SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 79 80 81 82 [83] 84 85 86 87 ... 108
Print
Author  (Read 58950 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1230 on: June 04, 2008, 01:25:49 PM »
Insan khilona he halaat ke hath ka
Khudgarz he bedard he ye duniya
Yahan mol nahi jazbaat ka
Insan khilona he halaat ke hath ka....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1231 on: June 05, 2008, 08:01:01 PM »
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Ye cheez lajwaab hai, ye cheez lajwaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Mera alag hisaab hai, mera alag hisaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Hun hun hun hun....
Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh
Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh
Sheeshe mein maahtaab hai, sheeshe mein maahtaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Baaki khayal-o-khwab hai, baaki khayal-o-khwab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Logged
Sammual
Guest
«Reply #1232 on: June 05, 2008, 08:37:58 PM »
yahan koi ehmiat nahi jazbatoo ki.
na hamari batoon ki.
na koi mool hai yahan pyar ka
Insan khilona he halaat ke hath ka....

apne acha likha hai jaanasheen ji.

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1233 on: June 06, 2008, 07:19:59 PM »
Aa jaao tadapte hain armaa'n
Ab raat guzarne waali he
Main roun yahan, tum chup ho vahan
Ab raat guzarne waali he

O, chaand ki rangat udne lagi
Voh taaron ke dil ab doob gaye, doob gaye
Hai dard bhara bechain sama
Ab raat guzarne waali he

Is chaand ke dole mein aayi nazar
Yeh raat ki dulhan chal di kidhar, chal di kidhar
Aawaaz to do, khoye ho kaha'n
Ab raat guzarne waali he

Ghabraake nazar bhi haar gayi
Taqdeer ko bhi neend aane lagi, neend aane lagi
Tum aate nahin, main jaaoon kaha'n
Ab raat guzarne waali he

Aa jaao tadapte hain armaa'n
Ab raat guzarne waali he
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1234 on: June 06, 2008, 07:27:32 PM »
Aa phir se mere pyaar ki qismat sanwaar de
Ujade hue chaman ko payaam-e-bahaar de

Jab tu nahin to dil bhi nahin ikhtiyar mein
Ik umr kaat di hai tere intazaar mein
Is beqaraar dil ko kabhi to qaraar de
Ujade hue chaman ko payaam-e-bahaar de

Kab se mera kayaal tere dil se duur hai
Kashti kisi garib ki saahil se duur hai
Aa ab to aa ke mujh ko kinaare utaar de
Ujade hue chaman ko payaam-e-bahaar de

Aa phir se mere pyaar ki qismat sanwaar de
Ujade hue chaman ko payaam-e-bahaar de
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1235 on: June 06, 2008, 07:31:19 PM »
Manzilon Pe Aake Lut-Te Hain Dilon Ke Caravan
Kashtiyaan Saahil Pe Aksar Doobti Hain Pyaar Ki

Manzilen Apni Jagah Hain Raaste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Na De To Musafir Kya Kare
Yoon To Hai Hamdard Bhi Aur Hamsafar Bhi Hai Mera
Badh Ke Koi Haath Na De Dil Bhala Phir Kya Kare

Doobne Wale Ko Tinke Ka Sahar Hi Bahut
Dil Behal Jaaye Fakat Itna Ishaara Hi Bahut
Itne Par Bhi Aasmaan Wala Gira De Bijliyan
Koi Batlade Bhala Yeh Doobta Phir Kya Kare

Pyaar Karna Jurm Hai To Jurm Hamse Ho Gaya
Kaabile Maafi Hua Karte Nahin Aise Gunha
Sangdil Hai Yeh Jahan Aur Sangdil Mera Sanam
Kya Karen Josh-E-Junoon Phir Hausal Phir Kya Karen
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1236 on: June 06, 2008, 07:56:22 PM »
Bhoole se kabhi yaad kar ai bhoolne vaale
Kyun kar diya mujh ko meri qismat ke havaale

Aramaan tadapate hain dil-e-zaar mein ab tak
Kab tu ne dil-e-zaar ke aramaan nikaale
Kyun kar diya mujh ko meri qismat ke havaale

Dariyaa-e-musibat mein kahi doob na jaayein
Ab tere siva kashti-e-dil kaon sambhaale
Kyun kar diya mujh ko meri qismat ke havaale

Qismat ke andhere men tujhe dhoondh rahi hoon
Aa ja meri duniyaa-e-tamanna ke ujaale
Kyun kar diya mujh ko meri qismat ke havaale

Bhoole se kabhi yaad kar ai bhoolne vaale
Kyun kar diya mujh ko meri qismat ke havaale
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1237 on: June 06, 2008, 07:58:21 PM »
Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai
o o o ! saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
aur mere ik khat main lipti raat padi hai
woh raat bhulaa do, mera woh saamaan lauta do
mera kuch saamaan tumhaare paas pada hai

patjhad hai kuch ... hai na ?
o ! patjhad main kuch patton ke girne kee aahat
kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee
patajhad ki woh shaakh abhi tak kaanp rahi hai
woh shaakh gira do, mera woh saamaan lauta do

ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the
aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thi
geela mann shayad bistar ke paas pada ho
woh bhijwa do, mera woh saamaan lauta do

ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til
geeli mahendi ki khushbu, jhoot mooth ke shikwe kuch
jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do
sab bhijwa do, mera woh saamaan lauta do

ek ijaazat de do bas, jab isko dafanaungi
main bhi wahi so jaungee
main bhi wahi so jaungee
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1238 on: June 06, 2008, 08:19:11 PM »
Meraa dil ye pukaare aa jaa, mere gam ke sahaare aa jaa
Bheegaa bheegaa he samaan, ayese mein hain too kaha'n
Mera dil ye pukare Aaja....

Too naheen to ye rut ye hawaa kyaa karu, kyaa karu
Door tuz se main rah ke bataa kyaa karu, kyaa karu
Sunaa sunaa hain jahaan, ab jaaoo main kahaa
Bas itanaa mujhe samajhaa jaa
Bheegaa bheegaa he samaa'n, ayese mein hain too kaha'n
Mera dil ye pukare Aaja....

Aandhiyaan wo chalee, aashiyaan lut gayaa, lut gayaa
Aandhiyaan wo chalee, aashiyaan lut gayaa
Pyaar kaa muskuraataa jahaan lut gayaa, lut gayaa
Yek chhotee see zalak, mere mitane talak
O chaand, o chaand mere dikhalaa jaa

Bheegaa bheegaa he samaa'n, ayese mein hain too kaha'n
Mera dil ye pukare Aaja....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1239 on: June 06, 2008, 08:22:23 PM »
Chhupne wale saamne aa
chhup chhup ke mera jee na jala
suraj se kiran badal se pawan
kab talak chhupegi yeh to bata
chhupne wale saamne aa

aakhir teri naaz ki yeh
haar nahi to aur hai kya
daud ke aana paas mere
pyar nahi to aur hai kya
door khadhi hairaan hai kya
daant mein yun ungli na daba

chhupne wale saamne aa...

Aa lipti hai dil se mere
zulf teri balkhaayi huyi
dekh raha hoon teri nazar
apni nazar tak aayi huyi
gaalon par zulfein na gira
tu hai qayamat main hoon bala

Chhupnewale saamne aa
chhup chhup ke mera jee na jala
suraj se kiran, badal se pawan
kab talak chhupegi yeh to bata

Chhupne wale saamne aa...
Logged
punam
Guest
«Reply #1240 on: June 07, 2008, 07:15:36 AM »
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
dil dil dil dil mein machi hain machi
machi hain hulchul hulchul hulchul
kaise katega pal har pal har pal - 2
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
ha ha ha ha haha haha..
la la la la lala lala..
o humsafar lagta hai darr
raat kate na kabhi ho sehar
iss pal mein simte umar
raat kate na kabhi ho sehar
tu jo hai saath mere toh dagar
lage ke jaise khubsurat ghar
tu jo hai saath mere toh dagar
lage ke jaise khubsurat ghar
tu jo hai saath toh yeh ambar
lage ke jaise saaya ho sar par
tere kaandhe par rakhkar sar
yun hi katt jaaye saari umar
pal pal pal pal har pal har pal
kaise katega pal har pal har pal
la la la hm..
kal kya ho kisko khabar lagta hai darr lagta hai darr
iss pal mein simte umar raat kate na kabhi ho sehar....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1241 on: June 08, 2008, 11:42:58 AM »
aakhiyon ko rahane de, aakhiyon ke aasapaas
door se dil kee buzatee rahe pyaas

dard jamaane mein, kam naheen milate
sab ko mohabbat ke, gam naheen milate
tootane waale dil  hote hain kuchh khaas

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1242 on: June 08, 2008, 04:38:22 PM »
deewana aadmi ko banaati hain rotiya'n
khud naachti hain sabko nachaati hain rotiya'n
deewana aadmi ko...

budhaa chalaaye thele ko faaqo'n se jhul ke
bachhaa uthaaye bojh khilaunon ko bhuul ke
dekhaa na jaaye jo so dikhaati hain rotiya'n
deewana aadmi ko...

baithi hai jo chehare pe mal ke jigar kaa Khu'n
duniyaa buraa kahe inhe par main to ye kahu'n
kothe pe beth o
kothe pe beth aankh ladaati hain rotiya'n
deewana aadmi ko...

kehtaa tha ik faqeer ki rakhna zara nazar
roti ko aadmi hi nahi khaate bekhabar
aksar to aadmi ko ye khaatii he rotiya'n
deewana aadmi ko...

tujhko pate ki baat bataau main jaan-e-man
kyu'n chaand par pahunch ne ki insa'n ko hai lagan
insaan ko chaand me'n nazar aati hain rotiya'n
deewana aadmi ko...
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1243 on: June 09, 2008, 10:46:25 AM »
main jo iraade bata du tumko
sharma hi jaoge tum

dhadkane jo suna du tumko
ghabra hi jaoge tum

mujhko aata nahi hai chupana
hona hai tujh mee fanaaaaaaaaa
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1244 on: June 09, 2008, 01:07:11 PM »
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Ye cheez lajwaab hai, ye cheez lajwaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Mera alag hisaab hai, mera alag hisaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Logged
Pages: 1 ... 79 80 81 82 [83] 84 85 86 87 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:34:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.184 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer