SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 95 96 97 98 [99] 100 101 102 103 ... 108
Print
Author  (Read 58806 times)
Talat
Guest
«Reply #1470 on: October 15, 2008, 07:07:43 PM »
Waah khwaaiish our Talat Tumne hameiN kis raah par MoRh diya..


Raha GardishoN meiN hardum, Mere Ishq ka Sitara
Kabhi Dagmagayii Kashti, Kabhi kho gaa Kinara.

Raha GardishoN maiN.......

Koi Dil ke Khel khele, ye mohabatoN ki baazi
We kadam-kadam pe jeete,MaiN kadam-kadam pe hara

Raha GardishoN maiN.....

Ye hamari badnaseebi,jo nahiN toh our ka hai
Ki usi ke ho gaye hum, Jo na ho saka hamaraa

Raha GardishoN maiN...
[/color]

Ye song to mujhe bhi bohot pasand hai Harash Ji Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #1471 on: October 15, 2008, 07:20:25 PM »
Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye
Dastaan-e-Ghum Suna Kar Ro Diye
Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye...

Zindagi Ne Kar Diya Jab Bhi Udaas
Aa Gaye Ghabraa Ke Hum Manzil Ke Paas
Sar Jhukaya, Sar Jhuka Kar Ro Diye
Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye...

Shaam Jab Aansoo Bahaate Aa Gayi
Har Taraf Ghum Ki Udaasi Chhaa Gayi
Deep Yaadon Ke Jala Kar Ro Diye
Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye...

Ghum Judaai Ka Saha Jaata Nahin
Aap Ke Bin Ab Raha Jaata Nahin
Pyaar Main Kya Kya Gunwa Kar Ro Diye

Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye...

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #1472 on: October 15, 2008, 09:08:17 PM »
Jab rulana hi tha tujhe to phir hansaya kyun
saath reh kar bhi hai juda to paas aaya kyun

Kyun yakeen uth gaya dil se kari wafao ka
pyaar mehsoos kyun hone laga gunaho saa
aaya apne beech me kisi ka saaya kyun
jab rulana hi tha tujhe to phir hansaya kyun

Kyun ajnabee ki tarah humse pesh aata hai
chand lamhe bhi hume tu naa de pata hai
aisi kya humne ki khata hume sataya kyun

Jab rulana hi tha tujhe to phir hansaya kyun
saath reh kar bhi hai juda to paas aaya kyun.......

Logged
Talat
Guest
«Reply #1473 on: October 15, 2008, 09:35:49 PM »
Duniya main hum aaye hain to jeena hi padega
Jeevan hai agar zehar to peena hi padega

Gir gir ke musibat main sambhalte hi rahenge
Jal jaayen magar aag pe chalte hi rahenge
Ghum jisne diye hain wohi ghum door karega
Jeevan hai agar zehar to peena hi padega

Maalik hain tere saath na darr, ghum se tu ae dil
Mehnat kare insaan to kya kaam hai mushkil
Jaisa jo karega yahan waisa hi bharega
Jeevan hai agar zehar to peena hi padega
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #1474 on: October 15, 2008, 09:39:54 PM »
Ladki badi anjaani hai
Sapna hai sach hai kahaani hai
Dekho ye pagli bilkul na badli
Ye to vohi deewani hai
Ladka bada anjaana hai
Sapna hai sach hai fasana hai
Hay hay ye pagla bilkul na badla
Ye to vohi deewana hai

Paas rehke bhi thi doori
Jaane kaise thi majboori
Vaqt vo bhi ajeeb tha
Jab tu mere kareeb tha
Kho gayi tu ye kis jahaan mein
Main wahaan hoon dekh to zara

Ladka bada anjaana hai
Sapna hai sach hai fasana hai
Dekho ye pagli bilkul na badli
Ye to vohi deewani hai

Hum bheed mein bhi thi tanhai
Yaad har pal teri aayi
Roke koi mujhe zara
Bhar na aaye ye dil mera
Behke behke mere kadam hain
Aise mein tu sambhaal to zara

Ladki badi anjaani hai
Sapna hai sach hai kahaani hai
Haan haan ye pagla bilkul na badla
Ye to vohi deewana hai

Tumne na jaane kya sapne dikhaaye
Jaage na sota hai
Kuchh kuchh hota hai
Kuchh kuchh hota hai
Kuchh kuchh hota hai
Kuchh kuchh hota hai Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #1475 on: October 16, 2008, 07:44:47 AM »
Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye
Dastaan-e-Ghum Suna Kar Ro Diye
Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye...

Zindagi Ne Kar Diya Jab Bhi Udaas
Aa Gaye Ghabraa Ke Hum Manzil Ke Paas
Sar Jhukaya, Sar Jhuka Kar Ro Diye
Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye...

Shaam Jab Aansoo Bahaate Aa Gayi
Har Taraf Ghum Ki Udaasi Chhaa Gayi
Deep Yaadon Ke Jala Kar Ro Diye
Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye...

Ghum Judaai Ka Saha Jaata Nahin
Aap Ke Bin Ab Raha Jaata Nahin
Pyaar Main Kya Kya Gunwa Kar Ro Diye

Aap Ke Pehlu Main Aa Kar Ro Diye...



Sach talat ka taste hai iN puraanee Geeeto meiN...har lafz har misra dil ke aNder taak hhed sa kerta chala jata hai..bahoot khoob hai talat agle gaane ke liye maiN aapko Peshagii daad diye deta hooN ky ke mujhe maloom hai ki ek achhi our gamgeen choice phir pesh hogi....
Leejiye meri taraf se Ek our...



Wafa jinse ki be-wafa ho gaye
Woh waade mohabbat ke kya ho gaye.

wafa jinse kii......

Jo kehte the hum toh, sada haiN tumhaare
Zamane maiN sabse, Jinhe hum the pyaare
Wahi aaj hum se juda ho gaye
Woh waade mohabbat ke kya ho gaye.

Wafa jinse ki....

Woh itna bata de, kabhi paas aake
Mila hai unhe kya, hameiN yuN mita ke
Khata kya thi jo, woh khafa ho gaye
Woh waade mohabbat ke kya ho gaye.

Wafa jinse kii.............


Harash
Logged
Talat
Guest
«Reply #1476 on: October 16, 2008, 06:19:32 PM »
Shukriya Harash Ji   notworthy notworthy

Sung by Mohd Rafi
Film: Ghazal


Rang Aur Noor Ki Baaraat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Haseen Raat Kise Pesh Karun

Maine Jazbaat Nibhaaye Hain Usoolon Ki Jagah
Apne Armaan Piro Laaya Hoon Phoolon Ki Jagah
Tere Sehre Ki Ye Saughaat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Haseen Raat Kise Pesh Karun

Ye Mere Sher Mere Aakhiri Nazraane Hain
Main Un Apno Main Hoon Jo Aaj Se Bagaane Hain
Be-Talluq Si Mulaqaat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Haseen Raat Kise Pesh Karun

Surkh Jode Ki Tabotaab Mubarak Ho Tujhe
Teri Aankhon Ka Naya Khwaab Mubarak Ho Tujhe
Main Ye Khwahish Ye Khayaalat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Haseen Raat Kise Pesh Karun

Kaun Kehta Hai Ki Chaahat Pe Sabhi Ka Haq Hai
Tu Jise Chaahe Tera Pyaar Usi Ka Haq Hai
Mujhse Kehde Main Tera Haath Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Haseen Raat Kise Pesh Karun

Rang Aur Noor Ki Baaraat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Haseen Raat Kise Pesh Karun

Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #1477 on: October 17, 2008, 05:00:12 AM »
 Waah Talat ji bahoot khoob....Applause

Chhoo Lene do Nazuk hotoN ko
Kutchh our nahiN hai Zaam hai ye
Qudrat ne jo hamko Baksha hai
woh sabse hasiN inaam hai ye.

Chhoo lene......

Sharma ke na yuN hi kho dena>
RaNgeen jawaani ki GadiaaN.............2
Be-taab dadakte seenoN ka
Armaan bhara paigaam hai ye

Chhoo lene do.....

Achho ko bura saabit kerna>
DuniyaaN ki puraani Aadat hai..........2
Is mai ko mubarak cheez samajh
Mana ke bahut badnaam hai ye

Choo lene do.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #1478 on: October 17, 2008, 11:54:58 AM »
Very Nice Song Harash Ji  icon_flower

Tukde HaiN Mere Dil Ke, Ae Yaar Tere AaNsuu
Dekhe NahiiN Jaate HaiN, Dildaar Tere AaNsuu

Qatre NahiiN Chhalke Ye, AaNkhoN Ke PiyaaloN Se
Motii HaiN Muhobbat Ke, In Phool Se GaaloN Pe,
Behne NahiiN DuuNgaa Bekaar Tere AaNsuu
Dekhe NahiiN Jaate

AshkoN Se Bhara DekhuuN Kaise Terii AaNkhoN Ko
Ae Jaan Ye Sulagta Ghum, De De Merii AaNkhoN Ko
PalkoN Pe Uthaa LuuNgaa, Sau Baar Tere AaNsuu

Tukde HaiN Mere Dil Ke, Ae Yaar Tere AaNsuu
Dekhe NahiiN Jaate HaiN, Dildaar Tere AaNsuu

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1479 on: October 19, 2008, 01:42:54 AM »
Yeh Mehlon,Yeh Takhton,Yeh Taajon Ki Duniya,
Yeh Insaan Key Dushman Samaajon Ki Duniya,
Yeh Doulat Key Bhookhey Riwajon Ki Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Har Ek Jism Ghayal, Har Ek Rooh Pyaasi,
Nigahon Mein Uljhan, Dilon Mein Udaasi,
Yeh Duniya Hai Ya Aalam-e-Badhawasi,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Yahaan Eik Khilona Hai Insaan Ki Hasti,
Yeh Basti Hai Murda Paraston Ki Basti,
Yahan Zindagi Se Bhi Hai Maut Sasti,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Jawaani Bhatakti Hai Badkaar Ban Kar,
Jawaan Jism Sajtey Hein Bazaar Ban Kar,
Yahaan Pyaar Hota Hai Byopaar Ban Kar,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch Nahi Hai,
Wafa Kuch Nahi, Dosti Kuch Nahi Hai,
Yahaan Pyaar Ki Qadr Hi Kuch Nahi Hai,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Jala Do Isey, Phoonk Dalo Yeh Duniya.
Mere Saamne Se Hata Lo Yeh Duniya,
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai?

Logged
Talat
Guest
«Reply #1480 on: October 19, 2008, 03:38:25 PM »
Mubarak ho sabko Sama ye suhana
Main khush hoon mere ansuon pe na jana
Main to diwan diwana diwana
Hazaaron tarah ke ye hote hain ansoo
Agar dil main gum ho to rote hain ansoo
Inhe jaan sakta nahin ye zamana
Main khush hoon mere ansuon pe na jana
Main to diwan diwana diwana
Logged
NODER
Guest
«Reply #1481 on: October 19, 2008, 03:41:13 PM »
ladakaa main garib kaa dil kaa huun amir
khuun se likhataa huun main duniyaa ki taqadir
isiliye to kahate hain sab mujhako shuuravir
ladakaa main garib kaa

vo dil hi kyaa jisamen koi tuufaan nahin
gairat jo apani bech de insaan hi nahin
phirataa huun apane sar se baandhe huye kafan
tod detaa huun nigaahon se main lohe ki zanjir
isiliye to kahate hain

duniyaa men mat kisi ki bhi puunji churaa ke ji
kuchh kaam kar divaane pasinaa bahaa ke ji
sikh le mujhase duniyaa men tuu jine ki adaa
raajaaon ki shaan hai lekin lagataa huun fakir
isiliye to kahate hain

likhaa hai kyaa nasib men kisako ye pataa
kismat pe apani jisane bharosaa kiyaa meraa
kismat banaane vaale ne ye bhi to hai kahaa
do roti ke vaaste gharati kaa sinaa chir
isiliye to kahate hain
Logged
Talat
Guest
«Reply #1482 on: October 19, 2008, 03:53:06 PM »
Agar Mujh Se Mohabbat Hai, Mujhe Sab Apane Ghum De Do
In AaNkhoN Kaa Har Ik Aa.Nsuu Mujhe Merii Qasam De Do
Agar Mujh Se ...

Tumhaare Ghum Ko Apanaa Ghum Banaa Luu.N To Qaraar Aae
Tumhaaraa Dard Siine Me.N Chhupaa Luu.N To Qaraar Aae
Vo Har Shay Jo Tumhe.N Dukh De Mujhe Mere Sanam De Do
Agar Mujh Se ...

Shareek-e-Zi.Ndagii Ko Kyuu.N Shareek-e-Ghum Nahii.N Karate
Dukho.N Ko Baa.Nt Kar Kyuu.N In Dukho.N Ko Kam Nahii.N Karate
Ta.Dap Is Dil Kii Tho.Dii Sii Mujhem ere Sanam De Do
Agar Mujh Se ...
Logged
Talat
Guest
«Reply #1483 on: October 20, 2008, 08:46:56 PM »
Yahi wo jagah hai, yahi wo fizaain,
Yahi par kabhi aap humse mile the

Inhe hum bhala kis tarah bhool jaayen
Yahi par kabhi aap humse mile the

Yahi par mera haath main haath le kar
Kabhi na bichadne ka waada kiya tha
Sada ke liye ho gaye hum tumhare
Gale se laga kar ye tumne kaha tha
Kabhi kam na hingi humari wafaain
Yahi par kabhi aap humse mile the

Yahi par wafa ka naya rang bhar ke
Banayi thi chahat ki tasveer tumne
Yahi ke bahaaron se phoolon ko chunkar
Sawaari thi ulfat ki taqdeer tumne
Wo din aapko yaad kaise dilaayen
Yahi par kabhi aap humse mile the

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1484 on: October 21, 2008, 01:16:25 PM »
Bekaraar dil, Tuu gaaye jaa..
Khushion se bhare wo taraane,
Jinhein sunn ke duniya jhoom utthe,
Aur jhoom utthe dil deewaane...
Bekaraar dil... Tuu gaaye jaa...

Raag ho koi milan ka, Sukh se bhari sargam ka,
Yug yug ke bandhan ka, Saath ho laathon janam ka..
Aaise hi bahaarein gaati rahein,
Aur sajte rahein Veeraane...
Jinhein sunn ke duniya jhoom utthe,
Aur jhoom utthe dil deewaane...
Bekaraar dil... Tuu gaaye jaa...

Raat yun hi tham jaayegi, Rutt ye hanseen muskaayegi,
Banddhi kali khil jaayegi, Aur shabnam sharmaayegi..
Pyaar ke woh kaise nagme,
Jo bann jaayein afsaane...
Jinhein sunn ke duniya jhoom utthe,
Aur jhoom utthe dil deewaane...
Bekaraar dil... Tuu gaaye jaa...

Dard mein doobi dhhun ho, Seene mein ek sulgan ho,
Saanson mein halki chubhan ho, Sehami hui dhadkan ho..
Dohraate rahein bus geet ye aa,
Duniyaa se rahein begaane..
Jinhein sunn ke duniya jhoom utthe,
Aur jhoom utthe dil deewaane...
Bekaraar dil... Tuu gaaye jaa...

Logged
Pages: 1 ... 95 96 97 98 [99] 100 101 102 103 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:06:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer