SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 81 82 83 84 [85] 86 87 88 89 ... 108
Print
Author  (Read 58946 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1260 on: June 13, 2008, 11:54:15 PM »
Na Jaane Kyon Humaare Dil Ko Tumne Dil Nahin Samjha
Na Jaane Kyon..
Yeh Sheesha Todh Daala, Pyar Ke Qabil Nahin Samjha
Na Jaane Kyon..

Tadap Dee Bhi To Aysi Di, Ke Mushqil Hogaya Jeena
Chalaae Teer Voh Seene Pe, Chalni Hogaya Seena
Aur Us Par Yeh Sitam Hai, Ke Humen Ghayal Nahin Samjha..
Na Jaane Kyon..

Mohobbat Ka Yeh Jaadu, Ik Din Sar Chad Ke Bolega
Har Ik Aandhi, Har Ik Toofan Ko, Qabu Mein Lelega
Mohobbat Ne Koyi Bhi, Kaam Ko, Mushqil Nahin Samjha..
Na Jaane Kyon..

Humaara Pyar Dekho Aur Humara Hausala Dekho
Mohobbat Ka Junoon Humko Kahan Tak Le Chala Dekho
Tumhi Ne Jaan Li, Aur Tum ko hi Qatil Nahin Samjha
Na Jaane Kyon..

Na Jaane Kyon Humaare Dil Ko Tune Dil Nahin Samjha
Yeh Sheesha Todh Daala, Pyar Ke Qabil Nahin Samjha
Na Jaane Kyon..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1261 on: June 16, 2008, 09:29:25 PM »
Lakhon Hein Nigaah Mein,
Zindagi Ki Raah Mein,
Sanam Haseen Jawan,
Hoton Pe Gulaab Hai,
Aankhon Mein Sharab Hai,
Lekin Voh Baath Kahan..?

Lat Hai Kisi Ki Jaadu Kaa Jaal,
Rang Dale Dil Pe Kisi Ka Jamaal,
Touba Yeh Nigaahen Ke Rok Thi Hai Raahen, (2)
Dekho Le Le Ke Teerkaman.. Oye..
Lakhon Hein Nigaah Mein,
Zindagi Ki Raah Mein,
Sanam Haseen Jawan,
Hoton Pe Gulaab Hai,
Aankhon Mein Sharab Hai,
Lekin Voh Baath Kahan..?

Jaanu Na Diwana Mein Dil Ka,
Kaun Hai Khayalon Ki Malika,
Bheegi Bheegi Rut Ki Chavun Tale,
Maan Lo Kahin Voh Aan Mile,
Kaise Pehechanu, Ke Naam Nahin Jaanu, (2)
Kise Dunden Mere Armaan.. Oye..
Lakhon Hein Nigaah Mein,
Zindagi Ki Raah Mein,
Sanam Haseen Jawan,
Hoton Pe Gulaab Hai,
Aankhon Mein Sharab Hai,
Lekin Voh Baath Kahan..?

Kabhi Kabhi Voh Ik Mahazabeen,
Dolti Hai Dil Ke Paas Kahin,
Hein Jo Yahi Baaten, Tho Hongi Mulaqaaten, (2)
Kabhi Yahan Nahin Tho Vahan.. Oye..
Lakhon Hein Nigaah Mein,
Zindagi Ki Raah Mein,
Sanam Haseen Jawan,
Hoton Pe Gulaab Hai,
Aankhon Mein Sharab Hai,
Lekin Voh Baath Kahan..?
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1262 on: June 16, 2008, 09:40:01 PM »
tu husn hai main ishq huun,
tu mujh mein hai main tujh mein huun
main isake aage kya kahuun,
tu mujh mein hai main tujh mein huun

o soniye
o mere mahivaal
aaja oy aaja
paar nadi ke mere yaar ka dera
tere havaale rabba dilbar mera
raat bala ki badhata jaae, laharon ka ghera
kasam khuda ki aaj hai mushkil milana mera
khair kari rabba
saath jiyenge saath marenge yahi hai fasaana

kahaan saliim kaa, rutaba kahaan anaarakali 
ye aisi shaakh-e-tamanna hai, jo kabhi na phali
na bujh sakegi bujhane se, ahl-e-duniya ke 
vo shama jo teri aankho.n men, mere dil mein jali   
huzuur ek na ek din ye baat aegi
ke takt-o-taaj bhale hain ke ek kaniz bhali 
main takt-o-taj ko thukara ke tujhako le lunga 
ke takt-o-taj se teri gali ki kaq bhali 
saath jiyenge saath marenge yahi hai fasaana

tu husn hai main ishq huun,
tu mujh mein hai main tujh mein huun
main isake aage kya kahuun,
tu mujh mein hai main tujh mein huun
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1263 on: June 16, 2008, 09:44:26 PM »
Tasveer teri dil me, jis din se utari hai
Phiru tujhe sang leke, naye naye rang leke
Sapnon ki mehfil me
Tasveer teri dil me

Tum se nazar jab gayi hai mil, jahan hai kadam tere wahi mera dil
Tum se nazar jab gayi hai mil, jahan hai kadam tere wahi mera dil
Jhuke jahan palke teri, khule jahan zulfe teri, rahun usi manzil me
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1264 on: June 16, 2008, 09:53:21 PM »
chaahe paas ho, chaahe door ho, mere sapanon kee tum tasaweer ho
chaahe paas ho, chaahe door ho, mere jeewan kee tum takadeer ho

o paradesee, bhool naa jaanaa, hum ne kiyaa tujhe dil nazaraanaa
dil ye humaaraa, toone naa jaanaa, seekhaa hai hum e bhee waadaa nibhaanaa
Waadaa nibhaanaa....
chaahe paas ho, chaahe door ho, mere sapanon kee tum tasaweer ho

jab tak chamake chaand sitaare, hum hain tumhaare, tum ho humaare
saagar kee do laharein pukaare, milake rahenge dono kinaare
Dono kinaare....

chaahe paas ho, chaahe door ho, mere sapanon kee tum tasaweer ho

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1265 on: June 16, 2008, 09:54:08 PM »
suramai akhiyoin mein nanhaa munnaa ek sapanaa de jaa re
nindiyaa ke udate paakhii re, aiNkhiyoin mein aajaa sathi re

raa rii raa ram o raarii ram

sachchaa koI sapanaa dejaa
mujhako koI apanA dejaa
anajaanaa saa magar kuchh pahachaanaa saa
halkaa phulkaa shabanamii
resham se bhI reshamii
suramai akhiyoin mein……

raat ke rath par jaane vaale
nIind kA ras barasaane vaale
itanA kar de kI merI aaiNkhein bhar de
aaiNkhoin mein basataa rahe, sapanA ye haiNsataa rahe
sapanaa yuuiN chalataa rahe
aiNkhiyoin mein basataa rahe
suramai akhiyoin mein…………
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1266 on: June 19, 2008, 06:00:40 PM »
LAKHO TAARE, ASMAAN MAIN
EK MAGAR DHOONDE NA MILA
DEKH KAR DUNIA KI DEEWALI
MAN MERA CHUPCHAP JALA!!!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1267 on: June 19, 2008, 07:39:49 PM »
Ghar aaya mera pardesi
Pyaas bujhi meri ankhiyan ki

Tu mere mann ka moti hai
In nainan ki jyoti hai
Yaad hai mere bachpan ki
Ghar aaya mera pardesi

Ab dil todke mat jaana
Roti chhodke mat jaana
Kasam tujhe mere aansuan ki
Ghar aaya mera pardesi

Ghar aaya mera pardesi
Pyaas bujhi meri ankhiyan ki
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1268 on: June 19, 2008, 07:41:27 PM »
Na jaane kyun
hota hai ye zindagi ke saath
achanak ye mann
kisi ke jaane ke bada
kare phir uski yaad
choti choti si baat...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1269 on: June 19, 2008, 07:59:58 PM »
do qadam tum bhi chalo do qadam ham bhi chalein
do qadam tum bhi chalo do qadam ham bhi chalein
manzilein
pyaar ki
manzilein phir pyaar ki aayengi chalate-chalate
do qadam tum...

kal tak to anjaan thin hamase raahein pyaar ki
lekin apani ho gayin ab to baanhein pyaar ki
ab hamein
ye jahaan
ab hamein to ye jahaan dekhega jalate-jalate
do qadam tum...

meri jo bhi soch thi usaka hi tum ruup ho
main huun nadiya tum ghata main chhaaya tum dhuup ho
pyaar ye
ho javaan
pyaar ab ye ho javaan aankhon mein palate-palate
do qadam tum...

aisi hi ik shaam thi dekha tha jab aapako
tum is dhalati shaam ko roko to kuchh baat ho
jaan se
jaayenge
jaan se ab jaayenge shaam ke dhalate-dhalate
do qadam tum...

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1270 on: June 19, 2008, 08:10:31 PM »
Mujhey pyaar ki zindagi deeney waley
Kabhi ghum na deeena khouhsi dene waley
mujhey piyaar ki zindagi deney waley

Muhabbat kay waadey bhula to na doogey
Kahin mujh se daaman chura to loo gay
Marey dil ki duniya hay tarey hawaley
mujhey pyaar ki zindagi deene waley

Zamaney mein tum se nahi koi pyaara
yeh jaan bhi tumhari yeh dil bhi tumhara
jo na ho yaqeen to kabhi aazmalay
mujhey pyaar ki zindagi deeney waley

bharoosa hay hum ko muhaabat pe teri
to phir hans kay deekho nigahon mein meri
yeh darr hay zamana juda kar na daley

Mujhey pyaar ki zindagi deeney waley
Kabhi ghum na deeena khouhsi dene waley
mujhey piyaar ki zindagi deney waley
Logged
Talat
Guest
«Reply #1271 on: June 19, 2008, 08:13:40 PM »
Dil ki choton nay kabhi chain say rehnay na diya,
Jab chali sard hawa mainay tujhay yaad kiya,
Iska rona nahin kyon tumnay kiya dil barbaad,
Iska gham hai ki bahut dher may barbaad kiya !"

Humko kiskay gham nay maara, yeh kahaani phir sahi,
Kisnay tora dil hamara, yeh kahaani phir sahi !

Dil kay lutnay ka sabab poocho na sabkay saamnay,
Naam aayega tumhara, yeh kahaani phir sahi !

Nafraton kay teer kha kar doston kay shehar mein,
Humnay kis kis ko pukara, yeh kahaani phir sahi !

Kya batayein pyaar ki baazi wafa ki rah mein,
Kaun jeeta kaun haara, yeh kahaani phir sahi !

Humko kiskay gham nay maara, yeh kahaani phir sahi,
Kisnay toda dil hamara, yeh kahaani phir sahi !
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1272 on: June 19, 2008, 09:34:40 PM »
Kabhi kabhi mere dil me khyaal aata he
ke jese tujh ko banaya gaya he mere liye
too ab se pehle sitaaron me bas rahi thi kabhi
tujhe zami'n pe utara gaya he mere liye

kabhi kahbi mere dil me khyaal aata he
ke jese too mujhe chahegi umar bhar yun hi
uthegi meri taraf pyaar ki nazar yun hi
men janta hun ke too gair he magar yun hi
kabhi kabhi mere dil me khyaal aata he

ke ye badan ye nigaahen meri amanat he
ye gaisuaon ki ghani chaun he meri khatir
ye honth or ye bahen meri amanat he
kabhi kabhi mere dil me khyaal aata he
ke jese tujh ko banaya gaya he mere liye
kabhi kabhi mere.......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1273 on: June 19, 2008, 09:36:16 PM »
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Ye cheez lajwaab hai, ye cheez lajwaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Mera alag hisaab hai, mera alag hisaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Hun hun hun hun....
Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh
Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh
Sheeshe mein maahtaab hai, sheeshe mein maahtaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Baaki khayal-o-khwab hai, baaki khayal-o-khwab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #1274 on: June 21, 2008, 03:38:15 AM »
Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat
kaun ho tum batlaao
der se kitni door khaDi ho
aur qarib aa jaao
chorus: Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat
kaun ho tum batlaao
der se kitni door khaDi ho
aur qarib aa jaao

ki: (dhaDkanon ne suni, ik sadaa paaon ki) -2
(aur dil pe lahraai, aaNchal ki chhaaon si) -2
Khvaab ho tum yaa...
All: Khvaab ho tum yaa...

ki: (mil hi jaati ho tum, mujhko har moD pe) -2
(chal deti ho kitne, afsaane chhoD ke) -2
Khvaab ho tum yaa...
chorus: Khvaab ho tum yaa...
ki: (phir pukaaro mujhe, phir meraa naam lo) -2
(girtaa hooN phir apni, baahon mein thaam lo) -2
Khvaab ho tum yaa...
sab: (Khvaab ho tum yaa...) -2
Logged
Pages: 1 ... 81 82 83 84 [85] 86 87 88 89 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:34:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.185 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer