SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 49 50 51 52 [53] 54 55 56 57 ... 108
Print
Author  (Read 59023 times)
Pooja
Guest
«Reply #780 on: September 12, 2007, 04:34:02 PM »
suramai akhiyoin mein nanhaa munnaa ek sapanaa de jaa re
nindiyaa ke udate paakhii re, aiNkhiyoin mein aajaa sathi re

raa rii raa ram o raarii ram

sachchaa koI sapanaa dejaa
mujhako koI apanA dejaa
anajaanaa saa magar kuchh pahachaanaa saa
halkaa phulkaa shabanamii
resham se bhI reshamii
suramai akhiyoin mein……

raat ke rath par jaane vaale
nIind kA ras barasaane vaale
itanA kar de kI merI aaiNkhein bhar de
aaiNkhoin mein basataa rahe, sapanA ye haiNsataa rahe
sapanaa yuuiN chalataa rahe
aiNkhiyoin mein basataa rahe
suramai akhiyoin mein…………
Logged
natural
Guest
«Reply #781 on: September 12, 2007, 06:01:11 PM »
Tum aa gaye ho,
noor aa gaya hai....
Logged
punam
Guest
«Reply #782 on: September 13, 2007, 06:56:48 AM »
ishkawaalon se naa poochho, ke un kee raat kaa aalam
tanahaa kaise gujarataa hai
judaa ho humasafar jis kaa, wo us ko yaad karataa hai
naa ho jis kaa koee wo milane kee fayraad karataa hai

salaama-ye-ishk meree jaan, jaraa kabool kar lo
tum hum se pyaar karane kee jaraa see bhool kar lo
meraa dil bechain hain humasafar ke liye.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #783 on: September 14, 2007, 07:31:11 PM »
Chain se humko kabhi
tumne jeene na diya
Zehar bhi chaha agar
pina to, pine na diya......
Logged
Nomi786
Guest
«Reply #784 on: September 15, 2007, 04:49:56 AM »
Mujhay peenay ka shoq nahi peeta hoon ghum bhulanay ko
teri yaadien mitanay ko
teri yaadien mitanay ko

peeta hoon ghum bhulanay ko..

mil jaatay agar ab hum aag lag jaati paani main
mil jaatay agar ab hum aaag lag jaaati paaani mainnn

bachpan ki wohi dosti ho jaati jawani main

chahat main badal dete ..
chahat main badal dete

hum is dostane ko ..


mujhay peenay ka shoq nahi peeta hoon ghum bhoolanay ko .....
Logged
Talat
Guest
«Reply #785 on: September 15, 2007, 10:49:22 AM »
main ye sochkar uske dar se uThaa thaa
ke vo rok legi manaa legi mujhko

havaaoN mein lahraataa aataa thaa daaman
ke daaman pakaDkar biThaa legi mujhko

kadam aise andaaz se uTh rahe the
ke aavaaz dekar bulaa legi mujhko

magar usne rokaa
na usne manaayaa
na daaman hi pakaDaa
na mujhko biThaayaa
na aavaaz hi dii
na vaapas bulaayaa
main aahistaa aahistaa baDhtaa hi aayaa
yahaaN tak ke us se judaa ho gayaa main -2
judaa ho gayaa main
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #786 on: September 18, 2007, 09:52:05 AM »
Aankhein khuli ho ya ho band,
Deedaar unka hota hai...
Kaise kahun main O Yaara...
Yeh Pyaar kaise hota hai...
Logged
natural
Guest
«Reply #787 on: September 19, 2007, 07:21:15 AM »
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain


Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism-o-jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte


Yeh raat hai, yeh tumhaari zulfein khuli hui hai
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hai
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho


O, tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main vahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam
Issi raah pe nikalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Mm, meri saans saans maheke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Koi aur bhi mulaayam
Meri shaam dhalte dhalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte


Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi


Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum
Logged
Talat
Guest
«Reply #788 on: September 19, 2007, 02:08:13 PM »
Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono -2

Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se
Chalo ek baar phir se..

Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ki yeh jalve paraaye hain
Mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maajhi ki -2
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saaye hain
Chalo ek baar phir se..

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin -2
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna achchha
Chalo ek baar phir se..
Logged
natural
Guest
«Reply #789 on: September 20, 2007, 08:37:44 AM »
Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya

Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Main Usko Bhulata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…

Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Main Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #790 on: September 20, 2007, 06:29:27 PM »
Lag ja gale se ki phir ye haseen raat ho na ho,
Shayad phir is janam me mulaakaat ho na ho...
Lag ja gale se...

Humko mili hain aaj ye ghadiyaan naseeb se,
Ji bhar ke dekh lijiye humko qareeb se...
Phir aapke naseeb main ye baat ho na ho...
Shayad phir is janam me mulaakaat ho na ho...
Lag ja gale se...

Paas aaiye ki hum nahin aayenge baar baar,
Baahein gale me daal ke hum ro len zaar-zaar...
Ankhon se phir ye pyar ki barsaat ho na ho...
Shayad phir is janam me mulaakaat ho na ho...
Lag ja gale se...
Logged
punam
Guest
«Reply #791 on: September 21, 2007, 05:53:53 PM »
aa ja aai bahar, dil hai beqarar
o mere raajakumar, tere bin raha na jaaye
aa ja aai bahar, dil hai beqarar
o mere raajakumar, tere bin raha na jaaye
aa ja

julfon se jab bhi, chale puravai
tan mera toote
aayi angadai
dekhoon baar baar, tera intazaar
o mere raajakumar, tere bin raha na jaaye
aa ja aai ...
Logged
natural
Guest
«Reply #792 on: September 25, 2007, 11:11:24 AM »
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Hm Hm He
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Ek Raah Rukh Gayi Tho Aur Judh Gayi
Main Mura Tho Saath Saath Raha Murgayi
Hawaon Ke Paron Par Mera Ashiana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana

Din Ne Haath Thaam Kar Idhar Bithaliya
Raat Ne Ishaare Se Udhar Bulahliya
Subah se Shaam Se Mera Dostana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana
Musafir Hoon Yaaron Na Ghar Hai Na Tikhana
Mujhe Chalte Jaana Hai Bas Chalte Jaana
Logged
punam
Guest
«Reply #793 on: September 25, 2007, 05:50:41 PM »
Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #794 on: September 26, 2007, 05:34:50 AM »

Megha chhaye aadhi raat,  
Bairan ban gayi nindiyaa..
Bata de main kya karu...

Sab ke aangan diya jale re,
More aangan jiya
Hawa laage shool jaisi,
Taana maare chunariyaa...
Aayi hai aansoo ki baaraat...
Bairan ban gayi nindiyaa..
Bata de main kya karu...

Rooth gaye re sapane saare,
Toot gayi re aashaa
Nain bahe re gangaa more,
Phir bhi man hain pyaasaa...
Kise kahun re mann ki baat...
Bairan ban gayi nindiyaa..
Bata de main kya karu...
Logged
Pages: 1 ... 49 50 51 52 [53] 54 55 56 57 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 01:20:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer