SING A SONG ACCORDING 2 UR MOOD..

by urooj_love on June 14, 2006, 11:16:34 AM
Pages: 1 ... 63 64 65 66 [67] 68 69 70 71 ... 108
Print
Author  (Read 58982 times)
Rajbir
Guest
«Reply #990 on: February 15, 2008, 08:46:16 PM »
is se chota song nahi mila tha kya? Roll Eyes
Logged
Pooja
Guest
«Reply #991 on: February 15, 2008, 09:06:23 PM »
jab koee baat bigad jaaye
jab koee mushkil pad jaaye
tum denaa saath meraa, o hum nawaaj
naa koee hai, naa koee thaa
jindagee mein tumhaare siwaa
tum denaa saath meraa, o hum nawaaj

ho chaandanee jab tak raat ,detaa hain har koee saath
tum magar andhero mein naa chhodanaa meraa haath
jab koee baat bigad jaaye.. ..

wafaadaaree kee wo rasme, nibhaayenge hum tum kasme
yek bhee saans jindagee kee, jab tak ho apane bas me
jab koee baat bigad jaaye.. ..

dil ko mere huaa yakeen, hum pahale bhee mile kahee
silasilaa ye sadiyon kaa, koee aaj kee baat nahee
jab koee baat bigad jaaye.. ..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #992 on: February 19, 2008, 06:36:58 PM »
aankho mein kyaa jee, rupahalaa baadal
baadal mein kyaa jee, kisee kaa aanchal
aanchal mein kyaa jee, ajab see halachal

rangee hain mausam  tere dam kee bahaar hain
fir bhee hain kuchh kam  bas teraa intajaar hain
dekhane mein bhole ho par, ho bade chanchal

zukatee hain palake, zukane do aaur zum ke
udatee hain julfe, udane do honthh choom ke
dekhane mein bhole ho par, ho bade chanchal

zoomei laharaye, nainaa mil jaaye nain se
saathee ban jaaye, rastaa kat jaaye chain se
dekhane mein bholee ho par, ho badee chanchal

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #993 on: February 19, 2008, 09:04:51 PM »
KISI RANJISH KO HAWA DO KE MAIN ZINDA HOON ABHI
MUJHKO EHSAAS DILA DO KE MAIN ZINDA HOON ABHI

MERE RUKHNE SE MERI SAANSEIN BHI RUKH JAAYEGI
FAASLE AUR BADHA DO KE MAIN ZINDA HOON ABHI...

ZEHAR PEENE KI AADAT SI THI ZAMANE WALO
AB KOI AUR DAWA DO KE MAIN ZINDA HOON ABHI

CHALTI RAAHON PAR YUHI AANKH LAGI HAI "FAAKIR"
BHEED LOGO KI HATA DO KE MAIN ZINDA HOON ABHI...

KISI RANJISH KO HAWA DO KE MAIN ZINDA HOON ABHI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #994 on: February 19, 2008, 09:59:19 PM »
toote hue khwabo ne humko yah sikhaya hai
dil ne, dil ne jise chaha tha, ankho ne gawaya hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #995 on: February 19, 2008, 10:58:48 PM »
SO GAYA YEH JAHAAN
SO GAYA AASMAAN
SO GAYI HAI SAARI MANZILE
SO GAYA HAI RASTA...
SO GAYA YEH JAHAN
SO GAYA AASMAAN
Logged
Pooja
Guest
«Reply #996 on: February 19, 2008, 11:03:13 PM »
naseeb mai jiske jo likha tha
wo teri mehfil mai kaam ayya
Logged
Jeen
Guest
«Reply #997 on: February 21, 2008, 07:56:31 AM »
Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono

Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se
Chalo ek baar phir se..

Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ki yeh jalve paraaye hain
Mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maajhi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saaye hain
Chalo ek baar phir se..

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna achchha
Chalo ek baar phir se..
Logged
Talat
Guest
«Reply #998 on: February 21, 2008, 06:17:01 PM »
Tum humse milo, hum tumse milen
Ye logon ko manzoor nahin...manzoor nahin
Wo baat bhala phir kais ho,
Jo duniya ka dastoor nahin..dastoor nahin



Logged
Pooja
Guest
«Reply #999 on: February 21, 2008, 06:37:51 PM »
agge bhi jaane na tu
piche bhi jaane na tu
her pal hai, bas ek tu hi tu...
Logged
Talat
Guest
«Reply #1000 on: February 21, 2008, 06:54:17 PM »
Khuda-e-bartar teri zameen pe zameen ki khatir ye jung kyun hai
Har ek fath-o-zafar ke daaman pe khoon-e-insaan ka rung kyun hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1001 on: February 21, 2008, 07:02:13 PM »
Nirbal se ladaai balwaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Duniya ne saath chhoda, mamta ne mukh moda
Ab diye pe ye dukh padne laga -2
Par himmat na haar, man mein marna vichaar
Atyaachaar ki hawa se ladne laga
Sar uthhaana ya jhukaana,
ya bhalaai mein mar jaana
Ghadi aayi uske bhi imtehaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Logged
Talat
Guest
«Reply #1002 on: February 21, 2008, 07:13:28 PM »
Jalte hain jiske liye..tere aankhon ke diye
Dhoond laya hoon wohi geet main tere liye..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1003 on: February 21, 2008, 07:41:54 PM »
Dil ka haal sune dil waala
Seedhi si baat na mirch masaala
Kehke rahega kehne waala
Dil ka haal sune dil waala
Chhote se ghar mein gareeb ka beta
Main bhi hu maan ke naseeb ka beta - 2
Ranj-o-gham bachpan ke saathi
Aandhiyo mein jali jeewan baati
Bhukh ne hain bade pyaar se paala
Dil ka haal sune dil waala

(Haay karu kya surat aisi,
Gaanthhke poore chor ke jaisi) - 2
Chalta phirta jaanke ek din,
Bina dekhe pehchaan ke ek din
Baandhke le gaya pulis waala
Dil ka haal sune dil waala

Budhhe daaroga ne chashme se dekha -2
Aage se dekha peechhe se dekha,
Upar se dekha neeche se dekha
Bola ye kya kar baithhe ghotaala,
Haay ye kya kar baithhe ghotaala
Ye to hai thaanedaar ka saala
Dil ka haal sune dil waala

Gham se abhi azaad nahi main
Khush magar aabaad nahi main -2
Manzil mere paas khadi hai,
Paau mein lekin bedi padi hai
Taanga deta hai daulat waala,
Dil ka haal sune dil waala

Sun lo magar ye kisi se na kehna
Tinke ka leke sahaara na behna -2
Bin mausammal haar na gaana,
Aadhi raat ko machchil laana
Varna pakad lega pulis waala
Dil ka haal sune dil waala

Logged
niraj_191
Guest
«Reply #1004 on: February 21, 2008, 07:45:17 PM »
nakharewaalee, dekhane mein dekh lo hain kaisee bholeebhaalee
ajanabee ye chhoreeyaan, dil pen daale doreeyaan, man kee kaalee
wo to koee aaur thee jo aakhon se, samaa gayee dil mein

berahum  bewafaa
apanaa kuchh ataa pataa bataa to de
bekalee, bekasee
kuchh to kam ho, fir se muskuraa to de
wo to koee aaur thee jo aakhon se, samaa gayee dil mein

Logged
Pages: 1 ... 63 64 65 66 [67] 68 69 70 71 ... 108
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:23:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.206 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer