SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 80 81 82 83 [84] 85 86 87 88 ... 108
Print
Author  (Read 58947 times)
Shikha12
Guest
«Reply #1245 on: June 09, 2008, 01:22:04 PM »
Ye kaisi mulakaat hai,
Main kis khumaar mein hoon!
Tu aake jaa chuka hai,
Main intezaar mein hoon...
Main intezaar mein hoon...
Ye kaisi mulakaat hai,
Main kis khumaar mein hoon!!


Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1246 on: June 09, 2008, 07:00:22 PM »
dil tod ne waale, tujhe dil dhoondh rahaa hain
aawaz de to kaunsi nagaree mein chhoopaa hain
dil tod ne waale.....

too hum ko jo mil jaaye, to haal apanaa sunaaye
khud roye kabhi aur kabhi tujhko rulaaye
wo daag dikhaaye jo hume toone diyaa hain
dil tod ne waale.....

aye dil ke sahaare,  tujhe dil dhoondh rahaa hain
seene mein teree yaad kaa tufaan uthhaa hain

dil mein to ye hasarat hai, tere paas main aaun
nazron se ghiraa hoo'n to, nazar kaise milaaun
badanaam hun, naakaam hun, kyaa mujh mein rahaa hai
ay dil ke sahaare.....

dikhalaa ke kanaaraa mujhe mallaah ne lootaa
kashtee bhee gayi haath se, patawaar bhi chhootaa
ab aur naa jaane meri takadeer mein kyaa hain
dil tod ne waale.....

bechain udhar too hai, to majaboor idhar hum
baithe hain chhupaaye, huwe ashkon mein teraa gam
har chot ubhar aayi hain, hye jakhm haraa hain
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1247 on: June 09, 2008, 07:17:17 PM »
Akele hain chale aao, jahaan ho
Kahaan aawaaz de'n tum ko kahaan ho
Akele hain...

Tumhen hum dhoondhate hain
Humein dil dhoondhataa hai
Naa ab manzil he koi
Naa koee raasataa he
Akele hain...

Ye tanahai ka aalam
Aur us par aap kaa gam
Naa jeete hain, naa marate
Bataao kyaa kare hum
Akele hain...

Akele hain chale aao, jahaan ho
Kahaa aawaaj de tum ko kahaan ho

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1248 on: June 09, 2008, 07:23:07 PM »
Mujhko Is Raat Ki Tanhaai Mein Aawaz Na Do
Jiski Aawaz Rula De Mujhe Woh Saaz Na Do
Awaaz Na Do...

Roshni Ho Na Saki Dil Bhi Jalaya Maine
Tujhko Bhula Hi Nahin Lakh Bhulaya Maine
Mein Pareshan Hoon Mujhe Aur Pareshan Na Karo
Awaaz Na Do...

Is Kadar Jald Kiya Mujhse Kinara Tumne
Koi Bhatkega Akela Yeh Na Socha Tumne
Chhup Gaye Ho To Mujhe Yaad Bhi Aaya Na Karo
Awaaz Na Do...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1249 on: June 09, 2008, 08:25:57 PM »
Meto har mod par tujh ko dunga sada
Meri aawaz ko dard ke saaz ko
Too sune naa sune... meto har mod par....

Mujhe dekh kar keh rahe hen sabhi
Muhabbat ka hasil he deewangi
Pyaar ki raah me phool bhi the magar
Mene kante chune... meri aawaaz ko...

Jahan dil jhuka tha wahi'n sar jhuka
Mujhe koi sajde se rokega kya
Kash.. toote na wo aarzoo ne meri
Kwaab jo he bune... meri aawaaz ko....

Meto har mod par tujh ko dunga sada
Meri aawaaz ko dard ke saaz ko
Too sune na sune... meto har mod par...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1250 on: June 09, 2008, 09:03:57 PM »
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Hm Hm He
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Ek Raah Rukh Gayi Tho Aur Judh Gayi
Main Mura Tho Saath Saath Raha Murgayi
Hawaon Ke Paron Par Mera Ashiana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Din Ne Haath Thaam Kar Idhar Bithaliya
Raat Ne Ishaare Se Udhar Bulahliya
Subah se Shaam Se Mera Dostana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1251 on: June 10, 2008, 01:47:24 PM »
Ajeeb daastaan hai yeh, Kahan shuru kahan khatam,
Yeh manzilein hai kaun si, Naa wo samajh sakey naa hum...

Yeh roshni ke saath kyon, Dhuaan uttha chiraag se,
Yeh khawaab dekhti hoon main, Ki jag padii hoon khwaab se...

Mubaarakein tumhe ki tum, Kisi ke noor ho gaye,
Kisi ke itne paas ho, Ki sabse duur ho gaye...

Kisi ka pyaar le ke tum, Naya jahaan basaaoge,
Yeh shaam jab bhi aayegi, Tum humko yaad aaoge...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1252 on: June 10, 2008, 05:58:11 PM »
dil kee aawaaz bhee sun mere fasaane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

ik nazar dekh le, jeene kee ijaazat de de
roothane waale woh pahalee see mohabbat de de
ishq maasoom hai, ilzaam lagaane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

waqt insaan pe aiesaa bhee kabhee aataa hai
raah mein chhod ke saayaa bhee chalaa jaataa hai
din bhee nikalegaa kabhee, raat ke aane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

main haqikat hoon, ye ik roz dikhaaoongaa tujhe
begunaahee pe mohabbat kee rulaaoongaa tujhe
daag dil ke naheen mitaten hain, mitaane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

dil kee aawaaz bhee sun mere fasaane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1253 on: June 10, 2008, 11:22:43 PM »
Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono

Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se
Chalo ek baar phir se..

Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ki yeh jalve paraaye hain
Mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maajhi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saaye hain
Chalo ek baar phir se..

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna achchha
Chalo ek baar phir se..
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1254 on: June 10, 2008, 11:28:08 PM »
Chale aaj tum jahaan se, hui zindagi paraayi
Tumhein mil gaya thikaanaa, hamein maut bhi na aayi

O door ke musaafir ham ko bhi saath le le re
Ham ko bhi saath le le
Ham rah gaye akele

Toone vo de diya gam, bemaut mar gaye ham
Dil uth gaya jahaan se, le chal hamein yahaan se
Le chal hamein yahaan se
Kis kaam ki ye duniya jo zindagi se khele re
Ham ko bhi saath le le, ham rah gaye akele

Sooni hain dil ki raahen, khaamosh hain nigaahein
Naakaam hasaraton ka uthane ko hai janaaza
Uthane ko hai janaaza
Chaaron taraf lage hain barabaadiyon ke mele re
Ham ko bhi saath le le, ham rah gaye akele

O door ke musaafir ham ko bhi saath le le re
Ham ko bhi saath le le
Ham rah gaye akele
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1255 on: June 11, 2008, 07:25:53 PM »
Do pal ka khwaabon ka kaarwan,
Aur fir chal diye tum kahan hum kahan....

do pal ki thhi ye dilon ki daastan
aur fir chal diye hum kahan tum kahan....

Tum thhey ke thhi koyi ujli kiran,
Tum thhey ya koyi kali muskaayi thhi....

Tum thhey ke ya thha sapno ka saawan,
tum thhey ke khushiton ki ghata chhayi thhi....
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1256 on: June 11, 2008, 07:42:06 PM »
Duniyaa mein hum aaye hain to jeenaa hee padegaa
Jeewan hain agar jahar to peenaa hee padegaa

Gir gir ke musibat mein sanmbhalate hee rahenge
Jal jaaye magar aag pe chalate hee rahenge
Gam jis ne diye hain wahee gam door karegaa
Duniyaa mein hum aaye....

Aaurat hain wo aaurat jise duniyaan kee sharam hai
Sansaar mein bas laaj hee naaree kaa dharam hai
Zindaa hain jo ijjat se wo, ijjat se maregaa
Duniyaa mein hum aaye....

Maalik hain tere saath naa dar, gam se too aye dil
Mehanat kare insaan to kyaa kaam hain mushkil
Jaisaa jo karegaa, yahaa waisaa hee bharegaa
Duniyaa mein hum aaye....

Duniyaa mein hum aaye hain to jeenaa hee padegaa
Jeewan hain agar jahar to peenaa hee padegaa
Logged
techie_guy
Guest
«Reply #1257 on: June 12, 2008, 06:21:00 PM »
Aafreen tera chehra, aafreen teri aankhen,aafreen tera manzar,aafreen teri baatein,
Tera pyaar paana hai, chahe jo ho,
Pyaar ye nibhaana ho chahe jo ho.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1258 on: June 12, 2008, 08:24:01 PM »
Tadbeer se bigadi huwi taqdeer bana le, taqdeer bana le
Apne pe bharosa hai to ye daav laga le, laga le daav laga le ) - 2

Darta hai zamaane ki nigaaho se bhala kyu nigaaho se bhala kyu - 2
Insaaf tere saath hai ilzaam uthhaa le, ilzaam uthhaa le
Apne pe bharosa hai to ye daav laga le, laga le daav laga le - 2

Kya khaak woh jeena hai jo apne hi liye ho apne hi liye ho - 2
Khud mitke kisi aur ko mitne se bacha le
Apne pe bharosa hai to ye daav laga le, laga le daav laga le - 2

Tootee huee patvaar hain kashti ke to ham kyaa
Haari huwi baaho ko hi patvaar bana le, patvaar bana le
Apne pe bharosa hai to ye daav laga le, laga le daav laga le - 2
Tadbeer se bigadi huwi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1259 on: June 13, 2008, 04:28:18 PM »
Na Jaane Kyun, Hota Hai Yeh Zindagi Ke Saath
Achaanak Yeh Mann, Kisike Jaane Ke Baad
Kare Phir Uski Yaad Chhoti Chhoti Si Baat
Na Jaane Kyun ...

Jo Anjaan Pal, Dhal Gaye Kal, Aaj Woh
Rang Badal Badal, Mann Ko Machal Machal
Rahen Hai Chal, Na Jaane Kyun Woh Anjaan Pal
Saje Bhi Na Mere, Naino Mein
Toote Re Hai Re Sapno Ke Mahal
Na Jaane Kyun ...

Wohi Hai Dagar, Wohi Hai Safar
Hai Nahin Saath Mere Magar Ab Mera Humsafar
Idhar Udhar Dhoonde Nazar Wohi Hai Dagar
Kahan Gayi Shaamein, Madhbhari
Woh Mere, Mere Woh Din Gaye Kidhar
Na Jaane Kyun ...
Logged
Pages: 1 ... 80 81 82 83 [84] 85 86 87 88 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:43:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.171 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer