi Kehta Hoon Rab Se
Sang Tere Bitaoon Mein Har Khushi Ab Se Yahin Se
Tera Naam Meri Zubaan Se Na Jaaye
Jo Tu Na Rahe To Meri Jaan Jaaye
Meri Aankhon Mein Meri Hi Saason Mein Bus Tu Hi Hai Jaana
Mujhko Khuda Ne De Diya Pyaar Tere Jo Saathiya
Maano Jaise Mil Gaya Hai Jannat Ka Rasta
Main Chalti Thi Raaste Ek Manzil Ke Waaste
Tujhse Milke Yun Laga Jana Mujhko Hai Kahan

Faasle Ho Rahe Hai Kam Jaaneman Bas Ek Pal Mein
Ek Jaan Ban Gaye Hai Yeh Do Badan Bas Ek Pal Mein
Yeh Jo Bhi Nasha Hai Bada Hi Maza Hai
Yahan Dhadkano Ke Yehi To Sada Hai
Meri Aankhon Mein Meri Hi Saason Mein Bus Tu Hi Hai Jaana
Mujhko Khuda Ne De Diya Pyaar Tere Jo Saathiya
Maano Jaise Mil Gaya Hai Jannat Ka Rasta
Main Chalti Thi Raaste Ek Manzil Ke Waaste
Tujhse Milke Yun Laga Jana Mujhko Hai Kahan
Hum Dono Ko Milna Tha Jaana Pyaar Yunhi Khilna Tha Jaana
Meri Aankhon Mein Teri Saason Mein Bas Tu Hi Hai Jaana
Mujhko Khuda Ne De Diya Pyaar Tere Jo Saathiya
Maano Jaise Mil Gaya Hai Jannat Ka Rasta
Main Chalti Thi Raaste Ek Manzil Ke Waaste
Tujhse Milke Yun Laga Jana Mujhko Hai Kahan
Maano Jaise Mil Gaya Hai Jannat Ka Rasta
Tujhse Milke Yoon Laga Manzil Meri Hai Yahan
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1208 on: May 31, 2008, 08:26:32 PM »
Mene chaand or sitaaron ki tamanna ki thi
Mujhako raaton ki siyaahi ke siva kuchh na mila
Mene chaand or sitaaron......

Me'n vo nagama hun jise pyaar ki mahafil na mili
Vo musaafir hun jise koi bhi manzil na mili
Zakhm paaein hen bahaaron ki tamanna ki thi
Mene chaand or sitaaron......

Kisi gesu kisi aanchal ka sahaara bhi nahin
Raaste mein koi dhundhala sa sitaara bhi nahin
Meri nazaron ne nazaaron ki tamanna ki thi
Mene chaand or sitaaron......

Meri raahon se juda ho gai raahen unki
Aaj badli nazar aati hen nigaahen unki
Jinse is dil ne sahaaron ki tamanna ki thi
Mene chaand or sitaaron......

Pyaar maanga to sisakate hue aramaan mile
Chain chaaha to umadate hue toofan mile
Doobte dil ne kinaaron ki tamanna ki thi
Mene chaand or sitaaron......

Dil mein naakaam ummidon ke basere paaye
Roshani lene ko nikla to andhere paaye
Rang aur noor ke dhaaron ki tamanna ki thi
mene chaand or sitaaron......

Mene chaand or sitaaron ki tamanna ki thi
Mujhako raaton ki siyaahi ke siva kuchh na mila
Mene chaand or sitaaron......

Movie Name: CHANDRAKANTA
Singer: M. RAFI
Logged
Talat
Guest
«Reply #1209 on: May 31, 2008, 09:10:17 PM »
wo subah kabhee to aayegee, wo subah kabhee to aayegee
in kaalee sadiyon ke sar se, jab raat kaa aanchal dhalakegaa
jab dukh ke baadal pighalenge, jab sukh kaa saagar chhalakegaa
jab anbar zoom ke naachegaa, jab dharatee nagmei gaayegee
wo subah kabhee to aayegee

jis subah kee khaatir jug jug se, hum sab mar mar kar jite hain
jis subah ke amariat kee boond mein, hum jahar ke pyaale pite hain
in bhookhee pyaasee ruhon par, yek din to karam faramaayegee
wo subah kabhee to aayegee

maanaa ke abhee tere mere aramaanon kee kimat kuchh bhee naheen
mittee kaa bhee hain kuchh mol magar, insaanon kee kimat kuchh bhee naheen
insaanon kee ijjat jab zoothhen sikkon mein naa tolee jaayegee
wo subah kabhee to aayegee
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1210 on: May 31, 2008, 10:01:11 PM »
Yahi Hota Pyar Hai Kya (Namaste London)
 
 
nind ke baadalon ke pichhe hain
muskuraata huwa koyi chehara
chehare par bikhari ek reshami latt
sarsaraata huwa koyi aanchal
aur do aankhein hairaan haira si

tera banega woh jo, tera nahi hai
aye dil bata kyun tujko, itna yakin hai
mere dil-e-beqkaar
haan dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
Javed Akhtar:
nind ke baadalon ke pichhe hain
ek mulaakaat
ek haseen lamha
jheel ka thehara thehara sa paani
ped par chehchahaati ek chidiyaan
baagh mein khilate nanhe nanhe phool
khubsurat labon ki narm si baat

khwaabon mein koyi kyun hai yuun rehta
aye dil tu kyun mujhe hain yeh kehta
woh mera rasta bhi hai, aur woh hi manzil
woh mera sagar bhi hai, aur woh hi saahil
kaisi bata yeh betaabiyaan hain
hum chalte chalte aye kahaan hain
dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya

JAVED AKHTAR :
nind ke baadalon ke pichhe hain
dopaher ek pili pili si
lohe ki thandak ke lehje mein
tuta aaina, udate kuchh kaagaj
kirchon kirchon bikhrata ek mandar
palkon pe jhil-milaata ek aansu
ghehara sannata, shor karata huwa
nind ke baadalon ke pichhe hain

sunta hoon mein teri yeh dastaan
simmte ki ek din to yeh dooriyaan
pal mere tum mein dil koyi nahi hai
tere zidd mein aye dil sadd afreen hai
kyun yeh junoon hai, kya zustju hai
aakhir tujhe kyun, yeh aarzoo hai
dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1211 on: May 31, 2008, 10:04:35 PM »
Tere Bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin


Le kar yaadain teri
raatain meri kati
le ker yaadain teri
raatain meri kati
mujh se baatain teri
karti hain chandni
tanha hai tujh bin raatain meri
din mere din ke jaise nahi
tanha badan tanha hai ruh
nam meri aankhain rahain
aa ja mere ab rubaru
jeena nahi bin tere


tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin

kab se aankhain meri
raah main tere bichi
kab se aankhain meri
raah main tere bichi
bhule se hi kabhi
tu mil jaye kahin
bhule na mujh say baatain teri
bheegi hain har pal aankhain meri
kyu saans loon
kyu main jiyu
jeena bura sa lage

tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
tere bin...............................
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1212 on: May 31, 2008, 10:08:26 PM »
Hiriye

                       Shael

Sohniye hiriye teri yaad aandi ?e

Seene vich tadapda hai dil Jaan jaandi-e

Sohniye hiriye teri yaad aandi ?e

Seene vich tadapda hai dil Jaan jaandi-e

Tuhi jind meriye dil da karaar ni

Tuhi jind meriye dil da karaar

Tu aaja tenu rabb da vasta

 Tu aaja tenu rabb da vasta

udeek da main tera raastan

 

kinna tenu chawa ?e na samjhi tu

tere naam kiti zindgi

jado tu milengi tenu dasange

tere naal meri har khushi

Tuhi jind meriye dil da karaar ni

Tuhi jind meriye dil da karaar

Tu aaja tenu rabb da vasta

 Tu aaja tenu rabb da vasta

udeek da main tera raastan

Sohniye hiriye teri yaad aandi ?e

Seene vich tadapda hai dil Jaan jaandi-e

 

 

Soona soona dil da aashiyana hai

Sooni zameen aur aasmaan

Khoya khoya rehnda mera paagal dil

Aaja laut k hun aa v jaa

Tu hi jind meriye dil da karaar tu

Tu hi jind meriye dil da karaar

Tu aaja tenu rabb da vaasta

Tu aaja tenu rabb da vaasta

Udeek da main tera raastan

Sohniye hiriye teri yaad aandi ?e

Seene vich tadapda hai dil Jaan jaandi-e

Sohniye hiriye teri yaad aandi ?e

Seene vich tadapda hai dil Jaan jaandi-e

Seene vich tadapda hai dil Jaan jaandi-e


 
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1213 on: June 01, 2008, 10:27:40 AM »

Tum Agar Mujhko Na Chaaho To Koi Baat Nahin
Tum Kisi Aur Ko Chaahogi To Mushkil Hogi

Ab Agar Mael Nahin Hai To Judaai Bhi Nahin
Baat Todi Bhi Nahin Tumne Banai Bhi Nahin
Yeh Sahara Hi Bahut Hai Mere Jeene Ke Liye
Tum Agar Meri Nahin Ho To Parayi Bhi Nahin
Mere Dil Ko Na Saraaho To Koi Baat Nahin
Gair Ke Dil Ko Saraahogi To Mushkil Hogi
Tum Kisi Aur Ko Chaahogi To Mushkil Hogi

Tum Haseen Ho Tumhe Sab Pyar Hhi Karte Honge
Maein Jo Marta Hoon To Kya Aur Bhi Marte Honge
Sabki Aankhon Mein Isi Shauq Ka Toofan Hoga
Sabke Seene Mein Yahi Dard Ubharte Honge
Mere Gham Mein Na Karaaho To Koi Baat Nahin
Aur Ke Gham Mein Karaahogi To Mushkil Hogi
Tum Kisi Aur Ko Chaahogi To Mushkil Hogi

Phool Ki Tarha Hanso Sab Ki Nigahon Me Raho
Apni Masoom Jawani Ki Panahon Me Raho
Mujhko Wo Di Na Dikhana Tumhe Apni HI Qasam
Me Tadapta HI Rahun Tum Ger Ki Baahon Me Raho
Tum Agar Mujhse Na Nibaho To Koi Baat Nahi
Kisi Dushman Se Nibahogi To Mushkil Hogi
Tum Kisi Aur Ko Chaahogi To Mushkil Hogi

Movie Name: DIL HI TO HAI
Singer: MUKESH
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1214 on: June 01, 2008, 10:35:50 AM »
Humein aur jeene ki, Chahat na hoti,
Agar tum naa hote, Agar tum naa hote...

Humein jo tumhara sahaara na milta,
Bhanvar mein hi rehte, Kinaara na milta,
Kinaare pe bhi to, Leher aa duboti,
Agar tum naa hote.. Agar tum naa hote...

Tumhe kya bataaun Ki tum mere kya ho,
Meri zindagi ka, Tum hi aasraa ho...
Main aasha ki ladiyaan, Naa reh reh piroti,
Agar tum naa hote.. Agar tum naa hote...
Logged
Pages: 1 ... 77 78 79 80 [81] 82 83 84 85 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:43:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.195 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer