Sing a Song!

by Meena on May 04, 2005, 08:11:16 PM
Pages: 1 ... 90 91 92 93 [94] 95 96 97 98 ... 175
Print
Author  (Read 97175 times)
Aarzuu
Guest
«Reply #1395 on: June 11, 2005, 09:47:30 PM »
mein gaaoon tum so jao...........lol
sukh sapno mein kho jao...........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aaj phir... a song u can sing... by sushiljain in Shayri for Khumar -e- Ishq
They can not sing a freedom's song,-1997- Saurabh Saraswat by Ram Saraswat in English
fakharenaveed
Guest
«Reply #1396 on: June 11, 2005, 10:23:51 PM »
chorr de sari duniya kisi k liye
yeh mnasab nahina dmi k liye
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #1397 on: June 11, 2005, 11:51:55 PM »
aadmi ko kehta hai,
aadmi jo sunta hai,
zindagi bhar woh sadaayein,
peecha karti hain,....................
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #1398 on: June 11, 2005, 11:59:35 PM »
Bin uskay zindagi dard hai tanhai hai
Meri aankhon main kiyon mout simath aiyee hai

Kehtay hain loog ishq ko ibadat yaroon
Ibadat main phir kiyon ruswayee hai

Wo na aaya to dil ko lubhanay ko mere
Shab- e -hijar main uski yaad chali ayee hai

Mehfil main reh kar bhi tanha rehna
Yeh ada uski muhabat nay sikhlayee hai

Yeh bhi uski mohabat ki ainaayat hai Yaroon
Main tamasha bana or dunia tamashayee hai

Intezaar main kisi kay na raat ko barbad karna
Doobtay taroon nay mujhe baat yeh samjhai hai

Us say taaluk hi kuch aisa raha hay dostoon
Jab bhi socha ussay aankh bhar ayee hai ...
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #1399 on: June 12, 2005, 08:28:04 AM »
kab talak shamma jali...............yaad nahi
shaam-e-gham kaise dhali.........yaad nahi
is kadar yaad hai, apne the sabhi....
kisne kya chaal chali......yaad nahi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #1400 on: June 12, 2005, 08:30:53 AM »
Main Yeh Nahi Kehta

Ke Koi Dil Main na Samaye

Main Yeh Nahi Kehta

Ke Koi Aarzu Na Ban PaYe

PaR Itna Zaroor Kehna Hai

Ager Samjh SaKo

Ke Dil Main Kabhi Kisi Ko

Itni JaGa Na Do

Ke Dil Ke LiYe Dhadkna Hi MushKil Ho JaYe.....!
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #1401 on: June 12, 2005, 08:32:08 AM »
kat gayi umr, kisi tarah kati.
woh buri thi ya bhali...............yaad nahi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #1402 on: June 12, 2005, 08:34:00 AM »
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #1403 on: June 12, 2005, 08:37:57 AM »
jab yaad ki badli chaati hai,
tab aankh meri bhar aati hai.................
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #1404 on: June 12, 2005, 08:39:10 AM »
tum jahan chaho wahin rah badal sakte ho


phir bhi kuch door mere saath chal sakte ho.

abhi muskan ban kar aankhon main chupe ho

lakin aashk ban kar kahin aankhon se oobal sakte ho .

aik pathar ki tarha tum par aasar kuch na huwa ,


hum ne socha tha ke aahoon se pigal sakte ho .

meri kismat ki siyaahi se agar darte ho .
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #1405 on: June 12, 2005, 08:41:36 AM »
tu kya tera waada kya,
har baat teri sharmaati hai.........
per mit jaayenge, yaad mein hum
yeh dil ki agan bataati hai.........
jab yaad ki badli chaati hai,
tab aankh meri bhar aati hai...........
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #1406 on: June 12, 2005, 08:43:26 AM »
Kuch pana hai to khona zaroori hai



Muhabbat ki hai to rona zaroori hai



Zaroori nahin der-e-yaar pe


do chaar aansu baha dena


Der-e-yaar lahoo rona zaroori hai




Saaqi hi nahin shaan-e-mah kade ke liye



Ghamon ka bhi dil main hona zaroori hai



Tu pehle nahin aya to kia gham hai


Janaze main tera hona zaroori hai




Phoolon par chalne ke liye IshaQ-E-Naz

Do ghadi kanton pe sona zaroori hai
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #1407 on: June 12, 2005, 08:47:24 AM »
duur kahin ek aam ki bagiya,
bagiya mein hai thandi chaaon........
chaon mein ek kachha rasta,
raste mein pyaara sa gaaon.....
gaaon mein ek chota sa ghar,
ghar mein ek ujla sa aangan.........
aangan mein chandan ka palna,
palane mein pyaara sa munna
munne ki aankhon mein nindiya.............
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #1408 on: June 12, 2005, 08:50:04 AM »
Aarzuu jaan aap ko sona nahin ahi so jaoo kafie der ho gi hai





Bhool JaYeGa Tu MujHe, YeH TeRa AiTBaaR Hai

PaR YaaDoN Pe TeRi, SiRf MeRa EkhtiYaaR Hai

Na KaR GuMaaN ItNa, Tu Dil ToD Ke MeRa

Khilte Hi RaheinGe Gul,DaaMaN MaiN ChaaHe KhaaR Hai

SuNa Hai MuhaBbat Kabhi, SurAToN Pe Nahi Hoti

HaaR Ke Bhi Jo Jeet JaaYeiN, Us Si Ka NaaM PYaar Hai

SeeNe Main GaR Dil Hai TeRe, To DhaDakta Bhi Ho Ga

SuN-Ne Se Us Se JaNe KYuN TujHe Hi InKaaR Hai

RooTha Hai Tu Ais TaRha, JaiSe RooTh JaaYeiN KhuDa

Tu Khafa Hai MujH Se, YaH KhuD Se ShARaMSaaR Hai ?
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #1409 on: June 12, 2005, 08:53:56 AM »
Maa ne kaha...........mujhse sada
tu phool hai, tu mera chaand hai........
na chaand na phool huun,
raste ki mein dhool huun........
Logged
Pages: 1 ... 90 91 92 93 [94] 95 96 97 98 ... 175
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:42:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer