SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 54 55 56 57 [58] 59 60 61 62 ... 108
Print
Author  (Read 59033 times)
Pooja
Guest
«Reply #855 on: January 18, 2008, 10:18:06 PM »
faisala tumako bhuul jaane ka
ik naya khaab hai diwaane ka

dil kali ka laraz laraz utha
zikr tha phir bahaar aane ka

hausala kam kisi mein hota hai
jit kar kud hi haar jaane ka

zindagi kat gayi manaate huye
ab iraada hai ruuth jaane ka

aap humari na fikr karein
yah dil aadi hai zakm khaane ka
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #856 on: January 18, 2008, 10:26:49 PM »
AANKHO MEIN NAMI,HASI LABON PAR
KYA HAAL HAI,KYA DIKHA RAHE HO
KYA GHAM HAI JISKO CHUPA RAHE HO

BAN JAAYENGE ZEHAR PEETE-PEETE
YEH ASHQ JO PEETE JA RAHE HO

REKHAYO KA KHEL HAI MUQADAR
REKHAYO SE MAAT KHA RAHE HO

TUM ITNA JO MUSKURA RAHE HO
KYA GHAM HAI JISKO CHUPA RAHE HO
Logged
Pooja
Guest
«Reply #857 on: January 18, 2008, 10:29:39 PM »
Ae zindagi yeh lamha jee lene de
Oh, pehle se likha kuch bhi nahin
Roz naya kuch likhti hai tu
Jo bhi likha hai, dil se jiya hai
Yeh lamha filhaal jee lene de

Maasoom si hasi, bevaja hi kabhi
Honton pe khil jaati hai
Anjaan si khushi baheti hui kabhi
Saahil pe mil jaati hai
Yeh anjaana sa darr ajnabi hai magar
Khoobsurat hai jee lene de
Yeh lamha filhaal jee lene de

Dil hi mein rehta hai, aankhon mein baheta hai
Kaccha sa ek khwaab hai
Lagta sawaal hai, shaayad jawaab hai
Dil phir bhi betaab hai
Yeh sukun hai to hai, yeh junoon hai to hai
Khoobsurat hai jee lene de
Yeh lamha filhaal jee lene de ...

Oh, pehle se likha kuch bhi nahin
Roz naya kuch, oh likhti hai tu
Jo bhi likha hai, dil se jiya hai
Yeh lamha filhaal jee lene de ...
Logged
natural
Guest
«Reply #858 on: January 19, 2008, 09:53:02 AM »
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi -2
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi -2
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Kahan se phir chale aaye, yeh kuchh bhatke hue saaye
Yeh kuchh bhoole hue nagme, jo mere pyaar ne gaye
Yeh kuchh bhichhdi hui yaadein, yeh kuchh toote hue sapne
Paraaye ho gaye to kya, kabhi yeh bhi to the apne
Na jaane inse kyun milkar, nazar sharma gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Ummeedon ke haseen mele, tamannaaon ke woh rele
Nigaahon ne nigaahon se, ajab kuchh khel the khele
Hawa mein zulf lehrayi, nazar pe bekhudi chhaai
Khule the dil ke darwaaze, mohabbat bhi chali aayi
Tamannaaon ki duniya par, jawaani chhaa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Bade rangeen zamaane the, taraane hi taraane the
Magar ab poochhta hai dil, woh din the yaa fasaane the
Faqat ik yaad hai baaki, bas ik fariyaad hai baaki
Woh khusiyan loot gayi lekin, dil-ye-barbaad hai baaki
Kahan the zindagi meri, kahan par aa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi -2
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #859 on: January 19, 2008, 09:54:24 AM »
Aap agar in dino yahan hote,
Hum zameen par bhala kahan hote...
Aap agar in dino yahan hote...

Waqt guzra nahin abhi warna,
Reit par paanv ke nishaan hote..

Mere aage nahin tha agar koi,
Mere peeche to karwaan hote...

Tere saahil pe laut kar aati,
Agar umeedon ke baadbaan hote...

But...   Actually this is a Gazal (compiled by Gulzar ji and sung by Jagjit Singh ji) from album "koi baat chale"... I just love this album... Usual Smile


Logged
punam
Guest
«Reply #860 on: January 19, 2008, 09:58:56 AM »
chaandani chaand se hoti hai sitaaron se nahin
pyaar bhi ek se hotaa hai hazaaron se nahin
phir bhi bulabul se milo aaj bahaaron se nahin
ye nazar tumase hai aabaad nazaaron se nahin
chaandani chaand se

maine tumako nahin samajhaa thaa kataavaar huun main
jo sazaa chaaho mujhe de do gunaahagaar huun main
ab to zanjiron se baandhon mujhe haaron se nahin
badalaa lete to magar apane hi pyaaron se nahin
chaandani chaand se

paas bhi tum ho aur aankhon mein nashaa chamake bhi
ho to jaati hai galat baat koyi hamase bhi
shokiyaan kije magar pyaar ke maaron se nahin
tab naa khul paaye to kah duungi ishaaron se nahin
chaandani chaand se

duubakar hamako in aankhon mein rah jaane do
aaj baanhon ki inhin laharon mein bah jaane do
aaj qaabuu mein ham aayenge hazaaron se nahin
apanaa tuufaan se rishtaa hai kinaaron se nahin
chaandani chaand se...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #861 on: January 21, 2008, 05:59:39 PM »
jo dhoop nikle,chaaya ban jaaunga
jo ho tu akeli,saaya ban jaaunga
jo uljhan mein ho man,main behlaunga

tum aa gaye ho to jeena aaya hai
khushiyon ka tumne yeh jaal bichaya hai
khoya hai khud ko ya sab kuch paaya hai

tu jahan,main wahan...
sang sang yuh chalu tere,jaisa tera aasman
Logged
Pooja
Guest
«Reply #862 on: January 23, 2008, 10:22:18 PM »
tumhe yaad karte karte jayegi rain saari
tum le gaye ho apne sung nind bhi humari
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #863 on: January 23, 2008, 10:25:26 PM »
dil kehta hai chal unse mil
uth the hai kadam rukkh jatehai
dil humko kabhi samjhaata hai
hum dil ko kabhi samjhaate hai

Logged
Pooja
Guest
«Reply #864 on: January 23, 2008, 10:40:01 PM »
Dil tera deewana hai sanam...jaante hain hum...kuch na kahenge sanam...mohobbat ki kasam mohobbat ki kasam
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #865 on: January 24, 2008, 11:20:25 AM »
zindagi ke safar mein..guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate..
woh phir nahin aate
zindagi ke safar mein..guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate.. woh phir nahin aate
phool khilte hain.. log milte hain
phool khilte hain.. log milte hain
magar patjhar main jo phool murjha jate hain
woh baharon ke aane se khilte nahin

kuchh log ek roz jo bichad jate hain
woj hazaron ke aane se milte nahin

umr bhar chahe koi pukara kare unka naam
woh phir nahin aate..
woh phir nahin aate  sad5
Logged
jassworld
Guest
«Reply #866 on: January 24, 2008, 12:11:51 PM »
Aane wala palllllll..jaane waala hai,
ho sake to ismein...zindgi bita lo-2
pal jo yeh jaane waala hai..
Aane waala pal..!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #867 on: January 24, 2008, 12:13:38 PM »
Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Dhak dhak bole it ut dole
Din raina
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Logged
jassworld
Guest
«Reply #868 on: January 24, 2008, 12:23:02 PM »
Jab koi baat bigad jaaye,
jab koi mushkil pad jaye,
tum dena saath mera oh humnava...!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #869 on: January 24, 2008, 05:07:15 PM »
jeevan ke safar mai raahi
milte hai bichard jaane ko
aor de jaate hai yaadein
tanhai mai tadpaane ko......
Logged
Pages: 1 ... 54 55 56 57 [58] 59 60 61 62 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 02:06:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.227 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer