SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 94 95 96 97 [98] 99 100 101 102 ... 108
Print
Author  (Read 58807 times)
Talat
Guest
«Reply #1455 on: October 10, 2008, 12:45:00 PM »
Yaad main teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatain badalte hain
Har ghadi dil main teri ulfat ke
Dheeme dheeme chiragh jalte hain

Jab se tune nigaah pheri hai
Dil hai soona to raat andheri hai
Chaand bhi ab nazar nahin aata
Ab sitaare bhi kam nikalte hain

Lut gayi wo bahaar ki mehfil
Chhut gayi humse pyar ki manzil
Zindagi ki udaas raahon main
Teri yaadon ke saath chalte hain

Tujhko paa kar hume bahaar mili
Tujhse chhutkar magar ye baat khuli

Baaghbaan hi chaman ke phoolon ko
Apne pairon se khud masalte hain


Kya kahen tujhse kyun hui doori
Hum samajhte hain apni majboori
Tujhko maaloom kya ki tere liye
Dil ke ghum aansuon main dhalte hain

Yaad main teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatain badalte hain
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1456 on: October 10, 2008, 01:01:52 PM »
Woh kaun hai...
joo dikhayee na dee.
woh kaun hai...
joo dikhayee na dee.
hai
hai
Dil kay kisi...
ajnabee rasate per

chalay ja raha hai.
woh kaun hai...
joo dikhayee na dee...
woh kaun hai...
joo dikhayee na a dee.

Woh hee, kadmoo ki ahhatai  milee, jis taraf bhee mein jana lagee...
jana lagee...
Woh hee kadmoo ki ahhatee milee, jis taraf bhee mein jana lagee.
Kasi surat hai yeh izhar ke...e
jo dikhayee na dee
hai
hai
dil kay kisi...
ajnabee rasate per...
chalay ja raha...
chalay ja raha ...
woh kaun hai
joo dikhayee na a dee.

Teri yaadow mein gum hoo gahee...
jantee hoo ki tu mera nahee...
mera nahee
teri yaadow mein gum hoo gahee...
jantee hoo ki tu mera nahee.
kasai dookha mai ma kud a gahee...
joo dikhayee na dee
hai
hai
Dil kay kisi.
ajnabee rasate per ...
chalay ja raha hai
woh kaun hai

joo dikhayee na de
woh kaun hai
joo dikhayee na dee
hai
hai
Dil kay kisi
ajnabee rasate per
chalay ja raha
chalay ja raha
chalay ja raha
chalay ja raha
chalay ja raha hai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1457 on: October 10, 2008, 01:24:22 PM »
Aaya Hai Mujhe Phir Yaad Woh Zaalim,
Guzara Zamaana Bachpan Ka,
Haye Re Akele Chhod Ke Jaana,
Aur Na Aana Bachpan Ka..
Aaya Hai Mujhe ...

Woh Khel, Woh Saathi , Woh Jhule,
Woh Daud Ke Kehna Aa Chhuule,
Hum Aaj Talak Bhi Na Bhule,
Woh Khwab Suhaana Bachpan Ka..
Aaya Hai Mujhe...

Iski Sab Ko Pehchaan Nahin,
Yeh Do Din Ka Mehmaan Nahin,
Mushkil Hai Bahut Aasaan Nahin,
Yeh Pyar Bhulaana Bachpan Ka..
Aaya Hai Mujhe...

Milkar Roye, Fariyaad Kare,
Un Beete Dino Ki Yaad Kare,
Aye Kaash Kahin Mil Jaaye Koi,
Yun Meet Puraana Bachpan Ka..
Aaya Hai Mujhe..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1458 on: October 10, 2008, 02:28:17 PM »
bachapan ki yaadgaaro
main tumako dhuundhati huun
tum bhi mujhe pukaaro

yaad aake rah gaye hain kuchh bevafa nazaare
palkon se jhaankate hain, bhige hue sitaare
bhige hue sitaare

dekho zara palatakar bichhade hue sahaaro
main tumako dhuundhati huun
tum bhi mujhe pukaaro
jo kvaab tha kushi ka, ashkon mein bah gaya hai
sine mein dil ke badale, ik dard rah gaya hai
ik dard rah gaya hai

ai meri zindagi ke maasuum raazdaaro
main tumako dhuundhati huun
tum bhi mujhe pukaaro
Logged
palkhi
Guest
«Reply #1459 on: October 10, 2008, 03:07:54 PM »
....koee hotaa jis ko apanaa, hum apanaa kah lete yaaro
paas naheen to door hee hotaa, lekeen koee meraa apanaa

aakho mein neend naa hotee, aansoo hee tairate rahate
khwaabaane mein jaagate hum raat bhar
koee to gam apanaataa, koee to saathee hotaa

bhoolaa huaa koee waadaa, beetee huyee kuchh yaade
tanahaee doharaatee hain raatabhar
koee dilaasaa hotaa, koee to apanaa hotaa......
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1460 on: October 10, 2008, 06:26:48 PM »
yaar bina chain kahaan re
pyaar bina chain kahaan re
sona nahin chaandi nahi
yaar to mila, are pyaar karle


koi naya sapana nigaahon mein to hain
koi naya saathi nayi raahon mein to hain
dil jo milenge takdeer banegi
jindagi ki nayi tasweer banegi
pyaar mein ye dil bekaraar karle
yaar bina chain kahaan re
pyaar bina chain kahaan re
sona nahin chaandi nahi
yaar to mila, are pyaar karle


yaar hame paisa nahin pyaar chahiye
koi man chaha dildaar chahiye
hire moti aise jahaan dil na toole
sapano ka koi sansaar chaahiye
ye bhi hoga thoda intzaar karale
yaar bina chain kahaan re
pyaar bina chain kahaan re
(sona nahin chaandi nahi
yaar to mila, are pyaar karle
Logged
Talat
Guest
«Reply #1461 on: October 10, 2008, 06:52:05 PM »
Ae Dil-e-Naadaan Ae Dil-e-Naadaan
Aarzoo Kya Hai, Justajoo Kyaa Hai

Hum Bhatakte Hain, Kyun Bhatakte Hain, Dasht-e-Sehara Mein
Aisa Lagta Hai, Mauj Pyaasi Hai Apne Dariyaa main
Kaisi Uljhan Hai, Kyun Ye Uljhan Hai
Ek Saaya Sa, Rubaru Kya Hai

Kya Qayamat Hai, Kya Musibat hai.
Keh Nahin Sakte, Kis Ka Armaan Hai

Zindagi Jaise Khoyi Khoyi Hai, Hairaan Hairaan Hai
Ye Zameen Chup Hai, Aasmaan Chup Hai
Phir Ye Dhadkan Si Chaarsu Kya Hai

Ae Dil-e-Naadaan Aisi Raahon Main Kitne Kaante Hain
Aarzuon Ne Har Kisi Dil Ko Dard Baante Hain
Kitne Ghayal Hain, Kitne Bismil Hain
Is Khudi Main Ek Tu Kya Hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #1462 on: October 11, 2008, 05:53:52 AM »
Yaad main teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatain badalte hain
Har ghadi dil main teri ulfat ke
Dheeme dheeme chiragh jalte hain

Jab se tune nigaah pheri hai
Dil hai soona to raat andheri hai
Chaand bhi ab nazar nahin aata
Ab sitaare bhi kam nikalte hain

Lut gayi wo bahaar ki mehfil
Chhut gayi humse pyar ki manzil
Zindagi ki udaas raahon main
Teri yaadon ke saath chalte hain

Tujhko paa kar hume bahaar mili
Tujhse chhutkar magar ye baat khuli

Baaghbaan hi chaman ke phoolon ko
Apne pairon se khud masalte hain


Kya kahen tujhse kyun hui doori
Hum samajhte hain apni majboori
Tujhko maaloom kya ki tere liye
Dil ke ghum aansuon main dhalte hain

Yaad main teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatain badalte hain


talat ji...e Geet yahaa likh ker mujhe apnemeri puraani collection se rubaroo kerwa dia...man udasiyo ki waadioN mai pahooncha diya...woh dinoN ki yaad dila di jab  hum bhi kabhi......................??.........kya bol hain iss Geet ke aajkaal kahaaN milte haiN aise Geet our uska tarannum...waah mujhe lagta hai aapka taste usi raah per hai jahaaN hamne bhi apna apaya.....God bless ou always....

isi raah per Ek our Geet...


Jaag Dard ishq jaag
jaag dard ishq jaag
Dil ko be-kraar ker...................

Harash
[/color]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1463 on: October 11, 2008, 06:51:10 AM »
Jaana tha humse duur, Bahaane bana liye,
Ab tumne kitni duur, Thikaane bana liye..
Jaana tha humse duur...

Ruksat ke waqt tumne, Jo aansu humein diye,
Un aansuon se humne, Fasaane bana liye..
Ab tumne kitni duur, Thikaane bana liye..
Jaana tha humse duur...

Dil ko miley jo daag, Jigar ko miley jo dard,
Un daulaton se humne, Khazaane bana liye..
Ab tumne kitni duur, Thikaane bana liye..
Jaana tha humse duur...

Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1464 on: October 11, 2008, 07:15:26 AM »
woh meri neend mera chain mujhe lauta do
woh mera pyaar mera dard mujhe lauta do
neend jitni bhi maine khoyi hai
chain jitna bhi maine khoya hai
woh meri neend mera chain mujhe lauta do...

ek masoom dil hai aur sitam hain kitne
is muhabbat ke siwa aur bhi gham hain kitne
mere ishq ka imtehaan yun na lo
tumhein hai qasam meri jaan yun na lo
khwaab jitne bhi maine dekhe hain
yaad jitna kiya hai maine tujhe
woh mere khwaab meri yaad mujhe lauta do
woh meri neend mera chain mujhe lauta do...

ye meri bhool thi jo maine tujhe pyaar kiya
na milne waale muhabbat ka intazaar kiya
ye kya rang laayi hai meri wafa
milli hai mujhe kis liye ye saza
teri chaahat ki pyaas thi mujhako
tujhko paane ki thi ummeed mujhe
wo meri pyaas woh umeed mujhe lauta do

woh meri neend mera chain mujhe lauta do
woh mera pyaar mera dard mujhe lauta do
...
Logged
Talat
Guest
«Reply #1465 on: October 11, 2008, 07:23:21 AM »
talat ji...e Geet yahaa likh ker mujhe apnemeri puraani collection se rubaroo kerwa dia...man udasiyo ki waadioN mai pahooncha diya...woh dinoN ki yaad dila di jab  hum bhi kabhi......................??.........kya bol hain iss Geet ke aajkaal kahaaN milte haiN aise Geet our uska tarannum...waah mujhe lagta hai aapka taste usi raah per hai jahaaN hamne bhi apna apaya.....God bless ou always....

isi raah per Ek our Geet...


Jaag Dard ishq jaag
jaag dard ishq jaag
Dil ko be-kraar ker...................

Harash
[/color]

Harash Ji,

Pehle to ma'afi chahti hoon ki iss geet ne aapko dukh diya...Sach main uss daur ke gaane, chaahe wo bol hon ya phir music har cheez umdah...aajkal ke songs kab sune, kab bhool gaye.....Mujhe khud old songs bohot achche lagte hain..yahi taste hai haalanki bohot log hanste bhi hain ke mere andar koi purani rooh aa gayi hai  Giggle

Shukriya Harash Ji  icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #1466 on: October 11, 2008, 07:30:03 AM »
Rajnigandha Phool Tumhare Mehke Yunhi Jeevan Main
Haan..Yunhi Mehke Preet Piya Ki Mere Anuraagi Main Main

Adhikaar Ye Jab Se Saajan Ka Har Dhadkan Par Maana Maine
Main Jab Se Unke Saath Bandhi Ye Bhed Tabhi Jaana Maine

Kitna Sukh Hai Bandhan Main

Rajnigandha Phool Tumhare......

Har Pal Meri In Aankhon Main Bas Rehte Hain Sapne Unke
Mann Kehta Hai Main Rangon Ki Ek Pyaar Bhari Badli Banke
Barsoon Unke Aangan Main....

Rajnigandha Phool Tumhare Mehke Yunhi Jeevan Main
Haan..Yunhi Mehke Preet Piya Ki Mere Anuraagi Main Main


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1467 on: October 14, 2008, 05:23:50 PM »
Raat Bhar Deed Aaye Namnaak Mein Lehrate Hue
Saans Ki Tareh se aap aate rahe jaate rahe...

Shab ke jaage hue taaron ko bhi neend aane lagi
Aap ke aane ki ek aas thi ab jaane lagi...

Subo ne jisse udhaate hue li angdai
aye subeh tu bhi aayi to akeli aayi

Mere Mehboob mere hosh udaane wali,
meri masjood, meri rooh par chaane wali

aa bhi jaa,taaki mere sajdo ka armaan nikle...
Logged
Talat
Guest
«Reply #1468 on: October 14, 2008, 06:44:36 PM »
Wo Jab Yaad Aaaye, Bohot Yaad Aaye
Ghum-e-Zindagi Ke Andhere Main Humne
Chiragh-e-Mohabbat, Jalaaye Bujhaaye
Wo Jab Yaad Aaaye, Bohot Yaad Aaye....

Aahaten Jaag Utheen, Raaste Hans Diye
Thaam Kar Dil Uthe Hum Kisi Ke Liye
Kai Baar Aisa Bhi Dhoka Hua Hai
Chale Aa Rahe Hain, Wo Nazren Jhukaaye

Wo Jab Yaad Aaaye, Bohot Yaad Aaye...

Dil Sulagne Laga, Ashk Behne Lage
Jaane Kya Kya Hume Log Kehne Lage
Magar Rote Rote Hansi Aa gayi Hai
Khayaalon Main Aa Kar Wo Jab Muskuraaye
Wo Jab Yaad Aaaye, Bohot Yaad Aaye...

Wo Juda Kya Hue, Zindagi Kho Gayi
Shama Jalti Rahi Roshni Kho Gayi
Bohot Koshishain Ki Magar Dil Na Behla
Kai Saaz Chhede Kai Geet Gaaye

Wo Jab Yaad Aaaye, Bohot Yaad Aaye....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #1469 on: October 15, 2008, 03:21:07 AM »
Waah khwaaiish our Talat Tumne hameiN kis raah par MoRh diya..


Raha GardishoN meiN hardum, Mere Ishq ka Sitara
Kabhi Dagmagayii Kashti, Kabhi kho gaa Kinara.

Raha GardishoN maiN.......

Koi Dil ke Khel khele, ye mohabatoN ki baazi
We kadam-kadam pe jeete,MaiN kadam-kadam pe hara

Raha GardishoN maiN.....

Ye hamari badnaseebi,jo nahiN toh our ka hai
Ki usi ke ho gaye hum, Jo na ho saka hamaraa

Raha GardishoN maiN...
[/color]
Logged
Pages: 1 ... 94 95 96 97 [98] 99 100 101 102 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 07:17:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.157 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer