SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 78 79 80 81 [82] 83 84 85 86 ... 108
Print
Author  (Read 58951 times)
Talat
Guest
«Reply #1215 on: June 01, 2008, 12:39:14 PM »
Khuda-e-Bartar Teri Zamiin Par, Zamiin Ki Khaatir Ye Jung Kyun Hai
Har Ek Fateh-o-Zafar Ke Daaman Pe Khoon-e-Insaan Ka Rang Kyun Hai
Khuda-e-Bartar Teri Zamiin Par, Zamiin Ki Khaatir Ye Jung Kyun Hai...

Zamiin Bhi Teri, Hain Hum Bhi Tere, Ye Milkiyat Ka Sawaal Kya Hai
Ye Qatl-o-Khoon Ka Rivaaz Kyun Hai, Ye Rasm-e-Jang-o-Jadaal Kya Hai
Jinhein Talab Hai Jahaan Bhar Ki, Unhiin Ka Dil Itna Tang Kyun Hai
Khuda-e-Bartar Teri Zamiin Par, Zamiin Ki Khaatir Ye Jung Kyun Hai

Gareeb Maaon Shareef Behnon Ko Amn-o-Izzat Ki Zindagi De
Jinhein Ataa Kii Hai Tu Ne Taaqat, Unhein Hidaayat Ki Roshni De
Saron Mein Kibr-o-Ghuroor Kyun hai, Dilon Ke Sheeshe Pe Zang Kyun Hai
Khuda-e-Bartar Teri Zamiin Par, Zamiin Ki Khaatir Ye Jung Kyun Hai

Khazaa Ke Raste Pe Jaanewaalon Ko Bachke Aane Ki Raah Dena
Dilon Ke Gulshan Ujad Na Jaaye, Mohabbaton Ko Panaah Dena
Jahaan Mein Jashn-e-Wafaa Ke Badle, Ye Jashn-e-Teer-o-Tafang Kyun Hai
Khuda-e-Bartar Teri Zamiin Par, Zamiin Ki Khaatir Ye Jung Kyun Hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1216 on: June 02, 2008, 11:57:56 AM »
Aye Malik Tere Bande Hum,.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1217 on: June 02, 2008, 02:45:52 PM »
Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai,
Kahan ho tum, ki ye dil bekaraar aaj bhi hai...

Wo waadiyaan, wo fizaayein, ki hum mile thhe jaha,
Meri vafa ka wahin par mazaar aaj bhi hai...

Wo pyaar jis ke liye humne chhodh di duniya,
Wafa ki raah mein ghaayal wo pyaar aaj bhi hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1218 on: June 02, 2008, 03:20:48 PM »
dekhee jamaane kee yaaree
bichhade sabhee baaree baaree
kyaa leke mile ab duniyaan se
aasoo ke siwaa kuchh paas nahee
yaa fool hee fool the daaman me
yaa kaanto kee bhee aas nahee
matalab kee duniyaan hain saaree
bichhade sabhee baaree baaree

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1219 on: June 02, 2008, 06:24:14 PM »
Insan khilona he halaat ke hath ka
Khudgarz he bedard he ye duniya
Yahan mol nahi jazbaat ka
Insan khilona he halaat ke hath ka....

Do gaz jaga nahi desakti
Jane huwa he kya dharti ko
Kandha dene wala nahi he
Koi apno'n ki arthi ko
Ab kya bharosa ho logon ki baat ka
Insan khilona he halaat ke hath ka....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1220 on: June 02, 2008, 06:29:19 PM »
ye mahalo, ye takhto, ye taajon kee duniyaan
ye insaan ke dushman samaajon kee duniyaan
ye daulat ke bhukhe rawaajon kee duniyaan
ye duniyaan agar mil bhee jaaye to kyaa hai

har yek jism ghaayal  har yek ruh pyaasee
nigaaho mein ulazan  dilon mein udaasee
ye duniyaan hain yaa aalama-ye-badahawaasee
ye duniyaan agar mil bhee jaaye to kyaa hai

jahaa yek khilaunaa hai, insaan kee hasatee
ye basatee hain murda paraston kee basatee
yahaa par to jeewan se maut sasatee
ye duniyaan agar mil bhee jaaye to kyaa hai

jawaanee bhatakatee hain badakaar ban kar
jawaan jism sajate hain baajaar banakar
yahaa pyaar hotaa hain wyaapaar banakar
ye duniyaan agar mil bhee jaaye to kyaa hai

ye duniyaan jahaa aadamee kuchh naheen hai
wafaa kuchh nahee, dosatee kuchh naheen hai
yahaa pyaar kee kadr hee kuchh naheen hai
ye duniyaan agar mil bhee jaaye to kyaa hai

jalaa do ise, foonk daalo ye duniyaan
mere saamane se hataa lo ye duniyaan
tumhaaree hain tum hee sanbhaalo ye duniyaan
ye duniyaan agar mil bhee jaaye to kyaa hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #1221 on: June 02, 2008, 06:36:47 PM »
mausam hain aashikaanaa
aye dil kahee se unako ayese mein dhoondh laanaa

kahanaa ke rut jawaa hai, aaur hum taras rahe hain
kaalee ghataa ke saaye, birahan ko das rahe hain
dar hain naa maar daale, saawan kaa kyaa thhikaanaa

sooraj kahee bhee jaaye, tum par naa dhup aaye
tum ko pukaarate hai, in gesooon ke saaye
aa jaao main banaa doo, palakon kaa shaamiyaanaa

firate hain hum akele, baaho mein koee lele
aakhir koee kahaa tak tanahaeeyon se khele
din ho gaye hain jaalim  raate hain katilaanaa

ye raat ye khaamoshee, ye khwaab se najaare
juganoo hain yaa jameen par, utare huye hain taare
bekhaab meree aankhe, madahosh hain zamaanaa

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1222 on: June 02, 2008, 06:40:07 PM »
jaane wo kaise log the, jin ke pyaar ko pyaar milaa
hum ne to jab kaliyaan maangee, kaaton kaa haar milaa

khushiyon kee manjil dhoondhee to gam kee gard milee
chaahat ke nagmei chaahe to aahe sard milee
dil ke boz ko duganaa kar gayaa, jo gam saar milaa
hum ne to jab kaliyaan maangee, kaaton kaa haar milaa

bichhad gayaa har saathee de kar, pal do pal kaa saath
kis ko furasat hain jo thaamei diwaano kaa haath
hum ko apanaa saayaa tak aksar bejaar milaa
hum ne to jab kaliyaan maangee, kaaton kaa haar milaa

is ko hee jeenaa kahate hain to, yoo hee jee lenge
uf naa karenge, lab see lenge, aansoo pee lenge
gam se ab ghabaraanaa kaisaa, gam sau baar milaa
hum ne to jab kaliyaan maangee, kaaton kaa haar milaa

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1223 on: June 02, 2008, 06:47:06 PM »
dekh liya maine
kismat ka tamasha dekh liya
ik aag bujhi
ik aag lagi
aankhon ne meri kya dekh liya

dekh liya maine
saajan tera vaada dekh liya
raste pe hu main
manzil pe hai tu
ye pyaar ka naata dekh liya
dekh liya maine

aaya main kisi ki mehafil mein
mehafil mein
toofan liye laakho dil mein
milkar bhi raha main mushkil mein
milne ka nateeja dekh liya
ik aag bujhi
ik aag lagi
aankhon ne meri kya dekh liya
dekh liya maine

chupate hi tere o chaand mere
o chaand mere
sooraj bhi na nikla aangan mein
phir gam ki andheri raat hui
do din ka ujala dekh liya
raste pe hu main
manzil pe hai tu
ye pyaar ka naata dekh liya
dekh liya maine
dekh liya maine
saajan tera vaada dekh liya
dekh liya maine
kisamat ka tamasha dekh liya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1224 on: June 02, 2008, 06:48:41 PM »
aap aaye to khayaala-ye-dila-ye-naashaad aayaa
kitane bhoole huye jakhmon kaa pataa yaad aayaa

aap ke lab pen kabhee apanaa bhee naam aayaa thaa
shokh najaronse mohabbat kaa salaam aayaa thaa
umarbhar saath nibhaane kaa payaam aayaa thaa
aap ko dekh ke wo yehad-ye-wafaa yaad aayaa

ruh mein jal uthhe, buzatee huyee yaadon ke diye
kaise diwaane the, aap ko paane ke liye
yoo to kuchh kam naheen jo aap ne yehasaan kiye
par jo maange se naa paayaa, wo silaa yaad aayaa
Logged
Talat
Guest
«Reply #1225 on: June 02, 2008, 06:52:39 PM »
ab ke baras bhi beet na jaaye
ye saavan ki raaten
dekh le meri ye bechaini
aur likh de do baaten 

khat likh de saanvariya ke naam baabu
kore kaagaz pe likh de salaam baabu
vo jaan jaayenge, pahachaan jaayenge
kaise hoti hai subah se shaam baabu - 2
vo jaan jaayenge, pahachaan jaayenge
khat likh de ...

saare vaade nikale jhoothe
saamane ho to koi unase roothe - 2
le gayi bairan shahar piya ko
raam kare ke aaisi naukari chhoote
unhen jisne jisne unhen jisne banaaya gulaam baabu
kore kaagaz pe likh de salaam baabu
vo jaan jaayenge, pahachaan jaayenge
kaise hoti hai subah se shaam baabu
khat likh de likh de na

jab aayenge sajana mere
khan khan khanakenge kangana mere - 2
paas gali mein ghar hai mera
us din tu bhi ana angana mere
kuch tujhako tujhako kutch tujhako main dungi inam babu
kore kagaz pe likh de salam babu
vo jaan jaayenge, pahachaan jaayenge
khat likh de 

aur bahut kuch hai likhavaana
kaise bataaun tujhe tu begaana - 2
sharm se aankhiya jhuk jaayengi
dhadak uthega mora dil deewaana
bas aage aage bas aage nahi tera kaam baabu
kore kaagaz pe likh de salaam baabu
vo jaan jaayenge, pahachaan jaayenge
kaise hoti hai subah se shaam baabu - 2
vo jaan jaayenge, pahachaan jaayenge
khat likh de 
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1226 on: June 02, 2008, 10:33:37 PM »
chale ja rahe ho jo nazarein churaaye
hamein kuchh na kahana jo ham yaad aayein
chale ja rahe ho....

na din kat sakenge na guzarengi raatein
wahaan kisse hongi muhabbat ki baatein
mohabbat ka maara agar dil sataaye

hamein kuchh na kahana jo ham yaad aayein
chale ja rahe ho....

khadi ho ke khidaki mein raatein bitaana
gagan ke sitaaron se jaan-dil lagaana
suboh ka sitaara agar timatimaaye
hamein kuchh na kahana jo ham yaad aayein
chale ja rahe ho jo nazarein churaaye
hamein kuchh na kahana jo ham yaad aayein
chale ja rahe ho....
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #1227 on: June 03, 2008, 02:37:19 AM »
ba.njar hai sab ba.njar hai -3
ba.njar hai sab ba.njar hai ham Dhuu.NDhane jab firadaus chale
huu.n terii khoj talaash me.n dekh piyaa ham kitane kaale kos chale
ba.njar hai sab ba.njar hai
yaar milaa de saa_iiyaa.N

aa dekh merii peshaanii ko taqadiir ke harfe likkhe hai.n

pairo.n ke nishaa.N jab dekhe jahaa.N sau baar jhukaayaa sar ko vahaa.N

yaar milaa de saa_iiyaa.N
aa dekh merii peshaanii ko taqadiir ke harfe likkhe hai.n
mai.n kitanii baar pukaaruu.N tujhe tere naam ke saffe likkhe hai.n)

teraa saayaa kabhii to bolegaa
teraa saayaa kabhii to bolegaa mai.n chunataa rahaa parchhaa_iyaa.N

mai.nnaa yaar milaa de saa_iiyaa.N
saa_iiyaa.N saa_iiyaa.N
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1228 on: June 03, 2008, 08:56:13 PM »
= = = = = = = = = = = = = = = = = = =
-----------------------------------------
Na bhoolenge tujh ko bhulaa dene vaale
Meri hasaraton ko mitaa dene vaale

Rahegi in aankhon men taswir teri
Nigaaho'n se mujh ko giraa dene vaale

Duaa ban ke nikalenge shikawe hamaare
Bhalaa ho teraa dil dukhaa dene vaale

Mere aansuon par hanse chaahe duniyaa
Magar too na hansnaa rulaa dene vaale
-----------------------------------------
= = = = = = = = = = = = = = = = = = =
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1229 on: June 03, 2008, 09:28:24 PM »
aakhiyon ko rahane de, aakhiyon ke aasapaas
door se dil kee buzatee rahe pyaas

dard jamaane mein, kam naheen milate
sab ko mohabbat ke, gam naheen milate
tootane waale dil  hote hain kuchh khaas

rah gayee duniyaan me, naam kee khushiyaan
tere mere kis kaam kee khushiyaan
saaree umar hum ko rahanaa yoo udaas
Logged
Pages: 1 ... 78 79 80 81 [82] 83 84 85 86 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:55:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer