SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 82 83 84 85 [86] 87 88 89 90 ... 108
Print
Author  (Read 58942 times)
punam
Guest
«Reply #1275 on: June 23, 2008, 01:45:27 PM »
Haan hai Koi to wajah
Jo jeena ka maza yun aane laga
Yeh hawaon mein hai kya
Thoda sa jo naasha yun chane laga
Pucho na pucha mujhe kya
Hua hai teri raahon mein aakar (pucho na pucha na)
Pucho na pucha mujhe kya
Milega teri bahon mein aakar

Yeh Ishq haaye baithe bithaye
Jannat dikhaye haan
O raama
Yeh Ishq haaye baithe bithaye
Jannat dikhaye haan

Tode maine sare hi bandhan zamane tere
Todungi na mein vada
Aadha hissa mere to dil ki kahani ka tu
Piya mein baaki aadha
Dekho na dekho mujhe kya hua hai
Teri yaadhon mein kho kar
Pucho na puchO mujhe kya hua hai
Teri baton mein jeekar

Yeh Ishq haaye baithe bithaye
Jannat dikhaye haan
O raama
Yeh Ishq haaye baithe bithaye
Jannat dikhaye haan

Mere jaise lakho mile honge tujhko
Piya, mujhe to mila tuu hi
Tu hi mere hooton ki khilti hui si hasi
Gila bhi piya tu hi
Dekho na dekho mujhe kya hua hai
Tujhe sapno mein lakar (dekho na dekho)
Pucho na pucha mujhe kya hua hai
Teri baaton mein aakar

Yeh Ishq haaye baithe bithaye
Jannat dikhaye haan
O raama
Yeh Ishq haaye baithe bithaye
Jannat dikhaye haan

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1276 on: June 23, 2008, 02:22:33 PM »
Jo unki tamannaa hai, barbaad ho jaa,
Toh aey dil muhabbat ki kismat banaa de...
Tadap aur tadap kar abhii jaan de de...
Yun marate hai mar jaane waley, dikha de...
Jo unki tamannaa hai, barbaad ho jaa...
Logged
natural
Guest
«Reply #1277 on: June 23, 2008, 03:01:57 PM »
hans le ga le ye din na milenge kal
thodi khushiyaan hain thode se ye pal
ek baar phir chali jaayen jo ye bahaaren
laut kar na aayengi gujari bahaaren
mela bahaaron ka aata hai ik baar aake chala jaata hai
aati hain bahaaren jaati hain bahaaren
jaana hi hai unako kyon aati hain bahaaren
Logged
Talat
Guest
«Reply #1278 on: June 23, 2008, 07:21:19 PM »
Dikhayi Diye Yoon Ke Bekhudh Kiya
Humein Aapse Bhi Judaa Kar Chale

Jabhi Sajda Karte Hi karte Gayi
Haq-E-Bandigi Hum Adaa Kar Chale

Dikhayi Diye Yoon.....

Parastish Kiya Tak Ke Aye But Tujhe
Nazar Mein Sabonki Khuda Kar Gaye

Dikhayi Diye Yoon.....

Bahut Arzoo Thi Gali Ki Teri
So Ya Se Lahoo Mein Naha Kar Chale

Dikhayi Diye Yoon.....

Fakirana Ae Sada Kar Chale
Miya Khush Raho Hum Dua Kar Chale

Jo Tujh Bin Na Jeene Ka Kehte Hum
So Us Ahad Ko Ab Wafa Kar Chale

Koi Na Umeed Na Karte Nigahen
So Tum Humse Munh Bhi Chhupa Kar Chale
Logged
punam
Guest
«Reply #1279 on: June 25, 2008, 04:06:30 AM »
aaeenaa wo hee rahataa hai, chehare badal jaate hai
aankhon mein rukate naheen jo, aansoo nikal jaate hai

pahalee mulaakaat kee, tobaa wo pahalee najar
kyaa ho gayaa, kab huaa, hotee naheen kuchh khabar
kitanaa bhee dil ko sanbhaaloo, aramaa machal jaate hai

gulashan mein foolon ke saath  khilate hain dil mein gulaab
hotaa hain jab pyaar to, lagataa hain paanee sharaab
do ghoont peete hee lekeen  ye honthh jal jaate hai

bekhabar, bekadar, pyaar sach hain agar
dekhanaa yek din  royegaa mere been
raah mein chhodakar, meraa dil todakar
muz ko tadapaayaa kyo, too bhee tadapegaa yoo
yaad rakh bewafaa, ye meree baddoowaan
toone jisake liye, muz ko dhokhe diye
wo teree dilarubaa, legee badalaa meraa
mai ye gam humanashee, bhool sakatee nahee
wo iraade tere, zoothhe waade tere
jab yaad aate hai, dil par bas teer chal jaate hai....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1280 on: June 26, 2008, 08:54:55 PM »
Ajeeb daastaan hai yeh, Kahan shuru kahan khatam,
Yeh manzilein hai kaun si, Naa wo samajh sakey naa hum...

Yeh roshni ke saath kyon, Dhuaan uttha chiraag se,
Yeh khawaab dekhti hoon main, Ki jag padii hoon khwaab se...

Mubaarakein tumhe ki tum, Kisi ke noor ho gaye,
Kisi ke itne paas ho, Ki sabse duur ho gaye...

Kisi ka pyaar le ke tum, Naya jahaan basaaoge,
Yeh shaam jab bhi aayegi, Tum humko yaad aaoge...
Logged
punam
Guest
«Reply #1281 on: June 27, 2008, 10:15:28 AM »
Ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye ram
Kuchh likhaa?
Haan
Kyaa likhaa?
Ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Achchhaa, aage kyaa likhoon?
Aage?

Socha hai ek din main use milke
Keh daalon apne sab haal din ke
Aur kardoon jeevan uske hawale
Phir chhod de chaahe apna bana le
Main to uska re hua deewana
Ab to jaisa bhi mera ho anjaam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Likh liyaa?
Haan
Zaraa padhake to sunaao na

Chaaha hai tumne jis baawri ko
Woh bhi sajanwa chaahe tumhi ko
Naina uthaae to pyaar samjho
Palken jhukaa de to ikraar samjho
Rakhti hai kabse chupa chupa ke
Kyaa?
Apne hoton mein piya tera naam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam ...

Logged
Talat
Guest
«Reply #1282 on: June 27, 2008, 06:45:02 PM »
Na kisi ki aankh ka noor hoon - 2
Na kisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main voh ek musht-e-ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar mujhse bichhad gaya
Jo chaman fizaa mein ujad gaya
Main ussi ki fasle bahaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka qaraar hoon

Main kahan rahoon, main kahan basoon
Na yeh mujhse khush, na voh mujhse khush
Main zameen ki peeth ka boj hoon
Main falak ke dil ka ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Paye faateha koi aaye kyoon
Koi chaar phool chadaaye kyoon
Koi aake shamma jalaaye kyoon - 2
Main voh bekasi ka mazaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main voh ek musht-e-ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1283 on: June 27, 2008, 07:02:00 PM »
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

(Masti bhara taraana, kyu raat gaa rahi hai
Aankho mein neend aakar, kyu door jaa rahi hai) 2
Dil mein koyi sitamgar, armaan jaga gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

Betaab ho raha hai, ye dil machal machal ke
Shaayad ye raat beete, karvat badal badal ke
Lala laa lala laa...
Betaab ho raha hai, ye dil machal machal ke
Shaayad ye raat beete, karvat badal badal ke
Eh dil zara sambhal jaa, shaayad woh aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

(Bheegi huwi hawaaye, mausam bhi hai gulaabi
Kya chaand kya sitaare, har cheez hai sharaabi) 2
Dheere se ek naghma, koyi suna gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #1284 on: June 27, 2008, 07:05:23 PM »
teree duniyaan se ho ke majaboor chalaa
main bahot door, bahot door, bahot door chalaa

is kadar door ke fir laut ke bhee aa naa sakoo
ayesee manjil ke jahaan khud ko bhee main paa naa sakoo
aaur majabooree hain kyaa itanaa bhee batalaa naa sakoo

aankh bhar aaee agar ashkon ko main pee loongaa
aah nikalee jo kabhee hothhon ko main see loongaa
tuz se waadaa hain kiyaa isaliye main jee loongaa

khush rahe too hain jahaan, le jaa duwaayen meree
teree raahon se judaa ho gayee raahen meree
kuchh naheen saath mere, bas hain khataayen meree
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1285 on: June 27, 2008, 07:08:59 PM »
Aa chal ke tujhe, main le ke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhii na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hii pyaar pale

Aa chal ke tujeh main le ke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Suraj ki pahali kiran se, aashaa kaa savera jaage (2)
chandaa kii kiraN se dhul kar, ghanaghor andhera bhaage (2)
kabhi dhuup khile kabhi chhaav mile
lambii sii Dagar na khale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Jahan door nazar daud aae, aazaad gagan laharaae laharaee (2)
jahan rang birange panchhi, aashaa kaa sandesaa laayen (2)
sapano me pali hansati ho kali
jahan shaam suhaani dhale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Sapano Ke aise jahan mein jahan pyaar hi pyaar khila ho
hum jaa ke vahan kho jaaye shikuva na koyi ghila ho
kahin bhair na ho koyi ghair na ho
sab milke chalte chale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale
aa chal ke tujeh mein leke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale
Logged
punam
Guest
«Reply #1286 on: June 28, 2008, 04:57:35 AM »
Ek pal ka jeena, phir to hai jaana
Tofa kya leke jaaye, dil yeh bataana
Khaali haath aaye the hum
Khaali haath jaayenge
Bas pyaar ke do meethe bol jhilmilaayenge
To hans kyoon ki duniya ko hai hasaana
Ae mere dil tu gaaye jaa
Ae aaye aao aaye aa

Oh, aankhon mein dilbar ka sapna bhi hai
Haan koi sapna bhi hai
Oh, duniya mein mera koi apna bhi hai
Haan koi apna bhi hai
Ek chehraa khaas hai, jo dil ke paas hai
Honton pe pyaas hai, milne ki aas hai
Dilbaron ka magar kahan koi thikaana
Ae mere dil tu gaaye jaa
Ae aaye aao aaye aa

Oh, jeevan khushiyon ka ek jhonka sa hai
Haan koi jhonka sa hai
Oh, aur yeh jhonka ek dhoka sa hai
Yeh kaisi hai khushi, jal jalke jo bujhi
Bujh bujhke jo jali, milke bhi naa mili
Doston par kisi haal mein naa ghabaraana
Ae mere dil tu gaaye jaa
Ae aaye aao aaye aa
Ek pal ka jeena, phir to hai jaana
Tofa kya leke jaaye, dil yeh bataana
Khaali haath aaye the hum
Khaali haath jaayenge
Bas pyaar ke do meethe bol jhilmilaayenge
To hans kyoon ki duniya ko hai hasaana
Ae mere dil tu gaaye jaa
Ae aaye aao aaye aa....
Logged
Talat
Guest
«Reply #1287 on: June 28, 2008, 07:54:48 PM »
 jurm-e-ulfat pe, hamein log sazaa dete hain
kaise naadan hain, sholon ko havaa dete hain

aap daulat ke tarazu, main dilon ko taule
hum mohabbat se, mohabbat ka sila dete hain

humne dil de bhi diya, ehad-e-vafaa le bhi liya
aap ab shokh se, dede jo sazaa dete hain
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1288 on: June 29, 2008, 05:50:35 AM »
Raha gardishon mein haradam,  mere ishq ka sitaara
Kabhi dagamagaayi kashti, kabhi kho gaya kinaara
Raha gardishon mein haradam....

Koi dil ke khel dekhe, ke muhabbato'n ki baazi
Wo Qadam Qadam pe jeete, main Qadam Qadam pe haara
Raha gardishon mein haradam....

Ye humaari badanaseebi, jo nahin to aur kya he
Ke usi ke ho gaye hum,  jo na ho saka humaara
Raha gardishon mein haradam....

Pade jab gamon se paale, rahe mit ke mitane waale
Jise maut ne na poochha, use zindagi ne maara
Raha gardishon mein haradam....

Raha gardishon mein haradam,  mere ishq ka sitaara
Kabhi dagamagaayi kashti, kabhi kho gaya kinaara
Raha gardishon mein haradam....
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1289 on: June 29, 2008, 05:59:09 AM »
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha Woh Teri Mehfil Mein Kaam Aaya
Kisike Hisse Mein Pyaas Aa'ai Kisike Hisse Mein Jaam Aaya
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha...

Mein Ek Fasana Hoon Bekasi Ka, Yeh Haal He Meri Zindagi Ka
Na Husn Hi Mujhko Raas Aaya, Na Ishq Hi Mere Kaam Aaya
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha...

Badal Gayi Teri Manzilein Bhi, Bichhad Gaya Mein bhi kaarwa'n se
Meri Mohabbat Ke Raaste Mein, Na Jaane Ye Kya Muqaam Aaya
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha...

Tujhe Bhoolane Ki Koshishein Bhi, Tamaam Nakaam Ho Gayi Hain
Kisine Zikr-E-Wafa Kiya Jab, Zubaan Pe Tera Hi Naam Aaya
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha...
Logged
Pages: 1 ... 82 83 84 85 [86] 87 88 89 90 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:51:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.19 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer