SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 97 98 99 100 [101] 102 103 104 105 ... 108
Print
Author  (Read 58804 times)
Shikha12
Guest
«Reply #1500 on: December 02, 2008, 06:38:50 AM »
Nice Choice Pooja di..  Thumbs UP



Raat chup chaap dabe paanv chali jaati hai,
Raat khamosh hai, Roti nahin, Hansti bhi nahin...
Raat chup chaap dabe paanv chali jaati hai,
Raat khamosh hai, Roti nahin, Hansti bhi nahin...
Raat chup chaap...

Chaand ki kiranon mein wo roz-sa resham bhi nahin,
Chaand ki chikni dali hai ki ghuli jaati hai..
Aur sannaaton ki ek dhool udii jaati hai..
Raat chup chaap.. Dabe paanv Chali jaati hai...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1501 on: December 02, 2008, 06:41:58 AM »
Aa chal ke tujhe, main le ke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhii na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hii pyaar pale

Aa chal ke tujeh main le ke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Suraj ki pahali kiran se, aashaa kaa savera jaage (2)
chandaa kii kiraN se dhul kar, ghanaghor andhera bhaage (2)
kabhi dhuup khile kabhi chhaav mile
lambii sii Dagar na khale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Jahan door nazar daud aae, aazaad gagan laharaae laharaee (2)
jahan rang birange panchhi, aashaa kaa sandesaa laayen (2)
sapano me pali hansati ho kali
jahan shaam suhaani dhale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Sapano Ke aise jahan mein jahan pyaar hi pyaar khila ho
hum jaa ke vahan kho jaaye shikuva na koyi ghila ho
kahin bhair na ho koyi ghair na ho
sab milke chalte chale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale
aa chal ke tujeh mein leke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1502 on: December 03, 2008, 01:49:25 PM »
Tere aane ki jab khabar mehke,
Teri khushbu se saara ghar mehke..

Shaam mehke, tere tasavvur se,
Shaam ke baad phir Sahar mehke..

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1503 on: December 05, 2008, 05:14:27 PM »
Tum aaye to aaya mujhe yaad, gali mein aa chaand nikla
Jaane kitne dinon ke baad gali mein aa chaand nikla - 2
Gali mein aa chaand nikla - 2
Tum aaye to aaya mujhe yaad, gali mein aa chaand nikla
Jaane kitne dinon ke baad gali mein aa chaand nikla - 2
Gali mein aa chaand nikla - 2
Tum aaye to aaya mujhe yaad, gali mein aa chaand nikla
Yeh naina bin kaajal tarse
Baara mahine baadal barse
Suni rab ne meri fariyaad
Suni rab ne meri fariyaad, gali mein aa chaand nikla
Gali mein aa chaand nikla - 2
Tum aaye to aaya mujhe yaad, gali mein aa chaand nikla
Aaj ki raat jo main so jaati
Khulti aankh subah ho jaati
Main to ho jaati bas barbaad
Main to ho jaati bas barbaad, gali mein aa chaand nikla
Gali mein aa chaand nikla - 2
Jaane kitne dinon ke baad gali mein aa chaand nikla
Maine tumko aate dekha
Apni jaan ko jaate dekha
Jaane phir kya hua nahin yaar
Jaane phir kya hua nahin yaar, gali mein aa chaand nikla
Gali mein aa chaand nikla - 2
Jaane kitne dinon ke baad gali mein aa chaand nikla
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1504 on: December 05, 2008, 05:36:25 PM »
ye duniyaan, ye mahafil  mere kaam kee naheen

kis ko sunaaoo haal dila-ye-bekaraar kaa
buzataa huaa charaag hoo apane majaar kaa
aye kaash bhool jaaoo, magar bhoolataa nahee
kis dhoom se uthhaa thaa, janaajaa bahaar kaa

apanaa pataa mile, naa khabar yaar kee mile
dushman ko bhee naa ayesee sajaa pyaar kee mile
unako khudaa mile hain khudaa kee jinhe talaash
muz ko bas yek zalak mere diladaar kee mile

saharaa mein aake bhee, muz ko thhikaanaa naa milaa
gam ko bhoolaane kaa, koee bahaanaa naa milaa
dil tarase jis mein pyaar ko, kyaa samazoo us sansaar ko
yek jeetee baajee haar ke, main dhoondhoo bichhade yaar ko

door nigaahon se aansoo bahaataa hain koee
kaise naa jaaoo mai, muz ko bulaataa hain koee
yaa toote dil ko jod do, yaa saare bandhan tod do
aye parabat rastaa de muze, aye kaanton daaman chhod do
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1505 on: December 08, 2008, 06:36:53 AM »
Tumhaari nazar kyon khafa ho gayi,
Khata bakhsh do, gar khata ho gayi..
Hamara iraada toh kuch bhi naa tha,
Tumhari khata khud sazaa ho gayi...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1506 on: December 08, 2008, 09:42:13 PM »
Waadiyaan Meraa Daaman  Raasten Meree Baahen
Jaao Mere Siwaa Tum Kahaa Jaaoge

Jab Churaaoge Tan Tum Kisee Baat Se
Shaakha-Ye-Gul Chhed Degee Mere Haath Se
Apanee Hee Zulf Ko Aaur Ulajhaaoge

Jab Se Milane Lagee Tum Se Raahen Meree
Chaand Sooraj Banee, Do Nigaahe Meree
Tum Kahee Bhee Raho Tum Najar Aaoge
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1507 on: December 08, 2008, 09:58:14 PM »
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

(Masti bhara taraana, kyu raat gaa rahi hai
Aankho mein neend aakar, kyu door jaa rahi hai) 2
Dil mein koyi sitamgar, armaan jaga gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

Betaab ho raha hai, ye dil machal machal ke
Shaayad ye raat beete, karvat badal badal ke
Lala laa lala laa...
Betaab ho raha hai, ye dil machal machal ke
Shaayad ye raat beete, karvat badal badal ke
Eh dil zara sambhal jaa, shaayad woh aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai

(Bheegi huwi hawaaye, mausam bhi hai gulaabi
Kya chaand kya sitaare, har cheez hai sharaabi) 2
Dheere se ek naghma, koyi suna gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Eh dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
Woh kaun hai jo aakar, khwaabo pe chha gaya hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1508 on: December 08, 2008, 10:13:56 PM »
Naa milta gham to barbaadi ke afsaane kahan jaate
Agar duniya chaman hoti to veerane kahan jaate

Tum hi ne gham ki dolat di badaa aehsaan farmaya
Zamaane bhar ke aage haath phelaane kahaan jaate
Agar duniya chaman hoti.....

Chalo achha huwaa apnoN mein koi gayr to niklaa
Agar hote sabhi apne to begaane kahaan jaate
Agar duniya chaman hoti.....

DuaaeN do muhabbat ham ne mitkar tumko sikhlaadi
Naa jalti shamma mehfil nein to parwaane kahaan jaate
Agar duniya chaman hoti.....

Naa milta gham to barbaadi ke afsaane kahan jaate
Agar duniya chaman hoti to veerane kahan jaate
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1509 on: December 09, 2008, 02:44:03 AM »
Baar Baar Dekho, Hazar Baar Dekho,
Ke Dekh Ne Ki Cheez Hai Hamari Dilruba,
Taali Ho..

Haan Ji Haan, Aur Bhi Honge Dil Daar Yahan,
Lakhon Dilon Ki Bahaar Yahan,
Par Yeh Baat Kahan,
Yeh-Bemisaal-Husn-Lajawab-Ye-Ada,
Taali Ho..

Bale Bale Ut Ke Mister Kyon Chale,
Pyar Pe Mere Kahun Kyon Jale,
Bait Bhi Javo Meherbaan,
Duva-Karo-Mile-Tumhein-Bhi-Aisa-Dilruba..
Taali Ho..

Dil Mila, Ek Jaan-e-mehefil Mila,
Yaar Jiraag-e-manzil Mila,
Yeh Na Pucho Ke Kahan,
Naya-Naya-Yeh-Aashiqui-Ka-Raaz-Hai-Mera..
Taali Ho..

Baar Baar Dekho, Hazar Baar Dekho,
Ke Dekh Ne Ki Cheez Hai Hamari Dilruba,
Taali Ho..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1510 on: December 09, 2008, 10:55:49 AM »
Saamne baithe raho, O mere Piyaa,
Tumhaare bina kahin, Lagey naa Jiyaa..
Nazar ko pyaas hai, Tere didaar ki,
Tere didaar se nahin bharta Jiyaa...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1511 on: December 09, 2008, 11:00:34 AM »
ik raasta hai zindagi jo tham gaye to kuch nahi
ye qadam kisi muqaam pe jo tham gaye to kuch nahi
ik raasta hai zindagi ...

la : o jaate raahi o baanke raahi
meri baanhon ko in raahon ko
tu chhod ke na ja tu vaapas a ja
ki : vo husn ke jalave hon ya ishq ki aavaazen
aazaad parindon ki rukati nahi paravaazen
jaate hue qadamon se aate hue qadamon se
bhari rahegi rahaguzar jo ham gaye to kuch nahi
ik raasta hai zindagi ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1512 on: December 09, 2008, 06:45:27 PM »
ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale (2)
qarar leke tere dar se beqarar chale
ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale
ruke ruke se kadam

subah na ayI kai baar neend se jaage (2)
ki ek raat kI ye zindagI guzaar chale (2)
ruke ruke se kadam

uthaye phir de ke ehasan dil ka sine par (2)
le tere kadamon pe ye karz bhI utaar chale (2)
qarar leke tere dar se beqarar chale
ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale
ruke ruke se kadam
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1513 on: December 09, 2008, 07:10:30 PM »
CHUPKEY CHUPKEY RAAT DIN
AASOO BAHANA YAAD HAI
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1514 on: December 09, 2008, 07:50:39 PM »
In Mast Nigahon Se Mujhko Na Pila Dena
In Mast Nigahon Se Mujhko Na Pila Dena
Tum Ek Musalmaan Ko Kafir Na Bana Dena
Ho Mohabbat Mein Nigahon Se
Mohabbat Mein Nigahon Se Zuban Ko Kaam Leti Hoon
Kisi Ki Baat Karti Hoon Kisi Ka Naam Leti Hoon
Shahenshah Ho Ke Malika Ho Salami Hum Nahi Karte
Shahenshah Ho Ke Malika Ho Salami Hum Nahi Karte
Haseena Ho Ke Botal Ho
Ho Haseena Ho Ke Botal Ho Gulami Hum Nahi Karte
Sar Jispe Na Jhook Jaye
Ab Mein Jo Kehne Ja Raha Hoon
Na Kisi Ne Kaha Hai Na Kisi Ne Suna Hai
Mulaiza Farmaye Huzoor
Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahin Kehte
Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahin Kehte
Har Dar Pe Jo Jhook Jaaye
Ho Har Dar Pe Jo Jhook Jaye Use Sar Nahin Kehte
Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahin Kehte

O Sahib Dekhkar Humko Hasi Kyon Aa Gayi Tumko
O Sahib Dekhkar Humko Hasi Kyon Aa Gayi Tumko
Hamara Naam Hero Hai
Ho Hamara Naam Hero Hai Hume Joker Nahin Kehte
O Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahi Kehte

Ho Woh Aur Hai Peete Hi Khul Jaate Muh Jinke
Aur Hai Peete Hi Khul Jaate Muh Jinke
Pi Jaate Hai Hum Sab Kuch
O Pi Jaate Hai Hum Sab Kuch Kuch Bhi Gar Nahin Kehte
Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahin Kehte
Ho Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahin Kehte
Ho Har Dar Pe Jo Jhook Jaye Use Sar Nahin Kehte
Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahi Kehte
In Mast Nigahon Se Mujhko Na Pila Dena
In Mast Nigahon Se Mujhko Na Pila Dena
Tum Ek Musalmaan Ko Kafir Na Bana Dena
Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Daar Nahin Kehte
Ho Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahin Kehte
Har Dar Pe Jo Jhook Jaye Use Sar Nahin Kehte
Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahin Kehte
Sar Jispe Na Jhook Jaye Use Dar Nahin Kehte
Logged
Pages: 1 ... 97 98 99 100 [101] 102 103 104 105 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 03:46:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer